Thursday, December 30, 2010

Na kisi ki hasrat dil mein rakh, Yahan har koi mazboor hain


Na kisi ki hasrat dil mein rakh, Yahan har koi mazboor hain
Usey paake jana hain jism se, Uska dil abhi toh duur hain

Meri baton ko wo maan kar, nahi manta hain bewajah
Koi aur bhi hain darmiyaan usey rokta zaroor hain

Mere chehre se samajhta hain meri ruuh ki har baat ko
wo na dekh paaye zakhm toh, uski nazar ka kasoor hain

wo bhi dhundhta hoga sochkar, hum zuda hue tey jis jagah
kayi baar louti hain zindagi, ki yeh jane kaisa suroor hain

duniya mein rang-e-jashn hain, hur ore faili hain rounakein
ek mera dil hi udaas hain, na hain rang aur nahi noor hain


mere haal pe keh do usey, do ansoo rakh le nigahon mein
kahin yun na ho ki log sab, bolein bada magroor hain

abhi dena hain usko mujhey, yaqeen apni wafaon ka
abhi rastey mein andhera hain, abhi manzilein badi duur hain

No comments:

Popular Posts