Daagh-e-Dil Hum ko yaad ane lage
Logg apne diye jalaane lage
Kuch na paa kar bhi mutma’en hain Hum
Ishq mein haath kya khazaane lage
yehi rasta hai ab yehi manzil
ab yehein dil kisi bahane lage
Khud fareybi si Khud fareybi hai
Paas k dhol bhi suhaane lage
Ab to hota hai har qadam pe gumaan
Hum ye kysa qadam uthaane lage
Is badalte hue zamaney mein
Tere qissey bhi kuch puraane lage
Rukh badalne laga fasaane ka
Logg mehfil se uth k jaane lage
Ek pal mein hum wahan se uthe
Baithne mein jahan zamaane lage
Apni kismat se hai mufer kis ko?
Teer par urr k bhi nishaane lage
Hum taka aye, na aaye mousam-e-gul
Kuch parinde to chehchahaane lage
Shaam ka waqt ho gaya Baaqi’...!
Bastiyon se sharaar aane lage...'
Daagh-e-Dil Hum ko yaad ane lage
Logg apne diye jalaane lage
No comments:
Post a Comment