Sunday, February 14, 2010

meri tasveer mein rang aur kisi ka to nahi



meri tasveer mein rang aur kisi ka to nahi
gher lein mujhko sab ankhen, mein tamasha to nahi



zindagi tujh se har ik sans pe samjhauta karoon,
shouq jeene ka hai mujhko, magar itna to nahi



rooh ko dard mila, dard ko ankhen na milin
tujhe mehsoos kiya hai, tujhe dekha to nahin



sochte sochte dil doobne lagta hai mera
zahen ki teh mein "faysal" koi dariya to nahi

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*

shola hooN bhadakne ki guzaarish nahin karta


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*



shola hooN bhadakne ki guzaarish nahin karta
sach muNh se nikal jaataa hai koshish nahin karta





girtii hui deevaar ka hamdard hooN lekin
chadte huey sooraj ki parastish nahin kartaa





maathe ke paseene ki mehak aaye to dekheN
vo khoon mere jism meiN gardish nahin karta





hamdardi-e-ehbaab se dartaa hooN 'faysal'
maiN zaKHm to rakhtaa hooN numaaish nahin karta




~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*

mujh ko lota do meri umr-e ghazishta ki kitaab


mujh ko shikwa hai meray bhai keh tum jaate hooay
le gaye sath meri umr-e ghuzishta ki kitaab
is mein tau meri bohut kimati tusweerien thein
is mein buchpun tha mera, aur mera aihd-e shabab

is ke badle mujhe tum de gaye jaate jaate
apnay ghum ka yeh dumakta hua khoon rung golaab
kya karoon bhai, yeh aizaz mein kyoon ker pehnoon
mujh se le lo meri sub chaak qamizoon ka hisaab

aakhri baar hai, lo maan lo ik yeh bhi sawaal
aaj tuk tum se mein lota nahin mayoos-e jawaab
aa ke le ja'o tum apna yeh damukta hua phool
mujh ko lota do meri umr-e ghazishta ki kitaab

Teray khushboo main basay khat main jalata kaisay



Teray khushboo main basay khat main jalata kaisay
Pyaar mein doobay huey khat main jalata kaisay
Teray haathon kay likhay khat main jalata kaisay



Jinko duniya ki nikhaon say chupayey rakha
Jinko ik umar kalayjay say lagayay rakha
Deen jinko jinhay imaan banaay rakha


Jinka har lafz mujhay yaad paani ki tarah
Yaad they mujko jo paigaam-e-zubaani ki tarah
Mujko jo pyaraay they anmol nishani ki tarah


Toonay duniya ki nihkaon say jo bach kar likhay
Saal-h-saal meray naam barabar likhay
Kabhi din mein to kabhi raat ko uth kar likhay


Teray khat aaj main Ganga mein baha aaya hoon
Aag behtay huey paani mein laga aaya hoon !


Popular Posts