Sunday, November 21, 2010

Safar mohabt ka dushwar kitna hai


Safar mohabt ka dushwar kitna hai
Magr dekhna hai k koi wafadar kitna hai

Yahi soch k usay kabi manga nahi maine
Usay prakhna hay k wo mera talbgar kitna hai

Angaaro se bani zindagi se khele jaa raha hun


Angaaro se bani zindagi se khele jaa raha hun,
Akele shuru kiya safar akele hi jiye jaa raha hun,

Saathi kuch pal k liye mil jaate hain yahan bohat,
Humsafar k bina hi safar ko jhele jaa raha hun,

Wado irado se anjaan main umeedo ki panah mein,
Khud b nahi jaanta kis raah chale jaa raha hun,

Dil k daaman mein basaye huwe hain kuch sapne,
Duniya k banaye daeron mein uljhe jaa raha hun,

Umeed khud ko roz nai deti hai jee lene ko,
Phir b jaane kyun maut ko hi jhele jaa raha hun.

Bayaan her kisi se hijr-o-wisaal krte ho


Bayaan her kisi se hijr-o-wisaal krte ho..
Kyun apne shehr mein jeena muhaal krte ho..

Bichar k bhala mile hein musafir b..?
Kyun apne aap ko yun hi nidhal krte ho..

Suna hai wo b tumhein pochta hai aise hi..
Tum us k baare mein jese sawal krte ho..

Wo aashnai usy yaad hi na ho shayad..
Wo jis k naam pe sab maah-o-saal krte ho..

Boht aziz tha shayad wo iss liye "MOHSIN"..
Bicherne wale ka ab tk malal krte ho...

Goongi Ho Gai Aaj kuch Zuban kehty kehty



Goongi Ho Gai Aaj kuch Zuban kehty kehty,
Hichkicha Gya Main khud ko Musalman kehty kehty,

Ye baat Nahi k Mujh ko us Par yaqeen Nahi,
Bas Dar Gya khud ko saheb-e-Imaan kehty kehty,

Toufeeq Na hoi Mujhy Ek waqt ki Namaz ki,
Aur Chup Huwa Moazan Aazaan kehty kehty,

Kisi kafir Ne jo Poocha k ye kya Hay Maheena,
Sharam se pani pani huwa Main Ramzan kehty kehty,

Mere SHELF Main Gard se Atki kitaab ka Jo Poocha,
Main GarR Gaya Zameen Main Quran kehty kehty,

Ye sun k Chup saadh Li "IQBAL" Us Ne,
Yun laga jaise ruk gaya ho mujhy Haiwaan kehty kehty !!!

Yahan Khamosh Nazron Ka Nazara Kon Banta Hai


Yahan Khamosh Nazron Ka Nazara Kon Banta Hai,
Bohat Gehre Samandar Ka Kinara Kon Banta Hai,

Chalo Hum Daikhte Hain Khud Ko Ab Barbaad Kar K B,
K In Barbadion Mein B Hamara Kon Banta Hai,

Bina Phal K Darakhton Ko Yahan Pe Kaata Jata Hai,
Kisi B Be-sahary Ka, Sahara Kon Banta Hai,

Koi Sheesha Agar Toote To Wapas Jurr Nahi Sakta,
Mohabbat Mein Fana Ho Kr Dubara Kon Banta Hai,

Chalo Phir Aazma Lo Tum Sabhi Apne Parayoun Ko,
Tumhare Dard Mein Dekho, Tumhara Kon Banta Hai...

Apni "KHAM0SH" Zindagi Me Bulana MujK0


~Apni "KHAM0SH" Zindagi Me Bulana MujK0,
~Apne "HASEEN" Khuwab Ki Tasveer Banana MujK0,

~Main J0 P0chun Tumhara "HAAL-e-DIL",
~T0u Apni Her "DHARKAN" Ki Awaz Sunana MujK0,

~Main Jo Kabhi "R0oTH" Ja0un Tum Sy Agar,
~T0u B0hat "PYAR" Sy Manana MujK0,

~J0 Kabhi H0 "DIL" Mein Hasrat Tumhari K0i,
~Be-Jhijak Apni Her "HASRAT" Batana MujK0,

~J0 H0 Ja0 "ZINDAGI" Mein Tanha Kisi Pal,
~Apni Pyar Bhari "AWAZ" Sy Bulana MujK0....

Jab kaanch uthane parh jayen tum haath hamara le jana


Jab kaanch uthane parh jayen tum haath hamara le jana,
Jab khud ko tanha pao tou tum saath hamara le jana,

Jab samjho jeet muqaddar hai aur raste hain dushwar bohat
Na chahte b tum keh dena be-baak sahara le jana,

Jo baazi ab tum jeeto gay jo manzil ab tum pao gay
phir chaho to ye keh dena,

k manzil thi maqsood muje Kab saath
 hamara choota hai ek muskurahat de jana, 
 
Tum jaan hamari le jana
jab kaanch uthane parh jayen
Tum haath humara le jana...

Kis ko ratoon ko jagao gy mere baad


Kis ko ratoon ko jagao gy mere baad,
Kahan ja kr G behlao gy mere baad,

Ab tou daikh kr mujhe chup jaty ho,
Phir kis ko ye naaz dikhao gy mere baad,

Kon lagae ga apni bahon ka takya,
Khud ko kis trha sulao gy mere baad,

Is trha pyar se kon bulae ga tumhen,
Meri chahat ko kaesy bhulao gy mere baad...

Funkaar hai toh haath pay sooraj saja k la


Funkaar hai toh haath pay sooraj saja k la,
Bujhta hua diya na muqaabil hawa k la,

Darya ka inteqaam dabo de na ghar tera,
Sahil say roz roz na kankar utha k la,

Saamaan wafa k baandh magar soch soch kar,
Is ibteda mein yun na sakhat inteha k la,

Thori si aur mauj mein aa, ay hawa-e-gul,
Thori si us k jism ki khushbo chura k la,

Gar sochna hai ehl-e-mashiyaat k hauslay,
Maidan say ghar mein ek mayyat utha k la,

Mohsin ab uska naam hai sab ki zubaan par,
Kis nay kaha tha usko ghazal mein saja k la...

Muj se bad-e-baharan ne ro kr kaha


Muj se bad-e-baharan ne ro kr kaha.!
Teri qismat baharon k qabil nahi.!

Teri dunia hy ashkon mai doobi hui.!
Teri aankhen nazaron k qabil nahi.!

Meri kashti ko toofan ne bosay diye.!
Boli moj-e-talatum muje dekh kr.!

Teri taqdir main hain bhanwar hi bhanwar.!
Teri kashti kinaron k qabil nahi.!

Usne mehfil se muj ko utha kr kaha.!
Mera peecha khuda k liye chor do.!

Meri mehfil me phir na aana kabi.!
Ye muhabat k maron k qabil nai..!!

anjaani Raah Tanha Nager de gaya mujhe


anjaani Raah Tanha Nager de gaya mujhe,
PATHAR ka sheher sheeshy ka ghar de gaya mujhe,

Wo Bhi mujh hi ko sochta Rehta hai Raat Bhar,
Us k Nagar ka CHAAND khaber de gaya mujhe,

Us shakhs ki Muhabbatain kitni shadeed thein,
Khud mit gaya Or Apni Nazar de gaya mujhe,

Wo QAAFiLEY ko chor k tanha hi chal diya
Or jaateY Hue Rakht-e-safar de gaya mujhe

Jaaney wo BEWAFA tha ya Majboor jo Bhi tha,
Wo Jeewan guzaarneY ka hunar de gaya mujhe.

Dard-o-gham k siva ishq mein kya mila "kuch nahi"


Dard-o-gham k siva ishq mein kya mila "kuch nahi",
Jo tha kho betha haasil hua "khuch nahi",

Maine likh k bheja tha kya lagta hon tera?
Usne likh k bhej diya "khuch nai",

Maine kaha ruk ja mar jaonga tere bin,
Wo aise chal pari jaise suna "khuch nahi",

Aaj ek buzarg ki ankhen bhar aayen meri hatheli dekh kr,
Phir usne kaha teri lakeron mein hi likha "kuch nai''

Tere hone pr b khud ko tanha samjhun


Tere hone pr b khud ko tanha samjhun,
Me bewafa hun ya tujh ko bewafa samjhun,

Teri berukhi se waqt tou guzar gaya hai mera,
Ye khuddari hai ya teri anna samjhun,

Tere baad kya haal hua hai mera,
Ye teri inayat hai ya Saza samjhun,

Zakham dete ho or marham b lagate ho,
Masoom ye teri aadat hai ya adda samjhun..

Gale Laga Ke Jo Sunate The Dilki Aahon Ko


Gale Laga Ke Jo Sunate The Dilki Aahon Ko,
Taras Raha Hoon Un Hi Ki Haseen Baahon Ko,

QadaM QadaM Pe Wo Aankhein Bichha Bichha Dena,
Zaroor Yaad To Hoga TuMhari Raahon Ko,

Duhayi Hai Teri Aye Rahzaan Duhayi Hai,
Ke Aaj Loot Liya Rehbar Ne Raahon Ko,

Mile Na Phir Tere DaMan Mein Daag Unke,
Sharab-E-Naab Se Dhoya Hai Jinki Aahon Ko...

Zindagi Ko Na Bana Lein Wo Saza Mere Baad


Zindagi Ko Na Bana Lein Wo Saza Mere Baad
Honsla Dena Unhein Mere Khuda Mere Baad

Haath Uthe Hue Unke Na Koi Dekhega
Kis Ke Ane Ki Karenge Wo Dua Mere Baad

Kaun Ghoonghat Ko Uthayega SitaMgar Keh Kar
Aur Phir Kisse Karenge Woh Haya Mere Baad

Phir ZaMane Mein Mohabbat Ki Na Parastish Hogi
Royegi Siskiyaan Le Le Ke Wafa Mere Baad

Wo Jo Kehta Tha Ke Sirf Tere Liye Jeeta Hoon
Us Ka Kya Janiye Kya Haal Hoga Mere Baad!!

Kabhi To Dil Mein Unke Bhi Mera Khayal Aata Hoga



Kabhi To Dil Mein Unke Bhi Mera Khayal Aata Hoga,
Dil Kuch Guzre Hue LaMhon Ko Dohrata To Hoga,

Kabhi To Chhalakte Honge Unki Aankh Se Bhi Do Aansu,
Wo Judai Ka SaMa Unko Bhi To Rulata Hoga,

Uthte Honge Unke Bhi Dil Mein Na Jane Sawal Kitne,
Koi To Mohabbat Ka Sawal Bhi Unka Dil Gungunata To Hoga,

Meri Tarah Pee Liya Karte Honge Kya Wo Bhi AshQ Apne,
Kya Unki Aankhon Ko Bhi Ye Dard Chhipane Ka KaMaal Ata Hoga...

Usi ak fard k waste mere Dil mei Dard hai kis liy


Usi ak fard k waste mere Dil mei Dard hai kis liye,
meri zindgi ka mutalba whi ak fard hai kis liye,

Jo likha hai mere naseeb mei kahin Tu ne parh to nhi liya,
tere hath hai sard kis liye,, tera rang zard hai kis liye,

Tu Jo shehar mei muqeem hai to musafrat ki fiza hai Q,
tera karwa'n Jo nhi geya to Hawa mei gardd hai kis liye,

wo Jo tark_e rabt ka ehad tha kahin totne to nhi lga,
tere Dil k dard ko dekh k mere Dil mei dard hai kis liye,

koi waasta Jo nhi raha,, teri aankh mei hai nami Q,
mere gham ki aaG ko dekh kr Teri "aah" sard hai kis liye...!

meri tanhai barhate hain chale Jate hain


meri tanhai barhate hain chale Jate hain,
HANS talaab pe aate hain chale Jate hain,

shaadi_e marg ka smaa'n bna rehta hai,
Aap aate hain, rulate hain,, chale Jate hain,

kb tmhein Ishq pe maJbor kiya tha hm ne,
hm to bs Yaad dilate hain chale Jate hain,

Aap ko kon tmashai samJhata hai Yahan,
Aap to aaG lgate hain chale Jate hain,

Iss leye ab main ksi ko nhi Janey deta,
Jo muJe chorr k Jate hain chale Jate hain...!

Pyar To Jis Haal Me Ho Dard Hi Deta Hai


Pyar To Jis Haal Me Ho Dard Hi Deta Hai,
Kabhi Apno Ki JUDAI se,
Kabhi Kisi Ki
BEWAFAI se,
Kabhi Adhoore
KHUWABON se,
Kabhi Jhoote
WAADON se,

Pyar Hamesha
Dard Deta Hai,
Kabhi Rooh Ki
TARAP ban kr,
Kabhi Dilon Ki
KASAK ban kr,
Kabhi Tamasha
BANA Kr,
Kabhi Bharosa
CHURA Kr,
Pyar Hamesha Dard Deta Hai.

ab k hum bichare to shayid kbi khawbon mein milen



ab k hum bichare to shayid kbi khawbon mei milen,
Jis trah sokhey howe phool kitabon mei milen,

gham_e Dunya b gham_e Yar mei shamil kr k,
nasha bharta hai sharabi Jo sharabon mei milen,

Tu Khuda hai na mera Ishq Farishton Jesa,
Doono Insan hain to phir Q hiJabon mei milen,

dondh UJJre howe logon mei wafa k mooti,
Ye khazane tuJe mumkin hai kharabon mei milen,

aaJ hm Daar pe khenchey gaye Jin baaton pr!
kya aJab kal wo zmane ko nisabon mei milen,

ab na Main hon, na wo Tu hai, na wo Maazi hai "FARAZ"
Jese Do sail tmanna k sarbon mei milen....!

samne sab k na bolein gay hamara kya hai


samne sb k na bolein gy hmara kya hai,
chhup k tanhai mei ro lein gy hmara kya hai,

gulshan_e Ishq mei hr phool tmhara hi sahi,
hm koi khaar chubho lein gy hmara kya hai,

Umer bhr kon rhe ga abr_e karam ka muhtaJJ,
Daagh_e Dil ashkon se dho lein gy hmara kya hai,

hath aaya ne agr dasht_e hinai tere,
Ungalien khoon mei dbo lein gy hmara kya hai,

tm ne mehlon k ilawa nhi dekha kuch bhi,
hm to fut path pe soo lein gy hmara kya hai,

apni manzil to sraabon ka safr hai BAQI
hm ksi aur raah pe ho lein gy hmara kya hai...!

tere aane kaa dhokaa saa rahaa hai


tere aane kaa dhokaa saa rahaa hai
diyaa saa raat bhar jaltaa rahaa hai

ajab hai raat se aaNkhoN kaa aalam,
ye dariyaa raat bhar chaRhtaa rahaa hai

sunaa hai raat bhar barsa hai baadal,
magar vo shah’r jo pyaasaa rahaa hai?

vo ko’ii dost thaa achche dinoN kaa,
jo pichhlii raat se yaad aa rahaa hai

kise DhuuNDoge in galiyoN meN “Nasir”?
chalo ab ghar chaleN, din jaa raha hai

Shafaq ki raakh mein jal bujh gaya sitaara-e-shaam


Shafaq ki raakh mein jal bujh gaya sitaara-e-shaam
Shab-e-firaaq ke geysoo fiza mein lehraa'ey

Ko'ee pukaaro ke ik umr honey aa'ee hai
Falak ko qaafla-e-roz-o-shaam tehra'ey

Ye zid hai yaad-e-hareefaan-e-baada pemaa ki
Ke shab ko chaand na nikley na din ko abr aa'ey

Saba ne phir dar-e-zindaa.n pe aa ke di dastak
Sehar qareeb hai dil se kaho na ghabra'ey !!

dil kii dil mein na rah jaaye ye kahaanii kah lo


dil kii dil mein na rah jaaye ye kahaanii kah lo
chaahe do harf likho chaahe zabaanii kah lo

main ne marane kii duaa maaNgii vo puurii na huii
bas is ko mere jiine kii kahaanii kah lo

sar_sar-e-vaqt uraa le gaii ruudaad-e-hayaat
vahii avaraaq jinhen ahad-e-javaanii kah lo

tum se kahane kii na thii baat magar kah baiThaa
ab ise merii tabiyat kii ravaanii kah lo

vahii ik qissaa zamaane ko meraa yaad rahaa
vahii ik baat jise aaj puraanii kah lo

ham pe jo guzarii hai bas us ko raqam karate hain
aap_biitii kaho yaa marsiyaa_Khvaanii kah lo

Hayaat Ke Ujrey Dyaar Mein Kuch Taarekiyaan Abhi Aur Hain


Hayaat Ke Ujrey Dyaar Mein Kuch Taarekiyaan Abhi Aur Hain
Naseeb Ke Bigrey Nisaab Mein Kuch Talkhiyaan Abhi Aur Hain

Main Ne Phir Se Tinkey Jorr Kar Socha Ke Banaaon Aik Ghar
Mujhey Tabhi Falak Se Nawa Milli Ke Wahaan Badliyaan Abhi Aur Hain

Yahi Dekh Ab Ke Teray Khwaab Sab Kyon Dhal Gye Hain Saraab Mein
Dil E Be Khabar Zara Hosh Kar Ke Teray Imtehaan Abhi Aur Hain

Wo Daagh Yaadon Ke Bad Numaan Tu Ne Mitaaye To Hain Par Sab Nahi
Maseeha E Waqt Meray Zehan Par Aisay Kuch Nishaan Abhi Aur Hain

Aey Toofan E Hawa Zara Phir Se Aa In Bastiyon Mein Har Us Jaga
Jahaan Bach Gye Hain Chand Ghareeb Aisey Kuch Makaan Abhi Aur Hain

Main Chaahon Agar Bhi To Kis Trah Supurd E Ajal Ho Jaaon Abhi
Ke Is Soukhta Jaan Ke Hisaab Mein Qarz E Dostaan Abhi Aur Hain

Abhi Khwaahishon Mein Lagey Raho Zara Saans Lainey Ko Ruko Nahii
Mujhey Hai Yaqeen Yahien Aass Pass Naye Aasmaan Abhi Aur Hain

Ay Meri Jan_e Ghazl kyun Teri chahat na kron


Ay Meri Jan_e Ghazl kyun Teri chahat na kron!
saans ruk jaye agr Tujh se Muhabat na kron

Tere honton pe tabasum ka Ye halka se khumaar
Jaese gulshan mein dabe paaon chali aaye bahaar

ab jo kaante bhi chubhein to Main shikayet na kron
saans ruk jaye agr Tujh se Muhabat na kron

aa gai hai Tere dar pe Meri tarsii hui aas!
Mere honton ko mile agar Tere honton ki mithaas

Zindgi bhar Main kbi shikwa_e qismat na kron
saans ruk jaye agr Tujh se Muhabat na kron..

Soz_e gham dy k mujhe us ne Ye irshaad kiya


Soz_e gham dy k mujhe us ne Ye irshaad kiya
Ja Tujhe kash'ma'kash_e dehar se aazad kiya


Wo krein bhi to kin alfaaz se tera shikwa
Jin ko teri nigh_e lutf ne barbaad kiya


Dil ki choton ne kabhi chain se rehne na diya
Jb chali sard Hawa Main ne tujhe Yad kiya


Is ka Rona nahi kyun Tum ne barbaad kiya..
Is ka gham hai k bohat deir mein barbaad kiya


Mujhe to hosh nhi Tum ko khabar ho shayed
Log kehte hain k Tum ne Mujhe barbaad kiya....

Kuch to Ay Yar elaaj_e gham_ tanhaai ho


Kuch to Ay Yar elaaj_e gham_ tanhaai ho
Baat itni bhi na barh jaye k ruswaai ho

jis ne bhi mujh ko tamasha se bna rakha hai
ab zurori hai wohi aankh tanmashaai ho

doobne wale to aankhon se bhi kab nikhle hain
Doobne k liye laazim nhi k gehraai ho

Main Tujhe Jeet bhi nhi tohfey mein dy skta
chahta Ye bhi nhi hon Teri paspaai ho

koi anjaan na ho shehar Muhabat ka Makeen
Kash har Dil ki har ik Dil se shanasaai ho

Yun guzr jate hain MOHSIN tere konche se
Tera wakif na ho Jaese koi SODAAI ho...!

Payaam aaye hain Us Yar_e bewaafa k mujhe


Payaam aaye hain Us Yar_e bewaafa k mujhe
Jise qraar na aaya kahin bhula k mujhe

Nashay se kahon to nhi Yad_e Yar ka aalam
k ly ura hai koi dosh par Hawa k mujhe

Judaaiyan hon to aesi hon k umr bhar na milein
Farib to do zra silsily barha k mujhe

Main khud ko bhool chuka tha magr Jahaan wale
Udaas chor gaye aaina dikha k mujhe

Husan_e shama likhon Ya sharab likhon


Husan_e shama likhon Ya sharab likhon?
humdam likhon sathi likhon Ya khwab likhon?


Tere sarapa_e husan se heraan hon Main
Mehjabeen likhon sehar likhon Ya aaftab likhon?


teri zulf jo chupati hai chehra tera
Raqeeb likhon, Naagin likhon Ya Naqaab likhon?


Nazr utha k jo chal diye Aap
be-ruki likhon bewaafai likhon Ya Hijaab likhon?


khatam ho jata hai zakhiira_e alfaaz
Dil to kehta hai teri taareef be-hisaab likhon

Ye mast mast be-misaal aankhein


Ye mast mast be-misaal aankhein
Nashe se har-dam nidhaal aankhein

uthein to hosh_o hwaas chiinein
girein to kar dein kamaal aankhein

koi hai in k karm ka Talib
ksi ka shoq_e wisal aankhein

na Yun jalaein na Yun sataaein
krein to kuch Ye khayal aankhein

Hain Jeene ka bahaana Yaro!
Ye Rooh-parwar jamal aankhein

daraaz palkein ghazaal aankhein
musawari ka kamaal aankhein

Sharab RAB ne haraam kar di
magr kyun rakhi hain Halaal aankhein

hazaaron in se qatl hue hain
O Muhtarm sanbhaal aankhein..

Aqeedat aur hoti hai murawwat aur hoti hai



Aqeedat aur hoti hai murawwat aur hoti hai
Mohabat jisko kehte hain wo naimat aur hoti hai

Qayamat khaiz manzar gau hazaro'n ham ne dekhe hain
Jo dil pe tut ti hai wo qayamat aur hoti hai

Mahino'n baad milney ki khushi apni jaga lekin
Wo zaalim jab bitcharta hai to haalat aur hoti hai

Lutana maal haatim ka agar chai karnama hai
Qareen e ishq mai lekin sakhawat aur hoti hai

Wo khanjar be rukhi k jiss qadar dil par chalata hai
To maayal iss qadar uss par tabiat aur hoti hai

Tujhey bhanwra KANWAL kehna kisi surat nahi be jaa
Jisey kehte hain parwana wo surat aur hoti hai

Majbor_e anna ho kar paband_e wafa ho kar


MaJbor_e anna ho kr paband_e wafa ho kr
hm beth gaye aahir Razi ba_raza ho kr

Jis rutt mein wo bichara tha us rutt k ta'aqub mein
Dil hai keh bhatakta hai raahon ki hawa ho kr

Iss Jism k zindaan mein ik umr se qaidi hain
urr Jaen gy hm aakhir ik roz rehaa ho kr

ab tk mere aangan mein phoolon ka basera hai
guzre the mere ghar se wo bad_e saba ho kr

iss darJa hawadis se khaif hai meri Hasti
har lafz nikalta hai honton se Dua ho kr...!

Dunya k sitam Yad na apni hi waafa Yad


Dunya k sitam Yaad na apni hi waafa Yaad
ab muJ ko nhi kuch bhi muhabt k siwa Yaad,

chaerra tha Jise pehly pehal teri nazr ne
ab tk hai wo ik naghma be'saz_o sda Yaad,

kya lutf keh main apna pta aap btaaon
kiiJiye koi bhooli hui khas apni adda Yaad,

Jb koi Haseen hota hai sargarm_e nawazish
us waqt wo kuch aur bhi aate hain sawwa Yaad,

kya Janiiye kya hoga arbab_e Junno'n ko
marne ki adda Yad na Jeene ki adda Yaad,

mudat hui ik hadsaa_e ishq ko lekin
ab tk hai tere Dil k dharakne ki sda Yaad..!!

Kissi Ki Aankh Purnam Hai, Muhabbat Ho Gayi Ho Gi


Kissi Ki Aankh Purnam Hai, Muhabbat Ho Gayi Ho Gi,
Zubhaan Pe Qisa-e-Ghum Hai, Muhabbat Ho Gayi Ho Gi,

Kabhi Hansna Kabhi Rona Kabhi Hans Hans K Ro Dena,
Ajab Dil Ka Yeh Aalam Hai, Muhabbat Ho Gayi Ho Gi,

Kabhi Aankhon Hi Ankhon Mein Woh Baaton Ka Bata Dena,
Kabhi Takrar Baham Hai, Muhabbat Ho Gayi Ho Gi,

Kisi Ko Samnay Pa Kar Kisi K Surkh Honton Par,
Anokha Sa Tabassum Hai, Muhabbat Ho Gayi Ho Gi,

Har Ik Salwat pe Bistar Ki Kisi Ka Naam Likha Hai,
Diye Ki Low Bhi Madham Hai, Muhabbat Ho Gayi Ho Gi......!!!

Apane Khvaabon me tujhe jis ne bhii dekhaa hogaa


Apane Khvaabon me tujhe jis ne bhii dekhaa hogaa
Aankh khulate hii tujhe Dhondhne nikalaa hogaa

Zindagii sirf tere naam se mansuub rahe
Jaane kitane hii dimagon ne ye sochaa hogaa

Dost ham us ko hii paiGaam-e-karam samajhenge
Terii furqat kaa jo jalataa huaa lamhaa hogaa

Daaman-e-ziist me ab kuchh bhii nahi hai baaqii
Maut aa jay to yaqiinan use dhokaa hogaa

Roshani jis se utar aai lahuu me mere
Ay masiihaa vo meraa zaKhm-e-tamannaa hogaa

gham-e-aashqi say keh do, rah-e-aam tak na phonchy


gham-e-aashqi say keh do, rah-e-aam tak na phonchy,
mujhy khof hay ye tohmat, mery naam tak na phonchay,

mein nazar se pi raha tha tou ye dil ney bad dua di,
tera haath zindagi bhar kbhi jaam tak na pohnchy,

jo naqab-e-rukh hata di, tou ye qaid bhi laga di,
uthey her nigah laykin, koi baam tak na phonchay,

ye ada-e-bayniazi, tujhy baywafa mubarak,
mager aysi bay rukhi kia, keh salam tak na pohnchy,,,

Tera hiJr mera naseeb hai tera Gham hi meri hayaat hai


Tera hiJr mera naseeb hai tera Gham hi meri hayaat hai
muJhe teri dori ka Gham ho kyun to kahin bhi ho mere saath hai

mere waaste tere naam par koi harf aaye nahin nahin
muJhe Khauf_e duniyaa nahin magar mere ruu-ba-ruu teri zaat hai

tera wasl Ay meri dilarubaa nahin meri kismat to kya hua
meri mahaJabin Yehi kam hai kya teri hasaraton ka to saath hai

tera ishq muJh pe hai maharabaaN mere Dil ko haasil hai do Jahaan
meri Jan_e Jaan isi baat par meri Jaan Jaye to baat hai

YooN khayaloN meiN hi kub-tek tera jalwa dekhooN


YooN khayaloN meiN hi kub-tek tera jalwa dekhooN
Zindagi Aa mein tujhe jii k zara-saa dekhooN

Teri raahoN mein bicha-dooN mein haseen phool, KaNwal
Terey aaNgan meiN gulaboN ko mahkta dekhooN

Teri masti bhari aankhoN ki meiN pii pii k sharaab
Khud ko madhosh bahakta wo saNbhalta dekhooN

Baat mahfil meiN kabhi tashna-labii kii jo chaley

Zikr-E sahraa hii kya daryaa’oN ko piyasaa dekhooN

Ajnabi rishtey hi hans-hans k galey milney lagey
Door hairaaN hai khara khoon ka rishtaa dekhooN

Ghum kisi k bhi hoN seeney say laga-looN apney
Mein ney seekha hii nahiN hai tera-mera dekhooN

Saa-EbaaN bun k jo Sooraj pay bhi chaa-jaata thaa
Kya ghazab hai usey saaye ko tarastaa dekhooN

Meri taariikh bataa kub mujhey dohraa-Egii
Kub meiN apna wahi phir dowr sunehraa dekhooN

Roshnii dil k andheroN meiN ho kaisey Nazim
Qaid Sooraj tow kabhi Dhoop pay pahra dekhooN

Sau chand b chamkenge to kia baat banegi


Sau chand b chamkenge to kia baat banegi
Tum aye to is raat ki Aoqat banegi


Un se yehi keh aye k hum ab na milenge
Aakhir koi Taqreeb-e-Mulaqat banegi


Yeh hum se na hoga k kisi eik ko chahein
Aey ishq!! humari na tere Sath banegi


Hairat Kada-e-Husn kahan hai abhi duniya
Kuch aur nikhar le to Tilismat banegi


Yeh kia k barhte chalo barhte chalo aagay
Jab baith k sochenge to kuch Baat banegi....

Ik lafz-e-mohabbat ka adna sa fasana hai



Ik lafz-e-mohabbat ka adna sa fasana hai
Simtay to Dil-e-Aashiq phelay to zamana hai

Yeh kis ka tasawwar hai yeh kis ka fasana hai
Jo ashk hai aankhon mei Tasbeeh ka danaa hai

Hum ishq ke maaron ka itna he fasana hai
Rone ko nahe koi hansne ko zamana hai

Woh aur Wafa-Dushman manenge na mana hai
Sab dil ki shararat hai aankhon ka bahana hai

Kia husn ne samjha hai kia ishq ne jana hai
Hum Khaak-Nasheenon ki thokar mei zamana hai

Woh Husn-o-Jamal un ka yeh Ishq-o-Shabab apna
Jeene ki tamanna hai marnay ka zamana hai

Ya woh thay Khafa hum se ya hum thay Khafa un se
Kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai

Ashkon ki tabassum mei aahon ki tarannum mei
Masoom mohabbat ka masoom fasana hai

Aankhon mei nami si hai Chup-Chup se woh baithe hain
Nazuk si nigahon mei nazuk sa fasana hai

Hai Ishq-e-Junoo'n pesha haan Ishq-e-Junoo'n pesha
Aaj eik sitamagar ko hans hans k rulana hai

Yeh ishq nahe aasaa'n itna to samajh lijye
Ik aag ka dariya hai aur Doob k jana hai.......

soo'ey shajar laraz uthey jaise ke dar ga'ey


soo'ey shajar laraz uthey jaise ke dar ga'ey
kuch chandni ke phool zameeN par bikhar ga'ey

sheeshey ka taaj sir pe rakhey aa rahi thi Raat
takraa'ee hum se chand sitaarey bikhar gey

wo khushk hont rait se naam maangtey rahey
jin ki talaash meiN ka'ee darya guzar ga'ey

chaha tha meiN chand ki palkoo’n ko choom loo’n
hontoo’N pe merey subah ke taa'rey bikhar ga'ey

merey laboo’n pe chand ki QaasheiN laraz ga'eeN
aankhoo’N pe jaisey raat ke gaiy'soo bikhar ga'ey

saahil pe ruk gey they zaar dair ke liye
aankhoo’N se dil mein kitney sumandar utar ga'ey

jiN par likhi hui thi mohabbat ki daastaa’n
wo chaak chaak purzey hawa mein bikhar gey

ranj kii jab guftaguu hone lagii


ranj kii jab guftaguu hone lagii
aap se tum tum se tuu hone lagii

chaahiye paiGaamabar dono taraf
lutf kyaa jab duu-ba-duu hone lagii

merii rusawaaii kii naubat aa gaii
unakii shoharat quu-ba-quu hone lagii

naazir ba.D gaii hai is qadar
aarazuu kii aarazuu hone lagii

ab to mil kar dekhiye kyaa rang ho
phir hamaarii justajuu hone lagii

'DaaG' itaraaye hue phirate hai.n aap
shaayad unakii aabaruu hone lagii

Us bewafa ka sheher hai aur hum hain dosto


Us bewafa ka sheher hai aur hum hain dosto
Ashke rawan ki nehar hai aur hum hain dosto

Ye ajnabee si manzilen aur raftigaan ki yaad
Tanhaiyon ka zeher hai aur hum hain dosto

Layi hai ab uda ke gaye mausamo ki baas
Barkha ke rut ka qehar hai aur hum hain dosto

Phirte hain misle mauje hawa shehar shehar me
Awargi ki lehar hai aur hum hain dosto

Shame alam dhali to chali dard ki hawa
Raton ka pichhla pehar hai aur hum hain dosto

Ankhon me ud rhi hai luti mehfilon ki dhool
Ibrat saraye dehar hai aur hum hain dosto

gaye baras ki eid ka din kiya acha tha


gaye baras ki eid ka din kiya acha tha
chand ko dekh ke uska chehra dekha tha

faza mein cactus ke lehje ki nermahat thi
mausam apne rang mein faiz ka mesrah tha

Dua ke be-awaz, ulohi lamhoon mein
woh lamha bhi kitna dilkash lamha tha

haath utha ker jab Aankhoon hi
aankhoon mein...
uss ne mujh ko apne Rab se manga tha

Phir mere chehre ko haatoon mein le ker
kitne piyaar se mera matha chooma tha!

Hawa! kuch aj ki shab ka ahwaal suna
kiya woh apni chat per aj akeela tha?

ya koi mere jessi saath thi, aur uss ne
chand ko dekh ke uss ka chehra dekha tha?

Hujoom mein tha voh khul kar na ro saka hoga


Hujoom mein tha voh khul kar na ro saka hoga
magar yaqeen hai k shab bhar na so saka hoga

voh shakhs jis ko samajhney mein mujhko umar lagi
bichar k muj se kisi ka na ho saka hoga

laraztey haath, shikasta si dor saanson ki
voh khushak phool kahan tak piro saka hoga ?

boht ujaarr they pataal uski ankhon k
voh ansuon se na daman bhigo saka hoga

merey liye voh qabeeley ko chor kar ata
muje yaqeen hai yeh uss sey na ho saka hoga ... !!!

Ye Na Soch K Faqt Naam Liya Karta Hai


Ye Na Soch K Faqt Naam Liya Karta Hai,
Ek Deewana Teri Chahat Main Jiya Karta Hai,

Wo Janta Hai K Tu Us K Muqadar Mein Nahi,
Phir B Her Roz Tujhe Yaad Kiya Karta Hai,

Kuch Nahi Mangta Rab Se Kabhi Kuch Apne Liye,
Teri Khushion Ki Dua Maang Liya Karta Hai,

Raat Ko Yaad Mein Teri Jo Tarapta Hai Dil,
Chaand Se Ja Kar Teri Batein Kiya Karta Hai,

Kuch Nahi Chahta Tum Se Apni Chahat Ka Sila,
Ye Deewana To Faqt PYAR Kiya Karta Hai...

Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai


Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai,
Usay Meri Mujhe Uski Zarorat Ab B Baki Hai,

Koi Mushkil Agar Darpaish Aaye Laut Ana Tum,
Tumhare Waste Dil Mein Aqeedat Ab B Baki Hai,

Bala Ki Sard Mohri Hai Meri Har Baat Mein Lekin,
Mere Seenay Mein Chaht Ki Hararat Ab B Baki Hai...

Hum aa k tere sheher se wapas na jayen gay


Hum aa k tere sheher se wapas na jayen gay~~
Ye faisala kiya hai tujhe dekhne k baad~~

Kehte hain tujhe log masiha magar yahan~~
Ek shakhs mar gaya hai tujhe dekhne k baad~~

Sajdah karon k naqsh-e-qadam chumta rahun~~
Ghar Kaaba ban gaya hai tujhe dekhne k baad~~

Sajdah karon ga tujhko to kafir kahen gay log~~
Ye kon sochta hai tujhe dekhne k baad~~

Rehta hai khoya khoya sa har waqt ab"~~
Ye haal ho gaya hai tujhe dekhne k baad~~

Siyaah hijr gaya zard intezaar gaye


Siyaah hijr gaya , zard intezaar gaye
kisi ka dard gaya dard k hisaar gaye

udaas raat, khizaan humsafar,safar gumnaam
teray khayaal k mausam humain tou maar gaye

naa jaan bharakti hay apni naa raakh hotey hain
humain yeh kaisi museebat main tum utaar gaye

ajeeb dushman-e-jaan tha k bin larhey jeeta
ajeeb jung thi hum jis main haar haar gaye

bohat hee thori see muhallat mili muhabbat ki
hum apna aap magar jaatey jaatey waar gaye

kisi k bhaijey hoye aa gaye thay dunia main
kisi say maangi hui zindagi guzaar gaye

na chaand atqa kisi jaa na badliyaan atkeen
hum uski raat k aangan main baar baar gaye!!

Aaiinaa-e-khuloos-o-wafaa chuur ho gaye



Aaiinaa-e-khuloos-o-wafaa chuur ho gaye
jitne chiraaGh-e-noor the, benoor ho gaye



maaloom ye huvaa ke wo raste ka saath thaa
manzil kareeb aayii to ham duur ho gaye



manzoor kab thii hamko watan se ye duuriyaaN
haalaat ki jafaaoN se majbuur ho gaye



kuch aa gayii ham ahl-e-wafaa meiN bhi tamkanat
kuch wo bhii apne husn pe maGhruur ho gaye



chaaraGaroN ki aisii inaayat huvii Hafeez
ke jo zakhm bhar chale the wo naasuur ho gaye

Tabhi Toh Main Muhabbat Ka Hawalati Nahi Hota


Tabhi Toh Main Muhabbat Ka Hawalati Nahi Hota,
Yahan Apnay Siwa Koi Mulakati Nahi Hota,

Aur Ab Is Bat Par Bhi Mujhse Mere Yaar uljhtay Hain,
K Main Har Baat Sun Leta Hoon Jazbati Nahi Hota,

Girftar-e-Wafa, Ronay Ka Koi Aik Mousam Rakh,
Jo Nala Roz Beh nikalay Woh Barsati Nahi Hota,

Tujhay Dil Mein Jaga Di Hai Nazar Se Door Kya Kartay,
Jo marhaz Mein Theher Jaye Woh Mazafati Nahi Hota,

Bicharnay Ka Irada Ho Toh Mujhse Mashwara Karna,
Muhabbat Mein Koi Bhi Faisla Zaati Nahi Hota......!!!

Dhoop ho chaho`n ho tum saath nibhaya kerna


Dhoop ho chaho`n ho tum saath nibhaya kerna,
merey chehray pe sada palkon ka saaya kerna,

raah dekhunga tumhari main tamam umar,
kabhi jaldi kabhi dair say aya kerna,

daant lena sar e mehfil koi baat nahi,
phir akelay main gale lag k manaya kerna,

jaan jaoonga main khushbu say tumhari tum ko,
tum peechay say meri aankhon ko chupaya kerna,

jaagna chahun to raat bher kerna batein,
neend ajaye to seenay pe sulaya kerna ...

Badan k dono kinaron say jal raha hoon main


Badan k dono kinaron say jal raha hoon main
k choo raha hoon tujhy aur pighal raha hoon main

tujh hi p khattam hai jana! mery zawwal ki raat
k tu ab tulu b hoja k dhal raha hoon main

gubaar e rehguzar ka yeh hosla bhi to dekh
aae hawaye taaza! k tery sath chal raha hoon main

main khwab dekhta hoon k woh pukarta hai mujhy
aur apny jism say bahir nikal raha hoon main..

ye kyaa sitam hai ke ehsaas-e-dard bhii kam hai


ye kyaa sitam hai ke ehsaas-e-dard bhii kam hai
shab-e-firaaq sitaaroN meN roshnii kam hai

ye kaisii mauj-e-karam thii nigaah-e-saaqii meN
ke us ke baad se tuufaan-e-tishnagii kam hai

qariib-o-duur se aatii hai aap kii aavaaz
kabhii bahut hai Gham-e-justujuu, kabhii kam hai

shauur-e-ishq ab aayaa hai apnii manzil par
huzuur-e-husn tamannaa-e-beKhudii kam hai

tamaam umr teraa intizaar kar leNge
magar ye ranj rahegaa ke zindagii kam hai

uruuj-e-maah ko insaaN samajh gayaa lekin
hunuuz azmat-e-insaaN se aagahii kam hai

na the bahaar-e-chaman ham magar ye sunte haiN
hamaare baad guloN meN shaguftagii kam hai

na saath deNgii ye dam toRtii hu’ii sham’meN
naye chiraaGh jalaao ke roshnii kam hai

Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine


Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,

jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi,
apne maathe ki woh tehreer mita li meine,

har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
teri chaahat mein to umr bita li meine,

mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
waqt ke haathon se ek nazm utha li meine,

ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
teri yaadon se har ek saans saja li meine,

jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
bas wohi ek ghazal sabse chupa li meine...

naaz-e-be-gaangii mein kyaa kuch thaa


naaz-e-be-gaangii meN kyaa kuch thaa
husn kii saadgii meN kyaa kuch thaa

laakh raaheN thiiN, laakh jalve the
ahd-e-aavaargii meN kyaa kuch thaa

aaNkh khulte hii chhup gayii har shai
aalam-e-beKhudii meN kyaa kuch thaa

yaad haiN marhale muhabbat ke
haaye ! us be-kalii meN kyaa kuch thaa

kitne biite dinoN kii yaad aayii
aaj terii kamii meN kyaa kuch thaa

kitne maanuus log yaad aaye
subh kii chaaNdnii meN kyaa kuch thaa

raat bhar ham na so sake “Nasir”
parda-e-Khaamshii meN kyaa kuch thaa

Teri Ankhun K Haseen Jaal Me Aa Jaon Ga Mai


Teri Ankhun K Haseen Jaal Me Aa Jaon Ga Mai,
Mujh Ko Lagta Hai Teri Chaal Me Aa Jao Ga Mai.

Zindagi Baad Tere Hona Thi Mushkil Lekin,
Ye Na Socha Tha K Is Haal Me Aa Jao Ga Mai.
 
"Dekh Kr Us Ko Mujhe Yaad Kre Gi Dunya,
Eik Din Us K Khadokhaal Me Aa Jao Ga Mai."

Kitne Mosam The Jo De Kr Mujhe Taaney Guzrey,
Tum To Kehte They K Ik Saal Me Aa Jaon Ga Mai.

Sur Me Aa Jaye Ga Jewan Tere Jane Se,
Tere Aane Se Kisi Taal Me Aa Jao Ga Mai.

Hum Tere Shahar May Aye Hain Musafir Ki Tarah


Hum Tere Shahar May Aye Hain Musafir Ki Tarah
Sirf Ek Bar Mulaqat Ka Mauqa De De

Meri Manzil Hai Kahan Mera Thikana Hai Kahan
Subah Tak Tujh Se Bicharakar Mujhe Jana Hai Kahan
Sochane Ke Liye Ek Rat Ka Mauqa De De

Apani Ankhon May Chupa Rakhen Hain Juganu Main Ne
Apani Palakon Pe Saja Rakhe Hain Ansu Main Ne
Meri Ankhon Ko Bhi Barasat Ka Mauqa De De

Aj Ki Rat Mera Dard E Muhabbat Sun Le
Kanp Kanpate Huye Honthon Ki Shikayat Sun Le
Aj Izhar E Khayalat Ka Mauqa De De

Bhulana Tha To Ye Iqarar Kiya Hi Kyun Tha
Bewafa Tune Mujhe Pyar Kiya Hi Kyun Tha
Sirf Do Char Sawalat Ka Mauqa De De

Wo Kya Jane Main Khuda Se Kya Maangta Hoon


Wo Kya Jane Main Khuda Se Kya Maangta Hoon?
Uski Salam-ti Ki Hamesha Duaa Mangta Hoon,

Agar Anjaane Main Ho Jaaye Koi Us se khata,
To De Mujhe Uski Saza Ye Maangta Hoon,

Agar Lag Jaaye Koi Gham Us ko Ya Ho Jaye Wo Pareshaan,
To Meray Haq Main Wo Saari Takleefein Maangta hoon,

AiY KHUDA Meray Mehboob Ko Gham Se Door Rakhna,
Din Raat Uskay Saaray Gham Maangta Hoon,

Wo Ho Hamesha Kaamyaab Uski Her Khwahish Ho Poori,
Buss Ye Chaahta Hoon Aur Uski Khushi Maangta Hoon,

Main Jaanta Hoon K Wo Meri Nahin Hai Lekin,
Main Hamesha KHUDA Se Uska Saath Maangta Hoon...

KHAMOSH RAAHON mein tera SAATH chahiye



KHAMOSH RAAHON mein tera SAATH chahiye!
TANHA hai mera HAATH, tera HAATH chahiye!

Mujh ko mere MUQADAR per itna YAQEEN to hai,
Tujh ko bhi mere LAFZ, meri har BAAT chahiye!

Main KHUD apni SHAYERI ko kya ACHA kehta!?
Mujh ko teri TAREEF teri DAAD chahiye!

EHSAAS-E-MUHABBAT tumhare WAASTE hai!
Lekin JUNOON-E-ISHQ ko teri her SOGHAAT chahiye!

Logon ko SAANSON ki chahe ho zarurat,
Mujhe JEENE k liye teri ek MULAQAT chahiye...

Rehta hoon agar meh-khane mein


Rehta hoon agar meh-khane mein to mujh ko sharabi na kaho
ghalib
har wo shaks jo masjid se nikle namazi nahi hota....

Abhi to "BAAZ" ki asal uraan baqi hai


Abhi to "BAAZ" ki asal uraan baqi hai
Abhi to app ka "IMTEHAN" baqi hai

Abhi to app ne "ZAMEEN" dekhi hai
Abhi to puraa"AASMAN" baqi hai

Popular Posts