phir kahoge tum muqaabil ko sazaa ke vaaste
aa_iine ko haath se rakh do Khudaa ke vaaste
kaabaa-e-dil ko na taakotum jafaa ke vaaste
ai buto ye ghar Khudaa kaa hai Khudaa ke vaaste
yaa ilaahii kis taraf se pas hai baab-e-asar
kaun saa nazadiik hai raastaa duaa ke vaaste
kah gaye kyaa dekh kar nabzon ko kyaa jaane tabiib
haath uThaaye hain aziizon ne duaa ke vaaste
tum bhii naam-e-Khudaa ho mashq-e-zulm-o-jor ho
aasmaaN se mashvaraa kar lo jafaa ke vaaste
mujh ko us miTTii se Khaaliq ne banaayaa hai "Qamar"
rah gaiin thii jo azal ke din vafaa ke vaaste
No comments:
Post a Comment