Sunday, April 18, 2010

Din Raat Ke Aane Jaane Mein

Din Raat Ke Aane Jaane Mein,
Duniya Ke Ajayab Khane Mein,
Kabhi Sheeshe Dhundle Hote Hai,
Kabhi Manzar Saaf Hote Hai,
Kabhi Surat Baat Nahi Karta,
Kabhi Taare Aankh Badalte Hai,
Kabhi Manzil Pichhe Rehti Hai,
Kabhi Aasein Tod Nai Chadtein,
Kabhi Khushi Puri Hoti Hai,
Kabhi Aankhein Dekh Nahi Sakti,
Kabhi Khwab Adhure Hote Hai,
Ye Sab To Sahi Hai Lekin,
Aashob Ke Manzar Khane Mein,
Duniya Kya Ajayab Khane Mein,
Kuch Saya Karti Aankho Ke Paiman To Dikhayi Dete Hai,
Hathon Se Agarche Door Sahi Imkaan To Dikhayi Dete Hai,
Haan Ret Ke Us Darya Ke Paar,
Ek Pairon Wali Basti Ke Unwaan To Dikhayi Dete Hai,
Manzil Se Koson Door Sahi,
Pur Dard Sahi Ranjoor Sahi,
Zakhmose Musafir Choor Sahi,
Par Kisse Kahein Ye Jaan-E-Wafa,
Kuch Aise Ghaav Bhi Htoe Ahi Jinhe Zakhmi Aap Nahi Dhote,
Bin Roye Hue Aansu Ki Tarah Seene Mein Chupa Kar Rakhte Hai,
Aur Saari Umr Nai Rote,
Neendein Bhi Muhaya Hoti Hai, Sapne Bhi Door Nahi Hote,
Ab Kisse Kahein Aye Jaan-E-Wafa,
Ye Ahl-E-Wafa,
Kis Aag Mein Jalte Rehte Hai,
Kyon Bujh Kar Rakh Nahi Hote...

No comments:

Popular Posts