Tuesday, December 28, 2010

Sunsaan rahon par chaltey Dil sawaal kartaa hay


Sunsaan rahon par chaltey
Dil sawaal kartaa hay
Aaj kyun akailaa hoon ?
Dil ko ab kiaa batlaain
Khail yeh muqadar kay
Kuch ajeeb hotey hain !
Dil main basney walon kay kab
Sathnaseeb hotey hain !

Khail hum ek khailey they
Khail hum woh harey hain
FAISAL us kee chahat main
Jaan o dil bhee warey hain
Phir nahee milaa woh jab
Tab khayal aayaa kay
Main bhee kitnaa tanhaa hoon

Mairee es tanhaee main
Koi humsafar hotaa
Main bhee ghar ko jaataa gar
Mairaa bhee koi ghar hotaa
Aisaa to par kuch bhee nahee
Main hoon tanhaa rahain hain
Jin par jab bhee chaltaa hoon
Dil sawaal kartaa hay !!!

Hum kabhi na kabhi mar jaain gay


Hum kabhi na kabhi mar jaain gay
Jab tum mur kar dekho gay
Tab hum nazar nahee aa'ain gay
Khushiaan dhoondhatey dhoondhatey
Dukh kitney uthaain gay
Raah main aaney walee sab
Mushkilon say takraain gay
Phir bhee hum ko nahee yaqeen
Tujh ko bhool jaain gay
FAISAL es qisay ko hum
Kab tilak dohraain gay
Tu nay hum ko jaanaa nahee
Piyaar humaaraa maanaa nahee
Shayed tu hum ko samajh sakey
Dil ko yeh samjhaain gay
Hum kabhi naa kabhi mar jaain gay

Jab shaam kay bheegay saye hon


Jab shaam kay bheegay saye hon
Koi ghar janey kee bat karey
Hum ko kyun aisaa lagtaa hay
Kaash apnaa bhee ek ghar hotaa

Us apnay ghar kay aangan main
Kayee piyaar kay deep jalatey hum
Yaa phir ban kar, jaisey shabnam
Ek piyaar kaa pair ugatey hum
Yaa us kee chat ko jaan gagan
Chandaa taron say sajatey hum
Phir lait kar apney bister main
Aur khol kar apnee aankhon ko
Kitney hee khawaab Dikhatey hum

Par aisaa to ab kuch bhee nahee
Naa tum ho naa woh aangan hay
Sarey mausam ab phagan hain
Hain sard hawaain zard shajar
Naa chaand hay naa tarey hain
Har soo chaya andhiaaraa magar
Tairee yaad kaa sooraj niklaa hay !!!

Woh sooraj, dhaltee shaam aur main
Yun sar ko jhukaayee baithey hain
Tairee yadain, batain, piyaar, woh sab
Seenay say lagae baithey hain

FAISAL tum hee ab batlaao
Jab tanhaa katna ho yeh safar
Koi jaye phir kyun apney ghar
Jahan apnaa koi naa rahtaa ho

Sunahree shaam ka manzar, bhala sa aik chahraa thaa


Sunahree shaam ka manzar, bhala sa aik chahraa thaa
Dil e tanhaa kee dharkan par, teree yadon ka pahraa thaa

Humarey dil kay ghao, bhar hee jatey, gar na hotey tum
kay tum ghafil maseeha they, yahan par zakhm gahraa tha

Woh jis nay aa kay mairee zindagee rangeen kar dalee
Usee kay sar mairee itnee zaboon haalee kaa sahraa thaa

Jo bah jataa to kar daytaa tah o bala woh dunya ko
Woh ek aansoo, terey janey pay, jo, palkon pay thahraa thaa

Sabhee ahbaab waqif they, humary ishq say FAISAL
Magar jo thaa makeen e dil, wohee, es say be bahraa thaa

Aaj sarmaa kee pahlee barish hay


Aaj sarmaa kee pahlee barish hay
Har soo andhera chaya hay
Mairee amawas zindgee kee tarah
Rastey sunsaan aur soonay hain
Mairey khalee ghar kee tarah
Badil bhee khul kay barsaa hay
Mairee bheegee aankhon kee tarah
Hawaa kitnee yakh basta hay
Honton pay aaney walee
Sard aahon kee tarah
Dil main rah janey walee
Kuch duaaon kee tarah
Es ajeeb mosam main
Ajab hay dil kaa haal mairey
Yaad tumharee aatee hay
Jaisey sarmaa kee pahlee barish
Saath main sardee laatee hay
Kuch waisey hee tere yaad kay juloo main
Ek gahraa sanataa aayaa hay
Ab dil kay barf zaron main
Har aahat, madoom howee hay
Har umeed, mohoom howee hay
Ab tairee yaad kee shidat main
Ab tairey hijar kee hidat main
Hum chup chaap phighaltey hain !!!

Zindage ko suljhaney main ulajhtee hay zindagee


Zindage ko suljhaney main ulajhtee hay zindagee
Piyar kay deep jalaney main sulagtee hay zindagee

Hum nay kaha yeh kab kay wafaa tum naa karo gay
Haan kuch waday nibhaney main lagtee hay zindagee

Chahat main, mohabbat main giraftaar howey ho
Ab khud hee jaan jao gay, bilaktee hay zindagee

Mohabaton kay rahee aa jatey hain nigah main
Kay un kee nigahon say chalaktee hay zindagee

FAISAL ! diyaar e ghair ho yaa madaree watan
Achaa wohee hay dais jahan miltee hay zinagee

Hum ko tere dukhon nay dard say choor kia hay


Hum ko tere dukhon nay dard say choor kia hay
Veeraanaa e dil main jazbaat ko maqboor kia hay

Kayee baar ruk sakey naa mairee aankh say aansoo
Zabt - e - Mohaal ! tu nay bhee sath chor diaa hay ?

Hum sazishon kay jungle main gaye raah say bhatak
Meer e kaarwaan nay bhee rukh more liaa hay

Jeetay gee hum jo bikhrey hain, hairaan tum ho kyun
Yeh us hee dil kay tukrey hain jo tore diaa hay

Hum ko khayaal main anjuman aaraaiaan thee pasand
Tabeer milee to sapney dekhana chore diaa hay

Zar o jah main muqay'ed hain, jazbaat main nahee
Woh dil jinhain halaat nay majboor kiaa hay

FAISAL humarey ishq kee thee intihaa koi?
Phir us nay kyun ghairon say naataa jore liaa hay?

Kitnee ajeeb baat hay


Kitnee ajeeb baat hay
Kay ab woh mairey saath hay
Kitnee ajeeb baat thee
Woh tab bhee mairey sath thee
Par tab, dooriaan bhee thee
Chahat ko aik honay main
Bohat see majbooriaan bhee thee
Hum tab bhee baat kartey they
Hum ab bhee baat karety hain
Tab cards khatam ho jatey they
Magar baat khatam naa hotee thee
Ab samney hain main aur woh magar
Kyun sochana partaa hay, Agar
Koi baat us say kahnee ho

Pardais janey kaa ghum Kon boojh sakta hay


Pardais janey kaa ghum
Kon boojh sakta hay
Pardaision kay aansoo
Kon poonch saktaa hay
Koi bhee nahee hotaa
Jis kay galey lag jaain
Eid kay din bhee hum
Udasion main gum, gaain
Geet woh mohabbat kay
Hum jo gungunatey they
Sochon main, Khayalon main
Aik hotey jatey they
Kis tarah say kat'tee hay
Kis tarah say batlaain
Dil kay zakhm apnon ko
Kis tarah say dikhlaain
Zakhm jo ek nishaanee hain
Chahaton kay bandhan kee
Jo kay hum nay bandhey they
Jo kabhi naa totain gay
Hum hee toot jaain gay
Teray dukh kee kulfat say
Tab hee choot paain gay

Adhooree sanson kaa safar Adhoray khawabon kaa nagar


Adhooree sanson kaa safar
Adhoray khawabon kaa nagar

Hum nay gee kar dekh liaa
Adhooree zindagee milee magar

Ashk aankhon main aayen to
Dhundalaney lagtey hain manzar

Halankay barkhaa sawan main
Khil say jatey hain shajar

Yeh jo tum khush khush rahtey ho
Mairee chahat kaa hay sab asar

Main tum say piyaar kartaa hoon
Tum hee ho ab mairaa mahwar

Kaanch say hain jazbaat mairey
Toot kar jaain naa bikhar

Mohabbat kee es bazee main
Tumhain jeetain gay , harey gar

Yahee FAISAL ab khawahish hay
Umar ho terey sang basar

Barishain rooth jatee hain Kisee ko naa mananey par


Barishain rooth jatee hain
Kisee ko naa mananey par

Kisee kay yaad aney par
Yeh phir rimjhim barastee hain
Bohat nuqsaan kartee hain
Tab pale kuch nahee rahtaa

Tabhee to tum say kahtaa hoon
Mohabbat tum nahee karnaa
Tum es qazye main mat parnaa

Agar tum ruk na pao to
Khud ko mohaan mat karnaa
Mohabbat ko anaa kay but pay
Tum qurbaan mat karnaa

Kyunkay

Mohabbat zindagee kay dukh kaa
Dil ko baar daytee hay
Agar tum jeetana chaho
Tumhain yeh haar daytee hay
Jo sar ko tum jhukaa do gay
Tumhain yeh piyaar daytee hay

FAISAL rakhnaa tum yeh yaad
Mohabbat mar nahee saktee
Mohabbat maar daytee hay

Badaltee ruton main Woh bichraa musafir


Badaltee ruton main
Woh bichraa musafir
Phir yaad aney laga hay
Mujh ko sataney laga hay
Ho sard mosam
To dhoop kee hidat
Jaisey badan ko
Daitee hay rahat
Kuch waisey hee
Tairee yadon kaa mosam
Dil ko jalaney laga hay
Man main mere
Ek meetha sa dard
Phir say jaganey laga hay

Badaltee ruton main bichray musafir!
Dekh humarey hathon main saghar
Yeh saghar zamaney ko
Dikhaney kay leye hay
Tere hijar kee shidat say
Apney qadmon kee larzish
Chupaney kay leye hay

Badaltee ruton main bichray musafir!
Dekh humaree aankhon main aansoo
Tere gham kee agnee
Jalaye hay hum ko
Yeh us ko
Bhujaney kay leye hay

Badaltee ruton main bichray musafir!
Dekh humarey paon main chaley
Jis dam say tu
Bichraa hay hum say
Es pal say hain
Hum ek safar main
Jis kee hay manzil
Paa jaanaa tujh ko
Yeh chaley safar kee
Hain ek nishanee
Yeh manzil pay
Janey kay leye hain

Badaltee ruton main bichray musafir!
Dekh humarey dil main
Bastaa hay bas tu
Teree hee yadain
Bikhree hain har soo
Sehar main hay tu
Shaam main hay tu
Din main hay tu
Raat main hay tu
Soch main hay tu
Dhiaan main nay tu
Hosh main hay tu
Giaan main hay tu
Humray jevan main
Jaan main hay tu
Humare izat
Aan main hay tu
Tu hee hay dunya
Jahan main hay tu
Tu hay pahchaan
Nishaan main hay tu
Hum nay jo tujh ko
Rakhaa hay dil main
Yeh khud ko
Jeye janey kay leye hay

Badaltee ruton main bichray musafir!
Mohabat main hum nay
Ganwaayaa thaa khud ko
Magar hum khush they
Kay payaa hay tujh ko
Jab tu nay choraa
Saath humaaraa
Jab tu nay thukraayaa
Haath humaaraa
Tab say howee hay
Andhair dunyaa
Yeh jo hay tujhey
Sochanaa humaraa
Yeh shairon main
Ghazlon main
Tera Zikr karnaa
Yeh FAISAL junoon kay
Hain sab karishmay
Baharon main
Sehraaon ko safr karnaa
Khizaaon main
Gulshan ko ghar karnaa
Badaltee hay rut to
Satatee hay hum ko
Yeh tere yaad
Dilaney kay leye hay

Esee leye to
Badalte ruton main
Woh bichraa musafir
Phir yaad aney laga hay

Main tujh ay piyaar itnaa kartaa thaa


Main tujh ay piyaar itnaa kartaa thaa
Kah saka naa kuch bhee tujh ko kabhi
Har ek sitam ko tere sahtaa gaya
Main wafaaon kaa shanawar thaa, bahtaa gaya
Kabhi naa harf e shikayat mairee zubaan nay liya
Tere karam kaa, rafaqat ka, talabgaar raha

Magar

Ab sansain hain kam, waqt kee garanee hay
Dil kay baher main, ghamon kee bhee rawanee hay
Chalney lagey hain chor kar teree dunyaa FAISAL
Kyun man main maire ubaal aataa hay
Sookhatey , kanpatey labon pay yahee
Ek, aakharee sawaal aataa hay

Kia aisaa bhee hotaa hay kabhi ?
Tairee aankhon kee chamak barh jaye
Tairee sanson main mehak aa jaye
Khilnay lag jain dil main tairey gulaab
Rangeen hotey chaley jaain tairee aankhon main khawaab
Jab kabhi sochataa hay tu mujh ko !
Jab bhee mairaa khayaal aataa hay !!!

Bohat takleef hotee hay , bohat hee dard sahtaa hoon


Bohat takleef hotee hay , bohat hee dard sahtaa hoon
Main teree yaad aye to , ghazal aur shayer kahtaa hoon

Yeh mumkin hay naa samjho tum, mairey dil kee baton ko
Mairee shamain bhe tum say hain, tumhee ko saher kahtaa hoon

Yeh ranjish hay, adawat hay, mohabbat hay, kay majbooree
Teree yadon kay tarkash hain bharey, aur main nahetaa hoon

Woh ghar thaa jis main jeenaa, main nay, tum nay, aur mohabbat nay
Ab us tootey gharonday main , tanhaa main hee rahtaa hoon

Mujhey toofaan kee mojon kaa koi dar ab nahee FAISAL
Jafaa kay baher main be safeenaa bhee to bahtaa hoon

Jo tum nahee to ghum hain


Jo tum nahee to ghum hain
Jo tum hotee to ghum nahee
Hum tum say bichar kar zindaa hain
Kia yeh saza abhee kam nahee
Hum nay to daryaa baha deye
Tere aankh phir bhee nam nahee
Abhee aur kitnaa jeevan hay
Kay tootay dil main dam nahee

Hum nay to tum ko chahaa thaa
Sapnon main tum ko paayaa thaa
Go tum nay thukraayaa to hay
Par piyaar howa yeh kam nahee

Ab taskeen nahee miltee
Dil kee makeeen nahee miltee
Jo milee thee woh to chor gayee
Jo milay gee woh sanam nahee

FAISAL yeh hum nay jaanaa hay
Yeh qisaa bohat puraanaa hay
Kirdaar badaltey rahtey hain
Aaj hum hain aur kal hum nahee !

Hum dil kay safar par jain gay


Hum dil kay safar par jain gay
Hum nay yeh sochaa hay jaana
Tere saath yeh jeevan betaain gay
Ab tak to jeetay rahtey they
Ab say zindagee apnaain gay
Tum paas raho, yaa door raho
Tum dil kay dukhon say choor raho
Hum aaj say waadaa kartey hain
Hum yeh iraadaa kartey hain
Tere dukhon kaa ho ga madawaa
Teree rahon main ho gaa charaghaan
Teree bastee goonjay shahnaai
Tere man main ho gee beenaaee
Koi zakhm naa phir rah jaye gaa
Hum hee marham ban jaain gay
Khushion say ho gay shad jo tum
Hum dekhain gay, aabaad ho tum
Urtay ho jaisey baad ho tum
Shadaan ho, farhaad ho tum
Jab aisey tum ban jaao gay
Tab FAISAL milay gee hum ko khushee
Tab hum aashiq kahlaain gay
Hum dil kay safar par jaain gay !!

Mere zehan main ek tera hee tasawur hay


Mere zehan main ek tera hee tasawur hay
Woh tasawur kay jo dil say judaa nahee hotaa

Zehan o dil main ek jang bapaa rahtee hay
Aur es jang kaa koi faisala nahee hotaa

Zehan kahtaa hay tu apnee nahee, paraee hay !
Dil yeh kahtaa hay sanam bewafa nahee hotaa !

Aik uljhan see mere saath lagee rahtee hay
Es uljhan kaa koi bhee siraa nahee hotaa

Yaad kartaa hon jab guzrey mah o saal ko main
Tujh ko khonay kaa kaheen bhee gumaan nahee hotaa

Hum nay jo sath guzarey hain lamhey, Un sab main
Ek ghari ko bhee main gham aashana nahee hotaa

Par jo dekhon main apney aihad kaa chalan FAYSAL
Belos ishq kaa yahan kuch silaa nahee hotaa

Ham Aseeraan-e-wafa..!!


Ham Aseeraan-e-wafa..!!

kis qadar sakht hai ay jaan-e-jahaN hijr ki raat..
koi aawaz, na aahaT, na hi jeenay ka suraagh..
mohr ba lab hai khamoshi bhi kaii barsoN say..
chaand taaray haiN falak par.. na zameeN par hai charaagh..
roshni bhi meri taqdeer say khaaif ho kar..
mere aangan say bohat door raha karti hai..
habs itna hai k munh zor hawa ki saansaiN..
meri dehleez ko chu laiN.. to ukhaR jati haiN..
aur aisay maiN sitam daikh k ay jaan-e-jahaN..
zehn k band kawaRoN pe hai dastak daita..
zeena-e-shab say utarta teri yaadoN ka hajoom..
khushk pattoN sa bikhartay tere w'adoN ka hajoom..
koocha-e-jaaN maiN yooNhi raat gaye phailti hai..
chand bikhray huwe, TooTay huwe khaaboN ki kasak..
jaisay sookhay huwe be jaan gulaaboN ki mehak..
soch.. aisay maiN dar-e-yaar say Thukraaye huwe..
apni saansoN say bhi, dhaRkan say bhi uktaaye huwe..
ham aseeraan-e-wafa.. zehr-e-jafa khaaye huwe..
kis tarah jeenay ka samaan kiya kartay haiN?..
aur har roz.. meri jaan.. kiya kartay haiN..!!

November ki andheri subha



November ki andheri subha apna sar
Judayi k isi manzer k zanon per dharay
Shamon ko takti hay
Shab e matam guzernay per
Kisi k dil pe ju guzray
Woh soraj jaan leta hay
Suno...
Ginti dinon ki main ne tum hi se tou seekhi thi
Woh sare pal ju palkon se giraye
Lout aye hain
Nahin maloom phir se lout ane ka huner inhon ne
Kahan se aur kis se seekh rakha hay
Bari mushkil se is neelay badan ne rang badla tha
Per yeh lamhay
Judayi mein doobay
Yeh zaher alood lahme
Ragon Mein phir sraiat ker rahe hain
Yeh naag asar din
Phir saal k din poray hone per
Mujhe dasnay chale aye
Qayamat khaiz lambi sard raatain
Yeh dasht e marg hain goya
Kalayi ka wohi hissa
Jahan per nabz ki rim jhim kaheen mehsoos hoti thi
Mujhe mehsoos hota hay
Maseeha..
suno
Shayad mere dil ki sadayen sun sako tou
suno!
Main mer rahi hon..!!!

Toofano ke nagri main koi pyar k deep jalaye kaisay


Toofano ke nagri main koi pyar k deep jalaye kaisay

Her hath main so so pathar hain koi kaanch ka ghar banaye kaisay



Dard k is markaz main her aankh hai pur-num ashko say

Yahan khushian to anmol c hain koi muskan labo pay laye kaisay



Wo waqt to kb ka beet gya dukh dard jb banta kartay thay

Ye khud-gharzon ke duniya hai koi tere ranj ghataye kaisay



Her shaksh masroof hai nafrat main yahan baat na kar muhabbat ke

Baharain chaman say rooth gayi hain phool pay shabnam aay kaisay



Ye nagar bohat aabad to hai per milta koi insan nahi

Jub izzat ho sub jhooton ke koi such labon pay laaye kaisay



Jub ujray basti khawabo ke or dil ka mosam jal thal ho

Phir zabt ka daman choota ho koi apnay ashak chupaaye kaisay



Jo tahreer nahi raikhaoon main usay toot k dil nay chaha hai

Her shay main uski soorat hai koi or nazar main samaye kaisay

Aee Khuda Mujhey woo Moo'Ajzaat Chahie'n


Aee Khuda Mujhey woo Moo'Ajzaat Chahie'n
Hoo'n Mein uss Ke Ru-Ba-Ru Aese Halaat Chahie'n

Chahta Hoo'n Ke Is Purr Amaan Zindagi Mein Abb
Kuch Wehshatay Aur Kuch Hadsaat Chahie'n

Tera Saath Zindagi Se Juda Agar Huwa
Mujhey Eik Nahi Be-Shumaar Amwaat Chahie'n

Eik Umer Guzri Tanhaie Meri Hum-Safar Rahi
Khali Hai'n Mere Haath Tere Haath Chahie'n

Meri Jaan Meri zingadi Mera Gudda
Sun'nay Ke Liye Humey Aese iLzamaat Chahie'n

Teri eik Jhalak Ke Liye Piyasi Hai'n Nigahe'n meri
Her Pal Hoo Deedar Tera Humey Woo iKhtiyaraat Chahie'n

Kis Garj Se barasti Hai'n Yee Kaali Ghataie'n
Humey Zulfoo'n Ki Tere Barasnee ke Inamaat Chahie'n


Tere Husn Ke Baab Mei'n Apna Hoo Yee MaQam HASSAN
Meer-o-Jigr Se Onchi Humey Apni Ghazaliyaat Chahie'n

Aee Khuda Mujhey woo Moo'Ajzaat Chahie'n
Hoo'n Mein uss Ke Ru-Ba-Ru Aese Halaat Chahie'n

Naazuk Hai Gharri Tuu Josh-e-Kuffar Dekh


Naazuk Hai Gharri Tuu Josh-e-Kuffar Dekh
Nishane Per Tu Hai Ghour Se Inka Sikar Dekh

Tuu Badd-Naseeb Hai Tujhe Yee Rehnuma Miley
Irb'a Ko Dekh Khulfa Ko Dekh Maazi Ke Tu Paar Dekh

Aese Hi Rehbaar Ki Tu KHooj Mein Lagg Jaa
Yaa Phir Pasti Mein Tu Apna Shumaar Dekh

Soorat Naa Dekh Seerat Ko Dekh
Seerat Ke NaqSh-o-Nigaar Dekh

Rung-o-Nasal Na Dekh Zabaa'n Naa Dekh
iLm-o-Amaal Aur Uskee Afkaar Dekh

Woo Jo Zulm ke Agay Datt Jaye Ya Katt Jaye
Samne Zalim ke Tu Uskaa Inkaar Dekh

Hoo Kalma-e-HaQQ Jis Ki Zubaa'n Pay Jaari
Aesa Tuu Koi Sipah-e-Salaar Dekh

Gaar Paa Liya Tuu Nay Aesa Banda-e-Momin
Phir Zulm Ki Saltanat Tuu Taar Taar Dekh

Umeed Ki Shama Ko Tuu Kabhi Bhujne Nahi Dena
Talash-e-Yaar Jaari Rakh Aur Baar Baar Dekh

Jis Ka Lafz Lafz Dil Pay Asaar Kare Hassan
Aesa Koi Sha'ir Dekh Koi QalamKaar Dekh

Naazuk Hai Gharri Tuu Josh-e-Kuffar Dekh
Nishane Per Tu Hai Ghour Se Inka Sikar Dekh

Popular Posts