Wednesday, August 26, 2009

Kabhi yoon bhi aa meri aankh mein ke meri nazar ko khabar na ho

Kabhi yoon bhi aa meri aankh mein ke meri nazar ko khabar na ho
mujhe ek raat nawaaz de, magar uske baad sehar na ho

wo bada raheem-o-kareem hai mujhe ye sifat bhi ataa kare
tujhe bhoolne ki dua karun, to dua mein meri asar na ho

mere baazuon mein thaki thaki ,abhi mahv-e-khwaab hai chaandni
na uthe sitaaron ki paalki, abhi aahaton ka guzar na ho

ye ghazal ki jaise hiran ki aankhon mein pichhali raat ki chaandni
na bujhe kharaabon ki roshni, kabhi bechiraag ye ghar na ho

wo firaaq ho ya visaal ho, teri yaad mehkegi ek din
wo gulaab ban ke khilega kya, jo chiraag ban ke jala na ho

kabhi dhoop de, kabhi badliyaan,dil-o-jaan se dono qubool hain
magar us nagar mein na qaid kar,jahaan zindagi ki hawa na ho

mere paas mere habeeb aa zara aur dil ke qareeb aa
tujhe dhadkano mein basa loon main,ke bichhadne ka kabhi darr na ho..........

No comments:

Popular Posts