Thursday, November 7, 2013

Tumhari Baat Lambi Hai Daleelain Hain Bahany Hain


Tumhari Baat Lambi Hai Daleelain Hain Bahany Hain
 Humari Baat itni Hai..Humari Arzoo Tum HO….

Shair logon ke bohat yaad hain auron ke liye

Shair logon ke bohat yaad hain auron ke liye
Tu milay to main tujhe shair sunaaon apne..

Aa gaya ha farak us ki nazaron mein yaqeenan

Aa gaya ha farak us ki nazaron mein yaqeenan……..!!!
Ab wo mujhe andaaz se nahi…! andaazay se pehchanta hai

Saqi Mujhe Sharab Ki Tohmat Nahin Qabool

Saqi Mujhe Sharab Ki Tohmat Nahin Qabool
Mujh Ko Teri Nigah Ka Ilzaam Chahiye

Woh nafraton ke sawal kar ke

Woh nafraton ke sawal kar ke

mohabaton ke jawab maange

ye chaahton ki karri mushaqat

chalen hain tanha

shikast khurda

koi to mera bhi dard jaane

koi to uss se hisaab maange!!!!

Hota Hai Mohabbat Mein Woh Jazbaat Ka Mausam

Hota Hai Mohabbat Mein Woh Jazbaat Ka Mausam
Kehti Hai Duniya Jise Barsaat Ka Mausam…!!!

Zara Khamosh betho tum to dam aram se nikle

Zara Khamosh betho tum to dam aram se nikle
idher ham hichki lete hain udher tum roney lagte ho

Sab Khasaaro’n ko Jama Kar Kay Ye Haasil Niklaa

Sab Khasaaro’n ko Jama Kar Kay Ye Haasil Niklaa
Dil-e-Nadaa’n Ki Koi Baat na Maani Jaaye……!!

Hashar mein milne ka waada to karo

Hashar mein milne ka waada to karo
Hum abhi hashar barpaa kartey hain..

Qayamat khez hain aankhain tumhari

Qayamat khez hain aankhain tumhari
Tum aakhir khawab kis ke dekhte ho???

Wisaal mein bhi wohi hai firaaq ka aalam

Wisaal mein bhi wohi hai firaaq ka aalam
Ke usko neend mujhe rat-jaggay ki aadat hai

Tumhara saath ho to saray mausam achay lagte hain

Tumhara saath ho to saray mausam achay lagte hain
Warna be-maza hain phool, khushboo aur barsatain

Chali hai tham k baadal k hath ko khushboo

Chali hai tham k baadal k hath ko khushboo
Hawa k sath safar ka muqabla thehra

Khushboo hai chaandani hai lab-e-joo hai aur main

Khushboo hai chaandani hai lab-e-joo hai aur main
Kis bepanah raat main tanha kiya mujhay . . .!!

Sirf Khushboo ki kami thi Ghaur k qaabil

Sirf Khushboo ki kami thi Ghaur k qaabil
Warna gulshan main koi phool murjhaya na tha

Subah mere jooray ki har kali salamat nikli

Subah mere jooray ki har kali salamat nikli
Gonjta tha khushboo main raat bhar ka sannata

Khushboo k jazeeroun se sitaroun ki hadoun tak

Khushboo k jazeeroun se sitaroun ki hadoun tak
Is shehar main sab kuch hai bas teri kami hai

Main ne khushboo ki tarah tuJh ko kiya hai mehsoos

Main ne khushboo ki tarah tuJh ko kiya hai mehsoos
Dil ne chheraa hai teri yaad ko shabnam ki tarah

Ahasaas ki Khushboo kahan aawaz ke juganu kahan

Ahasaas ki Khushboo kahan aawaz ke juganu kahan
Khaamosh yaadon ke siva ghar mein raha kuchh bhi nahi

Main Khila Hon To Issi Khaak Mein Milna Hai Mujhe

Main Khila Hon To Issi Khaak Mein Milna Hai Mujhe
Wo To Khushboo Hai Usay Aglay Nagar Jana Hai…!

Aankhon Main Ashk Rukh Pe Tamana Labon Pe Aah

Aankhon Main Ashk Rukh Pe Tamana Labon Pe Aah
Ab Is Adaa Se Saamnay Aatay Nahi Ho Tum…!!!

Karb chèhre se mah o sal ko dhoya jaye

Karb chèhre se mah o sal ko dhoya jaye
Aaj fursat mein Kahin baith K Roya jaye..

Kisi Ki Sharm Aalooda Nigahoun Main Yeh Shokhi Hai

Kisi Ki Sharm Aalooda Nigahoun Main Yeh Shokhi Hai
Isay Daikha,Usay Daikha,idhar Taaka,Udhar Jhanka

Yeh Sharmageen Nigah Yeh Inkaar-e-Muzmahil

Yeh Sharmageen Nigah Yeh Inkaar-e-Muzmahil
Phir Kya Hai Aitraf-e-Mohabbat Agar Nahin

Rooh ko shaad karey dil ko jo pur-noor kare

Rooh ko shaad karey dil ko jo pur-noor kare
Har nazare mein yeh tanveer kahan hoti hai

Ik roney se tu mill jaye to khuda ki Kasam

Ik roney se tu mill jaye to khuda ki Kasam
Is dharti pe sawan ki Barsaat laga doon …!

Roz aatay Hain Baadal Abr-E-Rehmat lay Kar

Roz aatay Hain Baadal Abr-E-Rehmat lay Kar
 Mere Sheher Ke Aamaal Unhain Brasnay Nahi Detay

Main to bik Jaon tere naam Pe mout ki tarha

Main to bik Jaon tere naam Pe mout ki tarha
Wasi
Tu kabi kharidar to ban ke aa zindgi ke Bazaar main!

Ishq ujrat talab na tha warna

Ishq ujrat talab na tha warna
Hamaray nain tere mukh pe nokri karte

Sirf ek Nazar Day Kar Lay Gaya Aankhain Koi

Sirf ek Nazar Day Kar Lay Gaya Aankhain Koi
Zindagi Nay Jo Diya..Us Say Zeeyada Cheena Hai

Deewangi Ho, Aqal Ho, Umeed Ho Kah Yaas

Deewangi Ho, Aqal Ho, Umeed Ho Kah Yaas
Apna Wohi Hai Waqt pah Jo Kaam Aa gaya

Kitni hai munfarid yeh zindgi ki aarzoo

Kitni hai munfarid yeh zindgi ki aarzoo
‘Faraz’,
 Maar jaate hain kise pe log jeene ki khatir

Aay shama teri umar tabi hai aik raat

Aay shama teri umar tabi hai aik raat
hans kar guzaar ya isay ro kar guzaar day

Aadhi se bhi ziada shab e gham kaat chuka hoon

Aadhi se bhi ziada shab e gham kaat chuka hoon
ab bhi agar aajao to ya raat bari hai

Phala phoola rahay hain ya Rab chaman meri umeedon ka

Phala phoola rahay hain ya Rab chaman meri umeedon ka
Jigar ka khoon day day kar ya bootay main na paalay hain

Tu samajhta hai juda khud ko agar mujh se milna to phir

Tu samajhta hai juda khud ko agar mujh se milna to phir
Sainkron se zarab day kar gin ye mere raat din

Toot jain ke pighal jain mere kachay gharay

Toot jain ke pighal jain mere kachay gharay
Tuje ko main dekhon ke ye aag ka darya dekho

Hazaroon Daastanein Hain Heer Laila Sheerin Ki

Hazaroon Daastanein Hain Heer Laila Sheerin Ki
Tum Apne Sath Mujh Ko Bhi Ek Esi Daastan Ker Do….!!!

Wo Ek Mouka To Mujhko Day Baat Karne Ka Yaaro

Wo Ek Mouka To Mujhko Day Baat Karne Ka Yaaro
To Unhe Bhi Rula Dunga Unhi Ke Sitam Suna Suna Kar..

Na karo takraar mujhay tumhara hi khayaal hai

Na karo takraar mujhay tumhara hi khayaal hai
Phir baat se baat niklay gi aur tum rooth jaoge..

Ghar se nikal kharrey huye phir puchna hi kya

Ghar se nikal kharrey huye phir puchna hi kya
Manzil kahan se paas parre gi kahan se door..

Kuch to de bheek us ko aye zaalim

Kuch to de bheek us ko aye zaalim
Ban ke jo saayel tere ghar aaya..

issi dhun main guzaarey ja raha hoon zindagi apni

issi dhun main guzaarey ja raha hoon zindagi apni
Kabhi yeh zindagi ke marhley asaan to hon gay..

Bohat se raaz chupey hain teri ankhon mein

Bohat se raaz chupey hain teri ankhon mein
Nazar milaaon aur mujhe ko raaz’dan kar lo..

Saaf inkaar hai aaney ka bahana kesa

Saaf inkaar hai aaney ka bahana kesa
Rang laaye hain woh mehndi ka lagana kesa..

Bas itni guzarish hai ek muhabbat main mere maula

Bas itni guzarish hai ek muhabbat main mere maula
 Mujhe nakaam honey se zara pehley uthaa lena….

Mera Shehar to barishon ka ghar thehra

Mera Shehar to barishon ka ghar thehra
Yahan ki ankh ho ya dil bohat barstay hain

Barasti barishon se bus mujhay itni se nisbat hai

Barasti barishon se bus mujhay itni se nisbat hai
Ke es tarha ka ek mausam mere andar B rehta hai…!

Mujh pe pathar uchalnay walay

Mujh pe pathar uchalnay walay
Ek baki hai teray seenay mein

Aaj Phhir Mujh Ko Us Ki Yaad Dila Di Barish Ne

Aaj Phhir Mujh Ko Us Ki Yaad Dila Di Barish Ne
Dil Mein Jo Bhool Ki Aag Thi Bhuja Di Barish Ne,

Main Tanha Tha Apny Ghar Mein Zamany Se Pary
Magar Mere Ghar Ki Diwaar Gira Di Barish Ne,

Us K Zikar Se Ho Gaie Meri Aankhain Num
Magar Doston Mein Saari Baat Chhupa Di Barish Ne,

Suna Hai Woh Bhi Roya Hai Aaj Bohat
Lagta Hai Usy Bhi Meri Yaad Dila Di Barish Ne,

Woh Be-Wafa Hua To Phhir Kya Hua Wasi ”
Aaj Mere Sath Ro Kar Wafa Nibha Di Barish Ne

Dilon se mehr-o-wafaa aankh se hayaa nikle

Dilon se mehr-o-wafaa aankh se hayaa nikle
To aese sheher ki galiyon mein koi kya nikle,

Pakarti reh gayi ratain hamare saayo’n ko,
Hum aik khawb mein doobey to jaa’bjaa nikle,

Ajab nahin inhi dar’warsan main phool khilain,
Koi bahaar ka qaasid* idhar jo aa nikle,

Wohi falak* tha, wohi raat thi, wohi mausam,
Magar hamare sitare judaa judaa nikle,

Yeh ab jo rait si saarey mein urti phirti hai,
Kisey khabar ke kisi raaste mein ja nikle,

Samajh main kuch nahin aata yeh raasta Amjad,
Chale they us ki taraf, apni simt aa nikle..

Dil Udaas Rehta Hai Baarishon Ke Mausam Mein

Dil Udaas Rehta Hai
Baarishon Ke Mausam Mein
Zindgi Pighalti Hai
Khwaahishon ke Mausam Mein
Waqt Thehar Jata Hai
Muntazir Nigahon Mein
Janglon Ke Khatray Hain
Bastion Ki Raahon Mein
Ho Sake Tou Lout Aana
Pyar Ki Panahon Mein..
Ishq Ka Ijaara Hai
Dil Ki Shahraaon Per

Tum aksar pochtay thay na

Tum aksar pochtay thay na!!
Jo hum bichray to kiya hoga??
Tum aksar sochtay thay na!!
Na mil paey to kiya hoga??
To dekho ab bhi zinda hain…
Abhi bhi chand taktay hain…
Abhi bhi phool khiltay hain…
Abhi bhi dil k darya main hazaroo dard behtay hain…
Abhi bhi kuch nahi badla magar phir bhi kami si hai…
Tumharay baad jaana ankh main her dam nami si hai..

Usey ye kon samjhaey???

Usey ye kon samjhaey???
Wo dasht-e-khamoshi main…
Ungliyon main seepiyaan pehnay…
Kisi sookhay samadar ki…
Adhoori piyaas ki batain…
Buhat chup chap sunta hai…
Buhat khamosh rehta hai…
Usey ye kon samjhaey??
Khushi k eik aansu se…
Samandar bhar bhi jatay hain…
Buhat khamosh rehnay se…
Talluq mar bhi jatay hain…

Tumharay chand se chehray pe ghum achay nahi lagtay

Tumharay chand se chehray pe ghum achay nahi lagtay…
Hamain keh do chalay jao jo hum achay nahi lagtay…

Hamain wo zakham do jana jo sari umar na bhar paein…
Jo jaldi bhar k mit jaein wo zakham achay nahi lagtay…

Tumhain her ghazal main likhna mera dastoor hai leiken…
Sari mehfil karay tere charchay mujhay achay nahi lagtay…

Main chahat ki is manzil per aa pohocha hon wasi…
Tumharay chahanay walay mujhe achay nahi lagtay…

Raat Uss ne Poocha tha Tum ko Kaisi Lagti Hai

Raat Uss ne Poocha tha
Tum ko Kaisi Lagti Hai

Chandni December ki !
Main ne Kehna Chaha Tha:

Saal-o-Maah ke Baarey mein
Guftagu ke Kya Maani ?

Chahey koi Manzir ho
Dasht ho , Sumnadar ho

June ho , December ho
Dharkanoo’n ka Har Naghma

Manzaroo’n pe Bhaari hai
Saath Jab Tumhara Ho

Dil ko Ik Sahara ho
Aisa Lagta hai, jaise

Ik Nasha sa Taari hai
Lakin Uss ki Qurbat mein

Kuch Nahi Kaha Main ne
Takti Reh gayi Mujh ko ..

Wo Kehta Hai Use Pholon Ki Chahat Hai


Wo Kehta Hai
Usey Pholon Ki Chahat Hai
Magar Jab Phool Khilte Hain
Wo Unko Tor Deta Hai

 Wo Kehta Hai
Usey Barish Ka Mosam Acha Lagta Hai
Magar Jab Barish Hoti Hai
 Wo Kamrey Mein Afsurda Sa Ho Ker Band Ho Jata Hai

Wo Kehta Hai
 Hawaein Ishq Hain Uski
Hawaein Lekin Chalein Jab To
Wo Khirki Band Rakhta Hai

mujhe ab darr sa lagta hai!
Wo Jab B Mujh Se Kehta Hai
Usey Mujse Mohabbat Hai.....

Meri dastaan ka urooj tha teri narm palkon ki chaoon main

Meri dastaan ka urooj tha teri narm palkon ki chaoon main…
Mere sath tha tujhe jagna teri ankh kaise jhapak gayi

Bhala hum milay bhi to kiya milay wohi doorian wohi faaslay…
Na kabhi hamaray qadam barhay na kabhi tumhari jhijhak gayi

Tere hath se mere hont tak wohi intizar ki piyas hai…
Mere naam ki jo sharab thi kahin raastay main chalak gayi

Tujhe bhoolne ki koshishain kabhi kamiyaab na ho sakin….
Teri yaad shakh-e-gulaab hai jo hawa chali to mehak gayi

Deep jis ka sirf mehellaat hi main jalay

Deep jis ka sirf mehellaat hi main jalay
Chand logon ki khushyon ko lay ker chalay,
Wo jo saye main har maslihat kay palay;
Aisay dastoor ko,
Subh e bay noor ko,
Main nahi maanta,
Main nahi jaanta.

Main bhee kha’if naheen takhta e daar say,
Main bhee Mansoor hoon, keh do aghyaar say,
Kyun daraatay ho zindaan ki divar say,
Zulm ki baat ko,
Jehel ki raat ko,
Main nahi maanta,
Main nahi jaanta.

Phool shaakhon pay khilnay lagay tum kaho,
Jaam rindon ko milnay lagay tum kaho,
Chak seenon kay silnay lagay tum kaho,
Iss khulay jhoot ko,
Zehan ki loot ko,
Main nahi maanta,
Main nahi jaanta.

Tum nay loota hai sadyon hamara sakoon,
Ab na hum per chalay ga tumhara fasoon,
Chara gar main tumhain kiss tara say kahoon?
Tum naheen charaagar,
Koi maanay magar,
Main nahi maanta,
Main nahi jaanta.

Mein tanha tha ?Magar kal shab

Mein tanha tha ?
Magar kal shab ?
meri awaargi ….. achi lagi mujh ko ?
mery humraah thak kar saans leti ?
ik nad…… achi lagi mujh ko ?
udasi aordhti shakhon say lamhon ki tarha ?
jhartay huay pattay …….?
shgoofon ki bujhi khushboo?
hawa ki chal-e-awara…..?
fiza ka bankpan ….. pehlay huay malboos-e-bekhwabi?
gali kochon mein qehat -e-shor-e-dildaraN?
sitaron ki quba mein ….. teergi k be sabab tankay?
khala sunsaan!!!!!!!?
jesay maqtlon mein nachtay …. be an’nt sannatay ke ?
lau jhankay,,,,,,,,?
brahna paidr , jesay estaadi pathron ka halqa-e-matam?
mein tanha tha ?
magar kal shab ?
firaq-e-yaar ki rut say galay milti khizaN ki “saadgi achi”?

Bohat achi lagi mujh ko…?

Yeh Raat Yeh Tanhai

Yeh Raat Yeh Tanhai
Yeh Dil Ke Dharkne Ki
Awaz Aur Sannata
Yeh Dobtay Taroo Ki
Khamosh Ghazzal Khawani

Yeh Waqat Ki Palkoon Per
Soti Howi Veirani
Jazbat-E-Mohabbat Ki
Yeh Akhri Angrai

Bajti Howi Her Janib
Yeh Moat Ki Shahnaei
Sab Tum Ko Bolatay Hain
Pal Bher Ko Tum Aa Jaoo

Band Hoti Meri Aankhoon Main
Apni Mohabbat Ka
Ek Khawab Saja Jaoo
Ek Baar Tum Aa Jaoo..!

Paikar Tha Wafa Ka Mohabbat Ka Khuda Tha

Paikar Tha Wafa Ka Mohabbat Ka Khuda Tha
Woh Shakhss Zamaney Mein Sab Se Hi Juda Tha,

Chahat Ke Khazaney They Har Lafz Mein Us Ke,
Daaman Mera Us Ne Duaaon Se Bhar Tha,

Mujh Ko Nahin Dekha Karri Dhoop Ne Chu Kar,
Baba Mera Duniya Main Mujhe Aesa Jo Mila Tha,

Fikrain Na Zamaney Ki Kabhi Paas Bhi Ayin,
Hard Dard Meri Hasti Se Dartaa Hi Raha Tha,

Jab Taka Raha Saanson Ka Basera Mere Baba,
Tab Tak Main Ghamon Se Bachta Hi Raha Tha,

Us Shaam Ki Hiddat Mere Dil Se Nahin Jati,
Jis Shaam Tera Saaya Mere Sar Se Utha Tha..

Judaa Bhi Honay Ka Andheshaa Seh Nahin Saktey

Judaa Bhi Honay Ka Andheshaa Seh Nahin Saktey,
Hum Aik Sheher Mein Ab Khush Bhi Reh Nahin Saktey,

Yeh Roz-O-Shab Hain Hamarey Ke Aik Dusrey Se,
Chupaye Phirtey Hain Ehwaal, Keh Nahin Saktey,

Shakist-E-Zaat Ka Izhaar Chahtey Bhi Nahin,
Ajeeb Haal Hai, Hum Chup Bhi Reh Nahin Saktey,

Haqeeqton Ki Chattanain Bhi Apni Raah Main Hain,
Khayal-O-Khawb Ke Daryaa Main Beh Nahin Saktey,

Woh Be’qasoor Hai, Aesi Bhi Koi Baat Nahin,
Qasoor’waar Hain Hum, Yeh Bhi Keh Nahin Saktey..

Kal yeh likhti theen bicharna tumhe manzoor nahin

Kal yeh likhti theen bicharna tumhe manzoor nahin
Ab yeh kehti ho “mere khat mujhe wapis kar do”,
Main safaayi koi doon ga na wazaahat doon ga,
Tum ko wapis main tumhari yeh amaanat doon ga,
Phir kabhi tumse na milney ki zamanat doon ga,
Bas tumhe tark-e-marasim pe yeh zehmat doon ga,
Tum ho bechain to mein bhi koi masroor nahin,
Kal yeh likhti theen bicharna tumhe manzoor nahin,
Ab yeh kehti ho “mere khat mujhe wapis kar do”..

Tum ne Hi Majboor Kiya Hai

Tum ne Hi Majboor Kiya Hai
Mujh ko Raah Badalney Par
Jeewan ke Be-Ant Safar mein
Ghair ka Ho kar Chalney Par
Main ne Tumhari Aashaaoo'n ka
Har har Roop Saraaha tha
Main ne Apna Aap Bhula kar
Tum ko toot ke Chaha tha
Umar ki Ujli Deewaroo'n par
Qismat Ka Anshyaara tha
Aur Bohat they Sooraj lakin
Tum sa Charaagh hi Payaara tha
Lakin Tum hi Merey Maseeha
Nafrat ke Saanchey mein Dhal Kar
Ik Din Merey Saamney Aa gey
Qatil ka Behroop Badal Kar
Ab kya Shikwa , Kaisi Shikaayet
Chahat ke Sab Rishtey Kachey
Main bhi Aur Tum bhi Harjaayi
Main bhi theek aur Tum bhi Sachey

Matt Iss Khaab ke Peechey Bhaago

Matt Iss Khaab ke Peechey Bhaago
Pathar Ban kar Reh Jao Gi
Taiz Bohat hai Waqt ka Darya
Tum bhi iss mein Beh Jao gi
Yeh Nashter jai Ruswaayi
Bolo, Kaise Seh Pao gi
Kya Bachoo'n jaisi Baatoo'n se
Tum Sab ko Behla sakti ho ?
Kya Tum apney Mann ki Mantaq
Dunya ko Samjha Sakti ho ?
Khaaboo'n jaisi Baatein kar ke
Kya Taabeerein Pa sakti ho ?
Baap ki Shafqat , Maa'n ki Mamta
Kya Sach Much Thukra sakti ho ?
Jis Ghar mein Parwaan charhi Tum
Uss ko Chor ke aa Sakti ho Tum ?
Aisi Baatein Na Mymkin hain
Bus Tum Apni Tanhayi mein
Hija'r ke Geet hi Ga Sakti ho !

Door Ufaq ki Taareeki mein

Door Ufaq ki Taareeki mein
Bijli Jab Bhi Lehraati hai
Shama Jalaatey Lamhey Aksar
Kamrey ke Ghup Andhyaarey mein
Pehli Mohabbat Yaad Aati Hai
Auto-Graph Tal'b karney Jab
Koi Haseena Ghar Aati Hai
Bari bari Aankhoo'n se jab Woh
Dekh ke Mujh ko Sharmaati Hai
Mazi mein Kho Jata hoo'n Main
Pehli Mohabbat Yaad Aati hai
Shaam Khizaa'n Jab Tanha Tanha
Baagh mein Sair ko Jaata hoo'n
Kisi Udaas si Larki ko Jab
Bench pe Tanha Pata hoo'n
Janey Kyon Yaad Aa Jata hai
Aik Khizaa'n ki Shaam ka Manzar
Jab Ham Dono Judaa Huye They !

Agar kuch Qeemti Lamhey Nikal Aayein kisi Soorat

Agar kuch Qeemti Lamhey Nikal Aayein kisi Soorat
Chalo, Iss Dil ki Khatir Ham bhi kuch Kaam kar Jaayein

Kayi Shaamein Ganwa di hain Gham-e-Haalaat mein Ham ne
Tumharey Naam Ik Sundar Suhaani Shaam Kar Jayein

Seenay Se Is Terha Ye Dil-e-Natwan Gaya

Seenay Se Is Terha Ye Dil-e-Natwan Gaya
Ham Sab Se Pochtay Rahay Aakhir Kahan Gaya

Dil Ka Safar Hay Aur,Ye Qadmon Ki Chaal Aur
Hum Ho K Aa Gaye To Wahan Kaarwan Gaya

Aisi Pari Woh Mujh Pe Ebadat-Shikan Nigaah
Sajda Gaya, Namaz Gayi, Aastan Gaya

Jangal Mein Is Terha Ki Udaasi Kabhi Na Thii
Ay Kaarwan Thehar, Mera Sathi Kahan Gaya

Sab Mujh Ko Sun Rahy They Bare Inhamaak Se
Boli Woh Aankh Kya, Mera Zor-e-Bayan Gaya

Rashid Wo Aik Shakhs Tha Duniya Mery Liye
Wo Kya Gaya K Sara Hi Rang-e-Jaahan Gaya

Popular Posts