Har ek muskuraahat muskaan nahin hoti
Nafrat ho ya mohabbat, aasaan nahin hoti
Aansoo khushi ke gham ke, hote hai ek jaise -
In aansuon ki koi pehchaan nahin hoti
Haan, har ek muskuraahat muskaan nahin hoti
Nafrat ho ya mohabbat, aasaan nahin hoti
Har baat hai vahi par matlab badal gaye hai
Dil dagmagaa gaya tha, par hum sambhal gaye hai
Aise bhi aate hai din, jeete hai log lekin -
Hota hai aur sab kuch, par jaan nahin hoti
Haan, har ek muskuraahat muskaan nahin hoti
Nafrat ho ya mohabbat, aasaan nahin hoti
Hote hai is jahan mein chehre bhi ek jaise
Ghoonghat bhi ek jaise, sehre bhi ek jaise
Sab jaanti hai nazrein, pehchaanti hai nazrein -
Apni paraayi soorat anjaan nahin hoti
Haan, har ek muskuraahat muskaan nahin hoti
Nafrat ho ya mohabbat, aasaan nahin hoti
Kya cheez hai yeh dil bhi, ho jaaye jab akela
Rehta hai saath iske yaadon ka ek mela
Duniya bhi chhoot jaaye, har aas toot jaaye -
Mehfil kabhi yeh dil ki veeran nahin hoti
Aansoo khushi ke gham ke, hote hai ek jaise -
In aansuon ki koi pehchaan nahin hoti
Haan, har ek muskuraahat muskaan nahin hoti
Nafrat ho ya mohabbat, aasaan nahin hoti
No comments:
Post a Comment