Monday, July 12, 2010

koi to hota main jis k dil ki kitab bunta



koi to hota
main jis k dil ki kitab bunta
main jis ki chahat ka khawab bunta
main hijar k mosam ki lambi ratoon main
yaad bun ker azab bunta
koi to hota
jo meri khawahish main
uth k ratoon ko khoob rota
dukhon ki chadar lapait kar
hajoom e duniya se dour hota
main rooth jata manata mujh ko
k chahay mera kasoor hota
koi to hota
main jis k itna kareeb hota
na paas koi rakeeb hota
main utna us ka habib hota
ye silsila bhi ajeeb hota
koi to hota.........

No comments:

Popular Posts