bikharate TuuTate lamho.n ko apanaa ham_safar jaanaa
thaa is raah me.n aaKhir hame.n Khud bhii bikhar jaanaa
thaa is raah me.n aaKhir hame.n Khud bhii bikhar jaanaa
havaa ke dosh par baadal ke Tuka.De kii tarah ham hai.n
kisii jho.nke se puuchhe.nge ki hai ham ko kidhar jaanaa
mere jalate hue ghar kii nishaanii bas yahii hogii
jahaa.N is shahar me.n raushanii dekho Thahar jaanaa
pas-e-zulmat ko_ii suuraj hamaaraa muntazir hogaa
isii ek vaham ko ham ne chiraaG-e-rah_guzar jaanaa
dayaar-e-Khaamashii se ko_ii rah-rah kar bulaataa hai
hame.n "Makhmoor" ek din hai isii aavaaz par jaanaa
No comments:
Post a Comment