Monday, July 12, 2010

tum yaad ho to naqsh ho mere havaas par



tum yaad ho to naqsh ho mere havaas par
tum ashk ho to mere dukhooN ka ilaj ho
tum Khuvaab ho to meri in aankhoon maiN ho kaheeeN
tum veham ho to mujhko haqeeqat se kia Gharaz
tum bais-e-safar ho, hunar ki udan ho
tum neend ho to so ke guzaraiN ke yeh hayaat
tum husn ho to mere taKhayyul ki jaan ho
tum raat ho to mujh ko nahi subh ki talab
tum noor ban ke dil maiN samaey ho aaj kal
tum Khaak ho to Khaak_nasheenooN ki ho talash
tum dard ho to rooh pay chaey ho aaj kal
tum dasht ho to maiN bhi musafir hooN dasht ka
tum chand ho to talKh andhairooN ki fikr kia
tum bai_niyaaz ho to zamaney se ho alag
tum rang ho to phir yeh baharooN ka zikr kia
tum bai_samar rutooN maiN baharooN ki ho umeed
tum rah_guzar-e-shouq main jazba junooN ka ho
tum arzoo ho, ahl-e-tamanna ki ho Khalish
tum rat_jagooN ki bheed.r main lamha sukoon ka ho
tum baiwafa rutooN maiN havala ho ishq ka
tum bai_basi ho phir bhi muheet-e-havaas ho
tum ik kiran ho noor-e-azal maiN dhuli hoi
tum tazgee ho, shabnamee pholoon ki aas ho
tum gehrey paniyooN maiN chupey motiyooN ka lams
tum maut ke safar maiN nishan-e-hayaat ho
tum meri chashm-e-num ke sitarooN ki kehkashaaN
tum husn-e-bai_misaal ho, meri kainaat ho
tum jab se ho gaey ho meri dastaras se door
maiN ji raha hooN kyunke zaroori hai zindagi
sansooN ke boojh ko bhi uThaya hai rooh nay
laikin tere baghair adhoree hai zindagi

No comments:

Popular Posts