Sunday, April 18, 2010

Chale Jaana Magar Thehro Zara

Chale Jaana
Magar Thehro Zara,
Is Pair Ki Sargoshiyan Sun Lo
Ye Kehtaa Hai,
Ke Aage Dhoop Hai,
Tum Meri Chhanv Saath Le Jao,
Hare Mausam Jab Aayenge,
Main Tumko Khushbuyein Bhejunga,
Meri Shaakh Aankhein Barg Aansu Royenge,
Main Janta Hoon,
Jab Hawa Hi Par Bane To Phir Parinde Rokne Se Ruk Nahi Paate,

Chale Jaana,
Magar Thehre Zara,
Ye Lawn Tumko Yaad Karta Hai,
Yahan Shaam Ka Suraj Aur Hamare Geet Ki Lai Aaj Tanhayi Hai,
Tumhare Qahqahon Ke Phool Suthi Tehniyon Pe Jhulte Hai,
Titliyan Basi Dhuno Par Raqs Karti Hai,
Sadaayein Bujh Gayi Hai,
Door Tak Ye Dhoop Hi Dast-E-Dua Hai,
Aur Hawayein Narm Lafzon Ki Tarah Koi Duaa Tashkeel Deti Hai,

Chale Jaana,
Magar Thehro Zara,
Ye Dar Ye Deewar Judayi Ki Lughat Hai,
In Pe Likhe Lafz Ko Padh Lo,
Ke In Boseedah Deewaron Ki Aankhon Mein Tumhare Aks Roshan Hai,
Inhe Achhi Tarah Dekho,
Ke In Din Tum Inhi Akson Ki Jaanib Lautna Chahoge,
Lekin Waapsi Ke Saare Raaste Band Paoge,

Chale Jana,
Magar Thehro Zara,
Par Kya??????
Thik Hai Chale Jaiye...

No comments:

Popular Posts