Wednesday, August 26, 2009

jawaani ke heele, hayaa ke bahaane,

jawaani ke heele, hayaa ke bahaane,
yeh maana ke tum mujhse purdah karogi

yeh duniya magar tujhsi bholi nahiN haiN,
chupakar muhobath ko roosva karogi



badi koshisoN se, badi kaavishoN se,
tammanna ke sehmi hui saazishoN se

milega jo mauka, tho bechain hokar,
dareechoN se tum mujhko dekha karogi



sathaayegi jab chandni ki udhasi,
dukhaayegi dil pe hiza ki khamoshi

ufaq ki taraf khaali nazreN jamakar,
kabhi jo na socha wo socha karogi


kabhi dil ki dhadkan mehsoos hogi,
kabhi tandi saansoN ki toofan utheNge

kabhi ghir ke bistar pe aaheN bharogi,
kabhi jukhke thakiye pe roya karogi

kuchh ajab shaan se logo'n mai rahaa karate thai

kuchh ajab shaan se logo'n mai rahaa karate thai
ham Khafaa rah ke bhii aapas mai milaa karate thai

itnii tahaziib rah-o-rasm to baaqii thii ki wo
laakh ranjish sahii vaadaa to vafaa karate thai

us ne puchha tha ka_ii baar magar kyaa kahiye
ham mizaajan hii pareshaan rahaa karate thai

Khatm thaa ham pe mohabbat ka tamaasha goya
ruuh aur jism ko har roz judaa karate thai

zindagii ham se tere naaz uThaaye na gaye
saaNs lene kii faqat rasm adaa karate thai

ham baras parhte thai 'faysal' apanii hii tanhaa_ii par
abr kii tarrha kisii dar se uThaa karate thai

humara DIL saweeray ka sunehra jaam ho jaye

humara DIL saweeray ka sunehra jaam ho jaye
chiraghon ki tarah ankhein jalein aur shaam ho jaye

kabhie tow asmaan se chand utray jaam ho jaye
tumharay naam ki ek khoobsurat shaam ho jaye

ajab halaat thay yun dil ka soda ho geya akhir
mohabbat ki haveeli jis tarah nelaam ho jaye

sumandar k safar mein iss tarah awaz de hum ko
hawayen teez hon aur kashtiyun mein shaam ho jaye

mujhay maloom hai usska thikana phir kahan ho ga
parinda asmaan choonay mein jab nakaam ho jaye

ujalay apni yaadon k humaray sath rehnay do
najanay kis gali mein zindagi ki shaam ho jaye

Thaka Gaya Hai Musalsal Safar Udaasi Ka

Thaka Gaya Hai Musalsal Safar Udaasi Ka
Aur Abb Bhi Hai Mairey Shaaney Pey Sar Udaasi Ka

Woh Kon Keemiyaa-gar Tha Ke Jo Bikheir Gaya
Terey Gulaab Say Chehrey Pey Zar Udaasi Ka

Merey Wajood Ke Khalvat-kadey Mein Koi To Tha
Jo Rakh Gaya Hai Diya Taaq Per Udaasi Ka

Main Tujh Say Kaisey Kahoon Yaar-e-Meherbaan Mairey
Ke Tu Hi Ilaj ha Mairi Har Udaasi Ka

Ye Abb Jo Aag Ka Darya Mairey Wajood Mein Hai
Yehi To Pehley Pehal Tha Sharaar Udaasi Ka

Na Janey Aaj Kahan Kho Gaya Sitaar-e-shaam
Woh Maira Dost, Maira Humsafar Udaasi Ka

'Faraz' Deeda-e-Pur-aab Mein Na Dhoondh Ussey
Ke Dil Ki Teh Mein Kahin Hai Gohar Udaasi Ka !

Dil ki Awaz se awaz mila di hmne,

Dil ki Awaz se awaz mila di hmne,
Dastaan gham ki zamane ko suna di hamne

Yak-b-yk chaunk uthe nend se sone wale,
Jab zara paon ki zanjeer hila di hmne

Ek teri pehli nazar rooh me paivst rahi,
Par hr bat zamane ki bhula di hmne

Jaam ne jb b kbi hmse izajt chahi,
Har taraf piyas ki dewar utha di hmne

Hum the gumrah, hame apni tou manzil na mili,
Raah auron ne jo pochi tou bta di hmne

Ab jawani jo gai beet tou yeh ahsas hua,
Ajnabi sehr me ek raat bita di hmne

Aye gam-e-yaar kahen aur thikana krle,
Dil ki basti me tou Aag laga di hmne.

Hum to saya tera ban jayen agar tu chahe,

Hum to saya tera ban jayen agar tu chahe,
Ya kabhi bhi na nazar aayen agar tu chahe,

Tu jo chahe to sar-e-aam karen ehd-e-wafa,
Yun hi duniya se guzar jayen agar tu chahe,

Tujhse milne main to jaanaan teri ruswai hai,
Hum teri yaad se mil aayen agar tu chahe,

Tu jo kehde to pukaaren sar-e-bazar tujhey,
Ajnabi ban k guzar jayen agar tu chahe,

Zindaqi krlen agar teri ijazat mil jaye,
Teri chaukhat pe hi mar jayen agar tu chahe.

Meri Zindagi to Firaaq hai, Wo Azal se Dil k Makeen Sahi

Meri Zindagi to Firaaq hai, Wo Azal se Dil k Makeen Sahi
Wo Nigah-e-Shoq se Door hai, Rag-e-Jaan se laakh Qareeb Sahi



Hamain Jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo Kahin Sahi
Hamain Aap khinchey Daar per. Jo nahi koi to Hum hi Sahi



Sar-e-Toor ho, Sar-e-Hashar ho, Hamain Intizaar Qabool hai
Wo Kabhi miley, wo kahin miley, wo kabhi Sahi, wo kahin Sahi



Na ho Un per jo Mera Bus na sahi, keh yeh Aashqi hai Hawas nahi
Main Unhi ka tha, Main Unhi ka hoon, wo Mere nahi to na Sahi



Jo ho Faisla woh sunaaiye, usey Hashar per na Uthaaiye
Jo karain ge Aap Sitam wahan, wo abhi sahi, wo yahin Sahi



Usey dekhne ki jo Loo lagi, to 'faysal' dekh hi lain ge Hum
Wo Hazaar Aankh se Door ho, wo Hazaar Parda-Nasheen Sahi!!!!!!

Marti hoi zamee'n ko bachaana parra mujhay...

Marti hoi zamee'n ko bachaana parra mujhay...
Baadal ki tarah dasht pay aana parra mujhay...

Woh ker nahee'n raha tha mairi baat ka yaqee'n...
Phir yoo'n hua k mar k dikhhana parra mujhay...

Bhoolay say mairi simt koi daikhhta na tha...
Che'hray pay aik zakhm lagaana parra mujhay...

Us ajnabi say haath milaanay k waastay...
Mehfil may sab say haath milaana parra mujhay...

Yaadai'n thee'n dafan aisi k bad-az-farokht bhi...
Us ghar ki daikh-bhaal ko jaana parra mujhay...

Us bay-wafa ki yaad dilaata tha baar baar...
Kal aainay pay haath uthaana parra mujhay...

Aisay bicharr k us nay to mar jaana tha faysal...
Us ki nazar may khud ko giraana parra mujhay...!!

SOOCHA NAHI ACHA BURAA, DEKHA SUNAA KUCH BHE NAHI

Soocha nahi acha buraa, dekha sunaa kuch bhe nahi
Manga Khuda say raat din taray sewa kuch bhe nahi

Soocha tujhay,dekha tujhay,chaha tujhay,pooja tujhay
Maree khata maree wafa taree khata kuch bhe nahi

Jiss par humaree ankh nay mooti bichaiy raat bher
Bhaja wohi kaghaz isey ,hum nay likha kuch bhe nahi

Ek shaam ki dhleez par bathay rahy woh dair tak
Ankhoon see keen batain bohat,moon say kha kuch bhi nahi

Dou shaar din ki baat hay dil khak main soo jaey ga
Jub aag par kaghaz rekha,baqii bucha kuch bhi nahi

kuch din se zindagi mujhe pehchanti nahi

kuch din se zindagi mujhe pehchanti nahi
yun dekhti hai jaise mujhe jaanti nahi

wo bewafa jo raah me takra gaya kahin
kah doongi main bhi saaf ki pahchanti nahi

samjhaya baraha ki bacho pyar veyar se
lekin koi saheli kaha manti nahi

maine tujhe moaaf kiya ja kahin bhi jaa
main buzdilon pe apni kaman tanti nahi

anjum pe hans raha hai to hansta rahe jahan
main bewaqufiyon ka bura manti nahi...

Kare woh pyaar shubha shaam zaruri to nahi

Kare woh pyaar shubha shaam zaruri to nahi
Har chahaat ka ho sahi Anjaam Zaruri to nahi

Pyaar to pyaar hai chahe chhup-chhup he kare,
Log Charche kare Saare-aam zaruri to nahi,

Chal padte hai kadam jis taraf teri yaad mile
Har safar ka ho koi Makaam zaruri to nahi

Bagiyaa lagti hai khubsurat, haseen phoolon se
Khooshboo bikhere woh Tamaam zaruri to nahi

Bahek ne ke liye tera ek khayal kafi hai sanam
Hatho.n mai ho phir se koi Jaam zaruri to nahi

Nibhayegi saari rasm-e mohobbat
Mere Naam se jude teraa Naam zururi to nahi

Sabhi Jazbaat Khayaalat Badal Jaate' HaiN

Sabhi Jazbaat Khayaalat Badal Jaate' HaiN
YuuN Mohabat MaiN Ye Din Raat Badal Jaate' HaiN

Pyaar To unko Bhi Ham Se hai Magar Jaane' KyuN
Ham KaraiN Baat To Wo Baat Badal Jaate' HaiN

Aarzuu To Hai Ke Izhaar-e-Mohabbat Kar DooN
Laf'z Chunta HooN To Lamhaat Badal Jaate' HaiN

Kitni Nafrat Thi Kabhi Pehle' Mohabbat Se HamaiN
Ho Mohabbat To Khayaalat Badal Jaate' HaiN

Aik Sa Waq't Mohabbat maiN KahaaN Rehta Hai
Gardish-e-Waq't Se Haalaat Badal Jaate' HaiN

Tum jo nazrein jhukaey bethay ho

Tum jo nazrein jhukaey bethay ho
Kis key dil mein samaey bethay ho

Koi chahta hey tum ko utna hi
Jitna tum muskuraey bethay ho

Kis kadar husn hey nigahon mein
jo ye kaajal lagaey bethay ho

Koi toofa'n sa guma'n hota hey
Zulfein aisey bikhraey bethay ho

Dil ki dharkan sunai deti hey
Raah mein dil bichaaey bethay ho

Yun hi kehdo ke pyaar kartey ho
Kyun ye aansoo bahaaey bethay ho

kyun na karta, Mohabbat Saqib
Dil jo uska churaey bethay ho


Tere Mere Beech Zamana Parta Hai

Tere Mere Beech Zamana Parta Hai
Dil ko Kitni Baar Batana Perta Hai

Thehar Gayi Hai Baat Muqadder Per Aa Ker
Khud Ko Yeh Aksar Samjhana Parta hai

Sochon ko Kab Qaid Koi ker Paya hai
Lekin Khud ko Tu Samjhana Parta hai

Rasta ho Dushwaar Ya Raahi Anjaane
iss Jeevan ka Saath Nibhana Parta hai

Khamoshi ke Dassne ka Darr Ho Jis Dam
Ayse Mein Khud Shor Machaana Parta hai

paas mere tou sirf tumhari yaaden hain
Yaadon Se Dil ko Behlaana Parta hai

Mera Haal-e-Dil Kuch aesa hai K Koi Bata Nahi Sakta,

Mera Haal-e-Dil Kuch aesa hai K Koi Bata Nahi Sakta,
Suntay Hain Loog Per Koi Suna Nahin Sakta

Hawaoon Pay Likha Hai Main Nay Qissa Apni Hayat Ka,
Kay Koi Lakh Chahay Bhi To Mitaa Nahin Sakta

Har Eik Ki Tamanna Hai Kay Phooloon Pay Guzaray Zindagee,
Per Raah Main Padray Kantoon Ko Koi Hata Nahin Sakta

Dil Main Dukh Samooo Kay Kab Tak Hunstay Rahoo Gay,
Aankhoon Main Aaisay Aansowoon Ko Koi Chupa Nahin Sakta

Lakh Chahay In Mast Mailoon Main Gum Ho Jayay,
Mager Beetay Huay Lamhoon Ko Koi Bhulla Nahin Sakta

Koi Rooth Jayay Tum Say To Mana Laina,
Kay Janay Waloon Ko Koi Wapis Bula Nahin Sakta

Her Rooshan Cheez Ko Paa Lainay Ki Arzoo Na Ker,
Kay Suraj Nikalta Hai Per Us Ki Taraf Koi Aankh Utha Nahin Sakta

Samander Ki Lehroon Pay Un Ka Naam Likhta Hoon,
Kay Koi Aag Laga Bhi Day Per Jala Nahin Sakta..........

Kabhi yoon bhi aa meri aankh mein ke meri nazar ko khabar na ho

Kabhi yoon bhi aa meri aankh mein ke meri nazar ko khabar na ho
mujhe ek raat nawaaz de, magar uske baad sehar na ho

wo bada raheem-o-kareem hai mujhe ye sifat bhi ataa kare
tujhe bhoolne ki dua karun, to dua mein meri asar na ho

mere baazuon mein thaki thaki ,abhi mahv-e-khwaab hai chaandni
na uthe sitaaron ki paalki, abhi aahaton ka guzar na ho

ye ghazal ki jaise hiran ki aankhon mein pichhali raat ki chaandni
na bujhe kharaabon ki roshni, kabhi bechiraag ye ghar na ho

wo firaaq ho ya visaal ho, teri yaad mehkegi ek din
wo gulaab ban ke khilega kya, jo chiraag ban ke jala na ho

kabhi dhoop de, kabhi badliyaan,dil-o-jaan se dono qubool hain
magar us nagar mein na qaid kar,jahaan zindagi ki hawa na ho

mere paas mere habeeb aa zara aur dil ke qareeb aa
tujhe dhadkano mein basa loon main,ke bichhadne ka kabhi darr na ho..........

Popular Posts