Monday, July 12, 2010

Kitna sehal jana tha khushbo'on ko choo laina


Kitna sehal jana tha
khushbo'on ko choo laina
barishon k mosam main sham ka har ek manzar
ghar main kaid kar laina
roshni sitaron ki muthyon main bhar laina
kitna sehal jana tha
khushboon ko choo laina
jugno'on ki batoon say phool jaisay angan main
roshni si kar laina
uski yaad ka chehra khawabnak aankhon ki
jheel k gulaboon par deer tak saja rakhna
kitna sehal jana tha
ay nazar ki khush fehmi istarha nahi hota
titliyan pakarnay ko do'or jana parta hai

No comments:

Popular Posts