kis qader phool bikharnay pay taraptaa ho ga
khauf patti kay dukhay dil main utertaa ho ga
is tassawer say ke pur khaar guzer gahain hain
dard gulshen kay bhi seenay say guzartaa ho ga
woh bhi nazuk thi kissi phool ki patti jaisi
zulm kay saik nay jhulsaa di magar hai kaisi
woh sati kartay thay widhwaa ko pati kay hamraah
hum nay bechaari jala dali pati bin waisi
khauf say kanpti woh rat ko ghar aai thi
keh khabber jug main parossi ki woh kar aai thi
pur hawes shaks nay tezaab giraa, maara hai
qarz lainay kay liay jis kay woh dar aai thi
aik jhagray ki tawaalet ko khatem kar aya
woh sharafet ko nafaset ko kahan dher aya
aik lehzaa bhi na socha ke woh panchaiyet main
apni masoom si beti ko wanni kar aya
Tera sub ghar jo chati thi wohi nari hai
Kaisa yeh din hai ke is zat pay ab bhari hai
Kis gunah kit u saza day ga isay, aiy zalim
Bad challan khud hai, to phir thehree who kyun kari hai
No comments:
Post a Comment