Monday, July 12, 2010

bhula diye hain tere gham ne dukh zamane ke


bhula diye hain tere gham ne dukh zamane ke
khuda nahi tha to patthar ki moortein thi bahut

pattharon se to chale aaye hain bach ker lekin
dil ko hai khuaf ke phoolon se kuchle jayenge

rang la ker hi raha akhir mera zauq junoon
raiza hoon magar patthar se takrata hoon mein

mai jis ke haath mein aik phool de ker aaya tha
ussi ke haath ka patthar meri talash mein hai

phool sajaein daman mein yeh zakhmon ki pehchan nahin
jo na kisi ka dukh bante woh pathar hai insan nahi

yun hi tameer hote rahe ager sheesh mahal
ik din shaher ki har raah mein patthar honge

mana ke chup rehne se pagal pan barh jaata hai
patthar ke iss shaher mein koun kisi se baat kare

No comments:

Popular Posts