Thursday, December 30, 2010

dard ik paagal ke kaashaane mei.n hai


dard ik paagal ke kaashaane mei.n hai
roushnii bhi kaise viiraane mei.n hai

aap mauqe kii naazakat dekhiye
faayda anjaan ban jaane mei.n hai

naqlii muskaane churaane kii na soch
asl daulat dil ke tahkhaane mei.n hai

mushkilei.n saare zamaane kii nahii.n
saarii mushkil khud ko samjhaane mei.n hai

Dhuu.NDta huu.N sab kii aa.nkho.n mei.n magar
aks meraa aa_iina khaane mei.n hai

hai kaThin us tak pahu.Nchnaa ytna hii
jitnii aasaanii use paane mei.n hai

jii rahaa huu.N mai.n paraa_ii zindgii
ruuh merii jaane kis BAANE mei.n hai

No comments:

Popular Posts