Jo thumay tu pal bhar ko kaheen
tou main yeh janoon
kay safar shuru huwa kahan say
rukay kahan pay qadam hamaray
kahan pay they yeh dagmagaye
jo raah mein kahin khudi ko
hum bey-khudi mein they chor ayey
jo his'sa mairay wujood ka tha
jo qis'sa chund hudood ka tha
they paar jin ko hum ker baithey
dil ko zara bhi na roak paye
rukay ager tu aey mauj-e-rafta
thumay jo pal ko junoon taira
tou jaan lein hum kay they mukam'mal
wajud-e-farda key goshwaray
jo kuch tumharay aur kuch hamaray
khwaboon ka muskun banay rahay thay
magar adhori zaat walay
hazar khanoon batay rahay thay
rukay ager tu tou jaan lain hum
kay woh muskun, woh khwab saray
(jo kuch tumharay aur kuch hamaray)
manind-e-armaan bujh gaye hain
tumharay mairay woh ghum key saathi
firaq lamhay, wasaal kay saath
apni hi agg mein jal gaye hain!
No comments:
Post a Comment