Bagooley ki tarah taza hawa ko kha raha tha
Ajab mausim tha apni hi baqa ko kha raha tha
Jissey hamwaar karney meiN zamaney waar daaley
Wohi rasta hamarey naqshe-paa ko kha raha tha
Shajar koi na tha nash-wo-numa k zaichey meiN
Koi aasaib sa aab-o-hawa ko kha raha tha
JahaN har soo sada-i-girya-i-khalqat bapa thi
WaheeN yeh shore harf-i-ilteja ko kha raha tha
Ujaley sey kahieN taskeen hoti hi naheiN thi
Gham-i-shab iss tarah din ki ada ko kha raha tha
Ajab khawhish lahoo ki kokh meiN palney lagi thi
Badan wahsaht meiN apni hi qaba ko kha raha tha
Samandar ho rahi thi khud samandar ki yeh hairat
Kinara mauj ki har inteha ko kha raha tha
No comments:
Post a Comment