Thursday, December 30, 2010

jitni mehroom tamannayen hain raat ke sard sard pehron mein



jitni mehroom tamannayen hain
raat ke sard sard pehron mein
toote khwaabon ko yun jalaati hain
jaise unki tapish ko khud me le
phir se vo aur jeena chahti hain

koi jaker inhe ye samjhaaye
din badda sakht hai aane waala
saare jalte hue khwaabon ki raakh
us ki sakhti ko kuch badha degi
in tamannaon ki chahat us ko
bereham aur kuch bana degi

tum ho mehroom to ye maan bhi lo
tum ko ab zindigi nahi milna
laakh khwaabon ki tum tapish lelo
ab koi saans na tumko milna

mar chuki ho to dafn ho jaao
kahin tum rooh me jaake kho jaao
rooh ka honsla bahut hai azeem
tumko bhi rakh ke muskuraayegi
zindigi raas na tum ko aai
rooh taskeen tumhe dilaaye gi

thodda thehro ye aansu ponch to lo
rooh se milne tumko jaana hai


kitne gham dafn hain vahaan jaane
tum ko qabren bahut milengi vahan
paak ho jaao jaane se pehle
jitne bhi dafn hain sab the masoom
tum se hi to the mehkate se vo sab
haan hain sab vo mere armaan ke phool

unko jaker salaam tum kehna
aur kehna ki humm bhi aaiin hain
hume duniya na raas aai kuch
rooh me dafn hone aain hain

Bhar pahela jam mairay naam saqi


Bhar pahela jam mairay naam saqi
Nahin to hoga koi badnaam saqi

Chain mila nahi kahin dil ko itna
Hota hun isi liyae roz mehman saqi

Sharab hy itna kahan kharab?
Tutay dil ka hy aaram saqi

Janam baghair jee gaya youn hi zindagi!
Diya sahara sharab ne ban ke jaan saqi

Sharab ho ya zahar na padta faraq koi
Hogayi zindagi maut ka saman saqi

Sharab ne kar diya hy mujhay bilkul nachiz
Varna bahot manghay the mairay dam saqi

Dunya me ho jaounga eik din ajnabi
Eik sharabi ki tarah rahegi pehchan saqi


Per kiyun aisi pehchan ho ke ho badnaam saqi
Mae Haq piladay aur kar le tera naam saqi

Maekhwar to voh hain jo zamane se dar gayae
Jaam Vahdat piladay aur ker le tera naam saqi

Usi ki yaad me jeena usi ki yaad me marna
Usi me hy nihan jaan ka aaraam saqi

MALOOM NA THA THEHREY TO DEHEL JAEY GA TOOFAN


MALOOM NA THA THEHREY TO DEHEL JAEY GA TOOFAN
KAM FEHM THEY, SOCHA THA, SEHEL JAEY GA TOOFAN.

SHAKHON NEY DUA PAIR KO DI LAMBI UMAR KI.......
KIA SHAAKH K GIRNEY SE BEHEL JAEY GA TOOFAN?

NAZAN NA HO NADAN KHUSHI PAR, DO GHARI KI
MOSAM K ISHARON KO BADAL JAEY GA TOOFAN.

TAKLEEF TO SEHNI HI PAREY GI, MAGAR IK DIN
RATON K ANDHERON KO NIGAL JAEY GA TOOFAN.

SAPNON KI AZIYAT KO MUQADAR NA SAMAJHNA,
HATHON KI LAKEERON KO BADAL JAEY GA TOOFAN.



UMMEED K JUGNU KO NA MUTHI SE RIHA KAR!
KUCH DAIR TO RUK JA, K SANBHAL JAEY GA TOOFAN.

MAAON KI DUAON MEIN HAI TASEER KA JADU,
HATHON K UTHANEY SE HI TALL JAEY GA TOOFAN.

kyun na aaj un ko pukara jaye


kyun na aaj un ko pukara jaye
dil e weeran ko sataya jaye

aaj phir un ko maana kar pal mein,
dil k zakhmon ko nikhara jaye

un ko phir aaj mana leynay ko
phool zulfon mein sajaya jaye

payaar aankhon sey ayaan hota hai
kyun bhala sab ko bataya jaye

payar ehsas hai,ik khail nahi
tum ko yeh kaisay dikhaya jaye?

Aap! Hazrat! Kamaal kartay hain!


Aap! Hazrat! Kamaal kartay hain!
PatthroN se sawaal kartay hain!

Unki soorat pe, Ha'aey! deewane
Mar ke, jeena muhaal kartay hain

Roshanii ke dassay hoye, yeh log
Raat ko din kheyaal kartay hain

Hum hain woh sar-phirray jo khud apni
Zaat ko paay'i'maal kartay hain

Hum ne jab dard khud hii paalay hain
Aap phir kion mala'al kartay hain

Hum tau iss daur-e-hijr mein, rasman
Aarzoo-e-visaal kartay hain

Ye samay hay jalwa haay-e- toor ka


Ye samay hay jalwa haay-e- toor ka
Ban raha hay aik saya noor ka

Saamnay jaam e masarrat hay paRa
Kia karon main is dil e ranjoor ka


Bil-yaqeeN hay dard hi ka raasta
Wo ishara de raha hay door ka

Gardanein akRi hein ehl e hukm ki
Daar par aaya hay sar mansoor ka

Eshq ka matloob koi aor hay
PaR gaya hay maand jalwa hoor ka

kuch is tarah jana hum Nay tum say mohabbat Ki Hai



kuch is tarah jana
hum Nay tum say mohabbat Ki Hai
mohabat kay mahel main
tumhay dil ki dulhan bana kay
ankhoon say ibadat ki hae
kuch is tarah
dil say dil ko mohabat ki hae
kay pas to her koi thah
bhari mefal main
magar
sirf teray khiyaloon say
gauftgo ki hae
hont kehtay kabhi kuch
aur teray kan kuch sun patay
aesa mumkan he nahe howa
magar
dil say dil kay rabtay main
na kabhi kammi ki hae
her lmah tumhay he socha
jab bhe kuch socha dil nay
barsh ki tarah teri yad nay
her pal dil main nami ki hae ...!
bhari dunya main haseen aur bhe hain
jo kisi frishta sift ko bhe apna dewana kar day


magar jana
teray Husn o sadgi ki baat he alag hae
ahmed nay faqat teri he aarzo ki hae
Haan kuch is tarah say jana
hum nay tum say mohabat ki hae
dhirknon main basi sansoon nay bhe
teray naam ki her pal tasbeh ki hae
haan kuch is tarah jana
meri rooh nay teri rooh say mohabat ki hae...!

kis qader phool bikharnay pay taraptaa ho ga


kis qader phool bikharnay pay taraptaa ho ga
khauf patti kay dukhay dil main utertaa ho ga
is tassawer say ke pur khaar guzer gahain hain
dard gulshen kay bhi seenay say guzartaa ho ga

woh bhi nazuk thi kissi phool ki patti jaisi
zulm kay saik nay jhulsaa di magar hai kaisi
woh sati kartay thay widhwaa ko pati kay hamraah
hum nay bechaari jala dali pati bin waisi

khauf say kanpti woh rat ko ghar aai thi
keh khabber jug main parossi ki woh kar aai thi
pur hawes shaks nay tezaab giraa, maara hai
qarz lainay kay liay jis kay woh dar aai thi

aik jhagray ki tawaalet ko khatem kar aya
woh sharafet ko nafaset ko kahan dher aya
aik lehzaa bhi na socha ke woh panchaiyet main
apni masoom si beti ko wanni kar aya

Tera sub ghar jo chati thi wohi nari hai
Kaisa yeh din hai ke is zat pay ab bhari hai
Kis gunah kit u saza day ga isay, aiy zalim
Bad challan khud hai, to phir thehree who kyun kari hai

Zindagi se peyaar kerna seekh lo


Zindagi se peyaar kerna seekh lo,
doob ker phi "sey" ubherna seekh lo,

chaar so bikhrey hain moti ilm ke,
unke zewar se sanwerna seekh lo,

kerke sab chotay baron ka ihteraam,
dil ma logo k uterna seekh lo,

naik kamon ma kero paida maqaam,
ban k khushboo si bikherna seekh lo...!!!

shabdo ko tarash ke ghazal bana diya karte hai


shabdo ko tarash ke ghazal bana diya karte hai
hum chak-e-mohabbat par alfaaz siya karte hai

zara nazare bache ke chalna humse,hum wo hai
jo pehali nazar me hi dil chura liya karte hai

jinko berang kehati hai yeh duniya,hum to unhi
rango me rang mila tasveer bana diya karte hai

jin sharab ke paimano ko bewafa naam dete hai log
usi paimane me hum mohabbat mila piya karte hai



darate nahi hum inn sitamgaro se, hum woh hai
jo Subah-shaam ibaadat-e-khuda kiya karte hai

Shayar hai hum jara hatke iss zamane se janab,
chand lafzoo ko mila hii, geet bana liya karte hai

Bagooley ki tarah taza hawa ko kha raha tha


Bagooley ki tarah taza hawa ko kha raha tha
Ajab mausim tha apni hi baqa ko kha raha tha

Jissey hamwaar karney meiN zamaney waar daaley
Wohi rasta hamarey naqshe-paa ko kha raha tha

Shajar koi na tha nash-wo-numa k zaichey meiN
Koi aasaib sa aab-o-hawa ko kha raha tha

JahaN har soo sada-i-girya-i-khalqat bapa thi
WaheeN yeh shore harf-i-ilteja ko kha raha tha

Ujaley sey kahieN taskeen hoti hi naheiN thi
Gham-i-shab iss tarah din ki ada ko kha raha tha

Ajab khawhish lahoo ki kokh meiN palney lagi thi
Badan wahsaht meiN apni hi qaba ko kha raha tha

Samandar ho rahi thi khud samandar ki yeh hairat
Kinara mauj ki har inteha ko kha raha tha

QaatiloN ki aur luteroN kii yeh basti haaye haaye!


QaatiloN ki aur luteroN kii yeh basti haaye haaye!

Noor ke dushman, andheroN ki yeh basti haaye haaye!



Yeh woh bastii hai jahaN par khoon arzaaN ho gaya

Be-gunaahoN ke lahuu se surkh zindaaN ho gaya



LaathiaaN barsi kahiN maasoom jaanoN par yehan

Aur kahiN daakay parray ujday makaanoN par yehan



Haan! yeh woh ujday makaaN hain, jinko paani kha gaya

Aik sailaab-e-balaa bastii mein meri aa gaya



MasjidoN aur khaan^kaahoN par yehan hamlay hoye

GolioN ki zadd pe kitne log hain sehmay hoye



Sharm aatii hai ke iss basti ka baashinda hoN main

Jaane kia kia dekhne ko ab talak zinda hoN main?



Haaye! sannaata ajab hai mehfil-e-hastii mein aaj

Zindagaani kitni be-wuq'at hai iss bastii mein aaj

her taraf phol they kalyoon ki mehek thi


her taraf phol they
kalyoon ki mehek thi
chand ki chandni say khilta aasman thah
rangoon ki her lamha aek nae dastan theh
ankhen khuli main tum theh
band ho kay bhe tera nishans thah
kehna aey howa us say
na phol hain
na kalyon ki mehak hae
na chand ki chandni hae
na rangoon ka jahan hae
yeh kehna us say hawa!
jab say tum gae ho
khuli ankhen weran hain aur
sapnon ki zamen banjar hae ...!

Mujhay yaadoo satao na


Mujhay yaadoo satao na
Meray Peechay Tum Aao Na
Bhala Kiya Faiyeda Ho Ga
Takub Maira Karny Say
Sakoon Ki Chand Sansain To
Mughay Bhi Laine Do Yado
Mughay Tum Kuon Satati Ho
Mughy Tum Kuon Rulati Ho
Mairee Tanhaiyun Main Kuon
Dakhal Andaz Hoti Ho
Kaheen B Main Chali Jaon
Vaheen Aa Jati Ho Yado
Mughay Ab Sony Do Yado
Boht Shab Khaiz Yadien Hain
Mughe Sonay Nahi Daiteen

Tez kadmo se doudhta rehta hain, chalta hai paani


Tez kadmo se doudhta rehta hain, chalta hai paani
Koun manega meri aankhon mein jalta hai paani

Yeh kiske jikr se aaya hain sehraa main sailaab
Aaj meri aankhon mein teherta hi nahi hai paani

Yun toh mitha hi hua karta hai, namkeen nahi
Milta hain gham se toh khud ko badalta hai paani

Yeh wo shay hain aag ko bhi jala deta hain kabhi
Aur kabhi bebaas barsaat mein bhi galta hai paani

Koun sa dard hain, ki zara zara si baaton mein
Aankhon se subah shaam nikalta hai paani

Kuch toh hoga dhoka sa meri aankhon mein
Log kehtey hain ki bewajah hi nikalta hai paani

haqiiqat hai ye sirf jumla nahii.n hai


haqiiqat hai ye sirf jumla nahii.n hai
musiibat mei.n koyi kisii ka nahii.n hai

wo gul shaakh se yuu.N bhi TuuTa nahii.n hai
kisii ne abhi usko dekha nahii.n hai

na aana na jaana,na milna milana
ajii ye to koyi tariiqa nahii.n hai

kabhi dil kii baatei.n akele mei.n ho.ngi
abhi baat karne ka mauqa nahii.n hai

baDii ChoT khaayii magar ye na jaana
mohabbat mei.n kya kuCh hai aur kya nahii.n hai

khabar kya kahaa.N TuuT jaaei.n ye saa.Nsei.n
bharosa koyi zindagi ka nahii.n hai

dard ik paagal ke kaashaane mei.n hai


dard ik paagal ke kaashaane mei.n hai
roushnii bhi kaise viiraane mei.n hai

aap mauqe kii naazakat dekhiye
faayda anjaan ban jaane mei.n hai

naqlii muskaane churaane kii na soch
asl daulat dil ke tahkhaane mei.n hai

mushkilei.n saare zamaane kii nahii.n
saarii mushkil khud ko samjhaane mei.n hai

Dhuu.NDta huu.N sab kii aa.nkho.n mei.n magar
aks meraa aa_iina khaane mei.n hai

hai kaThin us tak pahu.Nchnaa ytna hii
jitnii aasaanii use paane mei.n hai

jii rahaa huu.N mai.n paraa_ii zindgii
ruuh merii jaane kis BAANE mei.n hai

batao aaj to ham ko tumhari kaj adaai ko


batao aaj to ham ko
tumhari kaj adaai ko
bhla kiya nam dain ham ab
ye dil ko torna phir jorna
kitabe zeest k panon ko
aise morna..
chalo ham man laite hain
khata sari hamari thi
vafa jo bhi thi ki tum say
yahi to bhool sari thi...
ana tum ko bhi pyari thi
ana ham ko bhi pyari thi
to kya iss bat pay tum ..
dil hamara tordr jao gay
hamain tum chodr jao gay

dard seene maiN utar jane do



dard seene maiN utar jane do
zakhm ko aur ubhar jane do


mere toote hue dil per logo
jo guzarti hai guzar jane do

dastaaN kaun sune ga gham ki
shayeri ban ke bikher jane do


ek mahak pas se guzri he abhi
es ko saNsoN maiN utar jane do

phool kuch haiN khile angnaai meiN
in ko ashkooN se nikhar jane do

zindagi kese guzareN tum bin
apne haatoN ye saNwar jane do



yaad kerke tumheN roi Annu
ab to ashkooN ko teher jane do

Eik chahat jo mujhay tairi milay


Eik chahat jo mujhay tairi milay
Piyar zamanay ka, phir milay na milay

Chahat me tairi, jo dard milay
Parvah nahin, chain phir milay na milay

Sath safar ka jo taira milay
Kafi hy, manzil phir milay na milay

Chahat me tairi judai ka sehra milay
Mosam milan ka, phir milay na milay

Mairay dil ka rona jo taira milay
Khushiyan chahat ki, phir milay na milay

Tu jo milay shaayir ko shaairyi milay
Geet mohabbat ke, phir milay na milay

Aansoo aankhon ko jo chahat ke milay
Muskan honton ko, phir milay na milay

Tu jo milay paagal ko piyar milay
Ghazal mohabbat ki, phir milay na milay-

Mere Zakhmo Ko Taqleef Huwi Jab Bhi Nikla Mein Taazi Hawa Mein


Mere Zakhmo Ko Taqleef Huwi Jab Bhi Nikla Mein Taazi Hawa Mein,
Mein Hun Bekasur Iss Baat Ka Tha Ek Lauta Gawa Mein,,

Uss Bewafa Pe Tha Mujhe Itna Yakeen ,,
Woh Deti Rahi Zeher Aur Usko Dawa Samjkar Peeta Raha Mein,

Koi Aur Hota Toh Naa Jane Kab Ka Tut Jaata,
Magar Uske Har Sitam Ko Sehta Raha Mein,

Usne Toh Tohfe Mein Sirf Gham Ki Nadiya Hi Di Mujhe,
Magar Uski Khushi Ka Samandar Banke Behta Raha Mein,

Usne Mujhe Yaad Kiya Apni Har Baddua Mein,,
Par Maine Usse Yaad Kiya Apni Har Dua Mein,,

Mere Zakhmo Ko Taqleef Huwi Jab Bhi Nikla Mein Taazi Hawa Mein,,
Mein Hun Bekasur Iss Baat Ka Tha Ek Lauta Gawa Mein.

tumharay payar ka mausam badalta hi rahta hai


tumharay payar ka mausam
badalta hi rahta hai
khabi sardie... khabi garmie
khabi sakhtie...khabi narmie

tumharie sooch ka mehwar
badalta hi rehta hai
koi Derya...koi badal
koi rasta...koi manzil

tumharay shouq ka markaz
badalta hi rehta hai
khabi Titllie...khabi Bulbul
khabi gajra... khabi aanchal


meray payar ka mausam
badla hai na badlay ga
marie sooch ka mehwar


badla hai na badlay ga
meray shouq ka merkaz
pehlay tha woh ab bhi hai
marie pooja...marie mamta
mera ghar...marie jannat

Na kisi ki hasrat dil mein rakh, Yahan har koi mazboor hain


Na kisi ki hasrat dil mein rakh, Yahan har koi mazboor hain
Usey paake jana hain jism se, Uska dil abhi toh duur hain

Meri baton ko wo maan kar, nahi manta hain bewajah
Koi aur bhi hain darmiyaan usey rokta zaroor hain

Mere chehre se samajhta hain meri ruuh ki har baat ko
wo na dekh paaye zakhm toh, uski nazar ka kasoor hain

wo bhi dhundhta hoga sochkar, hum zuda hue tey jis jagah
kayi baar louti hain zindagi, ki yeh jane kaisa suroor hain

duniya mein rang-e-jashn hain, hur ore faili hain rounakein
ek mera dil hi udaas hain, na hain rang aur nahi noor hain


mere haal pe keh do usey, do ansoo rakh le nigahon mein
kahin yun na ho ki log sab, bolein bada magroor hain

abhi dena hain usko mujhey, yaqeen apni wafaon ka
abhi rastey mein andhera hain, abhi manzilein badi duur hain

Na main insha na main Aali


Na main insha na main Aali

mere sare shair khayali

zakham mahaktay pholon jaise

iss gulshan k tum ho maali..

dil ki basti sooni sooni...

kaisi veran kaisi khali..

sooraj mere hath main laikn

baraf c thandak dil may paali...

ghurbat or aflas k hathon

kis nay khud sozi kar dali..

mere sare harf niralay..

baat baat mairi matvali..

Popular Posts