Hai Dua Yaad Magar Hurf-e-Dua Yaad Nahee
Merey Naghmaat Ko Andaaz-e-Nawa Yaad Nahee
Mein ne PalkoN Se Dar-e-Yaar Ko Dastak Di Hai
Mein Wo Saayil Hoon Jisey Koi Sada Yaad Nahee
Mein Ne Jin Ke Liye RaahoN Mein Bichaya Tha Lahoo
Hum Se Kehtey Hain Wohi Ehd-e-Wafa Yaad Nahee
Kesey Bhar AayeeN Sar-e-Shaam Kisi Ki Aankhain
Kesey Tharrayi ChiraaghoN Ki Zia Yaad Nahee
Sirf Dhundlaaye SitaaroN Ki Chamak Dekhi Hai
Kab Hua, Kon Hua Kis Se Khafa Yaad Nahee
Zindagi Jabr-e-Musalsal Ki Tarah Kaatti Hai
Jaaney Kis Jurm Ki Paayi Hai Saza Yaad Nahee
Aao EK Sajda Karein Aalam-e-Madhosh Mein
Log Kehtey Hain Ke Saghar Ko Khuda Yaad Nahee
No comments:
Post a Comment