Monday, June 28, 2010

koi dil ko chuu kar guzar gaya abhi abhi


koi dil ko chuu kar guzar gaya abhi abhi
khamosh dil main woh shoor kar gaya abhi abhi

dil main sukoon sa tha us say milnay say pehlay
dil ki khizaon pay koi bahar kargaya abhi abhi

yeh kia hogaya hum nay kabhi socha naa tha
pursukoon ratoon ko koi besakoon kargaya abhi abhi

ab tou har pal us hi ki yadein hain
mujhe meray apnon say bhi koi paraya kar gaya abhi abhi

hum tu sapnay pehlay bhi dekhtay thay
in sapnoon main koi haseen yadein jama kargaya abhi abhi

hum shayari say kahan ashnaa thay
koi hamein shayar bana gaya abhi abhi

ghazalein tu pehlay bhi bauhat suni theen
in ghazaloon main koi apni yadein samait gaya abhi abhi..

Maana tairi nazar main taira pyaar hum nahi


Maana tairi nazar main taira pyaar hum nahi,
Kaisay kahain kai tairay talabgaar hum nahi,

Khud ko jala kay khaak kar dala, mitta diya,
Lo ab tumhari raah main dewaar hum nahi,

Jis ko sanwara humnay tamannaon ke khoon say,
Gulshan main us bahar kay haqdaar hum nahi,

Dhokha diya hai khud ko muhobbat kay naam say,
Kaisay kahain kay tairay gunahgaar hum nahi....

faasalaa to hai magar ko_ii faasalaa nahii.n


faasalaa to hai magar ko_ii faasalaa nahii.n
mujhase tum judaa sahii dil se to judaa nahii.n

aasmaa.N kaa fikr kyaa aasmaa.N Khafaa sahii
aap ye bataa_iiye aap to Khafaa nahii.n

kashtiyaa.N nahii.n to kyaa hausale to paas hai.n
kah do naaKhudaao.n se, tum ko_ii Khudaa nahii.n

liijiye bulaa liyaa aap ko Khayaalo.n me.n
ab to dekhiye hame.n ko_ii dekhataa nahii.n

aa_iiye chiraaG-e-dil aaj hii jalaaye.N ham
kaisii kal havaa chale ko_ii jaanataa nahii.n

jo mein ne chaha woh nahin hua ha


jo mein ne chaha woh nahin hua ha
mere saath to hamesha yahi hua ha

chote lagi hazaaron is nazuk dil ko
laikin iss bar dard bohat ziaada hua ha

woh nahin jaanta ha koi bhi
jo kuch uss ne taqdeer mein likha hua ha

mein andar se hoon kitni bikhri
yeh kissi par nahin khulla hua ha

mere naam itna mohabba bhara khat
yeh aakhir kiss ne likha hua ha

meri zindagi mein ha intizaar or sirf intizaar
yeh sach to ab mujh par aashkaar hua ha

kissi k dil mein sachi mohabbat nahin ha
yahaan nafraton ka jaal buna hua ha

kissi cheez ko bhi choona nahin
yahan sabhi kuch bata hua ha

koi to ho jiss ko mein zakham dikhaaoon
maseeha koi nahin yahan bana hua ha

tum aakhir kissi ko bataati kiun nahin
tumhaare saath maajra kiya hua ha

ho gi tumhaari ghalti zaroor
tabhi tumhaara sir jhuka hua ha

yeh ho gayee kiya haalat aarzoo
tumhaara to sabhi kuch lutta hua ha

Kaash mein teray haseen haath ka kangan hota


Kaash mein teray haseen haath ka kangan hota
Too baray pyaar se, chaao se armaan ke saath
Apni naazuk si kalaayi mein charhaati mujh ko
Aur betaabi se furqat ke khazaan lamhon mein
To kisi soch mein doobi jo ghumaati mujh ko
Mein teray haath ki khushbu se mehak sa jaata
Jab kabhi mood mein aa ker mujhay chooma kerti
Teray honton ki hiddat se mein dehak sa jaata
Raat ko jab bhi to neendon ke safer pe jaati
Mermareen haath ka ek takya banaaya kerti
Mein teray kaan se lag ker kayee baatein kerta
Teri zulfon ko teray gaal ko chooma kerta
Jab bhi too band-e-qaba kholnay lagti jaanan
Apni aankhon ko teray husn se kheera kerta
Mujh ko betaab sa rakhta teri chaahat ka nasha
Mein teri rooh ke gulshan mein mehakta rehta
Mein teray jism ke aangan mein khanakta rehta
Kuchh nahin to yahee benaam sa bandhan hota
Kaash mein teray haseen haath ka kanghan hota

Hawa jab teiz chalti hai Tumhari yaad aati hai

Hawa jab teiz chalti hai
Tumhari yaad aati hai
Jab patte sarsaraate haiN
Aur
Tumhara zikr hota hai

Kabhi holay se shab ko
Mere dil maiN aa ker key dekho
Hai aik mehfil saji hoti
Aur
Tumhara zikr hota hai

TumheN kaise bataooN kitni chahat
MaiN ne ki tum se
Key jab aaNsoo chalakte haiN
Aur
Tumhara zikr hota hai

Kabhi chanda ko maiN dekhooN
Kabhi taaray maiN ginta hooN
Jab chaaNdni muskurati hai
Aur
Tumhara zikr hota hai
Zamana hai bohat zalim
KaheeN yeh cheen na lay tum ko
MaiN bus khaamosh hota hooN
Aur
Tumhara zikr hota hai

dhoondnay jis may zindagi nikli wo usi shakhs ki gali nikli


dhoondnay jis may zindagi nikli
wo usi shakhs ki gali nikli

teray lehjay may kia nahi tha magar
sirf sach ki zara kami nikli

us ki aankhon ka rang gehra hay
aur may halki sanwli nikli

wo jo lagti thi kanch ki gurya
zarb parnay say aahni nikli


us haveli may shaam dhalnay par
har dareechay say roshni nikli

wo hawa tau nahi thi larki thi
kis liye itni sar phiri nikli

wo teray aasman ka kia karti
jis ki muthi say dosti nikli

umar pardah nasheen nahi hoti
jab dhali sar say'chandni nikli

Hai Dua Yaad Magar Hurf-e-Dua Yaad Nahee


Hai Dua Yaad Magar Hurf-e-Dua Yaad Nahee
Merey Naghmaat Ko Andaaz-e-Nawa Yaad Nahee

Mein ne PalkoN Se Dar-e-Yaar Ko Dastak Di Hai
Mein Wo Saayil Hoon Jisey Koi Sada Yaad Nahee

Mein Ne Jin Ke Liye RaahoN Mein Bichaya Tha Lahoo
Hum Se Kehtey Hain Wohi Ehd-e-Wafa Yaad Nahee

Kesey Bhar AayeeN Sar-e-Shaam Kisi Ki Aankhain
Kesey Tharrayi ChiraaghoN Ki Zia Yaad Nahee

Sirf Dhundlaaye SitaaroN Ki Chamak Dekhi Hai
Kab Hua, Kon Hua Kis Se Khafa Yaad Nahee

Zindagi Jabr-e-Musalsal Ki Tarah Kaatti Hai
Jaaney Kis Jurm Ki Paayi Hai Saza Yaad Nahee

Aao EK Sajda Karein Aalam-e-Madhosh Mein
Log Kehtey Hain Ke Saghar Ko Khuda Yaad Nahee

main wohi hoon jisay tum pyar kiya kerte thai


main wohi hoon jisay tum pyar kiya kerte thai
din main so baar mera naam liya kerte thai
aj kya baat hai kion mujh se khafa bethe ho
kya kisi aur ko dil apna bana bethe ho
faslay itnay to pehlay na hoa kerte thai
main wohi hoon jisay tum pyaar kiya kerte thai

mujh ko maloom hai gham hai koi sogaat nahi
tum mujeh apna kaho aysay bhi haalaat nahi
aur ger bhool gaye ho to koii baat nahi
zakham to pehlay bhi is dil pe laga kerte thai
main wohi hoon jisay tum pyaar kiya kerte tha

Main Tum Ko Chahoon Tum Kisi Aur Ko Chahoo


Main Tum Ko Chahoon
Tum Kisi Aur Ko Chahoo
Ye Mumkin Hi Nahin
Hokar Mere Kisi Aur K Raho
Ye Mumkin Hi Nahin
Mujh Se Bewafai Karke
Kahan Chaldiye Ho Tum
Ab Kisi Our Se Wafa Karo
Ye Mumkin Hi Nahin
Maine Tumhari Khatir
Sab Kuch Chor Diya Hai
Tum Mujh Ko Chor Kar Jao
Ye Mumkin Hi Nahin
Is Dil Main Sirf Tum Ko
Maine Basaya Hai
Kisi Our Ko Dil Main Tum Basao
Ye Mumkin Hi Nahin
Zindigi Main Rahi K Ab Ahi Chuke Ho
Tum Koi Our Banao Ab Hum Safar
Ye Mumkin Hi Nahin

hum ney tu khir tujh se shikayat kabhi naa ki


hum ney tu khir tujh se shikayat kabhi naa ki
aisa nahin k dil ney baghawat kabhi naa ki

kis haa main hain tere satyee howyy log
tu ney yeh poochney ki zehmat kabhi naa ki

mehsoos kaya kary ga woh oroon k darad ko
jis ney khud apney aap se ulfat kabhi naa kii

chaha hai main ney jiss ko barii shidatoon k saath
uss tarah se uss ney mujhy se muhabat kabhii naa kii

her dastan terii bohat ghor se sunii
lakin bayan apnii shikayat kabhi naa kii

ek khawab tha apnii shaboon per raha muheet
kaya khawab tha?kisi se wazahat kabhii naa kii

ek aag thii k jalty rahy jis main umer bher
ek dard tha k jis main khayanat kabhii naa

AZEEM HAI YEH QURBAT KI DURYAN BHI


AZEEM HAI YEH QURBAT KI DURYAN BHI
SAATH REH KER BHI US KO NA PANA KAISA LAGTA HAI

KISMAT MEIN NAHIN PHIR BHI USSE CHAHTE HAIN
PHOOL SAMJH KER KANTO PER CHALNA KAISA LAGTA HAI

AB TU MEHFIL MEIN BHI HUMARE LIYE TANHAI HAI
GHUM CHUPA KER MEHFIL KO SAJANA KAISA LAGTA HAI

MEHFIL MEIN DOSRO SE HANS HANS KER MILTE HAIN
TANHAI MEIN GHUM KE ANSOO BAHNA KAISA LAGTA HAI

SAMJHANE PER BHI SAMJHTA NAHIN HAI YEH DIL
US KI YAAD MEIN RAATOON KO JAGNA KAISA LAGTA HAI

USKI BERUHKI NE ITNE DIYE HAI ZAHKAM KE
ZAKHAM KHA KER BHI MUSKURANA KAISA LAGTA HAI

US SANGDIL NE TOR DIYA MERE ARMANOO KA TAJ MAHAL
DIL KE KABRUSTAN MEIN ARMANO KO DAFNANA KAISA LAGTA HAI

JAB WOH HANS HANS KER BAAT KARE DOSRO SE
TAB APNE ANSOON KO CHUPANA KAISA LAGTA HAI

USSE KHO KER TU MERE PAS RAHA KUCH BHI NAHIN
PHIR BHI KHUD KO AMEER BATANA KAISA LAGTA HAI

KHUD KO ANMOOL SAMJHNE KA THA BARA GHUMAND
PHIR BHI BEMOL BIKJANA KAISA LAGTA HAI

KHAYE HAI DHOKKAY MUHABBAT MEIN ITNE KE
PHIR BHI US KO CHAHNA KAISA LAGTA HAI

MALOOM HAI IS DEWANE KI MANZIL NAHIN HAI KOI
PHIR BHI SAFA KERTE REHNA KAISA LAGTA HAI

WOH TU AAKAR BHI KAB KE JACHUKKAY HAIN
PHIR BHI US KA INTIZAR KERNA KAISA LAGTA HAI......

Hoti Nahin Wafa To Jafa Hi Kia Karo


Hoti Nahin Wafa To Jafa Hi Kia Karo
Tum Bhi To Koee Rasme Muhabat Ada Karo,
Hum Tum P Mar Mite To Ye Kis Ka Kasoor Hai,
Aaina Le K Haath Main Khud Faisla Karo...

Ik Duniyaa Hai K Bastee Hai Teree Ankhoo Main,
Wo To Hum The K Teree Ik Nazar Ko Tarse,
Umar Itnee Ata Kar Mere Fun Ko Khaliq,
Mera Dushman Mere Marne Ki Kkhabar Ko Tarse...

Meree Her Saans Tere Naam Se Mansoob Huee,
Ab Tujhe Chahte Rehne K Siwa Kia Karna,
Yaad Karne Se Jo naraz Hai Mujhse
Bhool Kar Is Ko Bhala Or Khafa Kia Karna....

kuch yadgar shehar sitam gar hi lay chalain


kuch yadgar shehar sitam gar hi lay chalain
aye hain is gali main to pathar hi lay chalain

yun kis tarah katay ga kari dhoop ka safar
sir par khial yar ki chadar hi lay chalain

yeh keh kay chairti hai humain dil griftigi
ghabra gai hain ap to bahir hi lay chalain

is shehar bay charagh main jai gi too kahan
aa aye shab e faraq tujhay ghar hi lay chalain

Ahat si hoi thi na koi burg hila tha


Ahat si hoi thi na koi burg hila tha
main khud hi sare manazali e shab cheekh para tha

lamhoon ki faseleen bhi miray gird khari theen
main phir bhi tujhay shahr main awara laga tha

too nay jo pukara hai too bool utha haoon;warna
main fikar ki dehleez pay chup chap kara tha

phalien theen baray shahr main tanhai ki batain
shaid koi dewar kay peechay bhi khara tha

ab is kay sawa yad nahin jashan-e-mulaqat
ik matami jhgnoo meri pulkoon pay saja tha

ya barash-e-sung ab kay musalsil na hoi thi
ya phir main teray shahr ki rah bhool gaya tha

ik jalwah-e- mahjoob say roshan tha mira zehan
wajdan yeh kehta hia wohi mera khuda tha

wairan na hoo is darja koi mousam e gul bhi
kehtay hain kisi shaakh pay ik phool khila tha

ik too kay gureezan hi raha mujh sya bahar toor
ik main kay teray naqash e qadam choom raha tha

dekha na kisi nay bhi meri simat palat kar
muhsin main bikhartay hoay sheeshon ki sada tha

Silsalay tor gaya woh sabhi jatay jatay


Silsalay tor gaya woh sabhi jatay jatay
warna itnay to murasam thay kay atay jatay

shikwa zulmate shab say to kahin pehtar tha
apnay histay ki koi shama jalatay jalatay

kitna asan tha tiray hijar main marna janaan
phir bhi ik umar lagi jaan say jatay jatay

jashan muqtil hi na burpa hoa warna hum bhi
pabajolaan hi sahi nachtay gatay jatay

us ki woh janay usay pasay wafa tha kay na tha
tum faraz apni taraf say to nibhatay jatay

kub tak dard kay tuhfay banto khon-e-jigar soghat karo


kub tak dard kay tuhfay banto khon-e-jigar soghat karo
"jali hun gal muk gai ai",hun jan noo hi khiarat karoo

kaisay kaisay dushman-e-jaan ab prastash-e-haal ko aye hain
in kay baray ahsan hain tum par uthoo tasleemat karoo

tum to azal kay dewanay aur dewanoo ka shewah hai
apnay ghar ko aag laga kar roshan shehar ki raat karoo

aye bai zor piyaray tum say kis nay kaha kay yeh jang laroo
shahoon ko sheh detay detay apni bazi maat karoo

apnay gareeban kay parcham main loog tumhain kugnain gay
chahay tum mansoor bano ya peeri sadat karoo

faiz gaya ab tum bhi chalay to kon rahay ga muqtal main
aik faraz hai baqi sathi is ko bhi apnay sath karo

Ahl-e-dil aur bhi hain wafa aur bhi hain


Ahl-e-dil aur bhi hain wafa aur bhi hain
aik hum hi nahin dunya say khafa aur bhi hian

hum pay hi khatam nahin maslak shoreedah sari
chak-e-dil aur bhi hain chak-e-qaba aur bhi hain

kia hoa agar miray yaroon ki zubanein chup hain
meray shahid meray yaroon kay sawa aur bhi hain

sar salamat hai to kia sanga-e-malamat ki kami
jaan baqi hai to paikan-e-qaza aur bhi hain

munsif-e-shahar ki wahdat pay haraf a jai
log kehtay hain arbab-e-jifa aur bhi hain

Ashak ankh main phir atak raha hai


Ashak ankh main phir atak raha hai
kankar sa koi khatak raha hai

main is kay khial say gureezan
woh meri sada jhatak raha hai

tehreer usi ki hai ,magar dil
khat parhtay hoay atak raha hai

hain phone pay kis kay sath batain
aur zehan kahan bhatakraha hai

sadioon say safar main hai sumandar
sahil pay thakan tapak raha hai

aik chand saleeb saakh -e-gul par
bali ki tarah latak raha hai!

Dil ka gham dil hi jaanay kia kahoon mein kisi se



Dil ka gham dil hi jaanay
kia kahoon mein kisi se
menay aansoo chupaye
in laboon ki hansi se
dil ne to kuch chaha tha
or kuch ho gaya hai
meri aankhoon ka sapna
ab kahin khoo gaya hai
meri aankhoon ki nami
is mein ho gi na kami
chai chehray pe udaasi
jis se iqraar hua tha
jhoota woh saathi
Zakham kitnay diay hein
ham ginain bhi to kesay
dil ke tukrey huay hein
ham chunein bhi to kesay
dard mera taaza hai
zakham mera hara hai
jheel si un aankhoon mein
zehar kitna bhara hai
bujh gaye sarey diay
apni palkoon ke taley
jis ko menay pyar kia tha
woh hai harjai
Dil main kaantey chubho ker
us ne badli hein rahein
bewafa ho gai woh
dil se uthti hein aahein
bikhrey bikhrey hein armaan
saarey sapnay hein jhootay
kia jis pe bharoosa
wohi dhaagay hein tootay
zakham yeh kesay sahoon
chup bhi kesay mein rahoon
yeh nahin baat zara si

kitnay din beet gayay hain daikho to sahi


kitnay din beet gayay hain daikho to sahi
kitnay chiragh bujh gayay hain daikho to sahi

mausam bahar ka phir tanha guzar gaya
khizaan ek bar phir agayee hai daiho to sahi

kitni chahat say likhti thi mai naam tumhara
wo qalam hi tordia hai zara daikho to sahi

itni asaani say to milti nahi nafrat bhi laykin
tumnay hasil shuda piyar thukradia daikho to sahi

anchal mai apnay chupayay thay moti bohat
ab k zabt tutnay say saylab ravan hai daikho to sahi

ana rokti hai mujhay har bar jhuknay say magar
kitni bar tumnay jhukaya hai daikho to sahi

faqeer ban kar teray kuchay mai akar
kitni aas say daikhtay hain tumhain daikho to sahi

Bhala lagta hoon main sab ko Mujhay tum Achi Lagti Ho


Bhala lagta hoon main sab ko Mujhay tum Achi Lagti Ho
Jo hona hay woh ab ho Mujhay tum Achi Lagti Ho

Kabhi kabhi jaagtay sapnay mujhay achay nahin lagtay
Mager tum sowo ya jaago Mujhay tum Achi Lagti Ho

Meray gher walay jo tumhay dekhnay aaye
Zara tum hi in se keh daina k Mujhay tum Achi Lagti Ho

Zaban kholi ager main nay to ruswai ka khadsha hay
Tum hii dunya ko batla daina k Mujhay tum Achi Lagti Ho

Ye maana ghair mumkin hay tera mera milan jaanam
Mager main kia karoon bolo Mujhay tum Achi Lagti Ho

Zaban se keh nahin sakta ager adnan tu ik din
Kabhi khat usay likh do k Mujhay tum Achi Lagti Ho

Suno Acha Nahi Lagta Kay Koi Doosra Daikhay


Suno Acha Nahi Lagta

Kay Koi Doosra Daikhay

Tumhari Sharbati Aankhain

Lab-o-Rukhsaar Aur Palkain

Siyah Lambi Ghanee Zulfain

Saharay Doosra Koi

Mujhay Acha Nahi Lagta

Suno Acha Nahi Lagta

Karay Jab Tazkara Koi

Karay Jab Tabsara Koi

Tumhari Zaat Ko Khoojay

Tumhari Baat Ko Soochay

Mujhay Acha Nahi Lagta

Suno Acha Nahi Lagta

Tumhari Muskurahat Per

Hazaroon Loag Martay Hoon

Tumhari Aik Aahat Par

Hazaroon Dil Dharaktay Hoon

Kise Ka Tum Pe Yuun Marna

Mujhay Acha Nahi Lagta


Suno Acha Nahi Lagta

Hawa Guzray Tumhain Choo Kar

Na Hoga Zabt Yeh Mujhsay

Karayy Koi Tumsay Gustakhi

Tumhari Zulfain Bikhar Ja-ain

Tumharay Lams Pi Ja-ain

Mujhay Acha Nahi Lagta

Suno Acha Nahi Lagta

Kay Tum Ko Phool Bhi Dakhain

Tumharay Paas Say Mehkain

Ya Chanda Ki Guzarish Hoo

Kay Apni Roshni Bakhshoon

Rukh-e-Jana Koi Daikhay

Mujhay Acha Nahi Lagta

KaaTi Hai Gum Ki RaaT baReY Ehtaraam Se


KaaTi Hai Gum Ki RaaT baReY ehteram say

KaaTi Hai Gum Ki RaaT baReY Ehtaraam Se
Aksar Bujha Liya Hai CharaaGon Ko Shaam Se

Roshan Hai Apni Bazm Aur Is EhtamaaM Se
Kuch Dil Bhi Jal RaheY haIn CharaaGon Ke Naam Se

MuddaT huWi Hai Khoon-E-Tamanna Kiye Magar
Ab Tak Tapak Raha Hai Lahuu Dil Ke JaaM Se

Subah-e-Bahaar Hum Ko Bulaati Rahi Magar
Hum Khelte Rahe Kisi Zulfo.n Ki Shaam Se

HaR saaNs Par Hai Maut Ka Pehra Laga huWa
Aahista Aye Hayaat Guzar Is Makaam Se

KaaTii Tamaam uMr Fareb-E-Bahaar meIn
KaaNTe SamaTe-Te Rahe Phoolo.n Ke Naam Se

Ye Aur Baat Hai Ke "Dua" Hum Nay Sun Kay
aZ uS Ne Di Hai HameIn HaR Makaam Se

Aaj phir tum yaad aa rahe ho


Aaj phir tum yaad aa rahe ho
Kyu mujhe is tarah rula rahe ho

Hasi mere utho se cheen li tumne
Or khud dekh kar muskra rahe ho
\
Kaise kati hai meri raate akele me
Tum baho me kisi or ko sula rahe ho

Zindagi me ek chiraag bhi nahi
Kyu tum dil mera jala rahe ho

Meri yaado ka asar hoga kabhi
Mujhe hi dil se bhula rahe ho

Beech raste me chod diya mujhe
Ab kise tum haath hila rahe ho

Kabhi ham the tumhari aankho me
Aaj hamko hi najro se gira rahe ho

Jin haatho me saji thi mehndi mere naam se
Unhi haatho se meri kabr pe phool chada rahe ho.

Kuch din pehle mohabbat ko mohabbat samjha hum ne


Kuch din pehle mohabbat ko mohabbat samjha hum ne..
Muhabbat hui mohabbat ko apna samjha hum ne..

Mohabbat main is qadar madhosh ho Gaye..
Is ki bewafai ko wafa samjha hum ne..

Zakham is qadar mohabbat ne diye..
In zakhmo ko phool samjha hum ne..

Mohabbat ki chikh o pukaar is qadar thi..
Ass pass ke logo ki roone ko asna samjha hum ne..

Mohabbat ki shidat main aankhen iskadar chandiya Gaye..
Har chamakti hui chiz ko sona samjha hum ne..

Dewaana is qadar mohabbat ne bannaya humko..
Apno ko begana aur un ko apna samjha hum ne..

Mohabbat ki yaadein dil par kuch yon naksh kar Gaye..
Bhulane ki khoshish main Khod ko hi bhula diya hum ne.......

Hum kasay pagel hotay thay


Hum kasay pagel hotay thay
Hum kasay pagel hotay thay
Ek phool ko chonay ki khater
Kantoon say zakhmi hotay thay
Jo phool jholi main aa girta
Ussay choonay say dar jatay thay
Hum kasay pagel hotay thay
K dhondaly aaeinoon main apna
Hum aks sa dhoonda kertay thay
Aor kirchayan chatkhay aaeinoon ki
Muthi main daba ker rakhtay thay
Hum kasay pagel hotay thay
Jab sadak pay chalna hota tha
Hum kashti lay ker chaltay thay
Aor beech bhanwar janay k liyey
Hum padel nikla kertay thay
Hum kasay pagel hotay thay
Jab barish barsa karti thi
Hum chatri main chup jatay thay
Aor jalti dhoop main nangay sir
Hum chatt par uchla kertay thay
Hum kasay pagel hotay thay
Jab pass woh bohat hota tha
Hum uss ko dekh na saktay thay
Jab woh door chala jata tha
Hum aahat uss ki suntay thay
Hum kasay pagel hotay thay
Jab sari dunya soti thi
Hum chand say khela kertay thay
Jab sari dunya jag utthti thi
Hum thak ker so jatay thay
Hum kasay pagel hotay thay
Hum kasay pagel hotay thay
Hum aaj b wasay pagel hain
Hum aaj b wasay pagel hain

Mujhse kehti hai ye zindagi meri Chalo Kahin dur le chalun tumko


Mujhse kehti hai ye zindagi meri,
Chalo! Kahin dur le chalun tumko,
Jahan Ranj-O-Musibat ke kafilein na ho,
Dard-O-Minnat ke mele na ho,
Aah aur ruswaiye ke Jhamele na ho,
Mujhse kehti hai aksar zindagi meri....

Chalo ! Kahin esi jagah chale hum,
Mohabbat ho harsu na ho koi ghum,
bas khwab muskrate rahe aankho me,
Na bheege palke, na ho ankhein nam,
Mujhse kehti hai aksar zindagi meri..
Chalo ! esi jagah chalo,
Jahan pooja jata ho mohabbat ko,
Jahan manga jata ho mohabbat ko,
Jahan samjha jata ho mohabbat ko,
Jahan na Ounch neech ho na koi zulm,
Chalo ! Esi jagah chalein hum,

Mujhse kehti hai aksar zindagi meri...
Jahan rishte ho mohabbat ke,
Jahan insaniyat zinda ho,
Jahan mazhab k naam pe na chale talwarein,
Jahan na khadi ho mandir- masjid ki deewarein,
Jahan na pooja ho bas paiso ki ,
Jahan na deewar ho garibi ki,
Mujhse kehti hai aksar zindagi meri...
wahan chalein e- dil mere,
Jahan bas rab ka naam ho,
Mohabbat ka paigam ho..
Chalo ! Kahin dur le chalu tumko,
Mujhse kehti hai ye zindagi meri....!!!

aisi waisi baat nahin, chhoti moti baat nahin


aisi waisi baat nahin, chhoti moti baat nahin
yeh toh mohabbat hai, yahi ibaadat hai
aankhon ke raste se dil mein utarkar dil kho jaata hai
nind udd jaati hai pyaar ho jaata hai
aisi waisi baat nahin, chhoti moti baat nahin
yeh toh mohabbat hai, yahi ibaadat hai

kabhi yeh pyar hai resham kabhi khushbu kabhi mausam
kabhi shola kabhi shabnam
kahin sargam kahin sangam, kahin pritam kahin hamdam
isise tum isise hum
chaahat ke rishte ka jo naam rakh do wahin ho jaata hai
aankhon ke raste se dil mein utarkar dil kho jaata hai
nind udd jaati hai pyaar ho jaata hai
aisi waisi baat nahin, chhoti moti baat nahin
yeh toh mohabbat hai, yahi ibaadat hai

dhadak uthata hai chhum chhum jubaan chup chup nazar gumsum
yeh chaahat ki nishaani hai
ise aankhein sunaaati hai ise aankhein samajhati hai
yeh aankhon ki kahaani hai
baahon ki raahon mein koyi deewaana jab kho jaata hai
aankhon ke raste se dil mein utarkar dil kho jaata hai
nind udd jaati hai pyaar ho jaata hai
aisi waisi baat nahin, chhoti moti baat nahin
yeh toh mohabbat hai, yahi ibaadat hai
aankhon ke raste se dil mein utarkar dil kho jaata hai
nind udd jaati hai pyaar ho jaata hai
dil pe waar hota hai, phir ikraar hota hai
tanhaayi mein rote hain, jinako pyaar hota hai

Main Dil Se Tujhe Chahana CHahata Hon


Main Dil Se Tujhe Chahana CHahata Hon
Teri Ulfat Ko Daaman Main CHupana Chahata Hon

Teri Ankhain ek Roshan sitare ki Tarha
un ki Roshni Main Zindage Ka Safar Jana Chahata Hon

Teri Baaton se Mehkey Sara Gulshan
In Hontoo se ek Guftago Karna CHahata Hon

Tere Sadha Pan Main Hai Ek Husun Ka Jalwa
Main Tere Is Husun Ko Poojna Chahata Hon

Akser her Baat per Tera Hi Naam aya zuban per
Main Apni Zindage ko tera Naam dena Chahata Hon

Merey Shairoo Ke her Lafz Ne Tujhey Pukara
Mein Terey Naam ki Ek Ghazal Likhna Chahata Hon

Popular Posts