Monday, December 6, 2010

Kabhi Jo Cheirr Gai Yaad'e'Raftagan Mohsin


Kabhi Jo Cheirr Gai Yaad'e'Raftagan Mohsin!
Bikher Gai Hain Nigahein Kahan Kahan Mohsin !

Hawa Ne Raakh Urayee To Dil Ko Yaad Aaya....
K Jal Bujhain Mere Khawabon Ke Bastiyaan Mohsin !

Kuch Aisay Gher B Mile Jin Main Ghonghaton K Aawaz..
Hoi Hain Dafan Dopaton Main Larkiyaan Mohsin......!

Khun'der Hai Ehud'e'Guzishta Na Chu Na Chair Esay.....
Khulain To Band Na Hoon Is Ki Khirkiyaan Mohsin...!

Bujha Hai Kaun Sitara K Apni Aankh K Sath....
Howey Hain Sare Manazir Dhowan Dhowan Mohsin...!

Nahi Keh Us Say Ganwa Hain Maah'o'Saal Apne....!!
Tamam Umer Kati Yun Bhe Ra'ye'gaan Mohsin....!

Mila To Aur Bhe Taqseem Ker Gaya Mujh Ko....!!!
Sameetna Then Jisay Meri Kirche'yaan Mohsin.....!

Kahe Say Us Nay B Tora Hai Khud Say Rabt'e'Wafa
Kahe Say Bhool Gaya Main B Dastaan !Mohsin!

Apnepan Ka Ehsaas Wo Jab Mujhe Dilata Hai


Apnepan Ka Ehsaas Wo Jab Mujhe Dilata Hai,
Ek Ajeeb Si Dor Se Mujhe Apne Aur Karib Le Jata Hai

Kabhi Kabhi To Lagti Hai Uski Duriya Hi Achi Mujhe,
Paas Aa Kar To Mujhe Aur Bhi Tadpata Hai

Chup Reh Ke Bhi Yun To Kayi Baatein Keh Jata Hai,
Par Izhar Kar Ke Un Baato Ka Mujhe Hi KhaMosh Kar Jata Hai

Barso Ki Pehchan Hai Phir Bhi Anjaan Hun Su Ke Pehlu Se,
Har Baar Wo Mujhe Ek Naye Rang Main Nazar Aata Hai

Jab Raaaz-E-Dil Karta Hai Baya To Main Chup Si Ho Jati Hu,
Chupke Se Apni Baato Tale Mujhe Apni Duniya Mein Le Jata Hai

Kabhi NarM To Kabhi Sakht Kabhi Dur Kabhi Paas Rehta Hai,
Har Roop Main Mujko To Bas Wahi Ek Bhata Hai

Kabh Anjaana Kabhi Begana Kabhi Apna Kabhi Jaana-Pehchaana Banke,
Dhire Dhire Se Hole Hole Se Ruh Mein Utar Ta Jaata Hai...

Main Usse Mohabbat Karta Tha Use Ehsaas Dilaya


Main Usse Mohabbat Karta Tha Use Ehsaas Dilaya,
Aur Usne Mujhe Apni Mohabbat Ka Yakeen Dila Diya,

Ghar Se Be-Ghar To Doston Mein Khwar Karva Diya,
Jabse Usne Mujhe Uski Mohabbat Mein Giraftar Karva Diya,

Uski Ek Jhalak Se Hi Karar Aa Jaye,
Jaise Kisi Pyase Ko Pet Bhar Pani Pila Diya,

Mohabbat Mein Meri Hi KaMi Thi Ye Ehsaas Dila Diya,
Jabse Maine Use Chand Ki Aagosh Mein Lipta Hua Paya...

phir kahoge tum muqaabil ko sazaa ke vaaste


phir kahoge tum muqaabil ko sazaa ke vaaste
aa_iine ko haath se rakh do Khudaa ke vaaste

kaabaa-e-dil ko na taakotum jafaa ke vaaste
ai buto ye ghar Khudaa kaa hai Khudaa ke vaaste

yaa ilaahii kis taraf se pas hai baab-e-asar
kaun saa nazadiik hai raastaa duaa ke vaaste

kah gaye kyaa dekh kar nabzon ko kyaa jaane tabiib
haath uThaaye hain aziizon ne duaa ke vaaste

tum bhii naam-e-Khudaa ho mashq-e-zulm-o-jor ho
aasmaaN se mashvaraa kar lo jafaa ke vaaste

mujh ko us miTTii se Khaaliq ne banaayaa hai "Qamar"
rah gaiin thii jo azal ke din vafaa ke vaaste

Talluq tuut jaayega Mera, Saare zamaane se


TalluQ tuut jaayega Mera, Saare zamaane se...
Mere apne khafa honge, Tumhe apna banane se..

Tumhare sath rehne se, Mujhe taskeen milti hai,
Bohat taQleef hoti hai, tumhare door jane se..

Mere ghar ko jala dena, Magar itna yaad rakhna
Ujaala mil nahi sakta, kisi ka ghar jalaane se..

Humaari jaan jaayegi, to phir jaan jaogii,
ke haasil kuch nahi hota, kisi ko aazmane se..

Tumhara Naam kaise mitaau , apni khani se "Mujhy",
BarDa Gehra taLLuQ hai, tera mera zamane se...."

main jahaan tum ko bulaataa huun vahaan tak aao


main jahaaN tum ko bulaataa huuN vahaaN tak aao
merii nazaron se guzar kar dil-o-jaaN tak aao

phir ye dekho ki zamaane kii havaa hai kaisii
saath mere mere firdaus-e-javaaN tak aao

teG kii tarah chalo chhor ke aaGosh-e-niyaam
tiir kii tarah se aaGosh-e-kamaaN tak aao

phuul ke gird phiro baaG mein maanind-e-nasiim
misl-e-paravaanaa kisii sham-e-tapaaN tak aao

lo vo sadiyon ke jahannum kii haden Khatm huii
ab hai firdaus hii firdaus jahaaN tak aao

chhor kar vaham-o-gumaaN husn-e-yahqiin tak pahuNcho
par yaqiin se bhii kabhii vaham-o-gumaaN tak aao

Khud apna bharam mujhko mukarne nahi deta


Khud apna bharam mujhko mukarne nahi deta
main dil main teri yaad ko marne nahi deta

sailaab sa rehta hai meri aankhon main jari
main ashk k dariya ko utarne nahi deta

rakhta hon dil-o-jan ko yakja teri khatir
ukhri hoyi saanso ko bikharne nahi deta

karta hon wohi kaam jo taqdeer ki zid ho
main khud koi kaam sanwarne nahi deta

ye soch k tabeer ki khahish na sataey
main khawaab ko apne aankhon se guzarne nahi deta

har rah main raqsan hain kae khouf k saye
ye khouf he rastay se guzarne nahi deta

kab tak dil kii Khair manaayen, kab tak raah dikhaaoge


kab tak dil kii Khair manaayen, kab tak raah dikhaaoge
kab tak chain kii mohalat doge, kab tak yaad na aaoge

biitaa diid ummiid kaa mausam, Khaak uratii hai aaNkhon mein
kab bhejoge dard kaa baadal, kab barkhaa barasaaoge

ahad-e-vafaa aur tark-e-muhabbat jo chaaho so aap karo
apane bas kii baat hii kyaa hai, hamase kyaa manavaaoge

kisane vasl kaa suuraj dekhaa, kis par hijr kii raat Dhalii
gesuon vaale kaun the, kyaa the, un ko kyaa jatalaaoge

'Faiz' dilon ke bhaag mein hai ghar basanaa bhii luT jaanaa bhii
tum us husn ke lutf-o-karam par kitane din itaraaoge

Unko tasavoorat me aane nahi diya


Unko tasavoorat me aane nahi diya
Halat ne ye lutf uthane nahi diya

Gam mere sath sath bahut door tak gaye
Sikwa magar Zaban pe aane nahi diya

Dastaar gir gai to gire sar to bach gaya
kuch behiso ko zarf khuda ne nahi diya

Tha kitna dil shikan teri yadoon ka marhala
Aankhon ko phir bhi ashk bahane nahi diya

Majbooriyon ne pao mein zanjeer daal dee
Hamne khusi se apko jane nahi diya

Mai khud hi apni rah ka pathar bana raha
Aisa nahi sath dua ne nahi diya

'shahid' meri saada dilo ne khabhi mughe
Aena doosto ko dikhane nahi diya.

Boht Masroof Lamhon Main


Boht Masroof Lamhon Main
Kabhi Ek Pal ko Socho To
Koi Kitna Akela Hai
Kisi Ki Zindagi Tum Ho
Kisi Ki Bandagi Tum Ho
Kisi Ko Teri Khuwahish Hai
Koi Zinda To Hai Lekin
Faqat woh Saans leta Hai...
Zara Ek Pal Ko Soocho To Koi Kitna Akela Hai..

Wo Jazbon Ki Tijarat Thi Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha


Wo Jazbon Ki Tijarat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha
Ussey Hansney Ki Aadat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mujhey Uss Ney Kaha Aao Nai Dunya Basatey Hain
Ussey Suji Shararat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Humesha Usski Aankhon Main Dhanaq K Rung Hotey Thay
Yeh Usski Aam Aadat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Wo Mairey Pass Bethi,Dair Tak Ghazlein Meri Sunti
Usssey Khud Sey Mohabbat Thi ,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mairey Kandhay Par Sir Rakh Kar Kahein Par Kho Gai Thi Wo
Yeh Ek Waqti Enayat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mujhey Wo Dekh Kar Aksar Nighahein Phair Leyti Thi
Yeh Dar Parda Haqarat Thi,Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Barishon k Mosam Main Dil ki Sarzamenon par


Barishon k Mosam Main
Dil ki Sarzamenon par
Gard Q Bikharti he?
---
Is Tarah k Mosam main Phool Q Nahi khiltay?
Log Q Nahi miltay?
---
Q Faqat ye Tanhayi sath sath Rehti he?
---
Q Bicharhne walon ki Yaad sath Rehti he?
---
Itni Taiz Barish se Dil ke Aainey per se
---
Aks Q Nahi Dhultay?
Zakhm Q Nahi mit-tay? Neend Q Nahi Aati?
---
Barishon k Mosam mein Aankhin Q Barasti hai?
---
Ashk Q Nahi Thamtay?
Subha Q Nahi hoti?
Raat Q Nahi Dhalti?

Chaman Sey Yeh Kon Chala Khamoshiyan Ley Kar


Chaman Sey Yeh Kon Chala Khamoshiyan Ley Kar
Kli kli Tarap Uthi Hai Siskiyan Ley Kar

Kafan Mera Na Hatao Zamana Dekh Na Ley
Main So Gaya Houn Kisi Ki Nishaniyan Ley Kar

Tamasha Dekh Rahey Thay Jo Doobney Ka Meray
Meri Talaash Main Niklay Hain Kashtiyan Ley Kar

Jo Raat Din Meray Marney Ki Dua Kartay Thay
Aaj Wohi Ro Rahay Hain Hichkiyan Ley Kar

Meri Sans Tum Sey Jodi Hai Kab Aao Gey


Meri Sans Tum Sey Jodi Hai Kab Aao Gey
Laboun Pey Jaan Hai Or Kitna Tardpao Gey

Meray Bin Chain Nahi Miley Gaa Tumhein
Mujhey Chord Kay Tum Bhi Pachtaao Gey

Jata Waqt Nahi Teharta Kisi Kay Liye
Aakhir Kab Tak Tum Mujhey Aazmaao Gey

2 Aansoon 2 Phool Qabr Par Chardha Jana
Shayed Itna Hi Tum Meray Liye Kar Paao Gey

AREY NADAN DIL DHENE KI AADAT MAR DETI HAI


AREY NADAN DIL DHENE KI AADAT MAR DETI HAI
SAMAJTA KIUN NHI BEJA SAKHAWAT MAR DETI HAI

MUJE TALWAR KI HAJAT BHLA MEHSOOS KIUNKER HO
MERE DUSHMAN KO JAB MERI MHBT MAR DETI HAI

HASEEN KHWABON SE DAR LAGTA HAI BAS ISS WASTY YARO
K JAB KHULTI HEIN AANKHAIN TAU HAQIQAT MAR DETI HAI

JATAN KYA KYA NHI KARTY K SUKH SE UMR KAT JAEY
MAGAR AFSOS SADH AFSOS QISMAT MAR DETI HAI

SUNO MILTE HUAY SOORAJ SE THORA FASLA RAKHNA
SUNA HAI USS K JAZBON KI TAMAZAT MAR DETI HAI

Tere Jamaal se har shai mein Zindgee Aee


Tere Jamaal se har shai mein Zindgee Aee
Bujhe Bujhe se Chiraghon mein Roshni Aee


Isi ka naam hai Shayed Mazaq-e-Aena
Mujhe khud apne khad-o-Khaal par Hansi Aee


Wo Mujh se Toot ke jab Mudaton ke baad Mila
Chamak Nigah mein Chehre pay Tazqee Aee


Gharz ka Chehra Kabhi Saaf ho nahi Sakta
Isi liye Tere Ikhlaas mein Kamee Aee



Wo Tera Qurb tha ya Ik Haseen Lamha tha
Meri Hayat mein Jis Waqt Roshni Aee

Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech


Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech
Ab to khulny lagy maqtal bhary bazar k beech

Apni poshak k chin jany pe afsoos na kar
Sar salamat nae rehty yahan dastar k bech

Surkhian aman ki talqeen mein masroof rahen
Haroof barod ugalty rahy akhbar k bech

Kash iss khuwab ki tabeer ki mohlat na mily
Sholy ugtay nazar aay mujhy gulzar k bech

dhalty soraj ki tamazat nay bikhar kar dekha
sar kasheeda mira saya saf-e-ashjar k bech

Rizq, malbos, makaN, sans, marz, qarz, dawa
Munqisem ho gya insaN inhe afkar k bech

Dekhy jaty na thy aanso mry jis say Mohsin
Aj hansty howy dekha usay aghyar k bech

Roshan Kiye Jo Dil Nay Kabhi Din Dhaley Chiragh


Roshan Kiye Jo Dil Nay Kabhi Din Dhaley Chiragh..!!
Apnay Ujaar Ghar Mein Lagey..!! Kya Bhalay Chiragh...!!


Shayid Mera Wojood Ki Sooraj Tha Saher Mein..!!
Mein Bujj Gaya Toa Kitnay Gharoon Mein Jaley Chiragh..!!


Darya Ki Te'h Mein Kitnay Siraroon Ka Aks Tha..!!
Pani Kay Saath Saath kahan Takh Chaley Chiragh...!!


Aye Sub'ho Ki Shareer Kiran Inn Ka Ehtiraam..!!
Tayy Karr Gaye Hein Shab Kay Sabhi Marhelay Chiragh...!!


Kyun'kar Na Hum Bhujein Tujey Milker, Keh Bazam Mein..!!
Sooraj Tera Badann Hay Toa Hum Dil-Jaley Chiragh...!!


Mohsin Woh Dhoondta Tha Kissey Pichli Raat Ko..??
Aankhein Hawa Ki Zadd Mein Thein ..Damann Taley Chiragh..!!

Jiski Qismat Hi Dar-Badar Tehray


Jiski Qismat Hi Dar-Badar Tehray ..!!
Woh Bhuja Chand Kis Kay Ghar Tehray..!!


Umar Guzri San'waartey Dil Ko..!!
Kaash Woh Dil Mein Lamha Bhar Tehray..!!


Uss Say Kya Pochna Safar Ki Thakan..!!
Jiski Manzil Hi Rehguzar Tehray..!!


Uski Qeemat , Azaaab Suraj Ka..!!
Woh Sitara Jo Taa-Saher Tehray..!!


Uss Ki Ankhein Udher Gaye Hi Nahe...!!
Log Kya Kya Na Morr Per Tehray..!!


Hum Say Kaisa Ha'zer Hawa-e-Safar..!!
Hum Toa Gird-e-Raah-e-Safar Tehray..!!


Jukh Kay Chomey Na Kyun Falak Mohsin ..!!
Jab Sinaa'n Par Kisi Ka Sarr Tehray..!!

Habs-e-Duniya Say Guzar Jatey Hein


Habs-e-Duniya Say Guzar Jatey Hein ..!!
Aaisa Kartey Hein Keh Marr Jatey Hein ..!!

Kaisay Hotey Hein Bicharnay Walay..??
Hum Yea Sochein Bhi Toa Darr Jatey Hein ..!!

Dil Jo Tootey Toa Sar-e-Mehfil Bhi..!!
Baaal Be-Waja Bikhar Jatey Hein ..!!

Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhein..!!
Chartey Daryaa Toa Uther Jatey Hein ..!!

Dhoop Ka Roop Rachaney Walay...!!
Shaam Ko Aur Nikhar Jatey Hein ..!!

Ab Na Murr Murr Kay Pukaroo Unko..!!
Log Rastay Mein Taher Jatey Hein ..!!

Khaali Damann Say Shikayat Kaisi...??
Aashk Ankhon Mein Toa Barh Jatey Hein ..!!

Tum Kahan Jao Gay Socho Mohsin ..??
Log Thakk Haar Kay Ghar Jatey Hein .......!!

Shikasta Aa'inoo Ki Kirchian Achi Nahe Lagthein


Shikasta Aa'inoo Ki Kirchian Achi Nahe Lagthein..!!
Muje Wadoon Ki Khaali Seephiyan Achi Nahe Lagthein..!!


Guzishta Rutt Kay Ranghon Ka Asar Dekho Keh Ab Mujko..!!
Khuley Aanghan Mein Urthi Tittliyan Achi Nahe Lagthein..!!


Woh Kia Ujaar Nagar Tha Jisski Chahat kay Sabab Ab Takh..!!
Harri Bay'loon Say Uljee Tehni'yaan Achi Nahe Lagthein...!!


Dabhey Pa'on Hawa Jin Kay Chiraghoon Say Bahelthi Hoo...!!
Muje Aisay Gharoon Ki Khirkiyaan Achi Nahe Lagthein...!!


Bhaley Lagtey Hein Toufanoon Say Lartey Baadbaan Mujko...!!
Hawa Kay Rukh Peh Chalti kashtiyaan Achi Nahe Lagthein..!!


Yea Keh Kar Aaj Ussey Bhi Tau'luq Torr Aya Hoon...!!
Meri Jaan Mujko Ziddi Larkiyaan Achi Nahe Lagthein...!!


Kisi Ghar Mein Rassn Basta Rahen Jo Raat Din Mohsin ..!!
Mujey Akser Woh Sehmii Hirniyaan Achi Nahe Lagthein ...!!!

Khayal Mein Teri Aa'mad Hoe, Hoe Na Hoe


Khayal Mein Teri Aa'mad Hoe, Hoe Na Hoe..!!
Ghazal ka Kya hay Sarzad Hoe, Hoe Na Hoe...!!

Toa Apnay Ahd-e-Jafa Kay Ufaq Sambhal Zara...!!
Meri Wafa Ki Koi Hadh Hoe, Hoe na Hoe...!!

Teray Mizaaj-e-Sakhawat Ki Bar'hami Qaim...!!
Meri Dua Pay na Ja Radd Hoe, Hoe Na Hoe....!!!

Toa Aasmaan Pe Kahein Nasb Kar Khayam-e-Khayaal..!!
Meri Zameen Meri Masnadd Hoe, Hoe Na Hoe...!!

Yea Zindagi Meri Apni Hay, Jis Tarah Bhi Katey..!!
Raheen-e-Aqs-e-A'ab Wajad Hoe, Hoe Na Hoe...!!

Kuch Aur Dheer Ba'raknay Dho Aans'oan Kay Chiragh..!!
Yea Roshni Sar-e-Mar'Qadh Hoe, Hoe Na Hoe...!!

Buhat Hay Uski Nazar, Is Taraf Uttey Toa Sahi...!!
Mataa-e-Daaman-e-Maqsad Hoe, Hoe na Hoe...!!

Jissey Muqaam-e-Raza* Ki Khaber Nahe Mohsin...!!
Ussey Ziarat-e-MushHad Hoe, Hoe Na Hoe...!!

Jisko Akser Socha Tha Tanhaye Mein


Jisko Akser Socha Tha Tanhaye Mein..!!
Shamil Hay Woh Shakhs Meri Ruswaye Mein..!!

Mujse Matt Pocho Woh Chehra kaisa Tha..??
Doobh Gaya Mein Aankhon Ki Gehrayee Mein ..!!

Jaagtey Rehnay Ki Kitni Tar'gheebain Thein ..!!
Uski Boojal Thakhi Howi Aangraiii Mein .!!

Tujse Aankh Milana Kitna Mushkil hay...!!
Warna Suraj Gull Jayein Beenayee Mein ...!!

Pyar Bhi Karta Hay Woh Be-Parwaee Say..!!
Nadani Ka Rangg Bhi Hay Da'nayee Mein..!!

Woh Ek Pal Ko Roota Toa Mehsoos Howa..!!
Jaisay Beet Gaya Eik Saal Judaii Mein..!!

Jaoo Apnay Jaisay Log Talash Karoo..!!
Kiaaa Paoo Gay Mohsin Say Harjayee Mein....!!!

Jab Teri Dhunn Mein Jiya Kartey Thay


Jab Teri Dhunn Mein Jiya Kartey Thay..!!
Hum Bhi Chup Chaap Phira Kartey Thay..!!

Aankh Mein Piyaas Howa Karti Thi..!!
Dil Mein Tofaan Utha Kartey Thay...!!

Logg Aatey Thay Ghazal Sunney Ko..!!
Hum Terii Bhaat Kiya Kartey Thay ..!!

Sach Samajtey Thay Teray Wadoon Ko..!!
Raat Din Ghar Mein Raha Kartey Thay...!!

Kisi Veeranay Mein Tujsey Milkar..!!
Dil Mein Kiaa Phool Khila Kartey Thay..!!

Ghar Ki Dewaar Sajanay Kay Leye..!!
Hum Teraa Naam Likha Kartey Thay..!!

Woh Bhi Din Thay Bhulaa Kay Tujeko..!!
Hum Tujey Yaad Kiya Kartey Thay..!!

Jab Teray Dard mein Dil Dhukta Tha...!!
Hum Teray Haq Mein Dua Kartey Thay...!!

Bujnay Lagta Jo Chehra Tera..!!
Daagh Seenay Mein Jala Kartey Thay..!!

Apnay Jazboon Ki Kamn'don Say Tujey..!!
Hum Bhi Taskheer Kiya Kartey Thay..!!

Apnay Aansoo Bhi Sitaroon Ki Tarah..!!
Teray Hontoon Pay Saja Kartey Thay..!!

Chairta Tha Ghum-e-Duniya Jab Bhi..!!
Hum Teray Ghum Say Gilla Kartey Thay..!!

Kal Tujey Dekh kay Yaad Aya Hay..!!
Hum Sukh'noor Bhi Howa Kartey Thay...!!

Wo Bazahir Jo Zamaney Say Khafa Lagta Hay


Wo Bazahir Jo Zamaney Say Khafa Lagta Hay..!!
Hanns Kay Booley Bhi Toa Duniya Say Judda Lagta Hay..!!

Aurr Kuch dheirr Na Bujne Dhe Issey Rab-e-Saher..!!
Doob'ta Chaand Mera Dast-e-Duaa Lagta Hay...!!

Jis'say Moun Pairr Kay Rastey Ki Hawa Guzri Hay...!!
Kisi Ujray Howey Aanghan Ka Diaa Lagta hay...!!

Ab Kay Sawan Mein Bhi Zardii Na Gaye Chehroon Ki..!!
Aisay Mausum Mein Toa Jungle BHi Harra Lagta Hay...!!

Shaher Ki Beer Mein Khultey Hein Kahan Uskay Naqoosh..!!
Aa'oo Tanhayee Mein Sochein Keh Woh Kiya Lagta Hay...!!

Mounn Chupaye Howey Guzra Hay Jo Eh'baab Say Aaj...!!
Uski Aankhon Mein Koi Zakhm Naya Lagta hay...!!

Abb Toa Mohsin Kay Tasawar Mein Utter Rab-e-Jaleel...!!
Iss Udasi Mein Toa Pathar Bhi Khuda Lagta Hay.....!!!

Aankhon Mein Koi Khuwaab Uthar'ney Nahe Deta


Aankhon Mein Koi Khuwaab Uthar'ney Nahe Deta..!!
Yea Dil Keh Mujey Cha'en Say Marnay Nahe Deta..!!

Bichrey Toa Ajab Pyar Jita'ta Hay Khatoon Mein..!!
Mill Jaye Toa Phir Hadh Say Guzarnay Nahe Deta..!!

Woh Shakhs Khizaan Ruth Mein Bhi Muhtaat Hay Kitna..!!
Sookhey Howey Pholon Ko Bikhernay Nahe Deta...!!

Ek Rooz Teri Pyaas Kharedy Gha Woh Gabroo....!!!
Paani Tujey Pan'ghat Say Jo Bharney Nahe Deta...!!

Woh Dil Mein Tabassum Ki Kiran Ghoolney Wala..!!
Rootey Toa Rut'on Ko Bhi Sanwarney Nahe Deta....!!

Mein Usko Mana'oon Keh Gham-e-Daher Say Uljhoon..!!
Mohsin Woh Koi Kaam Bhi Muje Karnay Nahe Deta....!!!

Hijr Ki Shaam Deyaan Mein Rakhna


Hijr Ki Shaam Deyaan Mein Rakhna..!!
Ek Diaa Bhi Makaan Mein Rakhna...!!

Aa'yenay Baichney Aye........Ho...!!
Chund Pathar Dhukaan Mein Rakhna..!!

Aye Zameen Hashar Mein Bhi Maa'n Ki Tarah..!!
Mujko Apni Amaan Mein Rakhna...!!

Teer Paltey Toa Dil Na Zakhmi Hoo..!!
Yea Hunnar Bhi Kamaan Mein Rakhna..!!

Eik Duniya Yaqeen Say Roshan Hoo..!!
Eik Aa'lam Ghumaan Mein Rakhna...!!

Khud Peh Jab Bhi Ghazal Suno Mujse..!!
Aa'yena Darmiyaan Mein Rakhna...!!

Dil Say Niklay Na Yaad Qaatil Ki..!!
Yea Shikaari Ma'chaan Mein Rakhna..!!

Jab Zameen Ki Fiza Na Raas Aye..!!
Aa'smaan Ko Uraan Mein Rakhna...!!

Mar'seya Jab Likhoo Baharoon Ka....!!
Zakhm Koi Zubaan Mein Rakhna...!!

Khud Bhi Wahe'moon Ki Jaal Mein Rehna...!!
Usko Bhi Imti'haan Mein Rakhna...!!

Itni Ruswa'iyaan Bhi Kia Mohsin ...??
Kuch Bharam Toa Jahan Mein Rakhna...!!!

Azad-e-Deed Mein Aankhein Laho Laho Kar Kay


Azad-e-Deed Mein Aankhein Laho Laho Kar Kay..!!
Mein Sharam-saaz Howa Teri Justaju Kar Kay...!!


Kander Ki Teh Say Bareeda Badan Sarron Kay Siwa..!!
Milla Na Kuch BHi Khazanoon Ki Aarzo Kar Kay...!!


Suna Hay Shaher Mein Zakhmi Diloon Kar Mela Hay..!!
Chalein Hum Bhi Magar Pair'hen Rafoo kar Kay...!!


Musafat-e-Shab-e-HIjraan Kay Baad Ba'ed Khula..!!
Hawa Dukhi Hay ... Chiraghon Ko Be-A'abro Kar Kay...!!


Zameen Ki Piyaas Ussi Kay Lahoo Ko Chaat Gaye..!!
Woh Khush Howa Tha Samunder ko Aa'a-Bajo Kar Kay...!!



Yea Kisnay Humsey Lahoo ka Khiraaj Phir Mangha..!!
Abhi Toa Soye Thay Maqtal Ko Sur'khuru Kar Kay...!!


Jaloos-e-Ahl-e-Wafa Kis Kay Dar Peh Puhancha Hay...??
Nishan-e-Tooq-o-Fa-zeenat Giloo Kar Kay...!!


Ujaar Rutt Ko Ghulabi Banaye Rakhti Hay...!!
Hamari Aankh Teri Deed Say Wuzo Kar Kay...!!


Koi Toa Habs-e-Hawa say Yea Pochta Mohsin..!!
Milla Hay Kia Ussey Kali'yun Ko Be-Namo Kar Kay...!!!

Uski Chahat Ka Bharam Kia Rakhna


Uski Chahat Ka Bharam Kia Rakhna..??
Dasht-e-Hijraan Mein Qadam Kia Rakhna..??


Apnay Jaisa Koi Milta Hi Nahe...!!
Aankh Mein Dolat-e-Ghum Kia Rakhna..??


Baat Chup Reh Kar Bhi Hoo Sakti Hay..!!
Paas Qirtaas-o-Qalam Kia Rakhna...??


Aaoo Kashkool Ko Nelaam Karein..!!
Qarz-e-Arbaab-e-Karam Kia Rakhna..??


Fikar-e-Araish-e-Maqtal Mein Rahoo..!!
Mehr-o-Mezaaan-e-Alam Kia Rakhna..??


Uski Yadoon Ko Ghanimat Janoo...!!
Is Ta'luq Ko Toa Kam Kia Rakhna...??


Hans Bhi Lena Kabi Khud Per Mohsin..!!
Har Gari Aankh Ko Numm Kia Rakhna..??

Kander Ankhon Mein Ghum Abaad Karna


Kander Ankhon Mein Ghum Abaad Karna..!
Kabhi Fursat Milay toa Yaad Karna..!!


Aziyat Ki Hawas Bujnay Lagi Hay..!!
Koi Taza Sitamm Ejad Karna..!!


Kaye Sadiyan Pigalnay Ka Amal Hay..!!
Badan Say Rooh Ko Azad Karna...!!


Abhi Kaisi Paristash Bij'lion Ki...!!
Abhi Ghar Kis Leye Barbad Karna..!!


Tumhara Jhoot, Sach say Moth'bher Hay..!!
Meray Haq mein Bhi Kuch Irshad Karna..!!


Ajab Hay Dhop Cha'on Hijar'ton Ki...!!
Kabhi Hans'na Kabhi Faryaad Karna..!!


Jahanum Jhelnay Say Bhi ..Kattin Hay..!!
Anaa Ko Khogar-e-Bedaar Karna...!!


Kabhi Pathar Say Sarr Takra Kay Mohsin..!!
Adaa Qarz Sar-e-Farhaaad Karna..!!

Barka'ein Meri Piyaas Ko Aksar Teri Ankhein


Barka'ein Meri Piyaas Ko Aksar Teri Ankhein..!!
Sehra Mera Chehra Hay, Samander Teri Ankhein..!!


Phir Kaun Bhala Daad-e-Tabassum Inhein Dega..!!
Roo'yein Ghi Buhat Mujse Bichar Kar Teri Ankhein..!!


Khali Jo Howi Shaam-e-Gharibaan Ki Hatheli ..!!
Kia Kia Na Lutaati Rahein Guhar Teri Ankhein..!!


Boojal Nazar Aati Hein Bazahir Muje Laikin..!!
Khulti Hein Buhat Dil Mein Uther Kar Teri Ankhein..!!


Ab Takh Meri Yadoon Say Mitaye Nahe Mitt'ta
Bheegi Howi Ek Shaam Ka Manzer, Teri Ankhein..!!


Mumkin Hoo Toa Ek Taza Ghazal Aur Bhi Keh Loon..!!
Phir Oarh Nah Lein Khuwaab Ki Chader, Teri Ankhein..!!


Mein Sang-e-Sift Eik Hi Rastey Mein Khara Hoon..!!
Shayid Muje Dekhein Ghi Palat Kat Teri Ankhein...!!


Yun Dekhtey Rehna Ussey Acha Nahe Mohsin..!!
Woh Kaanch Ka Pekar Hay Toa Pather Teri Ankhein..!!

Lut-tey Kahan Keh Sahib-e-Jageer Hum Na Thay


Lut-tey Kahan Keh Sahib-e-Jageer Hum Na Thay..!!
Noor Jahan Na Thi Woh, Jahanghir Hum Na Thay..!!


Apni Dua Say Maa'nid Na Parta Kisi Ka Hussan..!!
Itnay Barey Toa Sahib-e-Taa'seer Hum Na Thay..!!


Milta Raha Woh Khuwab Mein Kitnay Khuloos Say..!!
Aankhein Khulein Toa Khuwab Ki Tabeer Hum Na Thay..!!


Hum Ko Na Dhe Piyaam-e-Rehayee Hawa-e-Subah..!!
Wajeh-e-Khuroosh -e-Khana Zanjeer hum Na Thay..!!


Har Door-e-Be-sadda Mein Har Ek Zulm Kay Khilaaf..!!
Hum Ko Hi Boolna Tha Kay Tasweer Hum Hi Thay..!!


Sub Ahl-e-Shaher Phir Dar-e-Dhushman Peh Jhuk Gaye..!!
Mohsin Khulaa Keh Shaher Ki Taqdeer Hum Na Thay...!!!

Tujey Udaas Bhi Karna Tha Khud Bhi Rona Tha


Tujey Udaas Bhi Karna Tha Khud Bhi Rona Tha..!!
Yea Haadsa Bhi Meri Jaan Kabhi Hona Tha..!!


Namuu Ka Runj Na Abar Gureez-pa Say Malaal..!!
Keh Mujko Baanj Zamenoon Mein Beej Bona Tha ..!!


Yea Kia K Gird-e-Raah-e-Raf'tagaan Ko Oar Liya..!!
Kafan Ka Daagh Badan Kay Lahoo Say Dhona Tha..!!


Jo Dastaan Ussey Kehna Thi Phir Na Ghuftaa Rahi ..!!
Keh Main Bhi Thakk Sa Gaya Tha,, Ussey Bhi Sona Tha..!!


Mein Takht-e-Abar Par Soya Tha Raat Bhar Mohsin..!!
Khuli Jo Aankh Toa Sehra Mera Bichoona Tha..!!!

Hamaray Baad Chali Rasm-e-Dosti Keh Nahe


Hamaray Baad Chali Rasm-e-Dosti Keh Nahe..??
Hawa Ki Zadd mein Koi Shamaa Phir Jali Keh Nahe..!!


Bichar kay Jab Bhi Milay Mujse , Pochta Hay Woh Shaks..!
Keh In Dinoo Koi Taza Ghazal Howe Keh Nahe..??


Suna Hay Aam Thi Kal Shab Ko Chaand Ki Bakhshish...!!
Bujey Gharoon Mein Bhi Uthri Hay Chandni keh Nahe..??


Nikal Kay Jissey Howa Apna Dard Awara...!!
Kisi Kay Dil Mein Woh Mehfil Bhi Phir Saji Keh Nahe..??


Woh Reh-guzar Jo Andheroon Mein Saans Leti Thi..!!
Tumharay Naqsh-e-Qadam Say Chamak Utti Kay Nahe..??


Diyaar-e-Hijar Say Aye Hoo Kuch Kaho Mohsin..!!
Keh Shaam-e-Ghum Bhi Kisi Morr Par Mili Keh Nahe...???

Kahan Yea Bass Mein Keh Hum Khud Ko Hosla Detay


Kahan Yea Bass Mein Keh Hum Khud Ko Hosla Detay ..!!
Yahi Buhat Tha Keh Har Ghum Peh Muskura Detay..!!


Hawa ki Doorr Ulajti Jo Ungliyun Say Kabi..!!
Hum Aasmaan Peh Tera Naam Tak Saja Detay..!!


Hamarey Aks Mein Hoti Jo Zakhm Dil Ki Jalak...!!
Hum Aai'ney Ko Bhi Apni Tarah Rulaa Detay..!!


Humein Bhi Roshin'ion Par Jo Dastaras Hoti ..!!
Kabi Chiragh Jalatey Kabhi Bhujaa Detay..!!


Hamaray Paoon Hawa'on Ki Zadh Mein Thay Warna..!!
Guzarti Umer Ko Rukk Rukk kar Sadaa Detay...!!


Ab Uski Yaad Say Uska Badan Tarashtey Hein..!!
Woh Khuwaab Bhi Toa Nahe Tha Keh Hum Bhula Detay..!!


Ussi Kay Wastay Mohsin Kahe Hay Taza Ghazal..!!
Hum Uski Saalgira Par Ab Aur Kiaa Detay...?????

Rootha Toa Shehr-e-Khuwab Ko Ghaarat Bhi kar Gaya


Rootha Toa Shehr-e-Khuwab Ko Ghaarat Bhi kar Gaya..!!
Phir Muskara kar Taza Shararat bhi kar Gaya...!!


Shayid Ussey Azeez Thein Ankhein meri Buhat..!!
Woh Meray Naam Apni Basaa'rat Bhi Kar Gaya..!!


Moun-zoor Aandi'on Ki Hateli Peh Ek Chiragh..!!
Payda Meray Lahoo Mein Hara'rat Bhi Kar Gaya..!!


Boseeda Baad'baan Ka Tukra... Hawa Kay Saath..!!
Tufaan Mein Kashti'yun Ki Sifaarat Bhi kar Gaya..!!


Dil Ka Nagar Ujaarney Wala Hunar Shanaas...!!
Tameer Hosloon Ki Imaarat Bhi Kar Gaya..!!


Sub Ahl-e-Shaher Jispar Uta'tey Thay Ungliyaan..!!
Woh Shaher Bhar Ko Wajah-e-Ziyarat Bhi Dhe Gaya...!!


Mohsin Yea Dil Keh Ussay Bichartha Na Tha Kabhi..!!
Aaaj Usko Bholney Ki Jisaarat Bhi Kar Gaya..!!

Ana Peh Ch'oat Parey Bhi Toa Kaun Dekhta Hay


Ana Peh Ch'oat Parey Bhi Toa Kaun Dekhta Hay..??
Duwaan Sa Dil Say Uthey Bhi Toa Kaun Dekhta Hay..??


Meray Leye Kabi Matti Pay Sardion Ki Hawa..!!
Tumhara Naam Likhay Bhi Toa Kaun Dekhta Hay..??


Ujaar Ghar Kay Kisi Be-sad'aa Darechay Mein..!!
Koi Chiragh Jalay Bhi Toa Kaun Dekhta Hay..??


Hajoom-e-Shaher Say hatt kar, Hadood-e-Shaher Kay Baad..!!
Woh Muskara Kar Milay Bhi Toa Kaun Dekhta Hay..??


Jis Aankh Mein Koi Chehra Na Koi Aks-e-Talab...!!
Woh Aankh Jal Kay Bujey Bhi Toa Kaun Dekhta Hay..??


Hajoom-e-Dard Mein Kia Muskurai'yee Kay Yahan ..!!
Khizaan Mein Phool Khilay Bhi Toa Kaun Dekhta Hay..??


Milay Baghair Jo Mujse Bichar Gaya Mohsin..!!
Woh Raastay Mein Rukey Bhi Toa Kaun Dekhta Hay..??

Rah-e-Wafa Mein Azi'yat Shanasa'yan Na Gayen


Rah-e-Wafa Mein Azi'yat Shanasa'yan Na Gayen ..!!
Kisi Bhi Ruth Mein Hamari Udasiyan Na Gayen..!!


Tanni hay Abar Ki Chader Bhi Aasman Pey Magar..!!
Sho'a-e-Maher, Teri Be-Libasi'yan Na Gayen..!!


Teray Qareeb Bhi Reh Kar Tuje Talash karon..!
Muhabatoon Mein Meri Bad-hawasi'yan Na Gayen..!!


Khuda Khaber Kahan Koonjo Kay Kafilay Uthrey..??
Samander Ki Taraf Bhi Toa Piyasi'yan na Gayen..!!


Khizaan Mein Bhi Toa Mehakti Ghazal Pehan Kay Mila..!!
Mizaaj-e-Yaar Teri Khush Libasi'yan Na Gayen..!!


Basant Ruth Mein Bhi Mander Udaas Thay Mohsin..!!
Kay Dewa'toon Say Milnay Ko Dasiyaan Na Gayen..!!

Woh Bhi Kia Din Thay Keh Pal Mein Kar Diya Kartey Thay Hum



Woh Bhi Kia Din Thay Keh Pal Mein Kar Diya Kartey Thay Hum..!
Umar Barr Ki Chahatein ... Har Eik Har'jaee Kay Naam...!!


Woh Bhi Kia Mausum Thay Jinki Nikeh'eton Kay Zai'qay..!!
Likh Diya Kartey Thay Khaal-e-Khad Ki Ra'nayee Kay Naam..!!


Woh Bhi Suh'batein Thein Jinki Mukarahat Kay Fas'oon...!!
Waqf Tha Ahl-e-Wafa Ki Bazm-e-Aa'raii Kay Naam...!!


Woh Bhi Kia Shamein Thein Jinki Shuhratein Mansoob Thein..!!
Be-Sabab Khuley Howey Baloon Ki Ruswayee kay Naam...!!



Ab Kay Woh Rutt Hay Keh Har Taza Qayamat ka Azaab...!!
Apnay Jagtey Zakhmoon Ki Gehrayee Kay Naam...!!

Ab Kay Apnay Aansoo'on Kay Sub Shikasta Aainay...!!
Kuch Zamaney Kay Leye.... Kuch Tanhaye Kay Naam....!!

Dil-o-nigaah pe kis taur ke azaab utrey


Dil-o-nigaah pe kis taur ke azaab utrey....
Woh mahtaab hi utra, na uske khaab utrey.....!


Kahan woh rut ke jabeenon pe aftaab utrey....
Zamana beet gaya unki aab-o-taab utrey.....!


Main usse khul ke miloon, soch ka hijaab utrey.....
Woh chahta hai meri rooh ka naqaab utrey......!


Udaas shab mein, kari dopeher ke lamhon mein.....
Koi charaagh, koi surat-e-gulaab utrey......!


Kabhi kabhi tere lehjey ki shabnami thandak.....
Sama'aton ke darichon pe khaab khaab utrey.....!


Faseel-e-shehar-e-tamanna ki sard bailon per.....
Tera Jamaal kabhi surat-e-sahaab utrey.......!


Teri hansi mein naye mausamon ki khushbu thi......
Naveed ho ke badan se puraane khaab utrey.....!


Supurdagi ka mujassim sawaal ban ke khiloon........
Misaal-e-qatra-e-shabnam tera jawaab utrey......!


Teri tarah, meri aankhein bhi muatabar na raheen
Safar se qabl hi raston mein woh saraab utrey...!!!!!

Hont heeron se na chehra hai sitaarey ki misaal


Hont heeron se na chehra hai sitaarey ki misaal..!!
Phir bhi laawey to koi dost hamaare ki misaal...!!

Mujhse kia doobne waalon ka pata poochte ho.....
Main samandar ka hawala na kinaarey ki misaal...!!

Zindagi orh ke baithi thi rida-e-shab-e-ghum......
Tera ghum taank diya humne sitaarey ki misaal..!!!

Aashiqi ko bhi hawas pesha tijaarat jaanein.....
Wasl hai nafa to hijraan hai khasaarey ki misaal......!!!!!

Hum kabhi toot ke roye na kabhi khul ke hansey.........
Raat shabnam ki tarah subho sitaarey ki misaal...!!!!!

Na-sipaasi ki bhi hadd hai jo yeh kehte ho ‘Faraz’......!!!!
Zindagi hum ne guzaari hai guzaare ki misaal .....!!......

Yeh hum jo tujhse tuje bar bar maangte hain


Yeh hum jo tujhse tuje bar bar maangte hain
Saleeqa-e-talab-o-ikhteyaar maangte hain


Humara shouq to dekho keh pair ki maanind
Hum ek phool badast-e-hazaar maangte hain


Kisi se keh nahin dena keh ishq ho gaya hai
Keh lafz maeeni nahin aitbaar maangte hain


Chiraagh hota hai sahab-e-chiraagh se roshan
So hum bhi aap se maange ka pyaar maangte hain


Agar woh tu hai to is main humara dosh nahin
Keh hum to rehmat-e-parwardigar maangte hain

Chahat ka rung tha na wafa ki lakeer thi


Chahat ka rung tha na wafa ki lakeer thi...!!
Qatil ke haath main to hena ki lakeer thi...!!!

Khush hoon ke waqt-e-qatal mera rang surkh tha...!!
Mere labon pe harf-e-dua ki lakeer thi....!!

Main kaarwa’n ki rah samajhta raha jise..!!
Sohra ki rait per woh hawa ki lakeer thi....!!

Sooraj ko jisne shab ke andheron main gum kiya...!!
Mouj-e-shafaq na thi woh qaza ki lakeer thi...!!

Guzra hai shab ko dasht se shayed woh perda daar..!!
Her naqsh-e-pa ke saath rida ki lakeer thi...!!

Kal uska khat mila ke saheefa wafa ka tha.!!
Mohsin her ek sitr haya ki lakeer thi...!!

Kaash Hum Khul K zindagi Karte


Kaash Hum Khul K zindagi Karte....!!
Umer Guzri Hai Khud'kushi Karte...!!

Bijli'yaan Is Taraf Nahi Aain...!!
Werna Hum Gher Main Roshni Karte...!!

Kaun Dushman Teri Ka Tha ....!
Or Hum Kis Say Dosti Karte....!!

Bujh Gay Kitnay Chand Say Chehray....!!
Dil K Sehra Main Chandni Kartay.....!!

Ishq Ujrat Talab Na Tha Werna....!!!!!
Hum Teray Der Pay Nokri Kartay...!!!

Is Tamana Main Ho Gay Ruswa...!!
Hum Bhe Jee Bher K Aashqi Karte...!!

Husn Us Ka Na Khul Saka Mohsin..!!
Thak Gay Loog Shairi Karte..!!

Saray jahan ko Adeem... Waqif-e-haal kardiya


Saray jahan ko Adeem... Waqif-e-haal kardiya...!!
Tohfa zara sa tha, magar us ne uchaal kar dia...!!


Uski nazar ko daad do jis ne ye haal kardiya...!!
Mera kamal kuch nahi us ne kamal kardiya.....


Ik nigah ka asar zarf ba zarf mukhtalif........!!!
Isko nidhaal kardiya, Usko nihaal kardiya.....!!!!


Ye toa hua hatheliyaan gunbad-e-surkh ban gaiin......
Haathon ki oat ne magar rakha sambhal kar diaaa...!!!


Koi toa iski qadar kare, koi toa us ko ajar dhe.....!!
Us ne Adeem tujhko dil, kitno ko taal kar diya.....!!!!!!!!


Bhaat sukhan ki chal pari, us ne Adeem maanli.....!!
Main ne firaaq kaat kar usko Wisaal kardiya..

Paida Raah-e-Khulus Mein Dushwaari'yan Na Ker


Paida Raah-e-Khulus Mein Dushwaari'yan Na Ker...!!
Chahat Nahe Toa Hum Say Adaa'kariyan Na Ker....!!


Lafzon Say Khelnay Ki Zaroorat Nahe Tujhey...!!
Saada Dillon K Saath Fankaari'yan Na Ker....!!


Jinse Nahe Lagoo Unhein Moonh Bhi Matt Laga...!!
Ba-waja Her Dukaan Say Kharidaari'yan Na Ker...!!


Tu Shaak-e-Gul Hay Koi Amar Bail Toa Nahe.......
Wabista Harr Shajer Say Wafadaari'yan Na Ker....!!

Harr Be-Zubaan Ko Shola'Navaa Keh Lia Karoo


Harr Be-Zubaan Ko Shola'Navaa Keh Lia Karoo..!!
Yaroo Sakoot Hi Ko Sadaa Keh Lia Karoo...!!

Khud Ko Fareb dho K Na Ho Talakh Zindagi...!!
Har Sangdil Ko Jaan-e-Wafa Keh Lia Karoo..!!

Gar Chahtey Hoo Khush Rahen Kuch Bandagaan-e-Khaas..!!
Jitnay Sanam Mein Unko Khuda Keh Lia Karoo.!!!

Insaan Ka Agar Qadh-O-Qaamat Na Bharr Sakey..!!
Tum Isko Nuqs-e-Aab-O-Hawa Keh Lia Karoo..!!!

Apney Leye Ab Ek Hi Raah-e-Nijaat Hay...!!
Har Zulm Ko Razaa-E-Khuda Keh Lia Karoo...!!

Leh De K Ab Yahi Hay Nishaan-e-Ziyaa "Qateel".....
Jab Dil Jaleyy Toa Usko Diyaa Keh Lia Karoo..!!

Khud Ko Tere Miyaar Se Ghatt Kar Nahe Dekha


Khud Ko Tere Miyaar Se Ghatt Kar Nahe Dekha..!!
Jo Choor Gaya Usko Palatt Kar Nahe Dekha...!!

Meri Tarah Tuney Shab-e-Hijraa'n Nahe Kaati..!!
Meri Tarah Is Tegh Pe Katt Kar Nahe Dekha....!!

Tu Dashna-e-Nafrat Hi Ko Lehrata Raha Hai.....!!
Tuney Kabhi Dushman Se Lipatt Kar Nahe Dekha....!!

They Koocha-e-Jaana Se Parey Bhi Kayee Manzar...!!
Dil Ne Kabhi Iss Raah Se Hatt Kar Nahe Dekha..!!

Ab Yaad Nahe Mujko Faraz Apna Bhi Paikar....!
Jis Rooz Say Bikhra Hoon Simatt Kar Nahe Dekha...!!

Tazzaad-e-jazbaat me yeh naazuk muqaam aaya to kiya karogay


Tazzaad-e-jazbaat me yeh naazuk muqaam aaya to kiya karogay....
Main hans raha hoon, tum Roa rahi ho, main muskuraya to kiya karogay?


Kuch apnay dil par bhi chott khao meray lahoo ki bahaar kab tak...
Mujhay sahara bananay waalon, main larkharaaya to kiya karogay?


Abhi talqeen ho rahi hai, meray mizaaj-e-junoon pe lekin...
Tumhari zulfon ki barhami ka sawaal aaya to kiya karogay?


Abhi to daaman chura rahay ho, bigur kar mujh se yun ja rahay ho...
Magar kuch apnay liye bhi socha, Main yaad aaya to kiya karogay?

Mana Wadi-e-IshQ May PaoN RakhnA PertA Hay


Mana Wadi-e-IshQ May PaoN RakhnA PertA Hay
Lakin Gher Ko JanAy Wala Rasta RakhnA Perta Hay


Tanhaee Woh Zaher Bujhi TalwAar Hay Jis Ki Dahshet Say
BaaZ OoQaaT Tou Dushmen Ko Bhi Zinda RakhnA PertA Hay


JabEr Ki Jitni Oonchi ChahOo Tum Dewaar UthA LenA
Lakin Is Dewaar May Ik Derwaza RakhnA Perta Hay


HijEr Ka DeryA Aan Parra Hay Beech, Tou Koi BaaT Nahi
IshQ May Sathi Thora Sa Tou Hoslaa RakhnA Perta Hay


Be'khabri Ki Shamain Houn Tou Phir Unjaan Musafir Ko
Sahra May Bhi SimatOon Ka Andaza RakhnA Perta Hay

Ab aye meray Ehsaas-e-junoon kia mujhey daina


Ab aye meray Ehsaas-e-junoon kia mujhey daina?
Darya usay bakhsha hai toh sehra mujhey daina...!!

Tum apna makaan jab karo taqseem toh yaaro...!
Girti hui deewar ka saaya mujhey daina...!!

Jab waqt ki murjhaai hui shaakh sambhaalo ......
Us shaakh say toota hua lamha mujhey daina ..!!!!!!!

Tum mera badan orrh Kay Phirtay Raho LEKIN.....!!!!
Mumkin ho toh ek din mera chehra mujhey daina .........!!!

Choo jayee hawa jis say toh khushboo teri ayee ...!!
Jaatey huay ek zakhm toh aisa mujhey daina ........

Ek dard ka mela hai aga hai dil-o-jaan mein ......
Ek rooh ki awaaz keh rasta mujhey daina ......!!!

Ek taaza ghazal azn-e-sukhan maang rahi hai .....!!!
Tum apna mehekta hua lehja mujhey daina .....!!!!!!!!!!!

Wo mujh say kahin barh Kay Musibat Mein Tha Mohsin......!!!!
Reh reh kay magar uska dilaasa mujhey daina ...!!!

Apni yaadein apni baatein lekar jana bhool gaya


Apni yaadein apni baatein lekar jana bhool gaya
jane wala jaldi mai tha mil k jana bhool gaya

Waqt-e-rukhsat meri Ankhein ponch raha tha hathon se
Usko gham tha itna ziada khud wo rona bhool gaya

Waqt k behtay dharey mai ye kaise gaflat maine ki
Main bhi kehna bhool gaya,wo bhi rukna bhool gaya...

Jag'aa Sakay Na Teray Lab, Lakeer Easi Thi


Jag'aa Sakay Na Teray Lab, Lakeer Easi Thi..!!
Hamaray Bakht Ke Rekha Bhi Meer Easi Thi...!!


Yeh Hath Chomay Gaye Phir Bhi Be-Gulab Rahay...!!
Jo Rutt Bhi Aaye , Khiz'aan Kay Safeer Easi Thi...!!!


Woh Meray Paon Ko Chonay Jhuka Tha Jis Lamhay..........!!
Jo Mangta Usay Deyti , Ameer Easi Thi......!!


Shahadateen Meray Haq Main Tamam Jate Theen.....!!
Mager Khamosh Thay Munsif , Nazeer Easi Thi..........!!


Ka'ther Kay Jaal Bhi Sayyad Ke Raza Kay Bagair...!!
Tamam Umer Na Urte Aseer Easi Thi.......!!


Pher Us Kay Badd Na Dekhay Wasaal Kay Mousam........!!!
Juda'oon Ke Ghari Chashm-e- Geer Easi Thi......!!


Bas Ek Negah Mujhay Dekhta Chala Jata........!!
Us Aadmi Ke Mohabbat Faqeer Easi Thi............!!!


Rida Kay Sath Lutay're Ko Zad-e-Rah Bhi Dia.....
Teri Faraakh Dile Meray Weer Easi Thi.......!!


Na Sarr Ko Phoorr Kay Tu Mar Saka Tu Kia Shikwa......
Wafa Shu'Aaar Kahaan Main Bhi Heer Easi Thi......!!!


Kabhi Na Chahanay Waloon Ka Khoon Baha Manga.......
Negaar-e-Shaher-e-Sukhan Bay Zameer Easi Thi .....!!!

Popular Posts