Jiss Jaga Teri Jafa Ki Intihaa Ho Jayegi
Sabar Ki Meray Wahaan Say Ibtidaa Ho Jayegi
Kiya Khabar Thi Zindagi Sarf-e-Duaa Ho Jayegi
Un Kay Paaney Ki Tamanna iltijaa Ho jayegi
Ham Ko Ye Ma’aloom Na Tha Qasd-e-Safar Ke Saath Hi
Tum Badal Jaogey, Dunya Bewafa Ho Jayegi
Phool Se Khushboo Uri To Uss Ko Andaza Na Tha
Woh Hawa Ke Khel Mein Khud Bhi Hawa Ho Jayegi
Faasley Barhh Jayenge Youn Ek Zara Si Baat Per
Umer Bhar Ki Dousti Youn Bey Maza Ho Jayegi
Koee To Umeed Ka Patwaar Dedo Haath Mein
Warna Naaow Zindagaani Ki Fanaa Ho Jayegi
Intezaar-e-Yaum- e-Eefaaye- e-Ehad Hota Nahee!
Aap Aajaen,Qayamat Khud Bapaa Ho Jayegi
No comments:
Post a Comment