ye kyaa sitam hai ke ehsaas-e-dard bhii kam hai
shab-e-firaaq sitaaroN meN roshnii kam hai
ye kaisii mauj-e-karam thii nigaah-e-saaqii meN
ke us ke baad se tuufaan-e-tishnagii kam hai
qariib-o-duur se aatii hai aap kii aavaaz
kabhii bahut hai Gham-e-justujuu, kabhii kam hai
shauur-e-ishq ab aayaa hai apnii manzil par
huzuur-e-husn tamannaa-e-beKhudii kam hai
tamaam umr teraa intizaar kar leNge
magar ye ranj rahegaa ke zindagii kam hai
uruuj-e-maah ko insaaN samajh gayaa lekin
hunuuz azmat-e-insaaN se aagahii kam hai
na the bahaar-e-chaman ham magar ye sunte haiN
hamaare baad guloN meN shaguftagii kam hai
na saath deNgii ye dam toRtii hu’ii sham’meN
naye chiraaGh jalaao ke roshnii kam hai
No comments:
Post a Comment