Sunday, November 21, 2010

YooN khayaloN meiN hi kub-tek tera jalwa dekhooN


YooN khayaloN meiN hi kub-tek tera jalwa dekhooN
Zindagi Aa mein tujhe jii k zara-saa dekhooN

Teri raahoN mein bicha-dooN mein haseen phool, KaNwal
Terey aaNgan meiN gulaboN ko mahkta dekhooN

Teri masti bhari aankhoN ki meiN pii pii k sharaab
Khud ko madhosh bahakta wo saNbhalta dekhooN

Baat mahfil meiN kabhi tashna-labii kii jo chaley

Zikr-E sahraa hii kya daryaa’oN ko piyasaa dekhooN

Ajnabi rishtey hi hans-hans k galey milney lagey
Door hairaaN hai khara khoon ka rishtaa dekhooN

Ghum kisi k bhi hoN seeney say laga-looN apney
Mein ney seekha hii nahiN hai tera-mera dekhooN

Saa-EbaaN bun k jo Sooraj pay bhi chaa-jaata thaa
Kya ghazab hai usey saaye ko tarastaa dekhooN

Meri taariikh bataa kub mujhey dohraa-Egii
Kub meiN apna wahi phir dowr sunehraa dekhooN

Roshnii dil k andheroN meiN ho kaisey Nazim
Qaid Sooraj tow kabhi Dhoop pay pahra dekhooN

No comments:

Popular Posts