Umr beeti hai jinhain hijr ki pemaish main
Hum syah bakht, teray faasla bardaar, musafir shab kay
Raat aati hai to chal pertay hain
Bay baha sulagi hui yaad kay angaaron per
Rooh bersaat main bharki hui aatish hai keh bujhti hi nahin
Raat aati hai to gir pertay hain
Teray undoh ki num ghaaron main
Kon ab aa kay nikalay humain
Kon tehraaye ga bikhray huay pat'ton kay naseeb
Hum jo ronday huay raston ki tarah
Aah bhi bhartay huay dartay hain
Jaanay phir konsi veerani guzar jaye achanak kisi veerani say
Hum jo thithkay huay bachon ki tarah
Sans bhi letay hua mertay hain
Zindagani kisi murjhaye huay dil ki tarah
Sog kay kapray main lipti hui bevah hai koi
Koi dum bhar bhi thehertay hai kisi aas ki chaon (shade) main to ro perti hai
Aur hum phir say nikal pertay hain
Hum syah bakht, teray faasla bardaa, musafir shab kay
Umr beeti hai jinhain hijr ki pemaish main
Raat aati hai to chal pertay hain
No comments:
Post a Comment