QaatiloN ki aur luteroN kii yeh basti haaye haaye!
Noor ke dushman, andheroN ki yeh basti haaye haaye!
Yeh woh bastii hai jahaN par khoon arzaaN ho gaya
Be-gunaahoN ke lahuu se surkh zindaaN ho gaya
LaathiaaN barsi kahiN maasoom jaanoN par yehan
Aur kahiN daakay parray ujday makaanoN par yehan
Haan! yeh woh ujday makaaN hain, jinko paani kha gaya
Aik sailaab-e-balaa bastii mein meri aa gaya
MasjidoN aur khaan^kaahoN par yehan hamlay hoye
GolioN ki zadd pe kitne log hain sehmay hoye
Sharm aatii hai ke iss basti ka baashinda hoN main
Jaane kia kia dekhne ko ab talak zinda hoN main?
Haaye! sannaata ajab hai mehfil-e-hastii mein aaj
Zindagaani kitni be-wuq'at hai iss bastii mein aaj
No comments:
Post a Comment