Monday, July 12, 2010

Meri hayat-e-rawan ko tamam kar dala


Meri hayat-e-rawan ko tamam kar dala
hawa ke aik hi jhaunke ne kaam kar dala

men chal raha tha umangon ke walwale le kar
kisi ki yaad ne jeena haram kar dala

Azeem kaam the mere jawansali mein
mayan-e-rah mein qissa tamam kar dala

chalan ke khas zawabit the umre rafta men
shajar se toot para be-lagam kar dala

dabow diya tha ghamon mein dil-e-shikasta ko
kabhi jo khas tha us dil ko aam kara dala

Dil Purr Shook Ko Pehloo Mein Dab-baey Rakha


Dil Purr Shook Ko Pehloo Mein Dab-baey Rakha
Tujh Se Bhii Hum Ney Teraa Piyar Chupaey Rakha

Choorrh Uss Baat Ko Aey Dosst Keh Tujh Sey Pehlay
Hum Ney Kis Kis Ko Khayaloon Mein Bassaey Rakha

Ghaeir Mumkin Thi Zamaney Kay Ghamoon Sey Furssat
Phir Bhii Hum Ney Teraa Gham Dil Mein Bassaey Rakha

Phool Ko Phool Na Kehtey To Ussey Kiya Kehtey
Kiya Howaa Ghair Ney Kaaler Pey Sajjey Rakha

Janey Kis Haal mein hein Koun Sey Shahroon Mein Hein Woh
Zindagii Apni Jinhein Hum Ney Bannaeey Rakha

Haey Kiya Loog They Woh Parri Chehraa Loog
Hum Ney Jin Kay Liye Duniya Koo Bhulaey Rakha

Abb Milain Bhii To Na Pehchaan Sakein Hum Unn Koo
Jin Ko Ik Umer Khayaloon Mein Bassaey Rakha

Rezah rezah hogaya hai, aeena



Rezah rezah hogaya hai, aeena
aks phir bhi dey raha hai, aeena


har nazar ke baad hota hai, aeena
yeh tu koi doosra hai, aeena


aks hai ya aks ka ehsaas hai
kash makash mein mubtla hai, aeena


janey kaisey,in ke, merey darmiyaan
ek talaqaat ban gaya hai, aeena


mujhko, mujh par munkashaf kaisey karey
khudko kitna janta hai, aeena


kon apney aap se hai, hum kalaam
jagmagaata jaraha hai, aeena


goom hoey hain, atibaaraat-e-nazar
dhoop mein rakha howa hai, aeena

Meri mohabbat ki bas itni si kahani hai



Meri mohabbat ki bas itni si kahani hai
Dard main doobi hui yeh zindagani hai

Rista hai zakhm ban ke aankh ka aansu
Rooh par jafaaon ki gehri nishaani hai

Saansen hain lekin dhadkanen nahin hain
Lahu thama sa hai, na koi ravaani hai

Kho diya jisne umar bhar ka sukoon
Muskurati hai phir bhi, ladki deewani hai !!

haraa shajar na sahii, khushq ghaas rahne de



haraa shajar na sahii, khushq ghaas rahne de
zamiiN ke jism par koee libaas rahne de

kahiiN na raah meN sooraj ka qahr TooT paRhe
too apnee yaad mere aas-paas rahne de

bikhar chuke haiN samaa'at ke talkh shiiraaze
ab apne laboN kee mithaas rahne de

vo dekh dhah chukiiN vaham-o-ghum kii diivaareN
yakeen cheekh rahaa hai, kiyaas rahne de

baRhaa lateef aNdheraa hai, raushanii na jalaa
aroos-e-shab ko abhee khush-libaas rahne de

tasvvuraat ke lamhon kee kadr kar pyaare
jaraa see der to khud ko udaas rahne de

teri Rehmaton Kay Diyar Main Tere Badlon Ko Pata Nahi


teri Rehmaton Kay Diyar Main Tere Badlon Ko Pata Nahi
abhi Aag Sard Nahi Hui Abhi Ek Alaoo Bhujha Nahi

Gham-e-zindagi Teri Rah Main Shab-e-arzoo Teri Chah Main
Jo Ujarh Gaya Woh Basa Nahi Jo Bichad Gaya Woh Mila Nahi

Jo Dil-o-nazar Ka Saroor Tha Mere Pass Reh Kay Bhi Door Tha
Wohi Ek Ghulab Umeed Ka Meri Shakh-e-jan Pe Khila Nahi

Mera Humsafar Jo Ajeeb Hai Tu Ajeeb Tar Hoon Mein Ap Bhi
Mujhay Manziloon Ki Khabar Nahi Ausay Raston Ka Pata Nahi

raah aasaan ho gayee hogi jaan pehchan ho gayee hogi


raah aasaan ho gayee hogi
jaan pehchan ho gayee hogi

phir palat kar nigaah nahin aayee
tujh pe qurabaan ho gayee hogi

teri zulfon ko chhairti thi sabaa
Khud pareshaa ho gayee hogi

maut se tere dard_mandon ki
mushkil aasaan ho gayee hogi

un se bhi chhin loge yaad apani
jin ka imaan ho gayee hogi

dil ki taskin puchhate hain aap
haan meri jaan ho gayee hogi

humarey Saffar Mein humarey Sath Bas Dil-jalli Sii Fiza Nahi


hUmarey Saffar Mein hUmarey Sath Bas Dil-jAlli Sii Fiza Nahi
Kuch TiShnagii Kii Sa'atien Kuch UdaaSiyOun Key Lamhey Bhi hAin

hUmien ROzgaar e Hayaat Ney Kaii MajbOoriyOun Mein Jakar Diya
So Yeh WajOod tO Apni Jaga Sahii Par Zindgii Sey Gilley Bhi hAin

hUmien Dey Key hOsh e Aagahii yOun Sapurd e Aazaab Kiya K hUm
FaQt PhOol Ban Kar Khilley Nahi ChiRagh Ban Kar jAlley Bhi hAin

Teray InteZar Mein Raat Bhar hUm Shamma Key Sath ROye Bhii
Chaand Key Sath Jagey Bhi Aur SOoraj Key Sath Dhaley Bhi hAin

dUaien Bhi Kii bOhet Magar tUjhey dhOondney Key WaaStey
Sang Chaak e Gir e Baan Key hUm Khaar Khaar Chaley Bhi hAin

hUmien QiSmatOun Kii Kitaab Key Har Baab Sey hAin Shikayatien
hUm Ney tO Suna Tha In Mein Sab bUrey Nahi Kuch Bhaley Bhi hAin

Is dAsht e jUnOon Key Haath Sey BaChaye Rakhey Sabhi kO RAAB
wO Azaab jO tOo Ney FaQt Suney wO Azaab hUm kO Milley Bhi hAin

Apnay khawboon mein kahiN mera guzar rahne do


Apnay khawboon mein kahiN mera guzar rahne do..
apni ankhon mein kahiN mera seher rehney do...


dhiyaan key taaq sey yadoon ko hata do
lakin in kitabooN main kahiN mera asar rehney doo...


apni palkoon pe sajatee ho jinhein pichley peher
un sitarooN main kahiN mera safar rehney doo..


apney lehjay sey mita do meri khushboo chahey
apni batooN mEin kahiN mera ziker rehney do..


sab sitarooN key kai chand or suraj hain
in qataarooN mein kahin mera qamar rehney do...


ik naya sheher basa lo dil-e-barbad mein tum
apni rahoN mein kahiN mera nagar rehney do".

Wo apnay ghar chala gya afsos mat karo


Wo apnay ghar chala gya afsos mat karo
itna hi us ka sath tha afsos mat karo

insan apnay aap mein majboor hay bohat
koi nahi hay bewafa afsos mat karo

is baar tum ko aanay mein kuch dair ho gaee
thak haar kay wo sogya afsos mat karo

dunya mein aur chahnay walay bhi hein bohat
jo hona tha so hogya afsos mat karo

is zindagi kay mujh pay kaee qarz hein magar
mein jald lot aoon ga afsos mat karo

ye dekho phir se aagaein phoolon pay titliyan
ik roz wo bhi aiga afsos mat karo

wo tum se aaj door hay kal paas aiga
phir se khuda milaiga afsos mat karo

bekar gee pay bojh liye phir rahay ho tum
dil hay tumhara phool sa afsos mat karo

Jo Dil Ney Kahi Lab Pey Khaan Aaii hAi DekhO



Jo Dil Ney Kahi Lab Pey Khaan Aaii hAi DekhO
Ab Mehfil e Yaraan Mein Bhi tAnhAii hAi DekhO


PhOolOun Sey Hawa Bhi Kabhi GhabRaii hAi DekhO
GhUnchOun Sey Bhi Shabnam Kabhi Katraii hAi DekhO


Ab ZOuq e Talab e JanOon Thehar Gya hAi
Aur Arz e Waffa Baais e RuSwaiii hAi DekhO


Gham Apney Hii AshkOun Ka Khareedar hUa hAi
Dil Apni Hii HAllet Ka tAmAShaii hAi DekhO

main ney wada nibhaya hai liya tha aik wada tum ney mujh sey



main ney wada nibhaya hai
liya tha aik wada tum ney mujh sey
hamaysha khush hi rehna hai to dekho
dekh lo aa kar!!!
meri aankhon ko dekho tum
yeh kitni shokh lagti hain
meray hontoN ko dekho tum
hamesha muskuratay hain
koi bhi ghum agar aaya
ussey hans ker saha main ney
meray chahray ko dekho tum
hamesha pur sakoon ho gha
to phir socho ghay...!!!
kiya tha jo wada maine tum sey woh kar diya poora
magar ik baat phir bhi hai!!!
kabhi jo waqt mil jaaye
to meri shairi parhna
tumhain mehsoos to ho gha
kahin talkhi bhara jumla
kahin pay sard sa lehja
kahin pay dard ki jheelai'n
kahin lehjay ki karwahat
suno...!!!
main khush to hoon lekin
"laho har lafz rota hai...!!!

Kisi Ko hUm Sey hAin Chund Shikwey Kisi Ko Be-Had Shikayatien hAin


Kisi Ko hUm Sey hAin Chund Shikwey Kisi Ko Be-Had Shikayatien hAin
hUmarey Hissey Main Sirf Apni Safaiyaan hAin WaZahatien hAin

Qadam Qadam Par Badal Rhey hAin mUSaafirOun Kii Talab RaStey
HawaOun Jaisi mOhabbatien hAin SadaOun Jaisi RafaQatien hAin

Kisi Ka MaQrOoz Main Nahi Par Meray GireyBaan Pey Haath Sab Key
kOii Meri ChahatOun Ka dUShman Kisi Ko Darkaar Chahatien hAin

Teri jUdaii Key Kitny SOoraj Ufaq Pey dOobey Magar Abhi Tak
KhaliSh hAi Pehley Din Sey LahOo Mein Waisi Hii WehShatien hAin

Meri mOhabbat Key Raazaan Ney Yeh Keh Key lOuta Dia Mera Khatt
K Bheegii Bheegii Sii AanSOoun Mein Tamam Gunjalak Ibaratien hAin

Main dOoSrOun Kii KhUShii Kii Khatir Ghubaar Ban Kar Bikhar Gya hOn
Magar Kisi Ney Yeh HAq Na Maana K Meri Bhi Kuch ZarOoratien hAin

Khawab Jhoote Kisi Ko Dikhaya Nahi Karte


Khawab Jhoote Kisi Ko Dikhaya Nahi Karte
Mere Dost! Yun Kisi Ko Satya Nahi Karte

Ek Baar Yun Kisi Ko Keh Ker Apna
Daman Phir Us Se Churaya Nahi Karte

Us ke Intezaar Se Bhala Kya Ho Ga Haasil
Aane Ka Keh Kar Bhi Jo Aya Nahi Karte

Rakhte Hon Jo Dard Bhara Dil Apne Seene main
Dosron Ka Dil Phir Woh Dukhaya Nahi Karte

Do Qadam Saath Chal Ker Jo Judda Ho Jayen
Aise Logon Ko To Humsafar Banaya Nahi Karte

Kis Tarhan Guzarti Ho Gi Zindagi Unnnnn ki
Pehli MOHABBAT Ko Jo Dil Se Bhulaya Nahi Karte

Sang-dil hai wo to kyun us ka gila main ne kiya


Sang-dil hai wo to kyun us ka gila main ne kiya
Jab k khud pathar ko but,but ko khuda main ne kiya

Kaise na-maanoos lafzoN ki kahaani tha wo shakhs
Uss ko kitni mushkiloN se tarjuma main ne kiya

Wo meri pehli mohabbat,wo meri pehli shikast
Phir to paimaan-e-wafa sau martaba main ne kiya

Hun saza-vaar-e-saza kyun jab muqaddar mein mere
Jo bhi uss jaan-e-jahaaN ne likh diya,main ne kiya

Wo THeherta kya k guzra tak nahiN jis k liye
Ghar to ghar har raasta aaraasta main ne kiya

Mujh pe apna jurm saabit ho na ho lekin FARAZ
Loag kehte hain k uss ko bewafa main ne kiya

Jab Pyaar Ki baat Adhoori Ho


Jab Pyaar Ki baat Adhoori Ho.
Jab Beech Main Thori Doori Ho..
Jab Milna Bohat Zaroori..
Per Milne Main Majboori Ho..
Tum Dil Main Yaad Jaga Lena..
Kuch Pyaar Ke Deep Jala Lena..
Jab Mujh Say Milny aa na Sako..
Aur Yaad Say Bahir Ja Na Sako..
Thora Dil Ko Samjha Lena..
Bus Yaad Say Dil Behla Lena..

Main so’un to khawabon main ho tum



Main so’un to khawabon main ho tum
Main jagoon to mere khyalon main ho tum


Main nazar uthaoon to meri ankhon main ho tum
Main chaloon to meri manzil ho tum



Main likhoon to mera qalam ho tum
Main parhoon to meri ghazal ho tum



Main gungunaoon to mera geet ho tum
Main sunaoon to meri dastaan ho tum



Main dhoop main hoon to mera saibaan ho tum
Main raat main hoon to meri sahar ho tum



Main sochoon to mera khayaal ho tum
Main mangoon to meri DUA ho tum

Tairay HontooN Pe Sajj Jaon Dua Honay Ko G Chahay


Tairay HontooN Pe Sajj Jaon Dua Honay Ko G Chahay
Maira Duniya Bhulla Ker Bass Taira Honay Ko G Chahay

Tu Mairay Roothnay Per Iss Tarah Mujh Ko Manati Hai
Kabhi Tu Baiwaja Tujh Se Khaffa Honay Ko G Chahay

Kabhi Tujh Se Millay Bin Zindagi Veeran Lagti Hai
Kabhi Tujh Se Bichrnay KoJuda Honay Ko G Chahay

Yun Sab K Samnay Athkayliyan Kerti Hai Yeh Tujh se
K Maira Bay-irrada Hee Hawa Honay Ko G Chahay

Agar AansOo Baha Daita To Us Key Pass Kya Rehta


Agar AansOo Baha Daita To Us Key Pass Kya Rehta?
Wo mUjh Ko hOsla Daia To Us Key Pass Kya Rehta?


NiShaan mUjh Ko Nahi Milta kOii Us Tak POhanChney Ka
mUjhey Apna Patta Daita To Us Key Pass Kya Rehta?

Wo Is Maan Mein Tha K Jis Key Dam Par Ab Wo Zindga hAi
Main Us Ka Dil dUkha Daita To Us Key Pass Kya Rehta?

mUSafir Sarey Hii Phall Kha Key Apnii Raah Chal dAitey
Shajar Tehnii jhUkka Daita To Us Key Pass Kya Rehta?

Meri YaadOun Ney Hii Ab Tak Usey Aabad Rakha hAi
Wo mUjh Ko Bhi bhUlla dAita To Us Key Pass Kya Rehta?

tumhari ankhei'n kehti hai'n hisaar-e-zaat se niklo


tumhari ankhei'n kehti hai'n hisaar-e-zaat se niklo

tamanna meri bann jao shab-e-berbaad se niklo
kinara tham lo dil ka bhula do her gila shikwa

kabhi sachi hansi hans do'purani yaad se niklo
khal-e-yaar acha hai mager jis ne wafa na ki

palat ker phir sada na do, dar-e-feryad se niklo
nahi koi mohabbat bhi,hijar rutt bhi, raqabat bhi

to yeh dharka sa kiya kahiye, wehem ki ghat se niklo
sukhan war hum se kehta hai saja lo ankh mein kuch khwab

dharakna dil ko sikhla do, amawas raat se niklo
nahi tum ko gawara ab hamara qurb to keh do

hamare karb ki choro, tum is gardaab se niklo
sar-e-maqtal jo jate ho, na ho dermandgi kuch bhi

zamana deikh thamm jaye kuch is andaaz se niklo

BAAD MARNE KE MERI QABER KO SAJAYE RAKHNA

BAAD MARNE KE MERI QABER KO SAJAYE RAKHNA
MAIN LOT KAR NA AAONGI BAS APNA KHAYAAL RAKHNA

APNE HAATON KI LAKEERON KO NA MITNE DAINA
AGAR HU SAKE TU MERI QABER PER SHAMMA JALAYE RAKHNA

MERI YAAD ME APNI AANKHO KO NA NAM HUNE DAINA
MERI JAN TUM IN MAIN SADA KAJOL LAGAYE RAKHNA

KABHI YAAD JO AJAOO ME TUMHE TANHAI MAIN
KHATOON KO MEREY PARH KAR MERI MUHABBAT KO AZMAYE RAKHNA

MERI BAATON KO BAY SHAK APNE DIL SE NIKAL DAINA
LAIKIN MEREY NAAM KO APNE NAAM KAY SATH LAGAYE RAKHNA

HUM TU NA BAN SAKE TEREY SINE KI DHARKAN
APNE NAYE HUMSAFER KO APNI BAHOON MAIN SULAYE RAKHNA

SABA GUL TU MIL GAI HAI MITTI KAY SATH
IS MITTI KO APNI DEWARO PER SAJAYE RAKHNA


KABHI YAAD JO AJAOO ME TUMHE TANHAI MAIN
KHATOON KO MEREY PARH KAR MERI MUHABBAT KO AZMAYE RAKHNA

MERI BAATON KO BAY SHAK APNE DIL SE NIKAL DAINA
LAIKIN MEREY NAAM KO APNE NAAM KAY SATH LAGAYE RAKHNA

her kadam zahmatien her kadam uljanien


her kadam zahmatien her kadam uljanien
zindagi waqaf hai dard-e-sar ke leay
pehlay apnay hi darman ka gham tha humien
ab doaa chahieya charagar ke leay
riagaan kiejea app sajday meray
mera kia hai mein utteh ker chala jaoun ga
kal kahien app hi ko na kehna peray
ik jabeen chahieya sang-e-dar ke leay
un ki mehfil mein bhi kia mila hai humien
aur kuch baragh gien dil ki majborian
sab ki janib rahie woh negh-e-karam
hum tarastay rahay ek nazar ke leay

Aik pasheman si hasrat say mujhe sochta hay


Aik pasheman si hasrat say mujhe sochta hay
Ab wohi sheher muhabat Say Mujhe Sochta Hay

Main to mehdood say lamhon main mili thi us ko
Phir bhi wo kitni wazahat say mujhe sochta Hay

Jis nay socha hi na tha hijar ka mumkin hona
Dukh main dobi hoye herat say Mujhe sochta Hay

Main to mar jao'on agar sochnay ag Ja'on usay
Aur woh kitni saholat Say mujhe Sochta Hay

Garcha ab turk-e-marasim ko bohat dair Hoye
Ab woh meri ijazat say Mujhe sochta Hay

Kitna khush fehem hay wo shakhs k her mosam main
Aik naye rukh nayi surat say mujhe sochta hay

kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch


kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch

wo kis adaa se merey saamnay se guzraa abhi
kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch

waqat jo badley to insaan badal jaatey hain
kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch

wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui
kis tarhan usney chudaya hai mujh se haath na pooch

Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaai hai mainey maat na pooch

ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch

bhula diye hain tere gham ne dukh zamane ke


bhula diye hain tere gham ne dukh zamane ke
khuda nahi tha to patthar ki moortein thi bahut

pattharon se to chale aaye hain bach ker lekin
dil ko hai khuaf ke phoolon se kuchle jayenge

rang la ker hi raha akhir mera zauq junoon
raiza hoon magar patthar se takrata hoon mein

mai jis ke haath mein aik phool de ker aaya tha
ussi ke haath ka patthar meri talash mein hai

phool sajaein daman mein yeh zakhmon ki pehchan nahin
jo na kisi ka dukh bante woh pathar hai insan nahi

yun hi tameer hote rahe ager sheesh mahal
ik din shaher ki har raah mein patthar honge

mana ke chup rehne se pagal pan barh jaata hai
patthar ke iss shaher mein koun kisi se baat kare

zalim tha aur zulm ki aadat bhi bhut thi



zalim tha aur zulm ki aadat bhi bhut thi,
majboor thy hum us se mohabat bhi bhut thi,

uske sitam seh k dikha diya hum ne,
go apni tabiyat mein baghawat bhi bhut thi,

waqif hi na tha ramz e mohabat se wo warna,
dil k liye thori si inayat bhi bhut thi,

yun hi nahi mashoor e zamana mera qatil,
us shakhs ko iss mein maharat bhi bohat thi

her qadam gurezan tha,her nazer main wehshat thi


her qadam gurezan tha,her nazer main wehshat thi
muslehat perastoon ki rehbary qiamat thi

munzil-e-tamana tak kon sath deta hai !
gerd-e- saye la hasil her sefer ki qismat thi

aap hi bigerta tha , aap mun bhi jata tha
is gurez pelo ko ye ajeeb adat thi

is ne hal poocha to yad hi na ata tha!
kis ko kis se shikwa tha, kis se kia shikayat thi

dasht main hawaon ki berukhi ne mara hai
sher main zamane ki pooch guch se wehshat thi

youn to din dahare log loot lete hain
lekin in nigahoon ki our hi siyasat thi

hijer ka zamana bhi kia ghazab zamana tha
aankh main samunder tha, dheyan main wo sorat thi

Dard ki raah hai har taraf hai andhere


Dard ki raah hai
har taraf hai andhere koi raasta bhi nahin?
Hum ne apno se hi chot aisi khai hai
baat gairo ki hoti to dil yeh tadpta bhi nahin?
robaro baitha hai koi apna magar apna bhi nahin?
Jiski khatir hum aaye the akele yaha tak
Raaste bhar main uska koi nishan bhi nahin?
Ajnabee hai yeh shair ajnabee hai yeh log
Mera apna jo yaha chopa hai WO dikhta bhi nahin?
Hum akele chale to koi saath na tha
Teri hasrat kare ruswa mujhe
Raaz aisa hai ke chupta bhi nahin?
Itne gham sine main hum ne chupai hai
Ke ab aasoo bhi sukha hai jo barasta bhi nahin?

Mujhe acha sa lagta hai tumhare sang sang chalna


Mujhe acha sa lagta hai,

tumhare sang sang chalna,

wafa ki agg main jalna,

tumhein naraaz kar dene,

kabhi khud bhi roth jana,

tumhari be rukhi per bhi tumhari arzoo karna,

khud apni dil ki dharkan se tumhari guftugu karna,

Mujhe acha sa lagta hai
Bohat acha sa lagta hai..

tumhi ko dekhte rehna,

tumhi ko sochte rehna,

bohut gehry khayalon main,

jawabon main, sawalon main,

muhabbat k hawalon main,

tumhara naam ajana,

Mujhe acha sa lagta hai

Umr beeti hai jinhain hijr ki pemaish main


Umr beeti hai jinhain hijr ki pemaish main
Hum syah bakht, teray faasla bardaar, musafir shab kay
Raat aati hai to chal pertay hain
Bay baha sulagi hui yaad kay angaaron per
Rooh bersaat main bharki hui aatish hai keh bujhti hi nahin
Raat aati hai to gir pertay hain
Teray undoh ki num ghaaron main
Kon ab aa kay nikalay humain
Kon tehraaye ga bikhray huay pat'ton kay naseeb
Hum jo ronday huay raston ki tarah
Aah bhi bhartay huay dartay hain
Jaanay phir konsi veerani guzar jaye achanak kisi veerani say
Hum jo thithkay huay bachon ki tarah
Sans bhi letay hua mertay hain
Zindagani kisi murjhaye huay dil ki tarah
Sog kay kapray main lipti hui bevah hai koi
Koi dum bhar bhi thehertay hai kisi aas ki chaon (shade) main to ro perti hai
Aur hum phir say nikal pertay hain
Hum syah bakht, teray faasla bardaa, musafir shab kay
Umr beeti hai jinhain hijr ki pemaish main
Raat aati hai to chal pertay hain

Akailey Pan Ki Aziyet Ko Shumaar Karna Bhe Seekh Lo Gey


Akailey Pan Ki Aziyet Ko ShUmaar Karna Bhe Seekh Lo Gey
Karo Gey Ulfat To ROz Jeena Yeh ROz Marna Bhe Seekh Lo Gey

kOii Irada Abhi Takhyul Mein PhOol Ban Key Mehak Rha hAi
Jab AaSmaan Ney Mizaaj Badla To Phir BiKharna Bhe Seekh Lo Gey

mOhabbatOun Key Yeh Sarey RaStey Hi Sehal Lagtey hAn Ibtada Mein
tUj Aaj Chal To Rhey Ho Lekin Kahien Theharna Bhe Seekh Lo Gey

Kisi KhaliSh Sey Fraib Kha Kar tUm Apney Jewan Key RaStOun Sey
Nazar Badaltii hOii rUtOun Kii Tarha gUzarna Bhe Seekh Lo Gey

Khumar e Qurbat Key KhUd FaramOsh mOSamOun Mein yOun Hi AChanak
tUm Apni HaStii Kii jAan PehChaan Sey mUkarna Bhe Seekh Lo Gey

Yeh WaSl Ka Be-Sabat mOusam jUdiayOun Ko Sadaien Dey Ga
"HaSan" Zara dAir Zinda Rehney Key Baad Marna Bhe Seekh Lo Gey

Ye Raakh Raakh Ruttein, Apni Raat Ki Qismat


Ye Raakh Raakh Ruttein, Apni Raat Ki Qismat
Tum Apni Neend Bujhaao, Tum Apnay Khuaab Chuno
Bikherti Doobti Nabzoon Pe Dhiyaan Kiya Dena
Tum Apnay Dil Main Dharaktay Hovay Haroof Suno
Tumharay Shehar Ki GaliyooN Main Sail-E-Rang Bakhair
Tumharay Naqsh-E-Qadam Phool Phool Khiltay Rahien
Woh Rahguzar Jahan Tum Lamha Bhar Thehar Kay Chalo
Wahan Pe Abar Jhukein, Aasmaan Miltey Rahien
NahiN Zaroori Kay Har Ajnabi Ki Baat Suno
Har Aik Sadaa Pe Dharakna Bhi Dil Ka Farz Nahin
Sukoot-E-Hulqa-E-Zanjeer-E-Darr Bhi KiyoN Tootay
Sabaa Ka Saath Nibhaana Junoon Ka Qarz Nahin
Hum Aisay Log Bohat HaiN Jo Sochtay Hi Nahin
Kay Umer Kaisey Kati, Kis Kay Saath Beet Gayee
Hamari Tushna-Labi Ka Mizaaj Kiya Jaanay
Kay Fasal-E-Bakhshish-E- Moj-E-Furaat Beet Gayee
Ye Aik Pal Tha Jissay Tu Nay Nooch Dala Hay
Woh Aik Sadii Thee Jo Bay-Iltifaat Beet Gayee
Hamari Aankh Lahoo Hay, Tumhein Khaber Hogi
Chiraagh Khud Se Bujha Hay Kay Raat Beet Gayee

Ye shaam shaam zindagi


Udas hogaya safar
Khili hoi kali bhi ro pari lab-e-hisar-e-gham
Fishar-e-gham bata gaya
Khayal kham zindagi
Ye subha subha mout si
Ye sham sham zindagi
Ye bam bam zindagi
Khud aagahi ka shouq bhi hai
Dhiyaan main racha hua
Tou bayhisii ka ranj bhi
Naseeb main basa hua
Ye baybasi ye baybasi
Ye ashq ashq maykashi
Thathak thathak gaya sama
Khamoshiyan khamoshiyan
Kisi k rukh per ak pall bhi tiktiki
Na jam saki
Baras gai jo chashm-e-dill
Tou dill say bhi na tham saki
Shab-e-panah aaah main na jaany kab
Badal gai
Subuk subuk sadaye dill
Chanan chanan radaye dill
Hawa hawa khayal sab
Juda juda malal sab
Khuda khuda sawal sab
Kabhi tou shah zindagi kabhi ghulam zindagi
Ye subha subha mout si
Ye shaam shaam zindagi
Ye shaam shaam zindagi...........!!

Mujhko shikast-e-dil ka mazaa yaad aa gaya



Mujhko shikast-e-dil ka mazaa yaad aa gaya
tum kyun udaas ho gaye kya yaad aa gaya

Kehne ko zindagi thi bohat mukhtasir magar
KucH yooN hui basar k khudaa yaad aa gaya

barsey baghair hi jo ghataa ghir ke khul gayi
ek bewafa ka ahad-e-wafaa yaad aa gaya

maangengey ab duaa ke ussey bhool jayein hum
lekin jo woh ba-waqt-e-dua yaad aa gaya

hairat hai tumko dekh ke masjid mein aye 'khumaar'
kya baat ho gayi jo khuda yaad aa gaya

Kahani Aaj Mudaat Baad, Meri Ungliyon Ki Naram Poron Per Ruki


Kahani Aaj Mudaat Baad, Meri Ungliyon Ki Naram Poron Per
Ruki Or Muj Say Poucha..
Sakhi, Tuj Say Jo Thora Waqt Maango'n Tu Mujay Day Gi?
Kaha, Main Nay Sahili! Khair Say Ayi Ho Tum
Tu Waqt Kaya Yeh Zindgi Lay Lo
Kahani Deehray Deehray, Soch Kay Kuch Chor Raston Say
Lahoo Main Ais Tarha Utri, Main Hosh Kho Bethi
Kahani Younh Hoi Goyaa
Ager Kacha Ghara Ho Tu Kinara Mil Nahi Sakta
Sakhi, Tu Sohni hai Sohni Ko Doob Jana Hai
Phir Ais Nay Kuch Tuwaqaf Say Kaha Muj Say
Muhbbat Do Jazero'n Per Khari Heeran Khushboo Hai
Wo Khushboo, Jis Ko Ik Dojay Ko Choonay Ki Ijazat Mil Nahi Sakti
Sakhi, Tu Agahi Wali Hai, Jazboo'n Ki Tu Qaydi Ban Gayi Kasay?
Kaha Main Nay, Sahili, Lakh Chaha Main Nay Bach Jaon
Muhbbat Aik Daldal Ki Tarha, Charo'n Taraf Muj Ko Dekhayi Di
Wo Daldal Phelti He Ja Rahi Thi Meri Her Jaanib
Yahan Tak Keh Meri Ankhien Bhi Cheen Lein Muj Say
Zara Socho, Ager Main Bach Bhi Jati Tu Kaha Jati
Kadam Main Nay Uthaye Or Mur Ker Phir Nahi Dheka
Muhbbat Main Nay Kab Ki Yeh Tu Ser Zad Ho Gayi Muj Say
Musalat Ki Gayi Muj Per
Kahani Sun Kay Sari Dastan Boli, Chalo Choro
Maqder Ki Nafi Kerna Kahan Asaan Hota Hai
Sakhi, Tu Sohni Thi, Sohni Ko Doob Jana Tha
Ager Kacha Ghara Ho Tu Kinara Mil Nahi Sakta

ye kyaa ke ek jahaa'n ko karo vaqf-e-iztaraab


ye kyaa ke ek jahaa'n ko karo vaqf-e-iztaraab
ye kyaa ke ek dil ko shakebaa'n na kar sako

aisaa na ho ye dard bane dard-e-laazavaal
aisaa na ho ke tum bhee mudaavaa na kar sako

shaayad tumhein bhee chain na aaye mere baghair
shaayad ye baat tum bhee gavaaraa na kar sako

kyaa jaane phir sitam bhee mayassar ho na ho
kyaa jaane ye karam bhee karo yaa na kar sako

allaah kare jahaa'n ko meree yaad bhool jaaye
allaah kare ke tum kabhee aisaa na kar sako

mere sivaa kisee kee na ho tum ko justajoo
mere sivaa kisee kee tamannaa na kar sako

Dard ki Aah hai Aansuo ke safar main


Dard ki Aah hai Aansuo ke safar main
Ro rahi hai nazar ek bewafa ki fiker main..!!

tod ke dil mera woh to chala bhi gaya
dhoondti hai nazar use har shaam o seher main..!!

yaad tere pyaar ki bahon main leke rote hain
rakhte hain jatan se tera hii dard jigar main..!!

qaid tha dil mein tera hi dard taa-umr ke liye
mar rahi thi har aarzoo dard ke Is safar main..!!

maangte the ek lamha tujhe bhoolne ka zindagi se
per dikh rahi thi maut humein us lamhe ke qeher main..!!

gham khaar raho pe ladkhada rahi thi bebasi meri
cheekhtee reh gaye ye aansoo bhi nazar mein..!!

Dard ki Aah hai Aansuo ke safer main
Ro rahi hai nazar ek bewafa ki fikar main

Kitna sehal jana tha khushbo'on ko choo laina


Kitna sehal jana tha
khushbo'on ko choo laina
barishon k mosam main sham ka har ek manzar
ghar main kaid kar laina
roshni sitaron ki muthyon main bhar laina
kitna sehal jana tha
khushboon ko choo laina
jugno'on ki batoon say phool jaisay angan main
roshni si kar laina
uski yaad ka chehra khawabnak aankhon ki
jheel k gulaboon par deer tak saja rakhna
kitna sehal jana tha
ay nazar ki khush fehmi istarha nahi hota
titliyan pakarnay ko do'or jana parta hai

tum yaad ho to naqsh ho mere havaas par



tum yaad ho to naqsh ho mere havaas par
tum ashk ho to mere dukhooN ka ilaj ho
tum Khuvaab ho to meri in aankhoon maiN ho kaheeeN
tum veham ho to mujhko haqeeqat se kia Gharaz
tum bais-e-safar ho, hunar ki udan ho
tum neend ho to so ke guzaraiN ke yeh hayaat
tum husn ho to mere taKhayyul ki jaan ho
tum raat ho to mujh ko nahi subh ki talab
tum noor ban ke dil maiN samaey ho aaj kal
tum Khaak ho to Khaak_nasheenooN ki ho talash
tum dard ho to rooh pay chaey ho aaj kal
tum dasht ho to maiN bhi musafir hooN dasht ka
tum chand ho to talKh andhairooN ki fikr kia
tum bai_niyaaz ho to zamaney se ho alag
tum rang ho to phir yeh baharooN ka zikr kia
tum bai_samar rutooN maiN baharooN ki ho umeed
tum rah_guzar-e-shouq main jazba junooN ka ho
tum arzoo ho, ahl-e-tamanna ki ho Khalish
tum rat_jagooN ki bheed.r main lamha sukoon ka ho
tum baiwafa rutooN maiN havala ho ishq ka
tum bai_basi ho phir bhi muheet-e-havaas ho
tum ik kiran ho noor-e-azal maiN dhuli hoi
tum tazgee ho, shabnamee pholoon ki aas ho
tum gehrey paniyooN maiN chupey motiyooN ka lams
tum maut ke safar maiN nishan-e-hayaat ho
tum meri chashm-e-num ke sitarooN ki kehkashaaN
tum husn-e-bai_misaal ho, meri kainaat ho
tum jab se ho gaey ho meri dastaras se door
maiN ji raha hooN kyunke zaroori hai zindagi
sansooN ke boojh ko bhi uThaya hai rooh nay
laikin tere baghair adhoree hai zindagi

woh chanchal albeli lerki meri nazmain yun perhti hai

 woh chanchal albeli lerki meri nazmain yun perhti hai
jaisay un nazmon ka mehwar us ki apni zaat nahi hai,


jaisay us ko ilm nahi hai yeh saari baatein ,us ki hain
saari ghaatayen us ki hain
her aahat hai us ki aahat, sab saaye hain us kay saaye
sarey mehmal us k hain
her khushbu hai us ki khushbu, sab chehray hain us kay chehray
saarey aanchal us kay hain

jaisay us ko ilm nahi hai us lerki kay saarey kaam
saarey naam usi kay hain
her khirki hai us ki khirki, sarey baam usi kay hain
us lerki kay naam say jo kuch mai nay apnay naam likha hai
us say hi mansoob hua hai


jab mai nazam sunaata hoon woh aankh churaaney lagti hai
mujh say nazrain mil jaayen to woh shermaaney lagti hai
kuch lamhay woh chanchal lerki gum sum si ho jati hai
lekin thori deir main phir say pather ki ho jati hai
jaisay meri nazam ki lerki !!!!

Raat ki meharban fiza ki tarah


Raat ki meharban fiza ki tarah
koi to dondta hawa ki tarah

ab teri yaad yad ati hai
muj ko bholi hoi qaza ki tarah

kiya koi itna pyaar karta hai
koi hota hai kiya khuda ki tarah

shehar main aap ki zaroorat thi
gum hoa aap b wafa ki tarah

ghonjta hai kabi kabi Farhat
meray andar koi khala ki tarah

koi wada nahi hum main na aapis main bohat batain



koi wada nahi hum main

na aapis main bohat batain

na milne main bohat shuki

na akhir shub manajatain

mager ik an kahi si

jo hum donoon samjhte hain

yeh sare dilruba manazir

talismi chandni ratain

sunehri dhoop k muassam

ya sukh ki barsatain

sabhi ik zid main rehte hain

mujhe peham yeh kehte hain

muhabbat yoon nahi aachi

muhabbat yoon nahi aachi

Koi dhundla sa ik chehra meri ankhon main rehta hai


Koi dhundla sa ik chehra meri ankhon main rehta hai
koi bhatka sa ik JuGnO mere khawabon main rehta hai

ik manoos si awaz mujhay sonay nahin deti
koii uljha sa ik jumla meri yadon main rehta hai

hay kis k shabnami anchal ki khushboo ab talak mujh main
koii ehsaas mehka sa meri sansoon main rehta hai

mujhay khud per nahin qabo na main kuch bol sakta hon
asar yeh kis k lafzon ka meri baton main rehta hai

december ki khunak ratain mujhay bechain rakhti hain
lamas ka aik haath ab tak meri sochon main rehta hai

hay dil bhi muztarib, ehsaas bhi, sochon ki uljhan bhi
yeh kis ki ankh ka ansoo meri ankhon main rehta

rehguzaroo may dil kay na aisay utar loot ja ajnabi


rehguzaroo may dil kay na aisay utar loot ja ajnabi

kon janay ho kiyna kara yeh safar loot ja ajnabi

kitnay chup chaap lagtay hay dewaar_o_dar tu nahi janta

tu nay dakha nahi koi ujra nagar loot ja ajnabi

hoslay to baray loog waqt safar denay atay hay per

phir kisi ki nahi koi leta khabar loot ja ajnabi

yeh musafat kari dhoop ki hay yaha rastay may kahe

sar chupnay ko miltay nahi hayshajar loot ja ajnabi

dil ki chokhat pay baytabiuon say bhoot,dekh dastak na day

1 mudat say veeran hay yeh nagar loot ja ajnabi

rastay may lutay qafiloo kay siwa koi milta nahi

baar ha tay kiya zindagi may safar loot ja ajnabi

is safar ki shariayt may awaragri lazmi shart hay

dekh mat bhand apna rakht safar loot ja ajnabi

ibn adam say bezar ho kar chalay ja rahay ho magar

admi dhoondto kal phiray gee nazar loot ja ajnabi

kaam akhtar kay jaisay karo mat sabhi wo to awara hay

hoon gay nazray bichahay huay baam_o_der loot ja ajnabi

Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai


Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai

woh mera teri aankhon k samander main uttar jaana
aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana

teri awaaz k sehar se na nikal paana
tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana

bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
na teri yaad main reh k tere saath ka sochoon

bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
k jin se thees utth ti hai k jin se dard hota hai

magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
terey hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai

tou tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna

tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai
woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai

AansOoun AankhOun Sey Girney Ka Takaza Na Karo


AansOoun AankhOun Sey Girney Ka Takaza Na Karo
rOo-BarOo Un Key mUjhey Itna Bhe rUSwa Na Karo

Zakham Sehney Kii Sakat Bhi Nahi Ab To Dil Mein
dArd BarhtA hAi mUhey Pyar Sey Dekha Na Karo

Charah SazO Yeh Mera dArd Nahi QiSmat hAi
jhOoti TaSkeen Sey Meray ghUm Ka Madawa Na Karo

Pyar To Dey Na Sakey Yaadien Hii Daitey Jao
ChOrney WalO mUjhey Itna Bhe tAnhA Na Karo

Nazah Key WaQt To "MehmOod" Na Lo Naam Un Ka
Aakhri WaQt Mein To Pyar Ko rUSwa Na Karo

Eik Sakhs mUjh Ko Jeet Key Haara hAi Aur Bass


Eik Sakhs mUjh Ko Jeet Key Haara hAi Aur Bass
Itna Hii Zindgii Ka Khasara hAi Aur Bass

Dar Tha tUjhey KhOney Ka ISsi khOuf Sey Eik Raat
Main Ney Sisak Key tUjh Ko PUkara Tha Aur Bass

Kaisey khOun K Us Ns Ka Irada Badal Gya
Sach To Yahii hAi Us Ney Pukara Tha Aur Bass

dUniya Ko Is Mein dArd Kii Shidat Khaan Milley
AakhOun Sey tOota hUa Tara hAi Aur Bass

Ab In Mein kOii Khawaab Sajaney Nahi mUjhey
AankhOun Ko Intezar tUmhara hAi Aur Bass

POocha K Main Ney Khwaab Mein Daikhii hAin BaaRiShien
Us Ney Kaha K Eik Ishara Aur Bass

LafzOun Mein dArd e Hijjr Ko MehSOos Kar Key Daikh
Kehney Ko Main Ney WaQt gUZara hAi Aur Bass

PalkOun Pey Us Key Aik Sitara ThaAur Bass
Zaad e Saffar Yahii to hUmara Tha Aur Bass

Banjar Sama'atOun Kii Zameen Kaisey Khill Uthii
tUm Ney To Mera Naam pUkara Tha Aur Bass

Eik Umar Meri Zaat Pey Saya-Fagan Raha
Kuch WaQt hUm Ney Saath gUzara Tha Aur Bass

ae maut unein boolay zamaney guzar gaye


ae maut unein boolay zamaney guzar gaye
aa ja ke zehar khaye zamaney guraz gaye

o janey valey a ki tare intzaar mein
rastey ko ghar banaye zamaney guzar gaye

gham hai na ab khushi hai na umeed hai na yaas
sa se najaat paye zamaney guzar gaye

kya laayaq_e_sitam be nhin ab mein dosto
pathar be gar mein aye zamaney guzar gaye

janey bahaar phool nhin admi hoon mein
aa ja ki muskuraye zamaney guzar gaye

kya kya tavakoohaat thi ahoon se
ye teer be chalaye zamaney guzar gaye

zindagi ka sahara hai teri chahat

zindagi ka sahara hai teri chahat
jeene ka bahana hai teri chahat

tujh se juda hona bas main nahi mere
har pal deewana banati hai teri chahat

khamoshi main sargoshi karti hoon khud se
mujhe madhosh rakhti hai teri chahat

bheer main bhi tanha hoti hoon main
jab se mujh main samayi hai teri chahat

Tere bin bata Maie kese ye Zindagi Jee paunga


Tere bin bata Maie kese ye Zindagi Jee paunga?
Dharkan hain Tu Mere Dil ki Tujh bin Mar jaunga



Khushi Meri Chheen ke kehti ho Hamesha Hasna
Ek wajah bata de ab kis lye Mai Muskuraunga?



Kehte hain Log Mujh ko k Zindagi ek Jannat si hai
Tujh bin ye Jahannum hai her bar ye Dohraunga



Mat Chhor Muje Tanha Tujhe apne Pyaar ki Qasam
Akele hi zindagi ka Bojh bata kese Main Uthaunga?



Thora Yaqeen ker Mera aur Thora Mujh per Aitbaar ker
Saath Tera hoga to Yaqeenan is Dunya ko Haraunga



Sirf Ashqon se Mere ab jalta hai Diya Chirag ka
Tu agar Juda hogai to Aansoo mai sabko Bahaunga



Chaand hai Tu Mera Tu ne Zindagi ko Roshni di hai
Mohsin kehta hai Tujh bin Andheron mai Ghoom ho jaunga

His se kahun. Aur kon sunayga

His se kahun....
Aur kon sunayga?...
Jo haal tumharey baad huwa....
Iss dil ki jhalli se ankhon mai...
Ek Kwaab bohut barbaad huwa..
Iss shehr mai kitnay chehray thay...
Sub bhool gayey....
Kuch yaaad nahin,,,,
Ek Shakhs kitabon jesa tha..
Woh shakhs zubaani yaad huwa

Mujhay gale se Laga Lo Buhat Udaas Hoon Main


Mujhay gale se Laga Lo Buhat Udaas Hoon Main
Gham-e-Jahan Se Churalo Bohat Udaas hoon Main
Ye Intezaar Ka Dukah Saha Nahi Jata
Tarap rahi hai Muahabbat Raha Nahi Jata
Tum Apne Pass Bula Lo Buhat Udass Hoon Main
Har Ek Sans Main milne Ki Pyass Palti Hai
Sulag raha Hai Badan or Rooh Jalti Hai
Bacha sako To Bachalo Buhat Udaas Hoon Main
Bhatak Chuki Hoon Buhat Zindagi ki rahoon main
Mujhay Ab Aa K Chupaalo Tum Apni Bahoon main

Mera Sawaal na Taaloo Buhat Udaas hoon Main

koi to hota main jis k dil ki kitab bunta



koi to hota
main jis k dil ki kitab bunta
main jis ki chahat ka khawab bunta
main hijar k mosam ki lambi ratoon main
yaad bun ker azab bunta
koi to hota
jo meri khawahish main
uth k ratoon ko khoob rota
dukhon ki chadar lapait kar
hajoom e duniya se dour hota
main rooth jata manata mujh ko
k chahay mera kasoor hota
koi to hota
main jis k itna kareeb hota
na paas koi rakeeb hota
main utna us ka habib hota
ye silsila bhi ajeeb hota
koi to hota.........

Aik Shaks Meri Zaat Main Shareek Rehta Hai


Aik Shaks Meri Zaat Main Shareek Rehta Hai
Wo Aaker Mujhe Phir Rulaaa Deta Hai

Raaatoon Ko Jab Main Tanhaan Hota Hoon
Wo Dheeray Say Choooo Ker Behlaaa Deta Hai

Wo Mujhe Ma Basa Ha Kuch Is Tarhaan Se
Wo Hota Nahin Phirr Bhi Sath Rehta Hai

Shamoo Sher Ma Inhii Ma Hota Hoon
Isi Lia To Ma Musskuraaa Detaaaa Hoon

Kehta Hain Log Ke Wo Mujh Sa Juda Rehta Hai
Rooh Ban Ke Jo Mera Dill Ka Paaaas Rehta Hai

Wo Chup Ke Saa Aakee Kuch Keh Deta Hai
Phir Aaker Mujhe Kahin Hooosh Aata Hai

Aik Shaks Meri Zaaaat Me Shareek Rehta Hai
Wo Aaker Mujhe Phir Rula Deta Hai

Aik Shaks Meri Zaat Me Shareeek Rehta Hai

Bheegi palkon per naam tumhara hai


Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Beech bhanwar kashti, bari dour kinara hai..
Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Pochein ye lehrein kyu hai ye doori
Ishq mein aakher kyu hai majboori
Pochein ye lehrein kyu hai ye doori
Ishq mein aakher kyu hai majboori

Mere nahi to kya................ kya
Mere nahi to kya...........

Mera har pal tumhara hai

Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Bheegi palkon per naam tumhara hai..

Ujhra mera naseeb, hath mere khali..
Tou salamat reh, Allah hai baali..

Ujhra mera naseeb, hath mere khali..
Tou salamat reh, Allah hai baali..
Dil pe kia guzray,... dil pe kia guzray..
Woh shaksh jo hara hai..
Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Bhujne lage diye, taiz hawaon mein..
Ab raha na dam, meri saadon mein..
Bhujne lage diye, taiz hawaon mein..
Ab raha na dam, meri saadon mein..
Mout samne hai.. kia khoob nazara hai!
Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Bheegi palkon per naam tumhara hai..

rataan kaliyan wich yaad teri


rataan kaliyan wich yaad teri
tenu kol bulaway awaz meri
rataan kaliyan wich yaad teri
tenu kol bulaway awaz meri
rataan kaliyan

dil ey diwana mera tenu udeek da

dil ey diwana mera tenu udeek da
piar ho mera ho ya tera naseeb da way
tu ey sitara meray hath di lakeer da
tu piar ey mera jageer meri
rataan kaliyan wich yaad teri
tenu kol bulaway awaz meri
rataan kaliyan

teri judaey menu kita way hal way

teri judaey menu kita way hal way
ruswa meh hooo gaye le tera wastay
din rat takni aa main tera hi rastay
hun aja tu nai tay mar jawan gi main
rataan kaliyan wich yaad teri
tenu kol bulaway awaz meri
rataan kaliyan wich yaad teri
tenu kol bulaway awaz meri
rataan kaliyan

Pather se wafa bout se sada mang raha hoon


Pather se wafa bout se sada mang raha hoon
Kyon aj main sehra se kahta mang raha hoon


Muddat se kohi DIL ko dukhane nhi aya
aaa jaoo kohi zakam neya mang raha hai


Hai Chand bahot door mere dast rasa se
jo ghar main jale aysa DIYA mang raha hoon


jo jurm-e-mohabbat tujhe mera bana day

aysi he kohi pyari saza mang raha hoon


mahloom hai tum gahr ke hoo jao gaay
phair bhi tumain pane ki DUA mang raha hoon

ek aas lagana cahtey hain



ek aas lagana cahtey hain
terey dar e aana cahtay hain

kuch nazr e karam hum e bhi ho
hum sar ko jhukana cahty hain

kia do gay hamain sari khushyan
hum daman helana cahty hain

kuch raaz jo guunjtay hain moon may
unhain dil may dabaana cahty hain

teray kandhay e sar rakh k dost
gham ana sunana cahty hain

sab zakhm dikha kar aney tumhe
saath aney rulana cahty hain

apnay haathoon se yun chehare ko chupaate kion ho



apnay haathoon se yun chehare ko chupaate kion ho
mujh se sharmaate ho to saamane aate kion ho

tum kabhii merii tarah kar bhii lo iqaraar-e-vafaa
piyar karate ho to phir piyar chupaate kion ho

ashk aunkhoon main merii dekh ke rote kion ho
dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kion ho

in se vaabastaa hai jab meraa muqaddar phir tum
mere shaanoon se ye zulf hataate kion ho

roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kion ho
milane aate ho to phir laut ke jaate kion ho.

Raton ko tere ghar se nikalna nhi bhola


Raton ko tere ghar se nikalna nhi bhola
patoon ka gahzaan rut main bikhrna nho bhola

sardi main thartahrate howay woh dant tumare
Gabraa ke tera mujh se liptana nho bhola

ana tera milne mujay Nadiya ke kinaare
agaz-e-Mohabbat main jijekana nho bhola

youn mujh se gafar rehna kabhi rothna tera
woh mannnaa Mananaa woh tarpana nhi bholna

mujay Yaad hai sab Pyaar ke lamhe
Bagoon main Bahanoo se woh Milna Nhi Bhoola

uttahaay khama-e-hastie saraboun mein bhatakta tha



uttahaay khama-e-hastie saraboun mein bhatakta tha
marie manzil ne khud otah ke dekahya raasta muj ko

koi suraj tallu hotay mujeh tu kia dekahay ga
andaharay ghar ki chaat per hi koi jugnu dekhaa muj ko

raqm thi dil ki shakhoun per wafa tahreer ki surat
metaata apnay haathoun se magar tu deahkata muj ko

koi shureeda sar Tasneem is bastie se nikla tha
woh marie zaat ke sahra mein ik din mil gaya muj ko

Wo Dil Mein Basa Kuch Istarha


Wo Dil Mein Basa Kuch Istarha,
Mein Sari Dunya Bhulati Rahi,

Har Sans Mein Uski Khushbo Ati Rahi,
Mein Pal Pal Dil Ko Behlati Rahi,

Kabhi Hans Kar Kabhi Ro Kar,
Mein Mohabbat Ki Galiyon Ko Sajati Rahi,

Har Raat Chand Ko Takti Rahi,
Har Ghari Uska Intezar Karti Rahi,

Har Khushi Mile Usay Zindagi Mein,
Har Pal Ye Dua Karti Rahi,

Na Miley Koi Gham Usay,
Khud Aanhein Bhar Kar Roti Rahi,

Har Din Mein Usko Chahti Rahi,
Har Pal Uski Yaad Ati Rahi,

Har Raat Ko Wo Yaad Ata Raha,
Har Raat Meri Yun Sulagti Rahi,

Kuch Khoyi Uski Baaton Mein Istarha,
Bus Usi Ki Awaz Ko Sunti Rahi,

Usay Har Pal Yaad Rakhnay K Liye,
Bus Usi K Gun Gaati Rahi,

Gumm Huii Us CHAND Mein Yun,
Har Simt Usi Ki Surat Dekhti Rahi,

Bus Kati Meri Zindagi Istarha,
Mein Usi Ki Khatir Jeeti Rahi,

Wo DIL Mein Basa Kuch Istarha,
Mein Sari Dunya Bhulate Rahi……

kasa lagta ha khirkhi se barish ki bonde takna


kasa lagta ha

khirkhi se barish ki bonde takna

apne ap ko in bondoon ki nazar kerna

kasa lagta ha

jb bijli zor se karak ker apne guse ka izhar kerte ha

or jwab main badal hans ker use manata ha

in ahsasat main jeena

kasa lagta ha

bolo kasa lagta ha

barish ka sang ankh macholi khalna

kasa lagta ha

Dil Ney Tnaha Jhaili Raat


Dil Ney Tnaha Jhaili Raat
Hijr Ke Raat, Sahaili Raat

Dinn Waley Kub Booj Sakkay
Mushkil Shaam Pahaili Raat

Ikk Safa Ke Tashreehien! !
Chand,chakkor,chanbaili,raat

Din Apney Har Dad Ka Dost
Iss Ke Aik Sahaili Raat

Ikk Sunsan Nagar Har Saans
Ikk Veraan Hawaili Raat

Iss Ka Roop " Harr " Ke Dhoop
Meri Sad Hathaili Raat

Iss Ke Aankh Se Chhalke Sham
Uss Ke Zulf Se Khaili Raat

Muhsin K Anjaam K Naam! !
Hijr Ke Nae Nawaili Raat

ab tak terey fitney hen salamat, usey kehna


ab tak terey fitney hen salamat, usey kehna.
yawar! sar-e-mehshar b qayamat usey kehna.

aey hum-nafaso! mehw-e-ghum-e-jaan hen abi tak.
aen ge sar-e-koo-e-malamat usey kehna.

ik wo hi nahi tark-e-ta’alluq pe pasheman.
he ahl-e-wafa ko b nadamat usey kehna.

aey dil-zadgaan! maut he izhar-e-tamanna.
wo but ho khuda b to khuda mat usey kehna.

har-chund faraz in dino ma’atoob he phir b.
halaat ka mara he, bura bat usey kehna..

Daagh-e-Dil Hum ko yaad ane lage



Daagh-e-Dil Hum ko yaad ane lage
Logg apne diye jalaane lage

Kuch na paa kar bhi mutma’en hain Hum
Ishq mein haath kya khazaane lage


yehi rasta hai ab yehi manzil
ab yehein dil kisi bahane lage

Khud fareybi si Khud fareybi hai
Paas k dhol bhi suhaane lage


Ab to hota hai har qadam pe gumaan
Hum ye kysa qadam uthaane lage

Is badalte hue zamaney mein
Tere qissey bhi kuch puraane lage

Rukh badalne laga fasaane ka
Logg mehfil se uth k jaane lage

Ek pal mein hum wahan se uthe
Baithne mein jahan zamaane lage

Apni kismat se hai mufer kis ko?
Teer par urr k bhi nishaane lage

Hum taka aye, na aaye mousam-e-gul
Kuch parinde to chehchahaane lage

Shaam ka waqt ho gaya Baaqi’...!
Bastiyon se sharaar aane lage...'


Daagh-e-Dil Hum ko yaad ane lage
Logg apne diye jalaane lage

Ajab taqazay hain chahtoon kay


Ajab taqazay hain chahtoon kay
Bari kaathin ye musaaftein hain
Main jis ki raahon mein bicch gaya hoon
Ussi ko mujhse shikayatein hain
Shikayatein sab baja hain lekin
Main kaise uss ko yaqeen dilaon?
Jo mujh ko jaan sey azeez'tar hai
Usse bhulaon tu marr na jaon!
Main iss khamoshi kay imtehaan mein
Kahan kahan sey guzar gaya hoon
usse toh shayad khabar nahin hai
Main dheerey dheerey bikhar gaya hoon!!!!

Popular Posts