Sunday, April 18, 2010

Chale Jaana Magar Thehro Zara

Chale Jaana
Magar Thehro Zara,
Is Pair Ki Sargoshiyan Sun Lo
Ye Kehtaa Hai,
Ke Aage Dhoop Hai,
Tum Meri Chhanv Saath Le Jao,
Hare Mausam Jab Aayenge,
Main Tumko Khushbuyein Bhejunga,
Meri Shaakh Aankhein Barg Aansu Royenge,
Main Janta Hoon,
Jab Hawa Hi Par Bane To Phir Parinde Rokne Se Ruk Nahi Paate,

Chale Jaana,
Magar Thehre Zara,
Ye Lawn Tumko Yaad Karta Hai,
Yahan Shaam Ka Suraj Aur Hamare Geet Ki Lai Aaj Tanhayi Hai,
Tumhare Qahqahon Ke Phool Suthi Tehniyon Pe Jhulte Hai,
Titliyan Basi Dhuno Par Raqs Karti Hai,
Sadaayein Bujh Gayi Hai,
Door Tak Ye Dhoop Hi Dast-E-Dua Hai,
Aur Hawayein Narm Lafzon Ki Tarah Koi Duaa Tashkeel Deti Hai,

Chale Jaana,
Magar Thehro Zara,
Ye Dar Ye Deewar Judayi Ki Lughat Hai,
In Pe Likhe Lafz Ko Padh Lo,
Ke In Boseedah Deewaron Ki Aankhon Mein Tumhare Aks Roshan Hai,
Inhe Achhi Tarah Dekho,
Ke In Din Tum Inhi Akson Ki Jaanib Lautna Chahoge,
Lekin Waapsi Ke Saare Raaste Band Paoge,

Chale Jana,
Magar Thehro Zara,
Par Kya??????
Thik Hai Chale Jaiye...

Wo Barkha Rut Ki Boondon Mein

Wo Barkha Rut Ki Boondon Mein,
Kisi Chhoti Si Waadi Mein,
Guzre Jo Tumhare Sath, Un Anmol Lamhon Par,
Bahut Maasoon Jazbon Par,
Tumhare Shokh Aankhon Par,
Laraztee Apni Palkon Par,
Chalo Ek Nazm Kehte Hai...

Tab Yaad Tumhari Aati Hai

Tab Yaad Tumhari Aati Hai,
Jab Yunhi Kabhi Baithe Baithe Kuch Yaad Achanak Aa Jaaye,
Har Baat Se Dil Bezaar Sa Ho, Har Chiz Se Dil Ghabra Jaye,
Karna Bhi Mujhe Kuch Aur Hi Ho, Kuch Aur Hi Mujhse Ho Jaye,
Kuch Aur Hi Sochun Main Dil Mein, Kuch Aur Hi Hothon Par Aahe,
Aise Hi Kisi Ek Lamhe Mein, Chupke Se Kabhi Khamoshi Mein,
Kuch Phool Achanak Khil Jayein, Kuch Beete Lamhe Yaad Aaye,
Tab Yaad Tumhari Aati Hai.....
Jab Chandni Dilke Aangan Mein, Kuch Kehne Mujhse Aa Jaye,
Ek Khwabeeda Se Chote Koi, Ehsaas Pe Mere Chha Jaye,
Jab Zulf Pareshan Chehre Par, Kuch Aur Pareshan Ho Jaye,
Kuch Dard Bhi Dilme Hone Lage, Aur Saans Bhi Bojhal Ho Jaye,
Aise Hi Kisi Ek Lamhe Mein, Chupke Se Kabhi Khamoshi Mein,
Kuch Phool Achanak Khil Jayein, Kuch Beete Lamhe Yaad Aaye,
Tab Yaad Tumhari Aati Hai.....
Jab Shaam Dhale Chalte Chalte, Manzil Ka Na Koi Naam Mile,
Ek Hansta Hua Aagaz Mile, Ek Rota Hua Anjam Mile,
Palkon Ke Larazte Ashkon Se, Is Dilko Koi Paigam Mile,
Aur Saari Wafaon Ke Badle, Mujhko Hi Koi Ilzaam Mile,
Aise Hi Kisi Ek Lamhe Mein, Chupke Se Kabhi Khamoshi Mein,
Kuch Phool Achanak Khil Jayein, Kuch Beete Lamhe Yaad Aayein,
Tab Yaad Tumhari Aati Hai...

Aaj Itne Barso Ke Baad

Aaj Itne Barso Ke Baad,
Jaise Kayi Sadiyon Ke Baad,
Usne Kaha Suno
Ab Se Tum Aazaad Ho,

Qafas Khulte Hi,
Par Tolte Panchhi,
Main Udun Kis Tarah Magar,
Usne Noch Dale The Mere Par,

Dabi Hui Hasratein,
Na Tamam Khwahishein,
Puri Karun Kis Tarah Magar,
Na Ab Waqt Hai Na Nazar,

Dilke Goshon Mein Nahin,
Khwabon Ki Reshmi Doriyan,
Sapna Bunun Kis Tarah Magar,
Sulajhti Nahi Dooriyan Ulajh Kar,

Rasta Chalna Bhool Kar,
Ab Jaun Main Kis Dagar,
Ulti Ho Gayi Sab Tadbeerein,
Phir Pehen Li Ab Zanjeerein...

Amar Kar Lo Wo Sab Lamhe

Amar Kar Lo Wo Sab Lamhe,
Jo Hune Yun Guzare Hai,
Saher Kar Lo Wo Sab Raatein,
Jahan Apni Hi Duniya Thi,
Jahan Saansein Bhi Apni Thi,
Jahan Sapne Bhi Apne The,
Safar Kar Lo Wo Sab Raste,
Jahan Kuch Bhi Wafayein Hai,
Jahan Khushbu Hai Pyaron Ki,
Jahan Yaadein Hai Yaaron Ki,
Fikr Kar Lo Zara Ek Pal
Ke Tumne Kisko Khoya Hai,
Use Tum Tum Dhund Paoge
Kabhi Phir Dekh Paoge
Thaher Jao Jahan Ho Tum,
Ke Us Din Tum Adhure Ho,
Kabhi Phir Mil Na Paoge,
Use Dhundoge Yaadon Mein,
Use Is Pal Bula Lo Tum,
Ke Ye Lamhe Tumhare Hai...

Aisi Hi Sard Shaam Thi Wo Bhi

Aisi Hi Sard Shaam Thi Wo Bhi,
Jab Wo Mehendi Rachaye Haathon Mein,
Apni Aahat Ke Khauf Se Larazaan,
Surkh Aanchal Mein Muh Chhipaye Hue,
Apne Khat Mujhse Lene Aayi Thi,
Uski Sehmi Hui Nigahon Mein,
Kitni Khamosh Iltijayein Thi,
Uske Chehre Ki Zard Rangat Mein,
Kitni Majburiyonke Saye The,
Mere Hathonse Khat Pakadate Hi,
Jane Kay Soch Kar Achanak Wo,
Mera Shaana Pakad Kar Royi Thi,
Uske Yaaquut Rang Honthon Ke,
Kapkapaate Hue Kinaro Par,
Sekdon Ankahe Fasane The,
Sard Shaamon Mein Der Tak Aksar,
Jab Ye Manzar Dikhayi Deta Hai,
Ek Lamha Heenayi Haathon Se,
Mujhko Apni Taraf Bulata Hai,
Humnashin Ruth Kar Na Ja Mujhse,
Aisi Hi Sard Shaam Thi Wo Bhi...

Bhigi Bhigi Shaam Dhale

Bhigi Bhigi Shaam Dhale,
Tanha Tanha Chand Tale,
Door Kahin, Kuch Saayon Se,
Dhundlayi Si, Raahon Se,
Aati Hai Ek Awaz Kabhi,
Kuch Jaani Hui, Kuch Ajanbi,
Sunkar Jise Na Jane Kyon,
Hota Hai Kuch, Ehsaas Yun,
Koi, Kahin, Aisa Bhi Hai,
Karta Mujhe Jo Yaad Hai...

Din Raat Ke Aane Jaane Mein

Din Raat Ke Aane Jaane Mein,
Duniya Ke Ajayab Khane Mein,
Kabhi Sheeshe Dhundle Hote Hai,
Kabhi Manzar Saaf Hote Hai,
Kabhi Surat Baat Nahi Karta,
Kabhi Taare Aankh Badalte Hai,
Kabhi Manzil Pichhe Rehti Hai,
Kabhi Aasein Tod Nai Chadtein,
Kabhi Khushi Puri Hoti Hai,
Kabhi Aankhein Dekh Nahi Sakti,
Kabhi Khwab Adhure Hote Hai,
Ye Sab To Sahi Hai Lekin,
Aashob Ke Manzar Khane Mein,
Duniya Kya Ajayab Khane Mein,
Kuch Saya Karti Aankho Ke Paiman To Dikhayi Dete Hai,
Hathon Se Agarche Door Sahi Imkaan To Dikhayi Dete Hai,
Haan Ret Ke Us Darya Ke Paar,
Ek Pairon Wali Basti Ke Unwaan To Dikhayi Dete Hai,
Manzil Se Koson Door Sahi,
Pur Dard Sahi Ranjoor Sahi,
Zakhmose Musafir Choor Sahi,
Par Kisse Kahein Ye Jaan-E-Wafa,
Kuch Aise Ghaav Bhi Htoe Ahi Jinhe Zakhmi Aap Nahi Dhote,
Bin Roye Hue Aansu Ki Tarah Seene Mein Chupa Kar Rakhte Hai,
Aur Saari Umr Nai Rote,
Neendein Bhi Muhaya Hoti Hai, Sapne Bhi Door Nahi Hote,
Ab Kisse Kahein Aye Jaan-E-Wafa,
Ye Ahl-E-Wafa,
Kis Aag Mein Jalte Rehte Hai,
Kyon Bujh Kar Rakh Nahi Hote...

Humne Uska Haath Chhua Tha

Humne Uska Haath Chhua Tha,
Wo Muskura Kar Batane Lagi,
Tumhare Haath Kitne Garam Hai Aur Garam Haath Wafa Ki
Nishani Hote Hai,
Ye Sunkar Main Itna Khush Hua Tha Ke Mujhe Har Baat
Bhool Gayi Thi,
Aur Aaj Mujhe Yaad Aa Raha Hai,
Uske Haath Kitne Sard The...

Kahein Aisa Na Ho Ke Ankahi

Kahein Aisa Na Ho Ke Ankahi Ka Bhed Khul Jaye,
Isi Khadshay Mein Tum Mujhse,
Meri Takhlik Ke Johar Juda Karte Rahe Ho,
Aur
Meri Takmeel Se Darte Rahe Ho,
Tumhari Muslahat Goshi Ki Saffaki,
Mujhe To Kya Zameen-O-Aasman Ko Bhiga De,
Tumhari Fitrat-A-Baymahar Se Waqif Bhi Hoon,
Tasleem Karti Hoon,
Magar Ye Kya Azeat Hai,
Ajab Andaz Wehshat Hai,
Mujhe Tumse Mohabbat Hai...

Tum Ab To Aa Milo Hum Se

Tum Ab To Aa Milo Hum Se
Na Jaane Kab Hamari Zindagi Ki Shaam Ho Jaaye
Jo Ankhon Mein Chamakta Hai Nazar Ko Jagmagta Hai
Wo Jugnoo Maand Ho Jaaye
Jo Dhadkan Main Utarta Hai
Hamein Dilshaad Karta Hai
Wo Naghma Khwab Ho Jaaye
Tum Ab To Aa Milo Ham Se
Ke Tum Hi Ho
Ke Jis Ke Saath Hamein Har Raah Chalna Hai
Safar Ki Shiddaton Mehroomion Ko Zabt Karna Hai
Jahan Pe Tum Bichad Jaao
Usi Raste Pe Ham Ko Zindagi Ki Sham Karna Hai
Tumhare Sath Ubharna Aur Tumhare Saath Dhalna Hai
Tum Ab To Aa Milo Hum Se

Koi Yaad Saloni Si

Koi Yaad Saloni Si,
Koi Baat Purani Si,
Aankhon Se Jaari Hai,
Ashkon Ki Rawani Si,
Hans Ke Kisi Se Milna,
Lagta Hai Kahani Si,
Koi Mujh Ko Lagti Thi,
Khwabon Ki Raani Si,
Mere Rahe Takti Thi,
Pagal Si Diwani Si,
Bachpan Ke Beete Din,
Lagte Hai Nadani Se,
Aaj Jab Wo Mile,
Lage Kitne Begane Se...

Kisi Khushnigaah Ki Aankh Ne

Kisi Khushnigaah Ki Aankh Ne Ye Kamaal Mujhpe Karam Kiya,
Meri Loh-E-Jaan Pe Raqam Kiya,
Wo Jo Ek Chand Sa Harf Tha Wo Jo Ek Sehma Sa Naam Tha,
Wo Jo Ek Phool Si Baat Phirti Thi Darbard
Use Gulsitan Ka Pata Diya,
Mere Dilka Shaher-E-Malaal Tha Use Roshni Me Basa Diya,
Meri Aankh Aur Mere Khwab Ko Kisi Ek Pal Mein Beham Kiya,
Mafre Aaino Pe Jo Gard Thi Mah-O-Saal Ki,
Wo Utar Gayi,
Wo Jo Dhoond Thi Mere Chaaro Soo Wo Bikhar Gayi,
Sabhi Roop Aks-E-Jamaal Ke,
Sabhi Khwab Shaam-E-Khayal Ke,
Jo Ghubaar-E-Waqt Me Sas Basar The Aate Hue,
Wo Chamak Uthe,
Wo Jo Phool Raah Ki Dhool The Wo Mehek Uthe,
Liye Saat Rang Bahaar Ke,
Chala Main Jo Sang Bahar Ke,
To Saja Diye Sabhi Raaste,
Kisi Dast-E-Shubdahsaaz Ne,
Mere Naam Par Mere Waaste,
Meri Beghari Ko Panaah Di Meri Justaju Ko Nishan Diya,
Jo Yakeen Se Bhi Haseen Hai Mujhe Ek Aisa Guman Diya,
Wo Jo Reza Reza Wajood Tha,
Use Ek Nazar Mein Baham Kiya,
Kisi Khushnigaah Si Aankh Ne,
Ye Kamaal Mujh Pe Karam Kiya...

Udasiyan Be-Sabab Nai Hai

Khayal Rakhna....

Udasiyan Be-Sabab Nai Hai,
Udasiyon Ka Agar Ye Mausam
Theher Gaya To Gazab Karega,
Na Ji Sakoge Na Mar Sakoge,
Na Kaam Hi Kio Kar Sakoge,
Kisiki Har Pla Talab Karega,
Udasiyan Be-Sabab Nahi Hai,
Suno Jo Lamhe Hai Aaj Haasil,
Unhe Hamesha Sambhal Rakhna,
Wafa Ke Gulshan Mein Charon Jaanib,
Bahar Rakhna Nikhaar Rakhna,
Mohabbat Ka Waqar Rakhna,
Udaasiyan Be-Sabab Nahi Hai,
Jahan Mein Ktine Hi Log Aaye,
Rahe Base Hai, Ujad Gaye Hai,
Magar Ye Jazbe Abud Se Hai,
Aur Azal Tak Rahenge,
Tum Apni Aankhon Mein Pehle Jaisa Jaal Rakhna,
Udaasiyan Be-Sabab Nahi Hai,
Zara Ye Socho Bichhad Gaye To,
Kahan Milenge
Yun Hi Rahengi Tamam Raahein,
Magar Ye Rahi Na Mil Sakenge,
Bahar Mein Bhi Khizaan Ki Soorat
Na Phool Har Simt Khil Sakenge,
Na Dil Ko Apne Udaas Rakhna,
Har Ek Jazbe Ka Paas Rakhna,
Milenge Aakhir Ye Aas Rakhna,
Udaasiyan Be-Sabab Nahi Hai...

Sar-E-Shaam

Sar-E-Shaam
Door Ufaq Par
Ek
Roshan Taara
Chamak Raha Tha,
Bilkul Aise
Jaise Waqt Judayi
Meri Aankhon Mein
Ek Nanha
"QATRA"
Laraz Raha Tha...

Koi Puchhe To Main Kya Kahoon

Koi Puchhe To Main Kya Kahoon,
Usse Kya Bataun,
Ye Roz-O-Shab To Janam Janam Par Muheet Hai,
Mere Zakhm Zakhm Dil-O-Nazar
Mujhe Is Janam Mein Nahi Mile,
Mere Ratt-Jage Mere Humsafar
Mere Sath Aaj Nahi Chae,
Ye Maheeb Wehshat-E-Fikar Jo
Mere Naksh Naksh Ki Rooh Hai,
Koi Be-Sabaat Bayan Nahi,
Ye Aasmaon Ka Aks Hai,
Ye To Dewtaon Ka Dhyan Hai,
Ye To Jane Kaise
Sadi Sadi Ki Aziyaton Ka Bayan Hai,
Ye Ajeeb Mere Gham-O-Alam
Ye Naseeb Sang-E-Siyaah Par,
Ye Warq Warq Pe Gadhe Qalam,
Ye Qaraa Hisar Naya Nahi
Mera Intezaar Qadeem Hai,
Mera Usse Pyaar Qadeem Hai,
Ye Ajeeb Meri Mohabbatein...

TUM! TUM HO NA!

TUM! TUM HO NA!
Jisne Mujhse
Mera Maazi Chhin Kar,
Uske Purze Purze Kar Dalein Hai,
Bawajood Ye Jaanne Ke
Mujhe Kitaab-E-Maazi Ka Har Lafz Yaad Hia,
Tum Kyon Ek Nayi Kitab Likh Rahe Ho Mere Andar,

Tum! Tum Hi Ho Na,
Jisne Har Lamha Bina Lafzon Ke Mujhse Baat Ki Hai,
Tum! Tum Hi Ho Na
Kaash Tumhe Koi "TUM" Na Rehne De,
Jis Tarah Tumen Mujhe "MAIN" Nahi Rehne Diya...

Aye Dil-E-Tabah Tu

Aye Dil-E-Tabah Tu
Khwahishon Ke Raasto Par
Kya Falah Payega
Is Jahan Ke Hangame
Tu Samajhna Payega
Aise Mein Mit Hi Jayega,

Barf Ki Chitano Mein,
Ishq Ki Tapish Kahan,
Munjamid Hawaon Mein,
Parwaz Ka Haasil Kahan,
Wo Shakhs Thik Kehta Hia,
Jahan Mein Jitne Dil Dukhega
Utna Sukun Payega,
Par Tu Ye Bhi Na Kar Payega,

Tere Is Dasht Nawardee Mein,
Jo Ek Sarab Aya Hai,
Jab Paas Uske Jayega
Tu Kuch Bhi To Na Payega,
Phri Tu Use Bhulega,
Aur Ye Bhi Kar Na Payega,
Aye Dil-E-Tabah Tu,
Khwahishon Ke Raaston Par,
Kya Falah Payega...

Kya Tum Bhi Aansoo Rokne Ki Koshish Mein

Kya Tum Bhi
Aansoo Rokne Ki Koshish Mein,
Palkein Tez Tez Jhapakte Ho,
Aur
Kisi Sandese Ki Aas Mein Baar Baar,
Darwaze Ki Jaanib Lapakte Ho,
Kya Tum Bhi
Phool Pe Girti Barish Ki Awaz Se
Aur
Door Kahin Bajne Wale Almiyaan
Saaz Ki Awaz Se,
Aafsurda Ho Jaate Ho...

Wisaal-O-Hijr Me Ya Khwab Se

Wisaal-O-Hijr Me
Ya Khwab Se Mahroom Aankhon Me
Kisi Ahd-E-Rifaqat Me
Ke Tanhai Ke Jangal Me
Khyal-E-Khal-O-Khad Ki Roshani Ke Gahre Baadal Me
Chamkti Dhoop Me Ya Phir
Kisi Be Abr Saye Me
Kahin Baarish Me Bhige Jism-O-Jaan Ke Nasrparon Me
Kahin Hoton Pe Shairon Ki Mahaktie Aabsharon Me
Chiraghon Se Saji Shaamon Me
Ya Benoor Raaton Me
Sahr Ho Runuma Jaise Kahin Baaton Hi Baaton Me
Koi Lipta Hua Ho Jis Tarah
Sandal Ki Khushboo Me
Kahin Pe Titliyon Ke Rang Tasweeren Bana Te Hon
Kahin Pe Jugnuon Ki Muthiyon Me Roshani Khud Ko Chupati Ho
Kahin Kaisa Hi Manzar Ho
Kahin Kaisa Hi Mausam Ho
Tere Saare Hawalon Ho
Teri Saari Misalon Ko
Mohabbat Yaad Rakhti Hai

Khush-Haal Se Tum Bhi Lagte Ho

Khush-Haal Se Tum Bhi Lagte Ho,
Yun Afsurda To Hum Bhi Nahi,
Par Jannewale Jante Hai Khush Tum Bhi Nahi,
Khush Hum Bhi Nahi.....

Tum Apne Khudi Ke Pehre Mein,
Aur Dam-E-Gharoor Mein Jakde Hue,
Hum Apne Zaum Ke Nerghay Mein,
Una Haath Hamare Pakde Hue,

Mehsoor-E-Talatum Aaj Bhi Ho,
Jo Tumne Kinare Dhund Liye,
Toofan Se Sambhle Hum Bhi Nahi,
Kehne Ko Kinare Dhund Liye,

Ek Muddat Se Ghaltan Paichan,
Tum Rabt-O-Guraiz Ke Dharaon Mein,
Hum Apne Aap Se Uljhe Hue,
Pachhtawon Ke Angaron Mein,

Khamosh Se Tum Ho Muhur Ba-Lub
Jug Beet Agye Kuch Baat Kiye,
Suno Khel Adhoora Chodte Hai,
Bina Chaal Chale Bina Maat Kiye,

Jo Bhagte Bhagte Thak Jayein,
Wo Saaye Ruk Bhi Sakte Hia,
Chalo Todo Kasam Ikraar Karein,
Hum Dono Jhuk Bhi Sakte Hai...

Is Wakt To Yun Lagta Hai Ke

Is Wakt To Yun Lagta Hai Ke Kuch Bhi Nahi Hai,
Mehtaab Na Suraj, Na Andhera Na Sawera,
Aankhon Ke Dareeche Mein Koi Husn Ki Chilman,
Aur Dil Ki Panahon Mein Kisi Dard Ka Dera,
Shayad Woh Koi Wehm Tha Mumkin Hai Suna Ho,
Galiyon Mein Kisi Chap Ka Ek Aakhri Phera,
Shakhon Mein Khayalon Ke Ghane Ped Ki Shayad,
Ab Aa Ke Karega Na Koi Khwab Basera,

Ab Bair Na Ulfat Na Koi Rabt Na Rishta,
Apna Koi Tera Na Paraya Koi Mera,
Mana Ke Ye Sunsaan Ghadi Sakht Kadi Hai,
Lekin Mere Dil Ye To Fakt Ek Hi Ghadi Hai,
Himmat Karo Jeene Ko To Ek Umar Padi Hai...

Abhi Tum Ishq Mat Karna

Suno Ladki....
Abhi Tum Ishq Mat Karna,
Abhi Gudiya Se Khelo Tum,
Tumhari Umar Hi Kya Hai,
Faqat Satrah Baras Ki Ho,
Abhi Masoom Bachi Hai,
Nahi Malum Abhi Tumko,
Ke Jab Ye Ishq Hota Hai,
To Insaan Kitna Rota Hai,
Sitaare Toot Jaate Hai,
Saharae Chhut Jaate Hai,
Abhi Tumne Nahi Dekha,
Ke Jab Sathi Bichadte Hai
To Kitna Dard Milta Hai,
Ke Har Farqat Ke Mausam Mein
Hazaron Gum Ubharte Hai,
Hazaron Zakhm Khulte Hai,

Suno Ladki...
Meri Mano
Padhai Par Tawajo Do,
Kitabon Mein Gulabon Ko
Kabhi Bhoole Se Mat Rakhna,
Kitabein Jab Bhi Khologi,
Ye Kaanto Ki Tarah Dil Mein
Chubhenge Khun Bahenge,
Tumhe Pehron Satayenge,
Kisiko Khat Nai Likhna,
Likhayi Pakdi Jaati Hai,
Badi Ruswai Hoti Hai,
Kisiko Phone Mat Karna,
Sadayein Dil Dukhati Hai,
Wo Awazein Satati Hai,
Meri Nazmein Nahi Padhna,
Ye Mehshar Utha Dengi,
Tumhe Pagal Bana Dengi,

Suno Ladki...
Meri Mano
Apni Takdeer Se Tum
Khulke Mat Ladna
Abhi Gudia Se Khelo Tum,
Abhi Tum Ishq Mat Karna...

Mohabbat Jab Lahoo Bankar

Mohabbat Jab Lahoo Bankar
Ragon Mein Sarsaraye To,
Koi Bhula Hua Chehra
Achanak Yaad Aaye To,
Kadam Mushkil Se Uthte Ho,
Irade Dagmagaye To
Koi Maddham Se Lehje Mein
Tumhe Wapas Bulaye To,
Thaher Jaana
Samajh Lena
Ke Ab Wapas Palatne Ka Amal Agaaz Hota Hai
Kabhi Tanhaiyon Ka Dard
Aankhon Mein Samaye To,
Koi Lamha Ghuzishta Chahaton Ka,
Jab Sataye To,
Kisiki Yaad Mein Rona,
Tumhe Bhi Khoon Rulaye To,
Agar Tumse Tumhara Dil,
Kisi Dam Rooth Jaye To,
Kabhi Anhoniyon Ka Dar,
Parindon Ko Udaye To,
Hawa Jab Darakht Se Ek Zard Sa,
Patthe Gire To
Thaher Jana,
Samajh Lena
Ke Ab Wapas Palatne Ka Amal Aghaaz Hota Hia...

Khule Paniyon Mein Ghiri Ladkiyan

Khule Paniyon Mein Ghiri Ladkiyan,
Naram Lehron Ke Chhinte Udati Hui,
Baat Baat Pe Hansti Hui,
Apne Khwabon Ke Shehzade Ka Tazkara Karti Hui,
Jo Khamosh The Unki Aankhon Mein Bhi
Muskurahat Ki Tehreer Thi,
Hamari Hansi Aur Mojon Ke Ahang Se Bekhabar,
Door Saahil Par Baithi Hui Ek Nanhi Si Bachhi,
Ret Se Ek Nanha Gharonda Banane Mein Masroof,
Aur Main Sochti Thi,
Ya KHUDA Ye Hum Ladkiyan,
Kachhi Umar Se Khwab Kyon Dekhna Chahti Hai???

Sitaron Se Bhare Aasman Ki Wusaaton Mein

Sitaron Se Bhare Aasman Ki Wusaaton Mein,
Mujhe Apna Sitara Dhundna Hai,
Falak Par Keh-Kashan Dar Keh-Kashan Ek Bekaraani Hai,
Na Uska Naam Hai Malum--Na Koi Nishani Hai,
Bas Itna Yaad Hai Mujhko,
Azal Ki Subah Jab Sare Sitare,
Alwidayi Guftagoo Karte Hue Raasto Pe Chal Nikle The,
To Uski Aankh Mein Ek Uar Taara Jhilmilaya Tha,
Usi Taare Ki Soorat Ka,
Meri Bhigi Hui Aankhon Mein Bhi Ek Khwab Rehta Tha,
Main Apne Aansuon Mein Apne Khwabon Ko Sajata Hoon,
Aur Uski Raah Takta Hoon,
Suna Hai Gumshuda Chizein Jahan Par Khoyi Jaati Hai,
Wahin Pe Mil Bhi Jaati Hai...

Kaun Kise Ab Mere Ilawa Khone Ka Dukh Jhelega

Kaun Kise Ab Mere Ilawa Khone Ka Dukh Jhelega,
Kaun Yahan Ab Bekal Hoga Dil Mein Kuch Armaan Liye,
Gar Ye Mutthi Khul Jaye To Jante Ho Kya Paoge?
Aansu Bankar Beh Jane Wale Ek Adhuri Neend Ka Dukh,
Ek Sisakta Sajdah Jiske Aakhir Mein Do Uthe Haath,
Bin Mange Kuch Dhalke Honge Apne Aap Bejaan Liye,
Ek Jhijhakta Aks, Lamha Bhar Chamka Tha Aaine Mein,
Dooje Pal Hi Khud Se Khafa Tha Kuch Tevar Anjaan Liye,
Sehra Hothon Ki Wo Hasrat Pyaas Ka Ek Meezan Liye,
Do Aankhein Jo Gum Sum Hai Ab Khwabon Ka Ehsaan Liye,
Us Manzar Ko Takti Reh Gayi Jo Ab Shayad Badlega,
Ek Udasi Ka Paikar Kuch Bikhre Bikhre Haalon Mein,
Ishq Ka Pehla Misra Likh Kar Jazb Ka Ek Deewan Liye,
Ek Adhoori Nazm Ka Misra, Ek Takmeel Ki Khwahish Mein,
Samjhe Jaane Ki Hasrat Ka Namumkin Imkaan Liye,
Sari Umr Ki Ummeedon Ke Be-Rooh Jismon Ke Lashkar,
Aaj Bhi Yakja Ho Baitha Tha Rayeegan Jaane Ki Khatir,
Ek Musalsal Mehv-E-Intezaar Tamanna Jane Kya Kya Dhyan Liye,
Dinke Kinaron Par Kuch Khoye Safhey Rakh Ki Soorat Thi,
Apne Andar Jal Bujhi Shikaston Ki Ek Daastan Laye,
Kaun Ise Ab Mere Ilawa Kholne Ka Dukh Jhelega,
Ek Shikasta Din Ki Mutthi Band Ahi Kuch Samaan Liye...

Kyon Raat Ki Ret Pe Bikhre Hue

Kyon Raat Ki Ret Pe Bikhre Hue,
Taaron Ke Kankar Chunte Ho?
Kyon Sannate Ki Silwat Mein
Lipti Aawazein Sunte Ho,
Kyon Apni Pyaasi Palkon Ki Jhalar Mein,
Khwab Purote Ho,
Kyon Rote Ho???

Ab Kaun Tumhari Aankhon Mein
Sadiyon Ki Nind Undelega?
Ab Kaun Tumhari Chahat Ki
Haryaali Mein Khel Khelega?
Ab Kaun Tumhari Tanhayi Ka
Un Dekha Dukh Jhelega?

Ab Aisa Hai__________????

Ye Raat Musallat Hai Jab Tak
Ye Shamayein Jab Tak Jalti Hai,
Ye Zakham Jahan Tak Chubhte Hai,
Ye Saansein Jab Tak Chalti Hai...

Tum Apni Soch Ke Jungle Mein Rah Bhatkoo Aur Phir Kho Jao!!!
Ab So Jao...

Mujhe Mat Batana

Mujhe Mat Batana
Ke Tum Ne Mujhe Chhorne Ka Irada Kiya Tha,
To Kyon
Aur Kis Wajahse
Abhi To Tumhare Bichhadne Ka Dukh Bhi Kam Nahi Hua,
Abhi To Main
Baaton Ke, Waadon Ke Sheher Mein
Aankh Par Khush Gumani Ki Patti Ke Liye
Tum Ko Pairon Ke Pichhe, Darakhton Ke Jhund
Aur Deewar Ki Push Par Dhoondne Mein Magan Hoon,
Kahin Par Tumhari Sada Aur Kahin Par Tumhari Mehek,
Mujh Par Hansne Mein Masroof Hai,
Abhi Tak Tumhari Hansi Se Dil Behlaye Hue Hoon,
Aur Is Jung Mein Mera Hathyaar
Apni Wafa Par Bharosa Hai Aur Kuch Nahi,
Ise Kam Karne Ki Koshish Na Karna,
Mujhe Mat Batana...

Itne Kare Vasii Nizaam Men

Itne Kare Vasii Nizaam Men Sirf Aik Merii Hii Nekii Se Kyaa Hotaa Hai
Main To Is Se Ziyaadah Kar Hii Kyaa Saktaa Hun
Mez Par Apnii Saarii Duniyaa : Kaghaz Aur Qalam Aur Tutii-Phuutii Nazmen
Saarii Chiizen Bare Qariine Se Rakh Dii Hain,
Dil Men Bharii Hu’ii Hain Itnii Acchii Acchii Baaten,
Un Baaton Kaa Dhyaan Aataa Hai To Ye Saans Barii Hii Besh-Bahaa Lagtii Hai
Mujh Ko Bhii To Kaisii Kasii Baaton Se Raahat Miltii Hai
Mujh Ko Is Raah Men Saadiq Paakar
Saare Jhuut Merii Tasdiiq Ko Aa Jaate Hain
Ek Agar Main Sacchaa Hotaa,
Merii Is Duniyaa Men Jitne Qariine Saje Hu’e Hain
Un Kii Jagah Be-Tartiibii Se Pare Hu’e Kuch Tukre Hote
Mere Jism Ke Tukre, Kaale Jhuut Ke Us Chalte Aare Ke Niiche !
Itne Bare Nizaam Se Merii Nekii Takraa Saktii Thii,
Agar Ek Main Hii Sacchaa Hotaa !

Laazim Hia Ke Hum Bhi Dekhenge

Laazim Hia Ke Hum Bhi Dekhenge,
Wo Din Ke Jiska Wada Hai,
Jo Loh-E-Azel Mein Likha Hai,
Jab Zulm-O-Sitam Ke Koh-E-Giran,
Rui Ki Tarah Ud Jayenge,
Hum Mehkomon Ke Panv Tale,
Jab Dharti Dhak Dhak Dhadkegi,
Jum Ehle Hukum Ke Sir Upar,
Jab Bijli Kur Kur Karegi,
Jab Arz-E-Khuda Kee Kaaba Se,
Sab Bott Uthvaye Jayenge,
Hum Ehle Safa Mardoode Harum,
Musned Pe Bithaye Jayenge,
Sab Taaj Uchhale Jayenge,
Sab Takhat Giraye Jayenge,
Bus Nam Rahega Allah Ka
Jo Ghaib Bhi Hai Hazir Bhi,
Jo Manzar Bhi Hai Nazir Bhi,
Or Raaj Karegi Khalq-E-Khuda
Jo Main Bhi Hoon Aur Tum Bhi Ho...

Wo Guzri Baatein Chhod Kar

Wo Guzri Baatein Chhod Kar,
Wo GaMon Se Naata Tod Kar,
Phir Se Naye Rishte Jod Kar,
Apni Taqdeer Aap Banayein,
Chalo Phir Se Muskurayein,
Logonko Khushiyan De Kar,
Ek Nayi Duniya De Kar,
Raat Mein Khone Walon Ko,
Seedha Rasta Dekhein
Chalo Phir Se Muskurayein,
Wo Purane Sapne Jod Kar,
Wo Toote Dilonko Jod Kar,
Wo Guzre Hue Kal Se,
Kuch Sikhein Kuch Sikhayein,
Chal Phir Se Muskurayein,
Wo Bebasi Ko Mita Kar,
Wo Mayoosi Ko Hata Kar,
Dilke Kisi Kone Mein Deep Jalayein,
Aur Chand Ko Andheri Raat Mein ChaMkayein,
Chalo Phir Se Muskurayein...

Suna Tha Ke Mohabbat

Suna Tha Ke Mohabbat
Badi Jaan Leva Hoti Hai,
JisM-O-Jaan Ko Maar Dete Hai,
Ek Aag Si Saare Wajood Mein Bhar Deti Hai,
HaMein MaluM Tha,
So HuM Isse Door Rahe
Magar Na Jane Kab QadaM Bekhudi Mein
Is Reh-Guzar Mein Mood Gaye,
Aur Phir
Phool Bichhane Chahe HuMne,
NagMe Bhi Likhe HuMne,
Nigahon Mein Basaya Usko,
Dil Me Bhi Jagah Di Usko,
Uske Dukho Ki Kirchiyan,
Palon Se Chune HuMne,
Uski Raahon Ko Roshan Kiya HuMne,
Khud Ko Dukhi Karke
Magar Na Jane Kya Hua........
Murjha Gaye Phool Saare,
NagMe Besada Hue,
Sazo Se Sisikiyan Purote
Aur Raah Mein Guzar Sehra Hui
Sehra Bhi Kaisa
Tapta Hua
Main Chahti Na The Lekin Door Tak Nikal Gayi,
Aur Jab Palat Kar Dekha To,
Raasta Hi Nahi Tha,
Usko Pukara Bahut,
Magar Apni Hi Sada Wapas Palat Kar Aayi,
Ke Ya To
Har Sada Bedard Thi,
Kis Tarah SiMte Wajood Mera,
Raahein Hai Kaanto Si,
Sheher Hai Veeran Sa,
Sard Hawayein Deti Hawa Har ZakhM Ko,
Dard Se Hoon Chooor,
Magar Chalna To Hai!!
Tanhayi Ke Sehra Mein,
Rehna To Hai,
Koi Dekhe Bebasi Meri,
Jeene Ki Aarzu Nahi,
Magar Jeena To Hai...

TuMhare Paas Kya Kabhi Meri Yaad Aayi

TuMhare Paas Kya Kabhi Meri Yaad Aayi??
Kisi Raat Ke Sanante Me Kisine TuMhe Rulaya Kya?
TuMhe Sataya Kya??
Kabhi In Guzre Hue LaMho Ne,
Kya TuMhe Bechain Kiya? Aur Sataya Kya??
Kya TuMne Kabhi Mera NaaM Hath Par
Likh Kar Mitaya Kya???

Mujhe TuM Se Kuch Puchna Hai
Kya TuM Jawab Doge???
Kabhi Tanhayi Mein Baithkar Aankhein Band Karke,
Mera NaaM Liya Kya??
TuM Meri Zindagi Ho Meri Jaan Ho,
Main Tere Bina Kuch Bhi Nahi Hoon Ab Bhi Wakt Hai Laut Aao...

Yahan Charon Taraf Kagaz Hai Bikhre

Yahan Charon Taraf Kagaz Hai Bikhre,

Ki Soch Unpar Din Bhar Khelti Hai,

Kabhi Hansti Hai To Kabhi Jhagadti Hai,

Kabhi Main Laakh Chahun Paas Na Aati,

Mujhe Kuch Door Se Hai Munh Chidhati,

Ye Mujhko Chain Se Rehne Na Deti,

Ye Kaisi Mushkilon Me Aa Fansi Hoon,

Ke Ek KashMakash Si Charo Soo Hai,

Wo Ek Hansti Si Soch Ko Jo Likh Dun,

To Wo Royi Si Bas Hai Rooth Jati,

Jo Us Royi Si Ko Jaaun Manane,

To Wo Ek Chulbuli Hai Munh Chidhati,

Ye Sochein Ki Ya Ki Hai Ye DushMan,

Koi Inko Hata Bhi Le Yahan Se,

Ke Main In Sab Se Tang Ab Aa Chuki Hoon,

Ye Mujhko Chain Se Jeene Nahi Deti,

Magar Ek Baat Hai TuMko Bataun,

Ke TuM Ho Mere Apne Isliye Hi,

Main TuMse Keh Rahi Hoon Raaz Rakhna,

Ke Main Inke Bina Kuch Bhi Nahi Hoon,

Jo Inko Hata Do Door Mujhse,

To Main Goongi Si Ho Jaugni Sach,

Ki Mujhko Aati Hai Sirf Inki Bhasha,

Ye Baaqi Duniya Hai Bas Ek TaMasha,

Mera Jo Kuch Bhi Hai Bas Ye Shayri Hai,

Ke Yehi Bas Ab Meri Bandagi Hai,

Khuda Sajda Mera Qubool Karna,

Meri Is Soch Ko Maqbook Karna...

Aakhri Baar Jaane Kyon Maine

Aakhri Baar Jaane Kyon Maine,
Mud Ke Dekha TuMhari Aankhon Mein,
Ek LaMha Tha Wo Faqat LaMha,
Bheed Mein Doobkar Jo Tanha Tha,
Saans Bhi Chup Thi Dhadkanein Bhi GuM,
Ek Sannata Sa Tha Chhaya Hua,
Waqt Ke Be-LagaM Ghode Ko,
Maine Bebas Sa Ruka Paya Tha,
Kaash Jo Mere Bas Mein Hota
Waqt Ke Ghode Ka Maarke Chabook
Main Yaqeenan Us Ek LaMhe Ko
Itna Dushwar Na Banane Deti
Tez In Zindagi Ki Raahon Mein,
Khusq Patte Se Hi Uda Deti...

Chalo Chhodo!!! Mohabbat Jhuth Hai


Chalo Chhodo!!!
Mohabbat Jhuth Hai,
Ahd-E-Wafa Ek Shauk Hai Bekar Logonka,
Mujhe Ehsaas Kab Tha...
Ke TuM Bhi MausaMon Ke Sath
Apni Chahat Ke Rang Badloge,

Chalo Chhodo!!!
Mera Hona Na Hona Ek Barabar Hai,
TuM Apne Dikhawo Ko Aaine Mein
Phir Nikharne Do,
TuM Apni Aankh Ki Basti Mein,
Phir Se Ek Naya MausaM Utarne Do,
Mere Khwabon Ko Marne Do,
Nayi Tasveer Dekho,
Phri Naya Afsaana Likho,
Phir Naye MausaM Naye Lafzon Se Apna Silsila Jodo,
Mere Mazi Ki Chahat Ko Barbaad SaMjho,
Meri Yaadon Se Kachhe Rabte Todo,
Haan...
Chalo Chhodo
Mohabbat Jhuth Hai,
Ahd-E-Wafa Shauq Hai Bekar Logonka...

Aitbaar Kachi Dor Se Bandhi Patang Hai


Aitbaar Kachi Dor Se Bandhi Patang Hai,
Jise Wajood Ki TaMaM-Tar Sachaiyon Se
Udana Hi MuMkin Hai,

Aur Agar Aitbaar Ek Baar Toot Jaye
To Zindagi Maut Jaisi To Nahi
Lekin Bas Itna SaMajh Lo Ke
Maut Se Kuch KaM Bhi Nahi Hogi

Udasi, TuM Use Kehna


Udasi, TuM Use Kehna,
Hawa Ke Haath Me Kuch Bhi Nahi Hai,
Aur Sada Veeran Phirte Hai,
Tujhse Bichhde Hue Aksar HuM,
Ujre Hue Shehron Me Aksar Bhagta Phirta Hai,
Aksar Jaagta Phirta Ahi
So Nahi Paaya Hai
Aur Udasi TuM Use Kehna,
TuMhi Dukh Me Nahi Ho
HuM Bhi Apni Raakh
Hathon Mein Liye,
Aur Siskiyan Leti Hui Tanhai Ke Baal Khole Bayan Karti Hai,

Udasi! TuM Use Kehna,
TuM Hi Dukh Mein Nahi Tanha,
Yahan Bhi Hawa Ke Haath Me Kuch Bhi Nahi Hia,
Khala Jo Zaat Ki Har Char Diwari Ke Andar Hia,
Kabhi Bhi Bhar Na Payega
Yahan Bhi Har Sada Veeran Phirti Hai,
Udaasi TuM Use Kehna,
Udaasi TuM Use Kehna...

Bahut Muddat Ke Baad Kal Jab

Bahut Muddat Ke Baad Kal Jab
Kitab-E-Zindagi Ko Maine Khola,
Bahut Se Chehre Nazar Mein Utre,
Bahut Se NaaMo Pe Dil Machla,
Ek Aisa Safa Bhi Aisa Aaya,
Likha Hua Tha Jo Aansuon Se,
Ke Jiska NaaM Dost Tha,
Jo Safa Sabse Pyaara Aur Aziz Tha,
Kuch Aur Aansu Ispe Tapke,

Kitab-E-Zindagi Ko Band Kar Ke
TuMhari Yaadon Mein Kho Gayi Main,
Agar Tu Milta To Kya Hota,
Inhi Khayalon Main So Gayi Main...

Wo Nahi Hai To Uski Chahat Me Kis Liye

Wo Nahi Hai To Uski Chahat Me Kis Liye,
Din Raat Sanwarte Ho?
Khud Se Be Matlab Baatein Karte Kyon Ho?
Apni Hi Parchhayi Nochne Ke Liye
Khudse Ulajhte Darte Kyon Ho?
Unki Shakal Dekhke Aine Me
Aaine se Guftugu Karte Kyon Ho?

Koi Kaash Tujhe Batlata

Koi Kaash Tujhe Batlata
Hijr Mein Kaisa Khwab Tha Utra,
Rooh Par Kaisa Azab Tha Utra,
Koi Kash Tujhe Batlata,
Kitni Yaadon Ka GaM Charon SiMat Tha Mere,
Dil Mein Bilkul MataM Jaisa Shor Tha Mere,
Kitne Kaante Dil Me Chubhe The,
Kitne Ashq Meri Aankhon Mein Thehre The,
Koi Kash Tujhe Batlata...

Hawa Ko Likhna Jo Aagaya Hai

Hawa Ko Likhna Jo Aagaya Hai,
Ab Uski Marzi Ke Wo Khizan Ko Bahar Likh De,
Bahar Ko Intezar Likh De,
Safar Ki Khwahish Ko WehMon Ke Azaab Se HaMkinaar Likh De,
Wafa Ke Raaston Par Chalne Walon Ki KisMatonMe Gubaar Likh De,
Hawa Ko Likhna Jo Aagaya Hai,
Hawa Ki Marzi Ke Wasal MausaM Me Hijr Ko Hissedaar Likh De,
Mohabbaton Ke Guzarne Wali Raaton Ko Na-Paidaar Likh De,
Shajar Ko KaM Sayadaar Likh De,
Hawa Ko Likhna Jo Aagaya Hai,
Ab Uski Marzi Ke Wo HaMare Diye Bujha Kar,
Shabon Ko Ba-Ikhtiyaar Kar Ke Seher Ko Be-Aitbaar Likh De,
Hawa Ko Likhna Sikhane Walo,
Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai...
* * * * *

Woh Saari Baatein Khwab Hui

Woh Saari Baatein Khwab Hui,
Aur Khwab Se Phir Azaab Hui,
Jab TuMko Saba Ke Jhonke Se,
PaighaM HaMara Milta Tha,
Jab Meri Ek Nazar Se Hi
Chehra Ye TuMhara Khilta Tha,
Kuch Yaad Sa TuMko Hai JanaM
Jab Ghanto Baatein Karneki Aadat Roz Ki Thi,
Kuch Der Jo Mujhko Ho Jaati
TuM Ghanto Rootha Karte The,
Kabhi Geeton Ki Kabhi Sheron Ki,
TuM Khwahish Mujhse Karte The,
Kabhi Pyar Tha Meri Baaton Se,
Mere Chehre Se Meri Aankhonse,
Aur Jhank Ke Meri Aankhon Mein
TuM Khudko Dhunda Karte The,
Ek Do Din Dekh Na Paao To,
TuM Bekal Bekal Rehte The,
Aur Ab To Aisa AalaM Hai,
Koi Chahat Hai Na Ulfat Hai,
Kya Pyaar, Mohabbat Aur Wafa,
Is Zikr Se TuM Ko Vehshat Hai,
Main Laakh Tasalli Khud Ko Dun,
Ke Ab Bhi Teri Khwahish Hoon,
Anjaan Bezaaar Se Lagte Ho,
Main Ab Bhi Teri Talabgaar Hoon,
Par Dhoka Aakhir Dhoka Hia,
Kab Tak Dilko Behlayega
Do Palki Khushiyan De Kar Ye
Mujhe Sadiyan Lahoo Rulayega,
Kyon TuM Takdeer Se Ladte Ho,
Kyon Khudko Dhoka Dete Ho,
Khwabon Ke Tukde Chun Ke Ab,
Kyon Khudko Ghayal Karte Ho,
Ye Baat TuMhein MaluM To Hai,
Kab Beeti Yaadein Lauti Hia,
Jo Baatein Khwab Si Ho Jayein,
Wo Baatein Khwab Hi Rehti Hai...

Musalsal Baithna Tanha

Musalsal Baithna Tanha,
Musalsal Sochna Tanha,
Musalsal Dekhna Khud Ko,
Musalsal Janchna Tanha,
Musalsal KhaMoshi Sab Ki,
Musalsal Bolna Tanha,
Musalsal Uljhanein Dil Ki,
Musalsal Kholna Tanha,
Musalsal Jodna Sabko,
Musalsal Tootna Tanha,
Musalsal Aankh Mein Rehna,
Musalsal Doobna Tanha,
Musalsal Saad Achha Hai,
Musalsal Dhoondna Tanha...

Main Jiske Dilki Kitab Banti

Main Jiske Dilki Kitab Banti
Main Jiski Chahat Ka Khwab Banti

Main Hijr MausaM Ki LaMbi Raaton Mein Yaad Bankar Azaab Banta
Koi To Hota!!!
Jo Meri Khwahish Me Uth Kar Raaton Ko Khoob Rota,
Dukhon Ki Chadar Lapet Kar Duniya Walon Se Door Hota,
Main Rooth Jaati Manata Mujhko Ke Chahe Mera Kasoor Hota,
Koi To Hota!!!
Jo Mujhko Dil Ka Karaar Kehta,
Rago Ko Apni Fishar Kehta
Udaas MausaM Mein Tazgi Ki Biyar Ban Kar,
Jo Meri Baahon Ko Aarzu Ka Diyar Kehta,
Koi To Hota!!!
Dua Se Apni Jo Dukh Bhi Mere SaMet Leta,
Wo Is Jahan Se GaMon Ka Mere Hisab Leta,
Wo Saari Duniya Ki Rafaqaton Ke TaMaM Rishte,
Koi To Hota!!!
Main Jiske Itna Kareeb Hoti,
Na Paas Koi Parchhayi Hoti,
Main Tanha Uski Habeeb Hoti,
Ye Daastan Bhi Ajeeb Hoti,
Koi To Hota,
Aye Kaash, Koi To Hota!!!

Mere Dilke Kore Kagaz Pe

Mere Dilke Kore Kagaz Pe
Yaad Karo Kabhi Kuch Likha Tha TuM Ne,
Mere Tasavvur, Meri Yaadon Mein Rahoge Har Ghadi,
Socho Ye Kabhi Kaha Tha TuMne,
Phir Jane Kya Hua TuM Ruthe Ya HuM Ruthe,
Yun Wo Chah Bhi Na Rahi Jis Chah Se Kabhi Chaha Tha TuMne,
Mere Dilke Kore Kagaz Pe
Yaad Karo Kabhi Kuch Likha Tha TuMne...

Mujhe Bas Itna Kehna Hai

Mujhe Bas Itna Kehna Hai,
Kabhi Main Yaad Aaun To,
Kabhi Tanhayi Ki Raatein
TuMhe Zyada Satayein To,
Kabhi Titli Na Bole To,
Aur Jugnoo Laut Jaye To,
Kabhi Jab Dil Bhi Bhar Jaye,
Koi Jab Sunn Na Paye To,
Agar Sab Dost Sathi Bhi,
Jo TuMse Rooth Jaayein To,
Kabhi Jab Khud Se Lad Lad Kar,
Thakan Se Choor Ho Jao,
Kabhi Chahte Hue Bhi Khud Akele
Ro Na Paao To,
Apni Aankhon Ko Band Karna,
Mujhe Aawaz De Dena,
Aur Phir Mere Tasawwur Se,
Jo Chaho Baatein Kar Lena,
Mere Kaandhe Par Sar Rakh Kar
TuM Jitna Chaho Ro Lena,
Phir Khud Me Jab Laut Jao To,
Wahi Duniya Mein Chale Jana,
Magar Bas Itna Kehna Hai
Ke Jab Bhi Dukh Ya Khushiyon Mein
HaMein Dilse Pukaroge,
KasaM Khuda Ki Kabr Mein Bhi Honge
To Laut Aayenge HuM...

Haan Abhi Bhi

Haan Abhi Bhi,
Jaan Kuch Baaki Hai,
Saans Kuch Baki Hia,
ArMaan Kuch Baaki Hia
Aur In Ashkon Ki, Rawaani Kuch Baaki Hai
HuM SaMay Ke Dariya Mein
Yun Tanha Tanha,
Aankhon Me Ashq Bhare Bhare,
In Dharaon Me Behte Behte,
KhaMosh Dishaon Mein
Kabhi Kidhar Kho Jayein
Kya Unhe Khabar Bhi Hogi Yaa Rab!!!

MERI ROOH

MERI ROOH,

Main Shigaf Aal Kar,

Wo Bahut

Pur Sukoon Hai,

Is Baat Se Bekhabar,

Ke Meri Rooh Mein Basne Wala,

Ek FaQt,

Wohi To Hai...

Wo Jo Shakh Se Toot Kar Gira Tha

Wo Jo Shakh Se Toot Kar Gira Tha Hawa Ke Ek Jhonke Se,
Manzil Thi Kya? Phoolon Ki Sej Ya Kisi Ka Kaanton Bhara Nasheman,
Dukhon Ki Bhatti Mein Sulag Sulag Ke Tamaam Hona,
Khushi Ke Chand Lamhe Pana Aur Phri Matti Mein Mil Kar Khak Hona,
Ghalazatin Ho Kisika MuQaddar To Kisi Ka Rehguzar,
Koi Gira Naali Mein To Koi Pairon Tale Ronda Gaya,
Kisiko Kya Malum Tha Kya Hai Uska Mukaam-E-Abad,
Kyon Har Ek Ki Manzil Thi Alag, Patte To The Wo Ek Hi Shajar Ke...

Popular Posts