Wednesday, April 28, 2010

khaak ki itni thi doobhar raston ki mutthi mai

khaak ki itni thi doobhar raston ki mutthi mai
mai aankhen mal kar kya karta,
mei ney aankhe noch ke rakh lein theen!
terey naqsh-e-pa to wesey bhi
meri pohanch mei aney mushkil the
socha tha hawaa sey poochon ga
hawa bhi lekin zaalim thi
na'jaaney kahaan wo chup gai
mujhey itna keh kar kaanon mei
tum jis ko dhoondney nikley ho
hum us sey mil kar aaey hein
ye ik aur sitam tha qismat ka!
mein phir bhi soch ke bettha tha
ik roz to tujh ko pa loon ga
yehi aas leeye apney dil mein
kya kya jatan na kar daala
apna hulya, apna chehra,
apna rasta bhi badal daala
par jab bhi mein un raston ko
koi dhoka dey kar aata tha
wohi morr saamney paata tha
ab aur bhala mein kya karta!
mera azm to pukhta tha lekin
taqdeer muqaabil aa gai thi
tadbeer wahaan pe kya karti!

No comments:

Popular Posts