Monday, December 6, 2010

Dil-o-nigaah pe kis taur ke azaab utrey


Dil-o-nigaah pe kis taur ke azaab utrey....
Woh mahtaab hi utra, na uske khaab utrey.....!


Kahan woh rut ke jabeenon pe aftaab utrey....
Zamana beet gaya unki aab-o-taab utrey.....!


Main usse khul ke miloon, soch ka hijaab utrey.....
Woh chahta hai meri rooh ka naqaab utrey......!


Udaas shab mein, kari dopeher ke lamhon mein.....
Koi charaagh, koi surat-e-gulaab utrey......!


Kabhi kabhi tere lehjey ki shabnami thandak.....
Sama'aton ke darichon pe khaab khaab utrey.....!


Faseel-e-shehar-e-tamanna ki sard bailon per.....
Tera Jamaal kabhi surat-e-sahaab utrey.......!


Teri hansi mein naye mausamon ki khushbu thi......
Naveed ho ke badan se puraane khaab utrey.....!


Supurdagi ka mujassim sawaal ban ke khiloon........
Misaal-e-qatra-e-shabnam tera jawaab utrey......!


Teri tarah, meri aankhein bhi muatabar na raheen
Safar se qabl hi raston mein woh saraab utrey...!!!!!

No comments:

Popular Posts