Monday, July 12, 2010

woh chanchal albeli lerki meri nazmain yun perhti hai

 woh chanchal albeli lerki meri nazmain yun perhti hai
jaisay un nazmon ka mehwar us ki apni zaat nahi hai,


jaisay us ko ilm nahi hai yeh saari baatein ,us ki hain
saari ghaatayen us ki hain
her aahat hai us ki aahat, sab saaye hain us kay saaye
sarey mehmal us k hain
her khushbu hai us ki khushbu, sab chehray hain us kay chehray
saarey aanchal us kay hain

jaisay us ko ilm nahi hai us lerki kay saarey kaam
saarey naam usi kay hain
her khirki hai us ki khirki, sarey baam usi kay hain
us lerki kay naam say jo kuch mai nay apnay naam likha hai
us say hi mansoob hua hai


jab mai nazam sunaata hoon woh aankh churaaney lagti hai
mujh say nazrain mil jaayen to woh shermaaney lagti hai
kuch lamhay woh chanchal lerki gum sum si ho jati hai
lekin thori deir main phir say pather ki ho jati hai
jaisay meri nazam ki lerki !!!!

No comments:

Popular Posts