Sunday, December 26, 2010

Eik Ghazal Tere Liyee Zaroor Likhonga


Eik Ghazal Tere Liyee Zaroor Likhonga
Be-Hisab Uss Mei'n Tera Qusoor Likhonga

Tuu GuFtaar ka MaHir Tuu Kirdaar Ka MaHir
Par Husn Ko Tere Tera Ghuroor Likhonga

Toot Gaye Bachpan Ke Tere Saray Khilonay
Abb Diloo'n Se Khelna Tera Dastoor Likhonga

Raha ishQ Ka Dawwa Tujhey Tamam Umer
Wafa Ki Dehleez Se Tujhe Mafroor Likhonga

Khud Sakhta Joo Hai Tera Judai Ka Faisla
Aese Har iQdaam Ko Naa-Manzoor Likhonga


Humay Kehne Ki Addat Nahi Likhne Ka Shoq Hai
Jazboon ko Apne Qalam Ki Taseer Likhonga

Tera Wajood Mera Wajood Mujhe Eik Sa Laggay
Par Tujhey Mei'n Khud Se Bohot Do'ur Likhonga

Eik Ghazal Tere Liyee Zaroor Likhonga
Be-Hisab Uss Mei'n Tera Qusoor Likhonga

Ghazal tu bahana hai Jab mausam suhana hai


Ghazal tu bahana hai
Jab mausam suhana hai

Bethe haiN dareeche par
Mehboob ko aana hai

Khamusi lab-e-bam
aankhoN se farmana hai

patthar haiN phir majnooN par
yeh koun zamana hai

Ab taud do saghar kou
aankhoN se pilana hai

BarsoN meiN tu aaye ho
pal bhar meiN hi jana hai

Chilman na hate rukh se
dushman ye zamana hai

Dushman ko yuN na dekho
woh dost ban jana hai

Roothe haiN sanam mujh se
Ab jan bhi jana hai

'Imran' hum aashiq haiN
Ek who hai begana hai

Hai kuch ehsas tum ko bhi


Hai kuch ehsas tum ko bhi
KY hum Ay jaa'n ye subh'o'shamm
Kis karb'e'musalsal mein tarapty hein,


Hein kuch yaadon ky aangary
Jo iss dil mein sulaghty hein,

Wo kuch beety howy lamhey
Ghumon ky saeyon ki manid
Apny sath chalty hein,

Tumhary bin humein
har raasta dushwar lagta hai
Jinhein ishq'o'muhabat ki
lagi hon thokrein aay jaan
Kahan gir kar sambhalty hein,

Hai kuch ahsas tum ko bhi
Tumhein ehsas kesy ho ??
Ky musam sy bhi pehly
LOog kuch dekhy badalty hein,
Unhi logon mein tum bhi ho

TUMHIEN EHSAS KESY HOO

Aaya Hai Kisi Taur, Qazaa Ko Na Taras Aur


Aaya Hai Kisi Taur, Qazaa Ko Na Taras Aur
Teray Baghair Beet Gaya, Aik Baras Aur

Kuch Shaah Kay KaanoN MaiN, QaseedoN Ka Irti'aash
Kuch Moflis-e-Barbaad Ka Paighaam-e-Jaras Aur

Kuch Fitratan Hai, Zaaviya-e-Soch, Mokhtalif
Kuch Meray Ab-o-Jadd Nay, Sik'haaya Hai Daras Aur

Moddat Kay Baad Sher Kahay, To Pataa Chalaa
Dil Ko Koyi Jozaam Hai, SochoN Ko Baras Aur

Khush-Fehmi-e-Saadiq Ka Ilaaj-o-Dawaa Yahi
PaRnay Do Abhee Aank'h MaiN, Ibhaam Ka Rass Aur

Phir Usi Khwaab Ne Bechain Kar Diya Hoga


Phir Usi Khwaab Ne Bechain Kar Diya Hoga..
Neend Mein Hi Sahi Mera Naam Jab Liya Hoga..
Kaun Aata Hai Kisi Se Is Tarah Milne..
Mera Khayaal Tere Dil Mein Aa Gaya Hoga..
Kuch To Hai Tere Mere Darmiyaan Kahin..
Ek Baar Sahi Dil Zor Se Dhadka Hoga..
Kabhi Yaad Jo Aayi Hogi Tanhayee Mein..
Laakh Roka Magar Ek Aansoo To Tapka Hoga..
Ishq Zaahir Na Ho Zubaan Se Magar..
Sab Aankhon Ne Keh Diya Hoga..
Rishte Bante Hain Aasmaanon Mein..
Tera Mera Bhi Tay Hua Hoga..
Dil Mein Tasveer Kiski Hai 'Zahid'..
Haan Yakeenan Tumhe Pata Hoga....

Sard rutoN ka mosim aaya garmi ki loo ko ThaThraaya



Sard rutoN ka mosim aaya
garmi ki loo ko ThaThraaya

mitti tarsi barish barsi
Badal garja bijli chamki

Sard hawa maiN lpti raat
Behkaaye apne jazbaat

Teri neeNd hay kiyuN bezaar
sardi ki shab hay dildaar

Khidki darwazay mat kholo
Parde gira do pyar se bolo

sheetal jaisi dhoop maiN baitho
sher buno ik chehra socho

phoolon per shabnam ki booNdaiN
jaise barf ki kirnaiN jhoomaiN

barf ki chaadar oRhaiN pattay
dhuNdle dhuNdle ho gye raste

her har jaanib hay dhuNd musalsal
jise utra har soo baadal

Din ka raaja raat ki raani
kya chairaiN khshbu ki kahaani

Kho baithay haiN raanaayi ko
yaad karaiN ab purwaai ko

har har poda jaan chuka hay
peelay pattay taan chuka hay

Door talak hay peelaahat si
paaty girne ki aahat si

Thandi hwaayeN lehraati haiN
barfeele naGhmay gaati haiN

Jaise zamiN pe rooyi bikhri
Rooi bikhri rooi barsi

Bagiya jo sar sabz thi kal tak
Bagiya maiN halachal thi kal tak

Rooi rooi dikhti hay ab
barf ki chadar auRhay hay ab

Sooraj jo tan ko ab bhaaya
Barf ne us ko bhi gehnaaya

Laikin ye sab din achay haiN
kafi din tak tau rehte haiN

chalo ik nazam likhtay hain


chalo ik nazam likhtay hain
vo aisi nazam ho jis main..
kisi ka zikar hi na ho
kisi ki fiker hi na ho
kisi ki baivafai ka
kisi ki kajadai ka
kisi k lot ane ka kisi kay
chhor jane ka..
na os main phool hi mahkain
parinday tak nahe chehkain

vo aisi nazam ho jis main
kisi ki yad hi na ho..
koi faryad hi na.
vo aisi nazam ho
jis main na barish ho
na badl ho..
na bheega bheega kajal ho.
vo aisi nazam ho jis sai
kisi ki ankh na ho nam..
na zyada dukh hon
na hi kam..
vo aisi nazam ho jis main
na shikva na shikyat ho
koi aisi hikayat ho k
jis say dil bahel jaie
mager vo nazam main
kaise likhon..
koi bata day na
vo aisi nazam haan
jis main kisi ka
ziker hi na ho
kisi ki fiker hi na ho

Ishq main doob kay ik sun li qawaali main nay


Ishq main doob kay, ik sun li qawaali main nay
Dil kay hathon se baja daali hay taali main nay

Daikh kar dushman-e-jaaN, haasil-e-jaaN yaad aaya
“Mujh se mat pooch keh kiyun aankh jhuka li main ne”

Teri yaadoN ki hawaayeN na kisi taur aayeN
AasmaaN tak hi faseel aik uthaa li main nay

Mainay her baar teri chah se samjhota kiya
Apne ikhlaas ki kya khoob saza li main nay

Main nay tau aayina dikhlaaya tha sachaayi ka
Or wo taRpay, unhain di jistarah gaali main nay

Jis ko kehte haiN bharam zabt-o-tahamul ka faqeer
Tootnay di na wo baarik si jaali main nay

Dil churaana tha mujhe aik hasina ka samad
Apni aankhoN ki hi khood neend churaa li main nay

Pagal hy zamana phoolon ka dunya hy diwani phoolon ki


Pagal hy zamana phoolon ka dunya hy diwani phoolon ki
Gulshan se keh do khair nahin,aayi hy jawani phoolon ki

Hoosan ki chahat ke parday me hoosan ki loot chalti hy
Phool to gharib kiya kertay dushman hy jawani phoolon ki

Wajeeb to hoga ke kharon ko ooski tu na lena khabar?
Chak huva daman tab mainay, chaidi jawani phoolon ki

Gulshan ko loota dainay ka ilzam hy kis ke joban per
kanton ki adalat ho baithi phir kiya lena zubani phoolon ki

Jhrhti khushbu phaili hy, paheli sahar ki gulshan me
Mushtaq hy kis ke deed ki ye rauti jawani phoolon ki

Do pal jeevan ki rangat hy do pal chaman ki ronaq hy
Hasil hy anjam kalyon ko ye sabq kahani phoolon ki

Tau Shun’y shayr ko kiya janay voh kaisay roop ka pagal hy
Rakhta hy dil per ker ke naqsh rangeen nishani phoolon ki

Dekhi hy Samad ne is ghazal me kiya namkin jawani phoolon ki
Kiya khub ghazal aap kehtay hain her shair me rawani phoolon ki

sard sard mosam main zard sard honton pay


sard sard mosam main
zard sard honton pay
chup ka ye jo pahra hay
ye b jurm tahra hay
iss taveel chup ka bhi
on k sar hi sahra hay
sardion ki shamon may
shall orhay yadon ki
haan kisi kay vadon ki
chal ae dil too os vadi
jis jagha pai kanton ka
ik ghna sa jungle hay
os ghnay say jungle main
qaber hay shikasta si
os main dafan hain yadain
koch odas shamon ki

Bijliyan hosh per gira hi dey


BijliyaN hosh per gira hi dey
Aaj perda sanam utha hi dey

Piyas bujhti naheeN hay saghir sey
Mere saqi mujhey surahi dey

Ab koi lot ke na aaey ga
aas ke sab diye bujha hi dey

sab sey kertey raho bayaN us ka
us ko shayad koi bata hi dey

mey kadey ki kabhi tow aey saqi
may kashoN ko bhi serbarahi dey

Khud hi qatil baney haiN munsif bhi
kon ab qatl ki gawahi dey

apna hi mulk jo fateh ker leN
ham ko aisey na ab sipahi dey

Kaisa sooraj tulu hua hay Qamar
din meiN jo raat ki siyahi dey

Popular Posts