Monday, July 12, 2010

Kahani Aaj Mudaat Baad, Meri Ungliyon Ki Naram Poron Per Ruki


Kahani Aaj Mudaat Baad, Meri Ungliyon Ki Naram Poron Per
Ruki Or Muj Say Poucha..
Sakhi, Tuj Say Jo Thora Waqt Maango'n Tu Mujay Day Gi?
Kaha, Main Nay Sahili! Khair Say Ayi Ho Tum
Tu Waqt Kaya Yeh Zindgi Lay Lo
Kahani Deehray Deehray, Soch Kay Kuch Chor Raston Say
Lahoo Main Ais Tarha Utri, Main Hosh Kho Bethi
Kahani Younh Hoi Goyaa
Ager Kacha Ghara Ho Tu Kinara Mil Nahi Sakta
Sakhi, Tu Sohni hai Sohni Ko Doob Jana Hai
Phir Ais Nay Kuch Tuwaqaf Say Kaha Muj Say
Muhbbat Do Jazero'n Per Khari Heeran Khushboo Hai
Wo Khushboo, Jis Ko Ik Dojay Ko Choonay Ki Ijazat Mil Nahi Sakti
Sakhi, Tu Agahi Wali Hai, Jazboo'n Ki Tu Qaydi Ban Gayi Kasay?
Kaha Main Nay, Sahili, Lakh Chaha Main Nay Bach Jaon
Muhbbat Aik Daldal Ki Tarha, Charo'n Taraf Muj Ko Dekhayi Di
Wo Daldal Phelti He Ja Rahi Thi Meri Her Jaanib
Yahan Tak Keh Meri Ankhien Bhi Cheen Lein Muj Say
Zara Socho, Ager Main Bach Bhi Jati Tu Kaha Jati
Kadam Main Nay Uthaye Or Mur Ker Phir Nahi Dheka
Muhbbat Main Nay Kab Ki Yeh Tu Ser Zad Ho Gayi Muj Say
Musalat Ki Gayi Muj Per
Kahani Sun Kay Sari Dastan Boli, Chalo Choro
Maqder Ki Nafi Kerna Kahan Asaan Hota Hai
Sakhi, Tu Sohni Thi, Sohni Ko Doob Jana Tha
Ager Kacha Ghara Ho Tu Kinara Mil Nahi Sakta

No comments:

Popular Posts