Wednesday, April 28, 2010

judaa_ii ho ke milan har adaa hamaarii hai

"judaa_ii ho ke milan har adaa hamaarii hai..
tumhaaraa shahar hai lekin fizaa hamaarii hai...

shikaayaten bhii karen ham to kis zabaan se karen...
Khudaa banaayaa ham ne ye Khataa hamaarii hai...

hamaare jism kii uriyaanat pe mat haNsanaa...
ke tum jo oDhe hue ho vo ridaa hamaarii hai...

hamaare saamane zebaa nahii.n Guruur tumhen...
jahaa.N pe baiThe ho tum vo jagaa hamaarii hai...

Zindagi nay ik youn bhi ghum diya mujhe

Zindagi nay ik youn bhi ghum diya mujhe
bichar k doston say jab rula diya mujhe
mere humnasheen mere dost bhi
or wo jo mere azeez the
mere ansooun ko jo ponchtay
wo ho maantay wo jo roothtay
meri zindagi main bahaar the
mere ankhoon ka wo qaraar the
mairay lub pay baat unhi ki hai
mairay dil main yaad unhi ki hai
main KHUDA say karty hoon ya dua
k wo dost mere jahan rahain
wo lamha lamha hunsa karain

Mat Chaho Mujhe Itna

Mat Chaho Mujhe Itna ,

Mujh Se Kuch Na Paoo Gee,

Shoharat,

Izat,

Waqaar,

Nahin is khail mein !

Zilat,

Ruswaiyaan,

Tanhaiyaan,

Or phir !

Haar jaooo Gee !

Aansoo Lahoo,

Zindagi Azaab Ban Jaye Gee

Ajab Khayaal Ayain Gay,

Neend Bhi Kho Jaye Gee,

Kaanch Sa Nazuk DiL Tumhara,

Toot Gaya To Pachtaooo Gee !

Meri Zeest k Warq Palto Gee To ,

Yehi Asaasay Paooo Gee,

Mat Chaho Mujhey Itna ,

Mujh Se Kuch Na Paoo Gee,

Kya Tumari Meri Yeah Dahdkan Sunai Day Rahe Hai

Kya Tumari Meri Yeah Dahdkan Sunai Day Rahe Hai ,,,,
Zara Is Say Pocho K KiSe Yeah Pukar Rahe Hai ,,,,

Muje To Yeah KashMaskh Main Kar Rahe Hai Mubtalla ,,,,
Tum He Is Se Pochon Kyun Mujay Yeah Behka Rahe Hai ,,,,

Jab Batata Hon Kisi Ko Hal-e-Dil To Khamosh Rahti Hai ,,,,
Ab Dekh Yeah Phir Muj Par Muskora Rahe Hai ,,,,

Khud Main Jane Is Nay Kis Ko Basa Liya Hai ,,,,
Muj Say To Yeah Appni Har Baat Chupa Rahe Hai ,,,,,

Jab Yeah Appni Hai To Usey Be Appna Maan Longa ,,,,
Khurram Isey Kaho Ab Kyun Mujay Azma Rahe Hai ,,,,,

TUM KEHTE HO k (main tumhien bhool jaon)

TUM KEHTE HO k (main tumhien bhool jaon)
AGER TUMHARI YEH HI ARZOO HAY
TU PHIR; MERY CHEND SHERTIEN HEIN
AGER TUM WHO POORI KER SAKO TU KAHO
AGER TUM MUJH KO SAMANDER KI MOJON
KO TAQSEEM KER K DIKHAO.
OR DIKHAO MUHEY FALAK KI BULANDIYON KO MUTTHI MAIN QAID KER K
TU PHIR MAIN TUMHEIN
BHOLNE KI KOSHISH KARON GI
AGER TUM MUJH KO
SITTARON BHARI SUBH DIKHAO
OR DIKHAO MUJHE SHABB KO
UBHERTA HOA SORAJ
TU PHIR MAIN TUMHIEN BHOOLNEY KI KOSHISH KARON GI
AGER TUM MUJHE RAGON MAIN
GERDISH KERTI HOI DHERKAN SONAO
OR DIKHAO MUJH KO WHO ZAMEEN
JO MENHA BERSATI HAY
TU PHIR MAIN TUMHIEN BHOOLNE KI KOSHISH KARON GI
OR AGER;TUM AISA KER SAKO GAY
TU PHIR MAIN KHOD KO TAQSEEM
KERNE K LIE TAYYAR HOON
OR PHIR MAIN WADA KERTI HOON
K MIEN TUMHIEN BHOOLNE KI KOSHISH KARON GI HAAN KOSHISH KARON GI

Chahnay Ki khata..... bar bar nahi karti

Chahnay Ki khata.....

bar bar nahi karti ,

main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karti ,

iska matlab ye nahi k main tujhe piyar nahi karti

chahti hoon main tujhe aaj bhi per

teri soch mei apna waqt bekar nahi karti

tamaasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri

isi liye apne dard ko namoodaar nahi karti

jo kuch mila hai usi mei khush hoon main

tere liye khuda se takraar kartai hoon mai

per kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim

warna Mein tujhe chahne ki khataa bar bar nahi karti.....

Osee Ne Asa Dost Paya tha

Chodween(14) Raat man Aik anjana saa chera Mery Khawab man Aya tha.
Mien Haran Hoon ka woh chera Mery Yadoon man Kab Samaya tha.
Dil ki Dharkaneen Tham Geen Jub CHand Nee Os ka Dedar Karwaya tha.
Chery Per Hosan Or Ankhoon man Khamoos Sager Samaya tha.
Zolfoon man Raat ka Husan or Mehak ne Dil Terpaya tha.
Dil Ke Darwazee per Dastak Datee Jub man ne Os ko Paya tha
Dil ke Ander Mohabbat ka aik ahsas Othta sa paya tha
Aik anjanaeee See rastee per Aik Anjana Dost Paya tha.
Dil kii rah man Hosan wala Mokhlas Dost sahid hee kesi ne paya tha
Mom Se nazaqat or Shashee sa Badan os ne Paya tha.
Raat Chodween ki OR Chandni ko Farsh per Paya tha.
Jis ke Anchal nee Jheel Man apna Aks Phalaya tha.
Dil ki Werran zameen Per OS ne Sawan ban kar Zarkheez banaya tha.
Alfaz Ki Adagee man mathas thi os ke Rukhsar Pe Lalii thi.
Naak o Pak Daman Rab ne Jis Ka Banaya tha
Seerat Man Kholoos is Qader Samaya tha.
Ya Rab! Shukria Tera To ne Anjab Rastee Per Aik Dost Ata Farmaya tha.
Jiss ka Sada Dost Ki Tamana kee hoo Osee Ne Asa Dost Paya tha.

Uthaa k hath Khuda say bas mangi yahi dua

Uthaa k hath Khuda say bas mangi yahi dua,
naseb hon khushiyan tumhayn tum khush raho sada..

Tum ko rahat milay , tum ko chahat milay,
tumhayn saray jahan ki muhabbat milay..

Jahan mayn sab say hon achay tumharay nasib,
koi dukh kabhi bhi na aaye tumhary qarib..

Dil ki har aarzo pori Khuda karay,
tumhayn chahnay walon ko kabhi bhi na juda karay..

Mil jayen tum ko maray bhi nasib ki khushiyan,
dua hai ye bas tum ko kabhi gham na milay

Dost issi koo kehte hain

Dost issi koo kehte hain..
khushi ho tumhari nachay koe
gham ho tumhary roey koe
dost is ko kehtay hain
dost isi liay hotay hain
onchi neechi rahon per
saya bun ker sath chalain
suchi wafa kay siva
dil may kuch bhi na rakhay
na koe gharz ho us ko yaron
dosti farz ho us ka yaron
dost is ko kehtay hain
dost isi liay hotay hain
koe dost chaho to
tum khud pehlay dost buno
raz koe chaho to
pehlay tum humraz buno
saray jahansay jo piyara lagay
apno say bhi zyada jo apna lagay
dost is ko kehtay hain
dost isi liay hotay hain-------

Yeh zindagi bari ajeeb si

Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si
Kabhi khushi hamaray sath sath
Kabhi gammon ki barsat si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi tofanon main bhi hain rastay
Kabhi manzilon ka pata nahi
Kabhi do kadam pay zindagi
Kabhi saddeuon tak intizar si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi her pal emtihan hai
Kabhi bin mangay enam hai
Kabhi kuch nahi
Kabhi sab kuch si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si

Ankhoon se niklay meray chand aansoo

Ankhoon se niklay
meray chand aansoo
palkoon kay anchal ko choo ker
jab galoon ko tar kertay hain
tu in ki garmahat
kuch dair ko tu
mujhay teri yaad dala jati hai
duri kay andhayroon main
yaadoon ka eik deep jala jati hai
her qatray main tera aks yun jhalakta hai
jasey shabnam ka pani pattiyoon pe chamakta hai
raat kitni he gheri kiun na ho jaye
falak pe roz eik tara zaroor nikalta hai
magher kon janey
teri yaad main bahtey
ye aansoo
mahaz pani ki chand boondain nahin
teri furqat
teri judai main beitay
her pal her lamhay
her dard her sapney
ki wo tasweerian hain
jo meri tanhahioon ko yun ayan kerti hain
jasey sahra ki tapti rait per
barish ki boondain khud ko jazab kerti hain
kon janey aakash kiun rota hai
kon janey pyar kiun hota hai
kiun nafratoon kay beej botay hain
kiun khushiyoon ka shaher sota hai
haan itna zaroor hota hai
jafa kay daagh dhul jatey hain
ana kay phool khel jatey hain
ajnabi rastoon pe chaltey chaltey
kabhi apney bhi mil jatey hain
wafa ka banhan toot jaye tu
yahee apney rooth jatey hain
zabt ki kashti doop jaye tu
taiz bahao main beh jatey hain
kiun itni door chaley jatay hain
kay wapsi kay sab rastey mit jatey hain
magher kis ko pata hai
kis ko khaber hai
kay teri yaad main behtay
ye chand aansoo
aaj bhi apni tapish
apna naksh choor jatey hain

koi tumhe itna chahe to batana

koi tumhe itna chahe to batana
koi tumhara dard mitaye tu batana
koi tumhara naaz uthaye to batana
dosti kar to lega har koi hamri tarah nibhaye to batana

Zindagi aisay daurahay par aayee hai
Kay sirf maiN aur meri tanhai hai
muddasir yeh kaisa ajeeb ahsas hai
Mera dil bohat udaas hai

bhool nehi paye ga tum ko kabhi bhi
has nehi paye ga tumhre bager kabhi bhi
ab to duwa bhi baduwa lagti hain
tumhre bager yah zindagi bhi udass lagti hain

dil ne vafaa ke naam par kaar-e-jafaa nahii.n kiyaa

dil ne vafaa ke naam par kaar-e-jafaa nahii.n kiyaa
Khud ko halaak kar liyaa Khud ko fidaa nahii.n kiyaa

kaise kahe.n ke tujh ko bhii hamase hai vaastaa ko_ii
tuune to hamase aaj tak ko_ii gilaa nahii.n kiyaa

tuu bhii kisii ke baab me.n ahad-shikan ho Gaaliban
mai.n ne bhii ek shaKhs kaa qarz adaa nahii.n kiyaa

jo bhii ho tum pe mautariz us ko yahii javaab do
aap bahot shariif hai.n aap ne kyaa nahii.n kiyaa

jis ko bhii sheKh-o-shaah ne hukm-e-Khudaa diyaa qaraar
hamane nahii.n kiyaa vo kaam haa.N baa-Khudaa nahii.n kiyaa

nisbat-e-ilm hai bahot haakim-e-vaqt ko aziiz
us ne to kaar-e-jehl bhii be-ulaamaa nahii.n kiyaa

Na Umeedain Kisi Se Rakhtey To Acha Hota

""Na Umeedain Kisi Se Rakhtey To Acha Hota
Aitbar Na Kisi Pe Kartey To Acha Hota


Sabaq Daita Hai Zamana Yeh Auron Ko Giraney Ka
Sahara Na Kisi Ko samjhtey To Acha Hota


Yaqeen apni Kamyabi ka kisi Ko Kab Hota Hai
Taqdeer k Muqabil Na Hotey To Acha Hota


Sochtey They Aitbar Andha Ho Ga DeWaNa Tum Per
Na Khuwaab Jagtey Main Daikhtey To Acha Hota


Na Chatey Tum Kisi Ko Na Koi Tumheen Poojta
Na achey Kisi Ko Lagtey To acha Hota



Darya Mohabbat Ka Kab Koi Paar Karta Hai Dost
Na Mohabbat Kisi Se Kartey To Acha Hota,,,



Muje? Acha? Nahi Lagta Koi Hum Nam Tera
Koi Thujh Sa Hoo To Nam Be Thujh Sa Rhake .To Acha Hota........."

na koi umang hai

na koi umang hai
na koi tarang hai meri zindagi hai kiya
ek kati patang hai ..................
aakash se ghiri main ek bar tot k aaiy se
duniya ne phir na poocho luta mujhko
kese na kisi ka sath hai na kissi na ka sang hai meri zindagi hai kiya ek kati patang hai

lag k ghalay se babool k main na rooi
doli uthiyu jese arti uthi ho jese
yehi dhukh aaj bhi mere ang hai sang hai
meri zindagi hai kiya ek kati patang hai

sapno k devta kiya tujh ko karo main
arpan patjhar ki ho main chaya main aansooo ka darpan yehi mera rop hai yehi mera rang hai meri zindagi hai kiya ek kati patang hai.............

meri tarap se tarap kar ye aasma roya

meri tarap se tarap kar ye aasma roya
lahoo bahaya sitaroon ne aur samaa roya

mujhey har aarzu se waqat ne nashaad kar dala
bhaaroon ne mera gulahsan younheen barbaad kar dala
khazaan bhi ro parhdi ujrdha hua dekha mera aangan
mere dukh main meri halat pe sara ye jahaan roya

har ik majboor hai meri tarha aatish bhi kismat bhi
mujhey yazdaa ne sab kuch de dia hasrat bhi himmat bhi
giri jab barq mere aashiyaan per main nahi roya
jala ke mere ghar ko jaate jaate ye dhuaan roya

mere aansu bahey rukhsaar se to dard ke maare
meri takdeer ka kaatib bhi gham se be pana roya

main zindgi dhondnay chali thi

main zindgi dhondnay chali thi
par zindgi bhala kahan mili thi

shochti thi zindgi hai titlion mayn,baharon mayn,
mager bhanwray aur khizayin bhi to hoti hayn

samajhti thi zindgi hai khushion mayn,muskanon mayn,
mager ghum kai saaey,dhukh bhari sadayin bhi to hoti hai

khiyal tha zindgi hai takmel-e- khawashon mayn,
pur tabeer khabon mayn,
mager na tamam hasratayn ,udas nigahayn bhi to hoti hain

shaid mayn khoi thi apni asaishon mayn, aramon mayn,
nahi samajhti thi kahen in k liay duain bhi to hoti hayn

na tha ye khwabon mayn, khiyalon mayn,
k zindagi mayn mot ki ridayin bhi to hoti hayn

aur jub pa lia yeh raz-e-zindagi to janay q
dil mayn bhari hai udasi har soo

mayn zindagi dhondnay chali thi
aur shaid yehi mayri galti thi.

Ek Bewafa Se Aik Mulaqat Bohat Hai

Ek Bewafa Se Aik Mulaqat Bohat Hai
Jitna Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai

Duniya Ko Dil Ke Daagh Dikhaon To Kis Tarah
Aye Zindagi Yeh Raaz Chupaon To Kis Tarah

Apni Tabahiyoon Mein Mera Haath Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai

Toota Jo Dil Ka Aaina Tootay Sabhee Bharam
Hoti Hai Umar Pyaar Ki Jeenay Ke Liye Kamm

Marnay Ke Liye Dard Ki Raat Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai

Ek Bewafa Se Ik Mulaqat Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai

aesa nahi ke hum ko mohabbat nahi mili

aesa nahi ke hum ko mohabbat nahi mili
jaisi chahtey thay hum ko woh ulfat nahi mili

milnay ko zindagi main kai humsafar milay
per un ki tabiyat sey tabiyat nahi mili

chehron main dosron ke tumhain dhoondhtey rahey
surat nahi mili kahi seerat nahi mili

bohat dair sey aaya too meray pass kiya kahoon
alfaaz dhoondney ki bhi mouhlat nahi mili

tujh ko gila raha ke tawajjah na di tujhey
lakin hame khud apni mohabbat na mili

her shakhs zindagi main bohat dair sey mila
koi bhi cheez waqt-e-zaroorat nahi mili

hum ko to teri aadat achi lagi ae dost
afsoos ke tuj sey meri aadat nahi mili

YAAD JAB BHI TERI AATI HAI

YAAD JAB BHI TERI AATI HAI
JAANE KION ANKHON SE ASHK JAAARI HO JATE HAIN
JAANE KION PHIR TUM SE MILNE KO DIL KARTA HAI
JAANE KION PHIR MUJH KO AISA LAGTA HAI
KE WAQT PHIR SE LAUT AAEY GA
LEKIN JIS TARAH GAYA WAQT WAPIS NAHIN AATA
TUM BHI NAHIN AAO GI
LEKIN YEH DIL TUMKO HAMESHA DEEWANON KI TARAH CHAHE GA
SIRF TUM KO JANAN
SIRF TUM KO

Aankh Jab Ashk Bahaaye To Mujhe Likh Dena

Aankh Jab Ashk Bahaaye To Mujhe Likh Dena!
Jab Meri Yaad Sataaye, To Mujhe Likh Dena!

Koi Sawan Ki Ghataa Jab Tere Chhat Pe Aa Ke,
Aag si Dil Mein Lagaaye, To Mujhe Likh Dena!

Shub Ke Sannaate Mein Jab Toota Hua Dil Koi,
Dard Ka Geet Sunaaye, To Mujhe Likh Dena!

Haath Phir Dekhna Apne Shub-E-Tanhaai Mein,
Uski Har Rekha Bulaaye, To Mujhe Likh Dena!

Ay Meri Jaan-E-Jahaan Teri Wafa Ke Moti,
*Bheegi Palkein* Jo Lutaayein, To Mujhe Likh Dena!

Koi Muhn Zor Zamaane Ki Hawaa Ulfat Ke,
Dil Se Jab Naksh Mitaaye,To Mujhe Likh Dena!

zindagi eik bandhan!!!!! pyar ka, nafrat ka

zindagi eik bandhan!!!!!

pyar ka, nafrat ka

doosti ka, dushmani ka

zindagi eik bandhan

shaiyed arzi,shaiyed haqiqat

shaiyed khobsoorat,shaiyed badsoorat

zindagi eik bandhan

shaiyed dhoop,shaiyed chaoon

shaiyed mushkilat,shaiyed asaishein

zindagi eik bandhan!!!!!

kabhi rukna,kabhi chalna

kabhi hansna,kabhi rona

zindagi eik bandhan!!!!!

wafa ka, bewafai ka

aitbar ka,dhookey ka

zindagi eik bandhan!!!!!

shaiyed hasas,shaiyed berehum

shaiyed nazuk,shaiyed mazboot

zindagi eik bandhan

KHUDA ki taraf se pyar ka

mgr insan isey

jo chahey bana le.

Bheer main ik ajnabee ka samna acha laga

Bheer main ik ajnabee ka samna acha laga
Sab say chup kar wo kisi ka dekhna acha laga

Surmai aankhon kay neechay phool say khilnay lagay
Kahtay kahtay kuch kisi ka sochna acha laga

Baat to kuch bhi nahin thi lykin us ka aek dam
Hath ko honton pay rakh kar rokna acha laga

Chay main cheenee milana us gharee bhaya bohat
Zer-e-lab wo muskurata 'shukriya' acha laga

Dil main kitnay ahad bandhay thay bhulanay kay usay
Wo mila to sab araday todna acha laga

Bay arada lams ki wo sansnee piyaree
lagee Kam tvja aankh ka wo dekhna acha laga!

Neem shab ki khamshee main bheegtee sadkon pay kal
Teree yadon kay jalv main ghoomna acha laga

Us adooy jan ko Amjad main bura kesay kahoon
Jab bhi aaya samnay wo baywafa acha laga

tumhare yaadyen wo tum se ki howee saree batyen

tumhare yaadyen wo tum se ki howee saree batyen
wo sara waqt jo mein nay tumharay sath guzara
wo saree batyen jo tum nay mujh se ki
tumharay sath rehtay jo ehsas mehsos kiya
tumhari yadon ka , tumhari baton ka
ek khubsorat mehal bana raha hon mein
tum ikk din jab bohot dor chalay jao gaay
aur jab mujhay tumharee yaad satya karay gi
mein os mehal mein jaya kaorn ga
tumhyen awaz deya karon ga
tum se batyen kiya karon ga
tumhyen yaad kiya karon ga
tumhari yadyen wo tum se ki howee saree batyen

you hi umeed dilatay hai zamanay walay

you hi umeed dilatay hai zamanay walay

kab palatay hai bala chor kay janay walay

tu kabhi daik julastey howey sehra main darakht

kaisey jaltay hai wafaon ko nibhanay walay

un sey ati hai tere lums ki khoshbo ab tak

khat nikalay howey baita hoon puranay walay

aa kabhi dek zara un ki shaboo main akar

kitna rootay hai zamanay ko hansanay walay

kuch tu ankhoon ki zubani bhi kahi jaty hai

raaz hotay nahi sab moun sey batanay walay

ajj baizaar hai sitara hai na koi jugnoo

rabtay khatam howey sab un sey milanay walay .......

JO KHIYAL THAY NA KIYAS THAY

JO KHIYAL THAY NA KIYAS THAY
WO HI LOG HUM SAY BICHAR GAY

MERI ZINDGI KAY JO ASS THAY
WOHI LOG HUM SAY BICHAR GAY

JINHAIN MANTA HI NAHIN YA DIL
WOHI LOG HAIN MERAY HUM SAFAR

MUJAY HAR TARAH SAY JO RAS THAY
WOHI LOG HUM SAY BICHAR GAY

MUJAY LAMHA BHAR KI RAFAQTON KAY
AZAB OR STAIN GAY
MERI UMAR BHAR KI JO PIYAS THAY
WOHI LOG HUM SAY BICHAR GAY

YAY KHIYAL SAY HAIN ARZI
YAY GULAB SARAY HAIN KAGZI

GUL_E_ARZO KI JO BAS TAHY
WOHI LOG HUM SAY BICHAR GAY

JINHAIN KAR SAKA NA QABOL MAIN
WO SHARIQ_E_RA HAY SAEAR HOWAY

JO MERI TALAB MERI AS THAY
WOHI LOG HUM SAY BICHAR GAY

YA JO RAT DIN MERAY SATH HAIN
WOHI AJNABI KAY HAIN AJNABI

WO JOO DHARKANO KI ASSAS THAY
WOHI LOG HUM SAY BICHAR GAY

Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyon Nahin Dete

Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyon Nahin Dete,
Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyon Nahin Dete.

Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata,
Khamosh Khade Ho Kyon Saza Kyon Nahin Dete.

Use Jis Ke Zakham Hain Inaayat Teri,
Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyon Nahin Dete.

Kayee Ghar Nahin Baste Hain Jin Ki Vajah Se,
Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyon Nahin Dete.

Us Ne Tumhari Khaatir Kya Kya Nahin Kiya,
Tum Us Ki Wafaaon Ka Sila Kyon Nahin Dete.

Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Jaanta Hoon Main,
Ye Baat Apne Lab Se Bata Kyon Nahin Dete.

Anmol Khazana Hain Muskurahatein Teri,
Thoda Sa Ise Mujh Pe Luta Kyon Nahin Dete.

Wo Aag Jo Dil Mein Lagaai Thi Kabhi Tum Ne,
Wo Aag Aaj Khud Hee Bujha Kyon Nahin Dete.

Ek Arsa Hua Chain Se Soye Huye Hum kO
Mera Chain, Meri Neend Lauta Kyon Nahin Dete.

Sufr-e-Manzil-e-Shub YAd NahiN

Sufr-e-Manzil-e-Shub YAd NahiN
Log RuKHsat Huay Kub YAd NahiN 

Dil MaiN Her Vaqt Chubhan Rehtee Thee
Thee Mujhay Kis Kii Talub YAd NahiN 

Voh Sitara Thee, Kay Shubnam Thee, Kay Phool
Ik Soorat Thee Ujub YAd NahiN 

Bhooltay Jatay HaiN MAzii Kay DayAr
YAd AaiN Bhee To Sub YAd NahiN 

Aisa Uljha HooN Ghum-e-DunyA MaiN
Aik Bhee KhwAb-e-Turab YAd NahiN 

Yeh Haqeeqat Hae Kay AhbAd Ko Hum
YAd Hii Kub Thay Kay Ab YAd NahiN 

YAd Hay Sair-e-ChiragaaN Nasir
Dil Kay Bujhnay Ka Subab YAd NahiN

Khwahishain Na Tamaam

Khwahishain Na Tamaam -

Mujhay roshni k jazeeron say ...
Is tarhaan mili ho tum ... magar ...
Yeh roshni ka safar shayad mera hamsafar na ho ...
Shayad k tera milna kabhi bhi
Meri zindagi ka muqaddar na ho ...
So aaj inhi lamhoon main ...
Lota dain jitni chahatain hain ...
Mere dil k nehaan khanoon main ...
Jitni un kahi batain hain ...
Phir kal fursat milay na milay ...
Jis tarhaan saji hai aaj apni mehfil ...
Phir yeh bazam sajay na sajay ...
Kyon k main janta hoon ...
Kay meri natamaam khuahishoon main ab ...
Tumhain bhi shamil hona hai ...
Aaj paya hai tumhain muqaddar say ...
Kal isi tarhaan ...
Tumhain bhi khona hai ...

Youn to guzar raha hai her eik pal khushi k saath

Youn to guzar raha hai her eik pal khushi k saath
Phir bhi koi kami si hai kyoun zindagi k saath ?


Rishtay wafaein dosti sub kuch to paas hai
Kiya baat hai pata nahi dil kyoun odaas hai
Her lamha hai haseen naei dil kashi k saath
Phir bhi koi kami si hai kyoun zindagi k saath ?


Chahat bhi hai sukoon bhi hai dil bari bhi hai
Ankhoun may khuwab bhi hai laboun per hasi bhi hai
Dil ko nahi hai koi shikayat kisi k saath
Phir bhi koi kami si hai kyoun zindagi k saath ?


Chaha tha jaisa waisa he jeewan to hai meger
Ab aur kis talash may bay chain hai nazar ?
Qudrat to meherbaan hai dariya dili k saath
Phir bhi koi kami si hai kyoun zindagi k saath ?

bikharate TuuTate lamho.n ko apanaa ham_safar jaanaa

bikharate TuuTate lamho.n ko apanaa ham_safar jaanaa
thaa is raah me.n aaKhir hame.n Khud bhii bikhar jaanaa  


havaa ke dosh par baadal ke Tuka.De kii tarah ham hai.n
kisii jho.nke se puuchhe.nge ki hai ham ko kidhar jaanaa


mere jalate hue ghar kii nishaanii bas yahii hogii
jahaa.N is shahar me.n raushanii dekho Thahar jaanaa  


pas-e-zulmat ko_ii suuraj hamaaraa muntazir hogaa
isii ek vaham ko ham ne chiraaG-e-rah_guzar jaanaa



dayaar-e-Khaamashii se ko_ii rah-rah kar bulaataa hai
hame.n "Makhmoor" ek din hai isii aavaaz par jaanaa

Who Hi Takrar Lafzoon Ki Who Hi Andashay Furqat Kay

Who Hi Takrar Lafzoon Ki

Who Hi Andashay Furqat Kay

Who Hi Anjan Si Dastak

Who Hi Har Bat Pay Ranjish

Who Hi Gumnam Si Kasak

Who Hi Har Bat Pay Larna

Who Hi Likhna Hamaray Namoon Ko Bayraham Moajon Par

Hamaray Samnay Kachay Gharonday Tor Kay Hansna Who Hi Ba Mainay Baton Main
Hamara Zikar Lay Aana

Hamain Parday Say Chup Kar Dekhna Or Muskurana

Who Muskan Dheemi Si

Who Hi Kuch Bolti Aankhain

Who Hi Chup Chap Sa Lahja

Who Hi Baychain Si Halchal

Who Hi Sakiyaon Say Katrana

Who Hi Say Sa Ghabrana

Who Hi Kahnay Sa Kuch Darna

Who Hi Bay Wajah Uthlana

Sab Hi Asar Kahtay Hain

USSAY MUJH SAY MOHABAT HAY

sataa sataa ke hame.n ashk_baar kartii hai

sataa sataa ke hame.n ashk_baar kartii hai
tumhaarii yaad bahut beqaraar kartii hai

vo din jo saath guzaare the pyaar ke hamane
talaash un ko nazar baar baar kartii hai

gilaa nahii.n jo nasiibo.n ne kar diyaa hai judaa
terii judaa_ii bhii ab ham ko pyaar kartii hai

kinaare baiTh ke jis ke kiye the qaul-o-qaraar
nadii vo ab bhii teraa i.ntazaar kartii hai

khawb toot jatay hain bheer main zamany ki

khawb toot jatay hain

bheer main zamany ki,

durust daar lehjon main silvatain si perti hain

IK ZARA SI RANJISH SAY

shak ki zard tehni per, phool badgumani kay

is tarah say khiltay hain

zindagi say piyaray bhi

ajnabi say lagtay hain

ghair ban kay miltay hain

umer bhar ki chahat ko aasra nahin milta

dasht-e-beyaqeeni main rasta nahin milta

khamshi kay waqfon main

baat tot jatee hay aur sira nahin milta

ma'zrat kay lafzon ko roshni nahin miltee

lazzat-e-pazeeraie phir kabhi nahin miltee

KHAWB TOOT JATAY HAIN

wahmon kay saye say, umer bhar ki mehnat ko

pal main tor jatay hian

IK ZARA SI RANJISH SAY

SATH CHOOT JATAY HAIN, BHEER MAI NZAMANY KI

HATH CHOOT JATAY HAIN

KHAWB TOOT JATAY HAIN

Apni ana key sarey seshay aakhir chakna choor huey

..Apni ana key sarey seshay aakhir chakna choor huey
Hum ney jin per ghazlein sochein un ko chaha logoon ney.
.hum kitney badnam huey woh kitnay mashoor huey
Tark-e-wafa ki sari kasmein un ko dekh key toot gayein.
.Un ka naz salamat tehra hum hi zara majboor huey
Ik ghari ko ruk ker poocha us ney to ahwal magar
..baqi umer na murr ker dekha hum aesey maghroor huey
Ab key in ki bazm mein janey ka gurr mohsin izn miley
..zakhm hi in ki nazar ghuzarein,askh to na manzoor huey
Tum ney bhi thukra hi dya hai D u n y a sey bhi duur huey

vo dil navaaz hai lekin nazar shanaas nahii.n

vo dil navaaz hai lekin nazar shanaas nahii.n
meraa ilaaj mere chaaraagar ke paas nahii.n

ta.Dap rahe hai.n zabaa.N par ka_ii savaal magar
mere liye ko_ii shayaan-e-iltamaas nahii.n

tere ujaalo.n me.n bhii dil kaa.Np kaa.Np uThataa hai
mere mizaaj ko aasuudagii bhii raas nahii.N

kabhii kabhii jo tere qurb me.n guzare the
ab un dino.n kaa tasavvur bhii mere paas nahii.n

guzar rahe hai.n ajab marhalo.n se diidaa-o-dil
sahar kii aas to hai zindagii kii aas nahii.n

mujhe ye Dar hai ki terii aarazuu na miT jaaye
bahut dino.n se tabiiyat merii udaas nahii.n

khaak ki itni thi doobhar raston ki mutthi mai

khaak ki itni thi doobhar raston ki mutthi mai
mai aankhen mal kar kya karta,
mei ney aankhe noch ke rakh lein theen!
terey naqsh-e-pa to wesey bhi
meri pohanch mei aney mushkil the
socha tha hawaa sey poochon ga
hawa bhi lekin zaalim thi
na'jaaney kahaan wo chup gai
mujhey itna keh kar kaanon mei
tum jis ko dhoondney nikley ho
hum us sey mil kar aaey hein
ye ik aur sitam tha qismat ka!
mein phir bhi soch ke bettha tha
ik roz to tujh ko pa loon ga
yehi aas leeye apney dil mein
kya kya jatan na kar daala
apna hulya, apna chehra,
apna rasta bhi badal daala
par jab bhi mein un raston ko
koi dhoka dey kar aata tha
wohi morr saamney paata tha
ab aur bhala mein kya karta!
mera azm to pukhta tha lekin
taqdeer muqaabil aa gai thi
tadbeer wahaan pe kya karti!

yuuN na mil mujh se Khafaa ho jaise

yuuN na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise

log yuuN dekh kar haNs dete hain
tuu mujhe bhuul gayaa ho jaise

ishq ko shirk kii had tak na ba.Daa
yuuN na mil hamase Khudaa ho jaise

maut bhii aa_ii to is naaz ke saath
mujhape ehasaan kiyaa ho jaise

aise anjaan bane baiThe ho
tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise

hichakiyaaN raat ko aatii hii rahiin
tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise

zindagii biit rahii hai ""
ek bejurm sazaa ho jaise

Jo Na Mil Saka Wo Baywafa

Jo Na Mil Saka Wo Baywafa
Yeh Bare Ajeeb Si Baat Hai
Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai...
Wo Roshni Kay Khayal Main
Wo Na Asaka Raah Mian Muntazir
Yeh Khalish Kahan Thi Visaal Main
Mere Justojoo Ko Khabar Nahi
Na Wo Din Rahay Na Wo Raat Rahay
Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai..
Kary Pyar Lab Pay Koi Gila Na Hoo
Yeh Kissi Kissi Ka Naseeb Hai
Yeh Karam Hai Uski Jafa Nahi
Wo Juda Bhi Rehkay Qareeb Hai
Wo Aankh Hai Mere Ru Baru
Ussi Haath Mein Mera Haath Hai
Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai
Mera Nam Tak Jo Na Lay Saka
Jo Mujhay Qarar Na Day Saka
Jissay Ikhtiyaar Tau Tha Magar
Mujhay Apna Pyar Na Day Saka
Wohi Shakhs Mere Talassh Hai
Wohi Dard Mere Hayaat Hai
Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Meray Saath Ha

tamannaon ke bahlave meiN aksar aa hi jaate haiN

tamannaon ke bahlave meiN aksar aa hi jaate haiN
kabhi hum chot khaate haIn kabhi hum muskuraate haiN

ham aksar dostoN ki bewafee seh to lete haiN
magar hum jaante haiN dil hamaare TooT jaate haiN

kisi ke saath jab beete huye lamhoN ki yaad aayee
thaki aakhoN meiN askhoN ke sitaare jhilmilaate haiN

ye kaisa istheyaaki deed aur kaisi majboori
kisi ki bazm tak hum kyoon jaa jaa ke laut aate haiN

Tum se koi bhi nahinhai mujhey Pyara Janum

Tum se koi bhi nahinhai mujhey Pyara Janum
Main tumhara hoon to sub khuch hai tumhara janum

sub tumhari hi amanat hai tumharey hi Liyey
Mera Sarmaya-e-Fun, sarey ka sara Janum

Jitney ansoo they wo anchal main teri tank diyey
Pass Rakha hi nahin koi Sitara janum

Zindagi bher ke safer main terey shair ke liyey
Kaisi naimat hai Ghari bher ka sahara janum

Doosron ke liyey Tasveer-e-Masaal ban jayey
Saath Jitna bhi rahey Mera Tumhara Janum

manzilein bhe uss ke theen, rasta bhe uss ka tha

manzilein bhe uss ke theen, rasta bhe uss ka tha

ik main akela tha, kafla bhe uss ka tha

saath sath chalne ke, soch bhe uss ke thee

phir rasta badalne ka, faisla bhe uss ka thaa

aaj kion akela hoon, dil sawal karta hay

loog tou uss ke thaay, kia khuda bhe uss ka tha ?

kabhi tum ne yeh bhi soocha

kabhi tum ne yeh bhi soocha
k tumhare dill girafta
tumhain kitna chahte hain?

tumhain zindagi se bardh ker
jo azeez hum ne jana
so, koi sabab to ho ga
kabhi tum ne yeh bhi soocha?

sar e shaam muntazir the
kahin neelmiin uujaale
kahin titliyaan laboon ki
kahin phool jaise aaraz
kahin qamqamoon si aankhain

yeh jo charah gar humare
koi ssa.at e rafaqat
sar e shaam maangte the
unhain kia khabar k hum ne
tumhain soonp di hain raatain
tumhain daan ki hain aankhain

kabhi tum ne yeh bhi soocha
k tumhare dill girafta
pas e baam o dar akaile
kisi shama e sookhta se
yeh jo ker rehe hain baatain
tumhain kitna chahte hain?

tumhain rooz o shab k dukh main
kabhi bhoolna bhi chaahain
to kabhi na bhool paain
k yeh ahed e zindagi hai
jise toordna bhi chahhain
to kabhi na toord paayin

Jab Koi Khuwab Sahara Ban Jayee

"TUM YAAD BOHAT AATI HOO"

Jab Koi Khuwab Sahara Ban Jayee,
Jab Yeh Dhoop Nazara Ban Jayee,
Jab Chandni Rooh Jalati hoo,
Tum Yaad Bohat Aati Hoo.


Jab Chaltay Chaltay Thak Jaoon,
Kuch Khetay Khetay Ruk Jaoon,
Koi Baat Jab Na Yaad Aati Hoo,
Tum Yaad Bohat Aati Hoo.


Jab Yadoon Ki Pazaib Bajay,
Armanoon Ki Jab Baraat Sajay,
Khamooshi Jab Gungunati Ho,
Tum Yaad Bohat Aati Hoo.


Jab Merna Asaan Lagnay Lagay,
Zakham Kali Ban K Muskuranay Lagay,
Jab Koi Baat Dil Dherkati Hoo,
Tum Yaad Bohat Aati Hoo.


Jab Chaand Door Kahein Doobta Ho,
Jab Sooraj Rang Badalta Ho,
Jab Tanhai Bohat Satati Ho,
Tum Yaad Bohat Aati Hoo.


Jab mein Hoon Or Meri Tanhai Ho,
Jab Achanak Aankh Bher Ayee Ho,
Tum Bahoon Me Simmatt Jati Ho,
Tum Yaad Bohat Aati Hoo.


Lo` Zindagi Ki Jab Bujhnay Lagay,
Aansoon Ki Rim Jhim Jab Thamnay Lagay,
Aessay Me Tum Chupkay Se Kuch Keh Jati hoo,
Tum Yaad Bohat Aati Hoo.


Jab Mohabatein Udass Reh Jaein,
Jab Chund Sansein Pass Reh Jain,
Or Tumhari Kammi Rulati Ho,
Tum Yaad Bohat Aati Hoo,

Tum Yaad Bohat Aati Hoo.

Kahin Tum Apni qismat Ka Likha Tabdeel Kar Letay

Kahin Tum Apni qismat Ka Likha Tabdeel Kar Letay
To Shayed Hum Bhi Apna Rasta Tabdeel Kar Letay

Agar Hum Waqiaa Kam Hoslaa Hotay Muhabbat Mein
Marz Bharne Se Pehlay Dawa Tabdeel Kar Letay

Tumharay Sath Chalne Per Jo Dil Raazi Nahin Hota
Bohat Pehlay Hum Apna Faisala Tabdeel Kar Letay

Tumhari Tarah Jeenay Ka Hunar Aata to Phir Shayed
Makaan Apna wohi Rakhtay Pata Tabdeel Kar Letay

Judaai Bhi Na Hoti Zindagi Bhi Sahal Ho Jati
Jo Ek Dusray Se Masla Tabdeel Kar Letay

Bohat Dundlaa Geya Hai Yaadoon Ki Rim Jhim Mein Dil Saada
Woh Mil Jata To Hum Bhi Aaina Tabdeel Kar Leta

Meray luboun pey sajji hai Dua kisi key Liye

Meray luboun pey sajji hai Dua kisi key Liye
Meray Khuda mujhe hansna sikha kisi key Liye


Mujhe yaqeen hai yeh mujh sey na hoo sakey ga magar
Mein ker raha houn kisi sey wafa kisi key Liye


Nahin milounga agar khoo diya to ney
Na apney haath sey gawa mujhe kisi key Liye


Meray janoon ko to yeh baat bhi ganwara hai
Meray Liye na sahi phir bhi Aaa kisi key Liye

TERAY HAATHON KI LAKIRON MAIN SAMANA CHAAHONN

TERAY HAATHON KI LAKIRON MAIN SAMANA CHAAHONN,
TERI DUNIYA MAIN KHUSHI BUN KAY MAIN AANA CHAAHOON,

MAIN BOHAT THAK SA GAYA HOON youn he CHALTAY CHALTAY,
AB TERAY PYAR KI CHAAON MAIN MAIN AANA CHAHOON,

LOAG CHALTAY HAIN BOHAT DUR TALAK RAAHON MAIN,
MAIN TU HAR SAANS TALAK SAATH NIBHAANA CHAHOON,

KITNI UMEED SAY DEKHA THA TUJHAY JAATAY HUAY,
WOH SABHI PUL APNI MUTHI MAIN DABANA CHAHOON,

KITNI MAASOON SI HASRAT HAY MERAY SEENAY MAIN,
APNAY AANGAN MAIN SITAARON KO SAJAANA CHAHOON.

agar hum dost hotay to

agar hum dost hotay to
karam ki inteha kertay
tumhain palkon pay rekhtay hum
tumhain dil main basatay hum
agar tum rooth jatay to
tumhain kitna manaty hum
agar milnay tum nahi aatay to
aa kar khud tumhain miltay
tumhari larzishon ko bhi
hunsi main hum urda detay
agar apni khata hotii
khud ko bhi saza detay
magar yeh sub jabhi hota
agar hum dost hotay to......
magar itnahi jana hai
kay tum nay ajj tak hum ko
paraya keh ker jana hai
khabi humdum na mana hai

agar hum dost hotay tooo...............

mainay is toor say chaha tujhay aksar janaN

mainay is toor say chaha tujhay aksar janaN
jaisay mehtab ko bay anat samandar chahay

jaisay soraj ki kiran seep kay dil main utray
jaisay khoshbo ko hawa raang say haat ker chahay

jaisay khawbooN main khiyaloon ki kamaN tooti hai
jaisay barish ki dua abla-paa mangay

mera har khawab meray sach ki gavahi day ga
voosat-e-deed nay tujh say teri khawish ki hai

meri soochon main khabi dekh sarapa apna
main nay dunya say alag teri parastish ki hai

khawish-e-deed ka mosam khabi dundla howa jo
nooch dali hain zamanoN ki nakabain mainay


mainay chaha kay teray husan ki gul-naar fiza
meri ghazloon ki kataroon say dehkti ja'ay

mainay is toor say chaha tujhay aksar janaN

Chehre pe khushi chah jati hai

Chehre pe khushi chah jati hai
ankhon mein suroor aajata hai
jab tum MuJhe apna kehte Ho
apne app pe guroor Aajata hai
Tum husn ki khud ek dunya Ho,
shayad yeh tumhain maloom nahi
Mehfil Mein Tumhare Aane Se ,
Har Chiz Pe NooR Aajata Hai
Hum pass se tum ko kiya dekhen
JaB TuM MukaBiL HotE HO
BetaaB NigHaooN Ke AaGe ,
Parda sa Zaroor Aajata Hai
Jab Tumse MohabbaT ki Humne
Tab jake kahin yeh raaz khula
Marne ka Saliqa Aatein Hi
Jeene ka Shaur Aajata Hai

Hum khushboo k saudagar hain

Hum khushboo k saudagar hain
sauda sacha kartey hain
jo gahik phoolon jesa ho
hum bin daamon bik jaatey hain
tum shahair-e-wafa k logon ka
haal-e-wafa kya jaano
hum dil ki chot chupatey hain
aur aansoo tak pee jatey hain

Saraab raston pe ja rahe ho junun ki had hai

Saraab raston pe ja rahe ho junun ki had hai
tum us ko ghar me bola rahe ho junun ki had hai

kia bharosa ke us ka wada wafa ho na ho
bekaar ghar ko saja rahe ho junun ki had hai

kia bharosa ke raaz saare ye raaz rakhe
hawa ko qisse suna rahe ho junun ki had hai

log hawaon me bhi bachain wafa ki shamen
tum andhion me jala rahe ho junun ki had hai

me sochti thi ke ghar jale ga to na haso ge
per ab bhi tum muskura rahe ho junun ki had hai

junun ke darya me zeher kitna Khuda bache
tum is me ghote laga rahe ho junun ki had hai

me janti hun ke us ki zid hai bala ki ....
phir bhi kab se mana rahe ho junun ki had hai

Sochta hoon kay usay neend bhi aatee ho gee

Sochta hoon kay usay neend bhi aatee ho gee
Ya meri tarhan faqat ashq baha tee hoo gee

Woh meri shakl mera nam bhulanay wali
Apni tasver say kia ankh milatee ho gee

Is zameen per bhi hay sailab meray ashkon say
Meray matam ki sada arsh hilatee hoo gee

Sham hutay hee woh chukhat pay jala kay shama
Apni palkon pay kaee khwab sulatee ho gee

Is nay silwa bhi lyeh hoon gay siyah rang libas
Abb Muharam ki tarhan Eid manatee ho gee

Hotee ho gee meray bosay ki talab main pagal
Jab bhee zulfon main koi phool sajatee ho gee

Meri tareek zamanoo say nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yad dilatee ho gee

Dil ki masom ragain khud hi sulagtee hoon gee
Jonhee tasweer ka kona woh jalatee ho gee...!!!

Aey Dil un aankhon par na ja....

Aey Dil un aankhon par na ja....
jin main wafoor-e-ranj sey
kuch dair ko terey liey
aansoo agar lehra gaey

yeah chand lamhon ki chamak
jau tujh ko pagal kar gaey
in jugnon key noor sey
chamakti hey kab woh zindagi
jis key muqadar main rahi
subh-e-talab sey teergi


kis soch main gum sum hey tooo
aey dil-e-bey khabar nadan na ban
teri fasurda rooh ko
chahhat key kanton ki talab
aur us sey daman main faqat
HAMDARDION key phool hain

meray charah ger meray derd ki tughay kia khaber

meray charah ger
meray derd ki tughay kia khaber
tou meray safar ka shareek hay
nahi hum safar
meray charah ger, meray charah ger
meray hath say teray hath tuk
woh jo hath bher ka tha fasla
kayee mausamoOn may badal gaya
usay naptay, usay kat'tay
mera sara wakt nikal gaya
nahi jispay koi nishan-e-pa
meray samnay hay woh rah'guzer
meray charah ger
meray derd ki tughay kia khaber

Mujhay bas itna kehna hai

Mujhay bas itna kehna hai
Kabhi main yaad aaoon to
Kabhi tanhai ki raatain
Tumhain ziada sataein to
Kabhi titli na bolay to
Aur jugnoo lout jaye to
Kabhi jab dil bhi bhar jaye
Koi jab sunn na paye to
Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se rooth jaaein to
Kabhi jab khud se lar lar kar
Thakan se choor ho jao
Kabhi chahtay huay bhi khud akelay
Ro na paao to
Apni aankhon ko band karna
Mujhay aawaz de dena
Aur phir meray tasawwur se
Jo chaho batain keh dena
Meray kaandhay pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena
Phir khud main jab loat jao to
Us he duniya chalay jana
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon main
Hamain dil se pukaro gay
Hamain tum saath pao gay.......

kat hi gaye judai bhi kab yeh howa kay mar gaye

kat hi gaye judai bhi kab yeh howa kay mar gaye
tere bhi din guzar gaye mere bhi din guzar gaye

tere liye chale the hum tere liye thehar gaye
too ne kaha to jee uthe too ne kaha to mar gaye

waqt hi kuch judai ka itna taweel ho gaya
dil mein tere wisaal kay jitne the zakhm bhar gaye

hota raha muqabla pani ka aur piyaas ka
sehra umad umad pare darya biphar biphar gaye

woh bhi ghubar-e-khuwab tha ham bhi ghubar-e-khuwab the
woh bhi kahin bikhar gaya ham bhi kahin bikhar gaye

koi kinare aab-e-joo betha huwa hay sar nigon
kishti kidhar chale gaye jane kidhar bhanwar gaye

aaj bhi intizaar ka waqt hanoot ho gaya
aise laga kay hashar tak sare hi pal tehar gaye


barish-e-wasal woh hoe sara ghubar dhul gaya
woh bhi nikhar nikhar gaya hum bhi nikhar nikhar gaye

aab e mooheet-e-ishq ka behar ajeeb behar hay
taire to gharq ho gaye doobe to paar utar gaye

itne qareeb ho gaye apne raqeeb ho gaye
woh bhi adeem dar gaya ham bhi adeem dar gaye

us kay salook per adeem apni hayat-o-mot hay
woh jo mila to jee uthe woh na mila to mar gaye....

dil hijr k dard se bojhal hai ab aan milo to behter ho

dil hijr k dard se bojhal hai ab aan milo to behter ho
iss baat se hum ko kia matlab ye kaisey ho ye kyoon kar ho
ik bheek k dono kaasey hain ik pyas k dono pyasey hain
hum khaity hain tum badal ho hum sehra hain tum sagar ho
hum sanjh samey ki cchaya hain tum charrti raat k chandar maah
hum jaate hain tum aate ho phir mial ki soorat kyoon kar ho
wo baatein chand k saath gaein wo raatein chand k saath gaein
uss sukh k sapne kia dekhein jab dukh ka sooraj sar per ho
ab INSHA ji ko bulana kia ab pyar k deep jalana kia
jab dhoop aur cchaya aik se hoon jab din aur raat baraber hoon

ak lamha hay udass sa

ak lamha hay udass sa,
keh jessy!
jhanjer main koee ghongro ho,
bey awaz sa,
ak lamha hay udss sa,
keh jessy!
chandny se raat main,
chan ho narash sa,
ak lamha hay udass sa,
keh jessy!
apny hi ghool main koee,
heran ho haras sa,
ak lamha hay udass sa

Teray faraq kay lamhay shumaar kartay howay

Teray faraq kay lamhay shumaar kartay howay
Bikhar gay hain tera intazaar kartay howay

Tou main bhi khush hoon koi us say ja kar kah day
Ager wo khush hay mujhay bey qaraar kartay howay

Main muskurata howa aainay main ubhroon ga
Woh ro paray ge achanak singhar kartay howay

Tujhay khaber he nahi koe toot gia hay
Mohabbatoon ko bohat paedaar kartay howay

Woh kah rahe the sumander nahi hai aankhoon main
Main un main doob gia ahtabaar kartay howay

Mujhay khaber thi kah ab loot kar na aaonga
Tuj ko yaad kia dard paar kartay howay

vo kisi Khushbuu kii tarah phailaa thaa mere chaar suu

vo kisi Khushbuu kii tarah phailaa thaa mere chaar suu
main usse mahasuus kar sakataa thaa chhuu sakataa na thaa  

raat bhar us kii hii aahat kaan mein aatii rahii
jhaank kar dekhaa galii mein koii bhii aayaa na thaa 

aks to maujuud the par aks tanahaaii ke the
aaiinaa to thaa magar us mein teraa cheharaa na thaa  

aaj us ne dard bhii apane alahadaa kar diye
aaj main royaa to mere saath vo royaa na thaa  

ye sabhii viiraaniyaan us ke judaa hone se thiin
aankh dhundhalaaii huii thii shahar dhundhalaayaa na thaa  

yaad karake aur bhii takaliif hotii thii ""
bhuul jaane ke sivaa ab koii bhii chaaraa na thaa

Ya takide Muhabat hai

Ya takide Muhabat hai
Ya tajdeede muhabat hai
Mager jo kuch bhi hai janan
Ye toheedeh Muhabat hai
So toheedeh muhabat me bicherne ka kabhi dharka nahi hoya
Bajuz chahhat kisi dil me koi jazba nahi hota
kabhi takeed ya tajdeed ki nobat nahi ati
koi kagaz, koi khat, phool ya tohfa nahi hota
Meri aankhon me jitne rang hain un sab me chahat hai
mere hothon pe jitne harf hain un me Aqeedat hai
Tumhe maloom hai chaht to ik aesi haqeeqat hai
Jise lafzon, Khaton, phoolon ya tohfon ki
Zarorat hi nahi hoti
jahan Dil se Nikal ler baat khud Dil tak pohanchti hai
Jahan ankhon se nikle Ashq khud izhar kerte hain
Ke ham kis haal me hain
Aur kitna PYAAR kerte hain
So aey jane gazal dekho
Meri Chahat, Dharakta Dil aur is me mojzan Jazbe
Meri Chahat ka Tohfa hain
Meri chahat ke sab Tohfe tumhare pass hain Janan
Mujhe Yume muhabat pe Tumhe kuch bhi nahi Dena

Ye jo zindagi ki kitaab hey

Ye jo zindagi ki kitaab hey

Ye kitaab bhi kya kitaab hey
Kahin aik haseen sa khuwab hey
Kahin jaan lewa azaab hey

Ye jo zindagi ki...

Kahin chaon hey kahin dhup hey
Kahin aur hi koyi rup hey
Kayi chehrey iis mey chupey howey
Aik ajeeb si ye naqaab hey

Kahin aik haseen sa....

Kahin kho dia kahin paliya
Kahin ro liya kahin galiya
Kahin cheen leti hey har khushi
Kahin meherbaan behisaab hey

Kahin aik haseen sa...

Kahin ansuaon ki hey dastaan
Kahin muskurahaton ka biyan
Kahin berkaton ki hein bareshien
Kahin tashnagi behisaab hey

Kahin aik hassen sa....

Woh Kuch Suntaa Tou Mein Kehtaa, Mujhe Kuch Aur Kehnaa Thaa

Woh Kuch Suntaa Tou Mein Kehtaa, Mujhe Kuch Aur Kehnaa Thaa
Woh Pal Bhar Koo Jo Ruk Jaata, Mujhe Kuch Aur Kehnaa Thaa

Ghalat Fehmi Ney Baatoon Koo Barhaa Daalaa Younhi Wernaa
Kaha Kuch Thaa, Woh Kuch Samjhaa, Mujhe Kuch Aur Kehnaa Thaa

Kamaai Zindagi Bhar Ki Ussi Kay Naam Kyun Kar Di
Mujhe Kuch Aur Karnaa Thaa, Mujhe Kuch Aur Kehnaa Thaa

Kahaan Uss Ney Suni, Meri Suni Bhi An-Suni Kar Di
Ussay Maloom Thaa Itnaa, Mujhe Kuch Aur Kehnaa Thaa

Mere Dil Mein Joo Darr Aaya, Koi Mujh Mein Bhi Der Aaya
Wahien Ek Raabtaa Toota, Mujhe Kuch Aur Kehnaa Thaa

Rawaan Thaa Pyar Nas Nas Mein, Bohuat Kurbat Thi Aapas Mein
Ussay Kuch Aur Sun-nanaa Thaa, Mujhe Kuch Aur Kehnaa Thaa

kuchh to ehasaas-e-ziyaa.N thaa pahale

kuchh to ehasaas-e-ziyaa.N thaa pahale
dil kaa ye haal kahaa.N thaa pahale

ab to manzil bhii hai Khud garm-e-safar
har qadam sang-e-nishaa.N thaa pahale

safar-e-shauq ke far_sang na puuchh
vaqt beqaid-e-makaa.N thaa pahale

ye alag baat ki Gam raas hai ab
is me.n andeshaa-e-jaa.N thaa pahale

yuu.N na ghabaraaye huye phirate the
dil ajab kunj-e-amaa.N thaa pahale

ab bhii tuu paas nahii.n hai lekin
is qadar duur kahaa.N thaa pahale

Dere Daale hai.n bagolo.n ne jahaa.N
us taraf chashm-e-ravaa.N thaa pahale

ab vo dariyaa na bastii na vo log
kyaa Khabar kaun kahaa.N thaa pahale

har Kharaabaa ye sadaa detaa hai
mai.n bhii aabaad makaa.N thaa pahale

kyaa se kyaa ho ga_ii duniyaa pyaare
tuu vahii.n par hai jahaa.N thaa pahale

ham ne aabaad kiyaa mulk-e-suKhan
kaisaa sun_saan samaa.N thaa pahale

ham ne baKhshii hai Khamoshii ko zubaa.N
dard majabuur-e-fuGaa.N thaa pahale

ham ne roshan kiyaa maamuur-e-Gam
varnaa har simt dhuaa.N thaa pahale

Gam ne phir dil ko jagaayaa ' 
Khaanaa_barbaad kahaa.N thaa pahale

aas hogii na aasaraa hogaa

aas hogii na aasaraa hogaa
aane vaale dino.n me.n kyaa hogaa  

mai.n tujhe bhuul jaauu.Ngaa ik din
vaqt sab kuchh badal chukaa hogaa  

naam ham ne likhaa thaa aa.Nkho.n me.n
aa.nsuuo.n ne miTaa diyaa hogaa  

aasamaa.N bhar gayaa pari.ndo.n se
peaD koii haraa giraa hogaa  

kitanaa dushvaar thaa safar us kaa
vo sar-e-shaam so gayaa hogaa

zeest ki rah pe guzre hoy kuch lumhoon main

zeest ki rah pe guzre hoy kuch lumhoon main
hum ne chaha thaa tery saath chalein
tery hontoon pe hansee
ankhoon main jugnoo bun kar
tujhy jeeta dekhein
tery khuwaaboon ko saja lein
apni inn ankhoon main
tery chehry ki udasi ko
khuooshi main badal dein
aur kuch rang bhar dein
tery roz o shub main
phir tujhy rang bahaaroon k churaata dekhein
zeest ki rah pe guzry hoy kuch lumhoon main
hum ne kia kia chaha thaa

Juda hum jo dunya se honey lagey


Juda hum jo dunya se honey lagey
To sab hath mal mal ke roney lagey
Abhi kuch ziyada bhi din kab huwey
keh charchey hamare hi honey lagey
Qadar un ko meri hui mere baad
Woh aansoo se damen bhigoney lagey
Koi khas baat un ko yaad aagayi
Pasiney pasiney woh honey lagey
Mere pyar ka khoob badlah diya
Woh nashtr sey dil mein chubhoney lagey
Meri yaad jab bhi unhein aagayi
Woh lariyon mein aansoo pironey lagey
Khuda jaane kya aap ne keh diya
Keh ab jaan sey hath dhoney lagey
Bazahir baare qadd key jo log thay
Jo dekha to bus wohi chotey lagey

Adhore khuwab ke ander

Adhore khuwab ke ander
kabhi palken beechana mat
adhure khuwab aankhon ko bohat takleef dete hain
adhuri yaad ko dil ki zamin me tum nahi bona
adhuri yaad dharkan me bohat chubti, sisakti hai
khalish ban ker khatakti hai
lahu me bijlian ban ker bhatakti hai
adhure pyar ko.....lekin chalo jane do isko tum
Mohabat, pyar, chahat, Ishq hote hi adhure hain

Kon rok sakta hai

Kon rok sakta hai
lakh zabt khuwahish ke
beshumar dawe hun
us ko bhul jane ke
be panah irade hun
aur us mohabat ko tark ker ke jeene ka
fesla sunane ko
kitne lafz sooche hun
dil ko us ki aahat per
barmala dharakne se kon rok sakta hai

bahut masroof ho shayad

bahut masroof ho shayad!!
hamaree yaad bhee tum ko naheen aksar satatee ab
becharnay tak se milnay ka
koi wada naheen kartay
koi khat bhee naheen likhtay
gila karna to chahtay hain
tumharee berukhi ka hum
magar us k liye kuch waqat bhi darkar hota hai
jo tum ko mil naheen sakta
kiyon k
bahut masroof ho shayad!!!

tere tabsarey heiN be-khabar meri daastaan-e-hayaat sey

teRey tabsarey heiN be-khabar meri daastaan-e-hayaat sey
tu keh raha ha dil jisey wo meRi khahishoN ka mazaaR hey

teRa shukriya aey tabeeb-e-jaaN ye khaloos apni jaga magaR
teRi masihaai bhi kya karey meRa dard hi be-shumaaR hey

meRey raastoN meiN jo aa gaya meRey qaafley ko jo kha gaya
wo tufaN to kab ka guzaR gaya paR dil meiN ab tak gubaar hey

aey meharbaaN dost suN meRi mushkiloN ko samajh ke meiN
teri mohabatoN ka kya karooN kisey dil pe ab ikhtiyar hey!

naey mosamoN ko bulao mat ke mujhey khusbuoN ki talab nahi
meri rah rehney do khaar khaar meRey leye to yehi bahaaR hey

jo nafratoN sey jhulas gaya usey dil sey saarey duwaeiN do
par us sitam-zada ka kya kareiN jo mohabatoN ka shikaaR hey

Aaj gom som hai jo barbaad jazeero(n) jaisee

Aaj gom som hai jo barbaad jazeero(n) jaisee
Uss kee aank'ho(n) main chamak thee kabhee heero(n) jaisee

Kitnay maghroor pahaaro(n) kay badan chaak howay
Taiz kirno(n) kee jo baarish howee teero(n) jaisee

Jiss kee yaado(n) say khayaalo(n) kay khazaanay dehkay
Uss kee soorat bhee lagee aaj fakeero(n) jaisee

Chaahatai(n) lab pay machaltee howee larkee kee tarhaa
Hasratai(n) aank'h main, zindaa(n) kay aseero(n) jaisee

Ham anaa mast, tahee dast bohot hain  
Ye alag baat keh aadat hai ameero(n) jaisee

Hadsa ye bhi howa hai ab ke

Hadsa ye bhi howa hai ab ke
Dil tujhe bhul gaya hai ab ke 

Saath chalte the gai waqton me
Aur rasta hi juda hai ab ke 

Mene to Aap khurach dalen hain
Her koi zakhm hara hai ab ke 

Apni janib hi nikal aai hain
Ye safer khub raha hai ab ke 

Ye mere saath hi ab jai ga
Dil me jo dard uth ahai ab ke

Kabhi gham yun bhi hota hai

 Kabhi gham yun bhi hota hai
Ke sansen toot jatin hain
kisi ki rah tak tak ker
Nigahen sookh jatin hain
jinhen ana ho jeewan me
Wohi aane nahi paate
Jinhen ana ho Khuwabon me
Wo raste bhul jate hain

Kabhi gham yun bhi hota hai
Jahan dil apna khilta hai
Wahin mosam badalta hai
Hame jo naam lena ho
Amanat aur ki ho Wo
Hame jo baat kerni ho
Sirah wo mil nahi pata

Kabhi gham yun bhi hot ahai
Jahan pholon ki Ahat ho
Khizan bhi tan ke aati hai
Koi dharkam sunai gi
Hame kia raaz ki baten
kabhi jab aankh dil per ho
to Dil hi mil nahi paate

Kabhi gham yun bhi hota hai
Ke lawa beh nahi pata
Khuwahish aesi hoti hai
Mager hum Ro nahi sakte
Sar-e-maqtal Khare hoker
Kabhi tum ko pokaren to
Sadain mil nahi saktin
Kabhi gham yun bhi hota hai
Ke mar jane ko Dil chahe


Koi marne nahi deta
Kabhi gham yun bhi hota hai
Hame hi gham kyon hota hai?
Use gham kyon nahi hota?

sabhi udaas moasam hain kabhi milnay chalay aao

sabhi udaas moasam hain kabhi milnay chalay aao
dukhon main ham to gum sum hain kabhi milnay chalay aao

tumharay baad kesi roanaqain is dil ki nagri main
sabhi charagh madham hain kabhi milnay chalay aao

tumharay paas to hon gi zamanay bher ki sab khushian
hamaray paas to gham hain kabhi milnay chalay aao

tumhari yaad ab dil ko bohat taklif deti hai
nigahain bhi to purnam hain kabhi milnay chalay aao

lagay hain zakham kitnay bay baha dil pay mohabbat main
tumharay lafz merham hain kabhi milnay chalay aao

bohat hamderd hain yun to hamaray bhi zamanay main
mager phir bhi bohat kam hain kabhi milnay chalay aao

yeh pather hi na ho jaain nigahain dekhtay rasta
k khushian bhi to berham hain kabhi milnay chalay aao

na janay kab yeh larka haar day saanson ki bazi ko
isay lahaq tere gham hain kabhi milnay chlay aao

RATON KO JALDI SO JANEY WILI LARKI

RATON KO JALDI SO JANEY WILI LARKI"

KALAY DAHBAY, AUR MAHASAY, KEELAN
PESHANI PAR LAMHON KI BEDARD LAKEERAN
APNEY AAP SE KHAIF, GUMSUM,
BATEN KARTEY KARTE
CHUP HOJANAY WALI LARKI !
RATON KO JALDI SOJANEY WALI LARKI!
APNI BOJAL PALKON SAY
RESHAM KAY DAHGAY NOOCH RAHI HEY !
MERI JAGTI AANKHON KI DAHLEEZ PA BETHI
KIA JANEY KIA SOCH RAHI HAY !!

Popular Posts