soo'ey shajar laraz uthey jaise ke dar ga'ey
kuch chandni ke phool zameeN par bikhar ga'ey
sheeshey ka taaj sir pe rakhey aa rahi thi Raat
takraa'ee hum se chand sitaarey bikhar gey
wo khushk hont rait se naam maangtey rahey
jin ki talaash meiN ka'ee darya guzar ga'ey
chaha tha meiN chand ki palkoo’n ko choom loo’n
hontoo’N pe merey subah ke taa'rey bikhar ga'ey
merey laboo’n pe chand ki QaasheiN laraz ga'eeN
aankhoo’N pe jaisey raat ke gaiy'soo bikhar ga'ey
saahil pe ruk gey they zaar dair ke liye
aankhoo’N se dil mein kitney sumandar utar ga'ey
jiN par likhi hui thi mohabbat ki daastaa’n
wo chaak chaak purzey hawa mein bikhar gey
No comments:
Post a Comment