Friday, June 25, 2010

Mujhey darya nahi likhna,mujhey sehra nahi likhna


Mujhey darya nahi likhna,mujhey sehra nahi likhna
Tasallsul se safar main hoon, mujhey thehra nahi likhna

Purani rabton ki raakh ab tak dil main baqi hai
Meri jalti hatheli par naya wada nahi likhna

Ana se jeet kar usko agar jo mainey khoya hai
Mera noha nahi likhna mera naghma nahi likhna

Bisat-e-zindagi ki aakhiri sarhad pe khara hoon
Mujhey fateh nahi likhna mujhey mohra nahi likhna

Tumhari aankh main agar main kabhi chup chaap jal jaow
Tum apni aankhon main laiken mera sadma nahi likhna

Gawahi apnay dil se lo tumhara dil kiya kehta hai
Mujhey jhoota nahi likhna mujhey sacha nahi likhna

May uski yaad may gum hoon ke apne aap may gum hoon
Mujhey mehfil nahi likhna mujhey tanha nahi likhna

May apney lafzoon se shohrat tumhey de jaonga ik din
Mujhey mashhoor na karna mera charcha nahi likhna

Ye na ho tum kabhi us ko mitaa na chaho..na mittay
Mujhey apna samajh lena magar apna nahi likhna

Meri aankhon may baatein hay magar chehray pe gehri chup
Meri aankhein to likh dena mera chehra nahi likhna

Kahin aisa na ho meri kasak us dil main reh jaye
Mera dukh dard likh dena magar gehra nahi likhna

Jiss Jaga Teri Jafa Ki Intihaa Ho Jayegi



Jiss Jaga Teri Jafa Ki Intihaa Ho Jayegi
Sabar Ki Meray Wahaan Say Ibtidaa Ho Jayegi

Kiya Khabar Thi Zindagi Sarf-e-Duaa Ho Jayegi
Un Kay Paaney Ki Tamanna iltijaa Ho jayegi

Ham Ko Ye Ma’aloom Na Tha Qasd-e-Safar Ke Saath Hi
Tum Badal Jaogey, Dunya Bewafa Ho Jayegi

Phool Se Khushboo Uri To Uss Ko Andaza Na Tha
Woh Hawa Ke Khel Mein Khud Bhi Hawa Ho Jayegi

Faasley Barhh Jayenge Youn Ek Zara Si Baat Per
Umer Bhar Ki Dousti Youn Bey Maza Ho Jayegi

Koee To Umeed Ka Patwaar Dedo Haath Mein
Warna Naaow Zindagaani Ki Fanaa Ho Jayegi

Intezaar-e-Yaum- e-Eefaaye- e-Ehad Hota Nahee!
Aap Aajaen,Qayamat Khud Bapaa Ho Jayegi

Aa apni zindagi ki har sham teray naam kar doun



Aa apni zindagi ki har sham teray naam kar doun
teri hi ankhon ka jam teray naam kar doun

main doob jaoun teri in jheel si gehri ankhon mein
phir apni barbadi ka ilzam teray naam kar doun

mein apni Rouh ko teray Wajood mai bhar doun
phir apni zaat apna har payam teray naam kar doun

tu mujhay mohabbat ka aghaz day sanam
mein apnay pyaar ka anjam tere naam kar doun

mohabbato key qaseeday likhoun teri sana mein
hazaron pyaar kay paighaam tere naam kar doun

hou jis ka zikar mohabbat ki har kahani mein
eik aisa pyaar ka paigham tere naam kar doun

Har ek muskuraahat muskaan nahin hoti


Har ek muskuraahat muskaan nahin hoti
Nafrat ho ya mohabbat, aasaan nahin hoti
Aansoo khushi ke gham ke, hote hai ek jaise -
In aansuon ki koi pehchaan nahin hoti
Haan, har ek muskuraahat muskaan nahin hoti
Nafrat ho ya mohabbat, aasaan nahin hoti
Har baat hai vahi par matlab badal gaye hai
Dil dagmagaa gaya tha, par hum sambhal gaye hai
Aise bhi aate hai din, jeete hai log lekin -
Hota hai aur sab kuch, par jaan nahin hoti
Haan, har ek muskuraahat muskaan nahin hoti
Nafrat ho ya mohabbat, aasaan nahin hoti
Hote hai is jahan mein chehre bhi ek jaise
Ghoonghat bhi ek jaise, sehre bhi ek jaise
Sab jaanti hai nazrein, pehchaanti hai nazrein -
Apni paraayi soorat anjaan nahin hoti
Haan, har ek muskuraahat muskaan nahin hoti
Nafrat ho ya mohabbat, aasaan nahin hoti
Kya cheez hai yeh dil bhi, ho jaaye jab akela
Rehta hai saath iske yaadon ka ek mela
Duniya bhi chhoot jaaye, har aas toot jaaye -
Mehfil kabhi yeh dil ki veeran nahin hoti
Aansoo khushi ke gham ke, hote hai ek jaise -
In aansuon ki koi pehchaan nahin hoti
Haan, har ek muskuraahat muskaan nahin hoti
Nafrat ho ya mohabbat, aasaan nahin hoti

lakh dure ho magar ehad nebhatay rahna


lakh dure ho magar ehad nebhatay rahna
jub bhe baresh ho mera sog manaty rahna

tum ** ho to sr-e-sham ya adat thare
bus kinaray pay kharay hath helatay rahna

janay us dil ko ya adab khan say ay
us ke rhown main negahown ko bechatay rahna

ek mudat say memowl howa hay ab to
ap he rothna our apphe mnatay rahna

tum ko melom hay farhat ya pagal pan hay
dur jatay logown ko bulatay rahna

juda Ho Ker Hum Tum Se Roya Kerain Gey


juda Ho Ker Hum Tum Se Roya Kerain Gey,
Aaker Is Jagha Hum Kahin Khoya Kerain Gey;

Kabhi Honton Per Ho Gi Muskaan Or Kabhi,
Ankho Me Ashk Liye Kahin Hum Khoya Kerain Gey;

Dil Me Ho Gi Yaad,or Yaadon Me Tum,
Tumse Bichar Ker Hum Tanhaae Me Roya Karain Gey;

Tum Se Milna Ab Dobara Shaed Ho Ga Na Naseeb,
Khuwabon Me Milker Khush Hoya Kerain Gey;

Yaad Humari Tumhai Kabhi Na Setaaey,
Sajde Me Khuda Se Yehi Iltija Bas Kiya Kerain Gey

Jis ko dil ne apna man liya us ko dil torney ki adat thi


Jis ko dil ne apna man liya
us ko dil torney ki adat thi
humein dil jorna ata tha
us ko tanz karney ki adat thi
humein bardasht kerna ata tha
usey mazak uraney ki adat thi
humein sabar kerna ata tha
usey dosaroon ki khushiyoun ko ghum mein badalney ki adat thi

Tum chup rahe payaam-e-muhabbat yahii to hai


Tum chup rahe payaam-e-muhabbat yahii to hai
Aankhen jhukii nazar kii qayaamat yahii to hai

Mehafil me log chaunk pade mere naam par
Tum muskuraa diye merii qiimat yahii to hai

Tum puchhate ho tumane shikaayat bhii kii kabhii
Sach puuchhiye to mujahko shikaayat yahii to hai

Waade the beshumaar magar ai mizaaj-e-yaar
Ham yaad kyaa dilaayen nazaakat yahii to hai

Mere talab kii had hai na tere ataa kii had
Mujahko tere karam se nidaamat yahii to hai

usey khali hath nah lutana aey KHUDA !


usey khali hath nah lutana aey KHUDA !
jab woh mangney ki baat karey

usey meethi neend sula dena us raat,
ghamon ki bheer main jab jaagney ki baat karey

mere dil main uski talab r berha dena,
jab woh chorney ki baat karey

meri waffa pe woh karey naaz sada
jab woh bewaffa zamane ki baat karey ..

Har lamhay ko is tarhaa main taay kar jaoon gi


Har lamhay ko is tarhaa main taay kar jaoon gi
Har ik pal mai tujhay apnay qareeb laoon gi

Mehsoos bhi na ker paiy ga tu mujhay humdum
Main teri sanss mai iss tarhaa bass jaoon gi

Guzarty hovey lamhoon ko ik yaad banatay huwey
Main teray her pal ko is tarhaa mehakaoon gi

Gar bhool na chahay bhi tu mujhay aaiy humnasheen
Jatay huwey teray chehray pay apna akass chor jaoon gi

Zindagi mein aisa lamha bhi hoga socha na tha
Paa ker uss ko main haadh se hi guzar jaoon gi.

Aaj kuch Likhny ka Dil Aya Socha kia Likhoo


Aaj kuch Likhny ka Dil Aya Socha kia Likhoo

Tery Wo Batein Likhoo Ya Tery Wo yadein Likhoo

Ya To Ney Kiye Thy Jo Mujh Say Wo Wadey Likhoo

Phir Main Ney Socha Wo Batien Wo Yadien

Wo Mujh Say Tumarey Tomam Wadey Likh Raha Hoo Q?

Shaihid Tum Ney Batien Mujh Say Waqat Guzarny k liye Ki Thi

Aur Yadein Iss Liye Dii Thi K Main Tum Ko Hamesha Yad Rakhoo

Main Hi Pagal Tha Key Tery Har Wadey Par Eitbar Kiya

Halan Key Main Janta Tha

Key Mohabat Key Wadey Porey Nahi Hotey

kuch din to baso meri aankhoon main


kuch din to baso meri aankhoon main
phir Khawab agar ho jaao to kyaa

koii rang to do mere chehray ko
phir zaKhm agar mehkaao to kyaa

ik aayena tha so toot gaya
ab Khud se agar sharmaao to kyaa

main tanhaa thaa main tanhaa hoon
tum aao to kyaa na aao to kyaa

jab hum hii na mehkay phir saahib
tum baad-e-sabaa kahlaao to kyaa

jab dekhnay vaalaa koii nahii
bujh jaao to kyaa jal jaao to kyaa

yeh raaz koun jane kis ka kasoor tha


yeh raaz koun jane kis ka kasoor tha
tota woh he sahara humein jis pay gharoor tha

woh pass thay to lagtay thay begane bhi apnay
seher angezi thee ya unki kurbat ka saroor tha

dil unki rifaqat say dilshad tha bohut
un say jan bichray dil zukhmoon say choor tha

Aankhein rahi khamoosh zuban bhi chup rahi
waqat-e- judai mein dil kitna majboor tha

bicher ker hum say woh kisi gair k ho gaye
hum ab bhi hain tanha hamara kya kasoor tha

unki khushi hai k woh gair k ho gaye
hum ko hai gharoor woh kabi hamara zaroor tha.

Bethay Bethay Likh Layta Hoon Aik Kahani Kaghaz Per


Bethay Bethay Likh Layta Hoon Aik Kahani Kaghaz Per
Yaad aye Jub Bholi Bisri Baat Purani Kaghaz Per

Zikar Bhi Us Ka Karta Hoon mein geeton Aur Gazalon mein
Mil Jati Hai Lafzoon Ko Bhi Khub Rawani Kaghaz Per

Apna Tera Haal Kahoon Kuch Roon Dukhra Duniya Ka
Ud Soraat Bhi Ban Jati Hai Naye Kahani Kaghaz Per

Perhtay Perthay Khat Ko Us Nay Bhi Tha Kuch Mehsos Kia
Beh Nikla Hai Us Ki Aankhoon Se Pani Kaghaz Per

Shayad Meray Kamray Mein Wo Aya Tha Kal Mere Baad
Lout Gaya Tha Choor K Apna phool Nishani Kaghaz Per

Sirgoshi Mein Bhi Tu Kahnay Ko Kuch Baatein Hoti Hain
Kion Likho Jo ho Sakti Baat Zabani Kaghaz Per

Bikhar rahi he meri zaat,usey kehna


Bikhar rahi he meri zaat,usey kehna
Kabhi miley to ye baat usey kehna

Woh sath tha to zamana tha hamsafar mera
Magar ab koi nahi mere sath usey kehna

Usey kehna k bin us k din nahi kat'ta
Sisak sisak k kat'ti he raat usey kehna

Usey pukarun,ya khud hi pohanch jaun us k paas
Nahi rahe woh halaat usey kehna

Agar woh phir bhi na loatey,Aey meharban QASID
Hamare zeest k halaat usey kehna

Har jeet us k naam ker raha hoon main
Main manta hoon apni haar usey kehna

Meri har shairi,har nazm-o-nasar tere liye


Meri har shairi,har nazm-o-nasar tere liye...
Meri chahat,meri ulfat,mera pyar sirf tere liye......

Me tumhe chah ker bhi na pa sakunga shayad.....
Har aas,meri pyas,meri tamanna sirf tere liye....

Dill main aik hawis si uthi he mere aksar.....
Jane kab kahan se tum a jao...sirif mere liye....

Marte dam tak lab per rahegi yehi dua....
Me agar zinda rahun to sirif tere liye......

Toot jaye na bharam,hont hilaon kese


Toot jaye na bharam,hont hilaon kese....
Haal jesa bhi ho ,logon ko bataun kese....

Teri surat hi meri ankh ka sarmaya he...
Tere chehre se nazar hataun kese......

Phool hota to tere dar pe saja rehta.....
Zakham le ker teri dehleez per jaun kese....

Aina mannd pare sans lene se....
Itna nazuk ho ta'aluq to nibhaun kese....

Woh rulata he mujhe jee bhar k......
Meri ankhen hain woh,me usey rulaun kese.......

phir usii raah guzar par shaayad


phir usii raah_guzar par shaayad
ham kabhii mil sake.n magar shaayad


jaan pahachaan se kyaa hogaa
phir bhi ai dost Gaur kar shaayad


muntazir jin ke ham rahe tum ho
mil gaye aur ham_safar shaayad


jo bhii bichha.De hai.n kab mile hai.n 'Faraz'
phir bhii tuu intazaar kar shaayad

Jo khayal thay naa qayaas thay, wahee loog mujh say bichar gayae


Jo khayal thay naa qayaas thay, wahee loog mujh say bichar gayae
Jo mohabaton kee asaas thay wahee loog mujh say bichar gayae

Jinhain mantaa hee nahin yeah dil, wahee loog mairay hain ham safar
Mujhay har tarah say joo raas thay, wahee loog mujh say bichar gayae

Mujhay lamhay bhar kee rafaqaton kay saraab aur sataeengay
Mairee umar bhar kee joo pyas thay wahee loog mujh say bichar gayae

Yeah khayal saray hain aaarzeee, yeah gulaab saaray hain kaghzi
Gul aarzu kee joo ba-as thay, wahee loog mujh say bichar gayae

Jinhain kar sakaa naa qubool main, woh shareek raah-e-esafar huyae
Jo mairee talab, mairee aas thay, wahee loog mujh say bichar gayae

Mairee dharkanon kay qareeb thay, mairee chah thay, mairaa khuwaab thay
Woh joo roz-o-shab mairay paas thay, wahee loog mujh say bichar gayae

Raat Kay Sanaatey Mein Hum Ney Kya Kya Dhokhey Khaye Hain


Raat Kay Sanaatey Mein Hum Ney Kya Kya Dhokhey Khaye Hain!
Apna Hi Jab Dil Dhardhka, To Hum Samjhe Woh Aaye Hain!

Band Jharokhey, Sooni Galiyaan, Ya Phir Gham Kay Saaye Hain,
Chaand Sitarey Nikley, Lakin Mere Liye Kya Laaye Hain!

Jis Dinn Se Tum Bicharh Gaye Yeh Haal Hai Apni Aankhon Ka,
Jaise Do Baadal Saawan Kay Aapas Mein Takraye Hain!

Ab To Raah Na Bhoolo Gey Tum, Ab To Hum Se Aan Milo,
Dekho, Hum Ney Palak Palak Par Sou Sou Deep Jalaye Hain!

Haye Qateel, Is Tanhaai Mein Kya Soojhee Hai Mausam Ko,
Jis Din Woh Paas Nahien, Us Din Se Baadal Chhaaye Hain!

Ankhon ko intizar ka de ker hunar chala gaya


Ankhon ko intizar ka de ker hunar chala gaya
chaha tha aik shaks ko jane kidher chala gaya

din ki wo Mehflain gaye raaton ke rut-jage gaye
koi samait kar mere shaam-o-sahar chala gaya

jhonka hai aik bahar ka rung-e-khayal yaar bhi
her-soo bikher bikher gaye khushbo jidher chala gaya

is ke he dum se dil main aaj dhoop bhi chandni bhi hia
de ke wo apni yaad ke shams-o-qamar chala gaya

kocha ba kocha dar-badar kab se bhatuk raha hai dil
hum ko bhula ke rah wo apni dagar chala gaya

Ek yaad ka soraj hai k dhalta he nahi hai


Ek yaad ka soraj hai k dhalta he nahi hai
ek dukh ka nasha hai k utarta he nahi hai

Shayad wo meri baat nahi chahta samjhay
ya phir, wo meri baat samjhta he nahi hai

mein kis ke liye zinda rahoon to he bata de
jab mere liye koi sanwarta he nahi hai

ab roz-e-qiyamat ussay samjhaye khuda he
jo dil teri chahat se mukarta he nahi hai

Aasaib ke manindh meri zaat mein
baitha hai koi chup ke nikalta he nahi hai

Aksar aisa hota hai sawan ke barha ratoon mein


Aksar aisa hota hai sawan ke barha ratoon mein
chupke chupke ro leta hai, koi tanha ratoon mein

aaj hawa ka anchal kaise itna bheega bheega hai
shayad roya ho ga koi, darya jitna ratoon mein

jis ko meri nazrain dhondhain door talak verano mein
usko kya maloon k mein hoon, jalta sehra raaton mein

us ka mera gham yaksaan tha, meri halat wo janay
mujh se bichar kar rota rehta wo dewana raaton mein

Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chalay jana


Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chalay jana
Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chalay jana

Jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay may
Usay puri tarha se tum bhulado phir chalay jana

Ye saray pair poday tum bin kai raat jagay hai
Tum aakay ek baar inko sulado phir chalay jana

Kisi ko chahne ka aur kisi se chahay janay ka
Jo hai ahsaas tum usko bhulado phir chalay jana

Bus ik murda hansi se apnay ashko ko chupanay ka
Jo fun aata hai tum ko, wo sikhado phir chalay jana

Wo jo ik lafz-e-ulfat hai, juda hai apnay maani se
Bus in alfaz-o-mani ko milado phir chalay jana

Jo kehte kahte ruk gaye, un sari bato ki
Sama'at ko talab hai wo suna do phir chalay jana

Na janay q hai lakin dekhne ki tum ko aadat hai
Meri ye be-waja aadat chura do phir chalay jana

Merey in roz-o-shab ka ek fakat unwan bus tum ho
Mujhe tum doosra unwan lado phir chalay jana

Pyar ki koshish, ay Khuda, na jaye raigan
Mujhe is sabr ka kuch phal dila do phir chalay jana..

Nazar tumhaari Utre hai dil mein seedhi tirchi nazar tumhaari


Nazar tumhaari Utre hai dil mein seedhi tirchi nazar tumhaari
Dil aarzoo karega ab umer-bhar tumhari

Kahte hai pyaar kisko? hum kya kahenge isko?
Tumko pata hai mera ,Mujhko khabar tumhari

Dil ke hazaar tukre kar ke bichaunga mein
Yun bhi sajaunga me ab rahguzar tumhari,

Is baat pe kyo aamin afsos kar rahe ho
Duniya me ho rahi hai baatein agar tumhari

Yaadoon se rishta kal bhi thaa yaadoon se rishta aaj bhi hai


Yaadoon se rishta kal bhi thaa yaadoon se rishta aaj bhi hai
Dil kal bhi apna dukhta thaa aur afsurdaa sa aaj bhi hai

Woh ishq jo hum tum karte thay woh ishq tu zinda ab bhi hai
Kal tak jo hijar sataata thaa us hijar ka pehra aaj bhi hai

Tum door huye majboori mein hum toot gaye is doori mein
Kabhi waqt mile tu aa jaana dil ka darwaaza khula aaj bhi hai

Woh saahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde saahil per
Woh naam darakhtoon per likhna woh khwaab suhaana aaj bhi hai

Tum khush rehna dil ki duniya apni tu chalo barbaad hoi
Dil gham ka maara kal bhi thaa aur gham ka maara aaj bhi hai

Yeh ashk nahin hain aankhoon mein yeh taaray jhilmil karte hain
In aankhoon mein jo kal tak thaa woh chaand sa chehra aaj bhi hai

Ab shikwa kisi se kya karna taqdeer mein jo likha thaa mila
Gham kal bhi mera sarmaaya thaa gham mera warsa aaj bhi hai

umhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai


Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai
tamaam umr yehi aasra hi kaafi hai ...

Jahan kahin bhi milo, mil ke muskura dena
khushi ke wastey yeh silsila hi kafi hai ..

Mujhe bahaar ke mausam se nahi kuch lena
tumhare pyar ki rangeen fiza hi kaafi hai ..

yeh log kaun si manzil ki baat karte hain?
musaafiron ke liye tu raasta hi kaafi hai

Tasveer Teri Dil Mera Behla Na Sake gi


Tasveer Teri Dil Mera Behla Na Sakay Gi
Yeh Teri Tara Mujh Se To Sharma Na Sakay Gi

Main Baat Karoon Ga To Yeh Khamosh Rahay Gi
Seenay Se Laga Loon Ga To Yeh Kuch Na Karay Gi

Araam Woh Kya Day Gi Jo Tarpa Na Sakay Gi
Yeh Aankhain Hain Thehri Hui Chanchal Woh Nigahain Yeh

Haath Hain Sehmay Hovay Or Mast Woh Nigahain
Parchayi To Insaan K Kaam Na Aa Sakay Gi

In Honton Ko !!!Main Kuch Na De Sakoon Ga
Is Zulf Ko Haath Mein Bhi Na Le Sakoon Ga

Uljhi Hui Raaton Ko Yeh Suljha Na Sakay Gi
Tasveer Teri Dil Mera Behla Na Sakay Gi.

Main apne daman mae chupa loun tum ko


Main apne daman mae chupa loun tum ko

Dil karta hai k apna bana loun tum ko

Mar ker bhi na tootey yeh rishta humara

Ais taran sey apni Rooh mae basaa loun tum ko

Tumahrey pyar ne her chiez sey gafal ker diya hai

Ab dil karta hai k tumhii sey cuhra loun tum ko

Tumahre begair main jee nahi sakti !!

Kuch deir k leye mere pass baethoo yeh samja loun tum ko.........

Main kyun na apni mohabbat pe naz karoun

Gair ho k jo mere ban gay ho apne tum

Main na mil sakoon jo tum say, mairi justujoo na karna


Main na mil sakoon jo tum say, mairi justujoo na karna
Tumhain mairi hi qasam hai, mairi aarzoo na karna

Mujhay jis say hai muhab’bat usay hai ajab yeh adat
Kabhi munh ko phair laina, kabhi guftagoo na karna

Main nay chaha tha kisi ko, maira haal kia hai daikho
Jo kiya qusoor mainay wohi tum kabho na karna

Mairi ho agar burai to na daina tum safai
Mairay saath khud ko ruswa kabhi ku-ba-ku na karna

Koi poochay badnaseebi ki hai inteha bhi koi?
To mairi misaal daina tum mujhay namoo na karna

Main na mil sakoon jo tum say mairi justujoo na karna
Tumhain mairi hi qasam hai, mairi aarzoo na karna

Meri teri nigah mein jo laakh intezaar hein


Meri teri nigah mein
jo laakh intezaar hein
Jo meray teray tan-badan mein
laakh dil figaar hein
Jo meri teri ungliyon ki bey-hasi say
sab qalam nazaar hein
Jo meray teray shehr ki
har ik gali mein
meray teray naqsh-e-paa kay bey-nishaan mazar hein
Jo meri teri raat kay
sitaaray zakhm zakhm hein
Jo meri teri subha kay
Gulaab chaak chaak hein
Yey zakhm saaray bey-dawa
Yey chaak saaray bey-rafu
Kisi pay raakh chaand ki
Kisi pay auws kaa lahoo
Yey hai bhi yaa nahi, bata
Yey hai kay mehez jaal hai
Meray tumharay ankaboot-e-wehm kaa buna hua
Jo hai to iss kaa kya karein
Nahi hai to bhi kya karein
bata, bata,
bata, bata.

Jo thumay tu pal bhar ko kaheen tou main yeh janoon


Jo thumay tu pal bhar ko kaheen
tou main yeh janoon
kay safar shuru huwa kahan say
rukay kahan pay qadam hamaray
kahan pay they yeh dagmagaye
jo raah mein kahin khudi ko
hum bey-khudi mein they chor ayey
jo his'sa mairay wujood ka tha
jo qis'sa chund hudood ka tha
they paar jin ko hum ker baithey
dil ko zara bhi na roak paye
rukay ager tu aey mauj-e-rafta
thumay jo pal ko junoon taira
tou jaan lein hum kay they mukam'mal
wajud-e-farda key goshwaray
jo kuch tumharay aur kuch hamaray
khwaboon ka muskun banay rahay thay
magar adhori zaat walay
hazar khanoon batay rahay thay
rukay ager tu tou jaan lain hum
kay woh muskun, woh khwab saray
(jo kuch tumharay aur kuch hamaray)
manind-e-armaan bujh gaye hain
tumharay mairay woh ghum key saathi
firaq lamhay, wasaal kay saath
apni hi agg mein jal gaye hain!

Main khud say apni wafa ka qaidee Ana parastee k mousamoo'n main


Main khud say apni wafa ka qaidee
Ana parastee k mousamoo'n main
Samoondaroo'n ki hawa ka qaidee
kisay bataoo'n k kitni zahreeli maree tanhahi
Kon janay
Na koi deewar hai
Jo maray sawal sun kerJawab uglay
Na koi dar hai
K jo kisi shab
Kisee k aanay ka adh adhoora guman bhakhshay
Kisay bataoo'n k apni tareek ghateei'n main bhatak giya hoon
Kisay bataoo'n k thak giya hoon
Main thak giya hoon to sochta hoon
Koi to mujh ko sitara ban k nishan-e-manzil ki roshnee day
Koi to mari bhi aarzoo'n ka chaand thahray
Main jis k hontoo'n ko gungunaoo'n
Main jis k hathoo'n ko choom ker
Apni band aankhoo'n say dair tak yoon lagaey rakhoo'n
K jaisay bainaee mil rahi ho
Magar main dast-e-dua ka qaidee
Main lafz lakin sada ka qaidee
Ana parastee k mousamoo'n main
Samoondaroo'n ki hawa ka qaidee

abi kuch pal hamary haath main hain kon jany


abi kuch pal hamary haath main hain
kon jany
konsa lamha hamary haath sy phisly, giry
r paaon ki zangeer ho jaaye
abi ye din jo lagta hai k hum aik doosry k saath
reh sakty hain pal do pal
na-jany kab kahan dewaar ban jaain
abi do-chaar sansain bach rahi hain
ye to jhonka hain
kisy maa'loom kis aahistgi sy yoon guzer jaaye
k hum deryaaon k do mukhtalif na-ashna ghongy kinaroon per
kharey
aik doosry ki shakal takny ko taras jaain
meri awaaz teri yaad main zinda ho bus
r main teri tasveer ankhoon main liye, rona chupaaon
shehr waloon sy
abi kuch pal hamary haath main hain
hum jo chahaain gy to kuch kam kam b mil lain gy
mager jany kahan?
kab?
konsa lamha ?

Hazaron Khawab Koi ik Aadh Sapna Ho Tu Phir Acha Bhi Lagta hai


Hazaron Khawab Koi ik Aadh Sapna Ho Tu Phir Acha Bhi Lagta hai
Hazaron Khawab Ankhon Mein Saja Kar Kuch Nahi Milta

Usey Kehna Ke Palkon Per Na Tanky Khawab Ke Jahlar
Samandar Ki Kinary Ghar Bana Kar Kuch Nahi Milta

Ye Acha Hai ke Aapis Ke Bharam Na Totney Payeen
Kabhi Bhi Doston Ko Aazma Kar Kuch Nahi Milta

Faqat Tum Sey Hi Karta Hoon Men Sary Raz Ke Baten
Har Ik Ko Dastan-E-Dil Suna Kar Kuch Nahi Milta

Amal Ki Sokhty Rag Men Zara Sa Khon Shamil Kar
Mery Ham Dam Faqat Bateen Bana Kar Kuch Nahi Milta

Tum laut aana Meri barbadi ki daastan sunane se pehle


Tum laut aana Meri barbadi ki daastan sunane se pehle
mujhe itna bata jaate chor jaane se pehle

agar koi shikwa tumne mujh se kiya hota
main tum ko mana leti rooth jaane se pehle

tum khush naseeb ho humne chaha hai tumhain
warna bohat the hum ko chahne wale tum se pehle

kya maloom tha itna tarpaye gi judaayi teri
dekho tum laut aana yeh jaan jaane se pehle

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya


Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya

kuch din to mera aks raha ayeena naqsh
phir yoon huwa k khud mera chehra badal gaya

jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay
to kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya

kadmon talay jo ret bichi thi woh chal pari
us nay churaaya haath to sehra badal gaya

koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi
jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya

ik sarkhoshi ki moj nay kaisay kiya kamal
wo be niaaz saara ka saara badal gaya

uth kar chala gaya koi wakfay kay darmiaan
parda utha to saara tamaasha badal gaya

hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
baaton main apni baat ko kaisay badal gaya

kehnay ko ik sehan main deewar hi bani
ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya

shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh
manzil kay paas aakay jo rasta hi badal gaya

qayem kisi bhi haal pay dunyaa nahin rahi
tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya

manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya

andar kay mosaamon ki khabar us ko ho gayee
us no bahaar naaz ka chehra badal gaya

aankhon main jitnay ashaq thay jugnoo say ban gaye
woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gayee

apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log
hanzala yeh kon shehar ka naqsha badal gaya

Udasyi kay chehray perha mat keroo


Udasyi kay chehray perha mat keroo
ghazal ansoon say likha mat keroo

behar haal yeh aag he aag hay
chiraghoon ko aisay chuwa mat kero

dua ansoon main khila phool hay
kisy kay liye bad dua mat keroo

tumhain loog kehnay lagain bewafa
zamanay se itny wafa mat keroo

ager waqai tum pareshaan ho
kisi or say tazkira mat keroo

Khuda k liye chandni raat main
akelay akelay phira mat keroo

Dil mein jo baat hai , woh baat kahogi kab tak


Dil mein jo baat hai , woh baat kahogi kab tak....
Dekhna yeh hai kai, khaamosh rahogi kab tak

kab tak is baat ko honton pay na laaoigi tum
kab tak is jazba-e-ulfat ko chupaaoigi tum

kab tak is raah say katra kay chalogi tanhaa
kab tak is aag mein chup chaap jalogi tanha

Dard furqat ka meri jaan sahogi kab tak.......
dil ki woh baat jo honton pay thehar jaati hai

jii jalaati hai tumhara, tumhein tarpaati hai
lab pay laatey hua bhi jis ko hijaab aata hai

bin kahe bhi jisay dil chain nahin paata hai
chup kay darya mein khamoshi say bahoogi kab tak......
Dekhna yeh hai kai, khaamosh rahogi kab tak

zindagi ke kisi mor per jab kabhi tanha hona


zindagi ke kisi mor per jab kabhi tanha hona
dil se pukar lena or hamein sath pana

kabhi bojhal kadmon se meri dehliz pe ana
nazrein utha lena or hamein sath pana

sach kehte the log koi rehta nahi sath ta umar magar
jab bhi ankhein band kerna hamein sath pana

hum tumhare muntazir rahein ge umar bhar
ana hamare sheher mein to hamein sath pana

hum tumhare the tumhare hein tumhare rahein ge
bus eik sada dena or humein sath pana

tumhari her khushi mein meri khushi hai pinhan
jab bhi muskurana hamein sath pana

zindagi ek khuwab hai jiski koi tabeer nahi


bazahir kitna aasan hai
kisi say baat kar laina
kisi ki baat sun laina
inhi batoon k dhagoon say
rida-y- khawab bun laina
mugar tujh ko khabar kia hai
is kaar -e- kharabi main
muhabbat ka asur kia hai
buhat si qeemty cheezain
yahan par toot jaty hain
humary khwahishain hum par
pas-e-lub muskuraty hain
humara khoon julta hai
humara dum nikulta hai
humara dil machulta hai
hur ik shay k hotay bhi
hur ik munzar badulta hai
kisi say baat mut karna
kisi ki baat mut sunna
kisi ki baat mut sunna

Mujhay Apnay Zabt Pay Naaz Thaa


Mujhay Apnay Zabt Pay Naaz Thaa
Sir-E-Bazm Raat Yeh Keya Hoaa
Mayri Ankh Kaysay Jhalk Parhi
Mujhay Ranj Hay Bora Hoaa
Mujhay Aik Gali May Para Hoaa
Kisii Badnaseeb Kaa Khat Milaa
Kahii Khon-E-Dil Say Lekhaa Hoaa
Kahii Ansown Say Metaa Hoaa
Mujhay Humsafar Bhe Milaa Koee
Tuu Sitam Zareef Mayri Trhaa
Kaee Manziloo Ka Thakaa Hoaa
Kaee Rastoo Ka Lutaa Hoaa
Mayri Zindagi Kay Charaag Kaa
Yeh Mezaaj Kuch Neyaa Nahi
Kabhe Tayrge Kabhe Roshni
Naa Jalaa Hoaa Naa Bojhaa Hoaa
Mujhay Aap Keyon Naa Samjh Sakay
Khood Apnay He Dil Say Pocheayh
Mayri Dastan-E-Hayaat Kaa
Tu Wark Wark Hay Khola Hoaa.

akayla daikh ker tum ko hamain ehsas hota hai


akayla daikh ker tum ko
hamain ehsas hota hai
kabhi hum bhi akaylay thay
ager cha shehar main dil k liaye
lakhoon jhamelay thay
hazaroon rang mailay thay
mager itni buhat si raunaqoon main
hum akaylay thay
akayla daikh ker tum ko
hamain ehsas hota hai
kabhi hum bhi akaylay thay
phir aik din hum nay in tanhayoon say doosti ker li
akaylay reh k jeenay ka qareena aa gaya hum ko
koi bhi rut ho
apni aankh her giz num nahin rakhtay
ya aalam hai k ab
tanhayoon ka gham nahin rakhtay
magar phir bhi nazar aata hai koi
to phir ehsaas hota hai
kabhi hum bhi akaylay thay

Kaskool jesay Hathon main

Kaskool jesay Hathon main
teray Pyar ke bheak chahta hoon

teray Husn ki Pooja karna
tujhay apna Khuda manta hoon

tu Chand nahie na hay koye Phol
tujhay in jesa main chahata hoon

meri Garibi na dekh.. dekh mera pyar
tujhay sab say ziyada chahata hoon

tum ko mil jayega hum say achha
teray jesa bus eik Sanam chahta hoon

jo mil jaye saray rah mujhay tu
tujh ko Eik Pal Dekhna chahta hoon

Mar gaya to kya huwa
Apni Kabr teray Baraber chahta hoon
 

dil ka kya hai wo to chahega musalsal milana


dil ka kya hai wo to chahega musalsal milana
wo sitamgar bhi magar soche kisi pal milna

wan nahin waqt to ham bhi hain adim-ul-fursat
us se kya kahiye jo har roz kahe kal milna

ishq ki rah k musafir ka muqaddar malum
dasht-e-ummid main andeshe ka badal milna

daman-e-shab ko agar chak bhi kar len to kahan
nur main duba hua subah ka anchal milna

Socha nahin achha bura, dekha suna kuch bhi nahin


Socha nahin achha bura, dekha suna kuch bhi nahin,
Maanga khuda say raat din, teray siva kuch bhi nahin !

Dekha tujhay, socha tujhay, chaha tujhay, pooja tujhay,
Meri khata meri wafa, teri khata kuch bhi nahin !

Jis par hamari aankh nay moti bichayey raat bhar,
Bheja wahi kagaz usay, hamnay likha kuch bhi nahin !

Ik shaam ki dahleez par, baithay rahey woh dher tak,
Aankhon say kee batain bahut, munh say kaha kuch bhi nahin !

Socha nahin achha bura, dekha suna kuch bhi nahin,
Maanga khuda say raat din, teray siva kuch bhi nahin !

Mayoos mat hona yeh aik gunnah hota hai


Mayoos mat hona yeh aik gunnah hota hai
Milta wahi hai jo qismat main likha hota hai

Har cheez miley humain yeh zaroori tou nahi
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai

Jo khud ko kostey hain woh shayed bekhabar hain
Kuch paalene ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai

Har aik ko barsar-e-ilzam kiun thehrayein hum
Apne samne bhi tou aik ayeena hota hai

Hum apni zindagi se kiun haar jayein
Gar doobta hai sooraj tou kal ujala bhi hota hai

Hum Pe Ilzam Aaya Tu Sahi


Hum Pe Ilzam Aaya Tu Sahi ……………
Mohabbat Mai Naam Aaya Tu Sahi.

Zindagi Apni Rayegaan Nahi Guzri…………………
Kamyabi Ka Maqam Aaya Tu Sahi.

Bhari Mehfil Mai Rusva Ker Chhora………..
Perwana Shama K Kaam Aaya Tu Sahi.

Uflasi Mai Talb-e-yaar Hai Usey….
Mohabbat Ka Peghaam Aaya Tu Sahi.

Muddat Baad Hua Dedar-e-yaar Humey………
Sham-e-hijr Ka Anjaam Aaya Tu Sahi.

Us Ka Milna Mojza Hai Shyd……….
Kismat Mai Mohabbat,inaam Aaya Tu Sahi.

Na Tujhay Choor Sakte Hain,Tere Ho Bhi Nahi Sakte


Na Tujhay Choor Sakte Hain,Tere Ho Bhi Nahi Sakte
Yeh kaisi Be-Basii Hai Aaj Hum Roo Bhi Nahi Sakte

Yeh Kaisa Dard Hai Pal Pal Humay Tarpayee Rakhta Hai
Tumhari Yaad Aati Hai To Phir Soo Bhi Nahi Sakte

Chupa Sakte Hain Aur Naa Hum Dekha Sakte Hain Logo Ko
Kuch Aisay Daagh Hain Dil Per Jo Hum Dhoo Bhi Nahi Sakte

Kaha Tha Choor Dein gay Yeh Nagar Phir Ruk Gaye Lekin
Tumhe Paa To Nahi Sakte Magar Khoo Bhi Nahi Sakte

Humara Aik Hona Bhi Mumkin Nahi Raha Aab To
Jiyeen Kaise Ke Tum Se Door Aab Ho Bhi Nahi Sakte

Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata


Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata,
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata,

Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rahti Hai Nigahe,
Kya Baat Hai Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata,

Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein,
Jo Dur Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata,

Main Apni Hi Uljhi Hui Raho Ka Tamasha,
Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata,

Woh Naam Jo Barso Se, Na Chehra Na Badan Hai,
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata

Apni tanhai mere naam pe abaad kare


Apni tanhai mere naam pe abaad kare
kaun hoga jo mujhe usski tarah yaad kare

dil ajab shehr ke jiss per bhi khula dar iss ka
woh musafir issay her simt se barbad kare

apne qatil ki zehanat se pareshan hon mein
roz eik maut naye tarz se ejaad kare

salb-e-benaai ke ehkaam mile hein jo kabhi
roshni choone ki khwahish koi shab-zaad kare

soch rakhna bhi jaraaim mein hai shamil abb tou
wahi ma’soom hai her baat pe jo saad kare

jub lahoo bol pare iss ke gawahoN ke khilaaf
kaazi-e-shehr kuch iss baab mein irshaad kare

uss ki muthi mein bohot roz raha mera wajood
mere saahir se kaho abb mujhe azaad kare

Tumhain zid hai ke main keh doo Mujhay zid hai ke tum keh do


Tumhain zid hai ke main keh doo
Mujhay zid hai ke tum keh do
Mujhay tum se mohabbat hai
Kaho mujh se mohabbat hai

Nahi yeh jantay dono
Mohabbat kab bhala muhtaaj hai lafzon ki baton ki
Mohabbat to hamaree dharrkano ke saaz main shamil
Sureelay geet ki maanind
Mohabbat yaad ki devi
Jo tanha raat ko aksar utter aatee hai aankhon main

Mohabbat muskurahat hai haseen nazuk se hoton ki
Mohabbat sandli hathon ki nazuk larzishon main shamil
Mohabbat soch ki gehraion se phoottee khushboo
Jo pall pall sath rehtee hai
Mohabbat aankh main palta woh pur asrar jazba hai
Jissay ab tak samajh koi nahi paya

Na isski koi soorat hai
Na isska koi paimana
Dhakkay ilfaaz main isska bahut izhaar hota hai
Kuch aisay hee ke jaisay ab
Tah_e_dil se to hum dono bahut iqraar kertay hain

Magar phir bhee na janay kion
Tumhain zid hai ke main keh doo
Mujhay zid hai ke tum keh do
Mujhay tum se mohabbat hai
Kaho mujh se mohabbat hai!

samandaron k udhar se koi sada aai


samandaron k udhar se koi sada aai!
dilon k band darechay khulay houy howa aai!

saruk guye thay jo anchal woh phir sanwaray guy
khulay houye tahy jo ser Un per Rida aai!

Uter raheen hain ajaab khushboen rug o pay main
yeh kis ko Cho ker mere shehar main Saba aai?

ossay pukara to honto pe koi naam na tha
Mohabbaton k safar main ajaab Fiza aai

kahin rahen Woh,mager kheriat k sath rahen
uthaye hath to YAAD ek he duwa aai!

Popular Posts