Wednesday, January 5, 2011

na baat ka qaidi hoon na raat ka qaidi hoon


na baat ka qaidi hoon na raat ka qaidi hoon
main to gardish_e_halat ka qaidi hoon

jab se muhabbat huwi hai mujhe
main bus lamhat ka qaidi hoon

maine hamesha hi azaadi chahi
per main apni hi zaat ka qaidi hoon

jab mujhe mila tha wo tab se
main us mulaqat ka qaidi hoon

wo mujhe is liye chor giya shayad
ke main to us ki yaad ka qaidi hoon

Mere ghummon ka madaawa Sharaab hai Saaqi


Mere ghummon ka madaawa Sharaab hai Saaqi
No rok haath ke ghum be-hisaab hai Saaqi

Shau'ur zehen ko dasta hai naaginoN ki tarah
Pila! ke hosh mein rehna azaab hai Saaqi

SukuN hayat ka chota sa baab hai piyaare
SukuN ke baab mein poori kitaab hai Saaqi

Gham-o-Alam ka, musarrat ka, shaadmani ka
Har ik sawaal ka bus ik jawaab hai, Saaqi

Mubaada kaan dharuN naasihoN ki baatoN par
Behak na jaaoN, zamana kharaab hai Saaqi

Wo qisa e gham sunata raha


Wo qisa e gham sunata raha
mera zabt aazmaata raha
aaj ser e bazam wo apne
dil ke daagh dikhata raha
Noha e dil e barbaad koi
akheer e shab ko gata raha
Kisi ke haath meiN teer the
koi zakhm sehlaata raha
wo sakoon ka matlashi tha
aur mujhe dard bhata raha
us ki tanhaai ka khayaal
mujhe her pal satata raha
kya hai hijr o wasal aakhir
waqt mujhe samjhata raha
bulaney se wo nahi bhoola
reh reh ker yaad aata raha
raqabat ki inteha dekho
sooraj diya bujhata raha
khak hoi maiN jal jal ker
zamana raakh uRata raha
us ki aankh ka pani
mujhe shab bher rulata raha

Nazar shanaas yeh saara jahaan ho ke na ho



Nazar shanaas yeh saara jahaan ho ke na ho
Tumhein bhi hum pe wafa ka gumaan ho ke na ho

Humein gharaz hai tu bus teri chashm-e-naaz se hai
Bala se saara jahaaN mehrbaan ho ke na ho

Jo dil ka haal hai kaisay bataein hum tum ko
Jo dil ka haal hai, hum se bayaan ho ke na ho

Wafa ki raah pe chalna hai hoslay ka kamal
Kissay khabar ke kahiN saeybaan ho ke na ho

Iss aik khauf ne mujh ko safar se rok dia
Palat ke aaoN tu jaane makaan ho ke na ho

Tumhein ghumaaN tu hai zinda ho tum abhi
Kisi ko aisa bhi shaid gumaan ho ke na ho

Nafrat bhi dilnasheeN hay jo ulfat kamaal hai


Nafrat bhi dilnasheeN hay jo ulfat kamaal hai
Us shakhs ki Saraab! rafaaqat kamaal hai

Wo keh rahay haiN ham say "muhabbat hay aap say"
Ham sochtay haiN unki murawwat kamaal hai

Zillat uThaayee, zulm sahay, phir bhi khush rahay
Har cheez bhool janay ki aadat kamaal hai

Maqtool se gila hay ke wo qatl kyoN hua?
Qatil! ye tera tarz-e-shikayat kamaal hai

HaiN mustaqil nashay maiN, hamaiN maye se kia gharaz
Aye dost! tairay dard ki lazzat kamaal hai

Daikha kuch is nazar se ke pathHra gaye qadam
Ye saath chHoRnay ki ijazat kamaal hai

Har roz apni zaat ke TukRay kiay Saraab!
Ham ne jo un se ki hay muhabbat, kamaal hai

Buland kirdar si aankhian wo khush guftaar si aankhain


Buland kirdar si aankhian
wo khush guftaar si aankhain

mohabbat ki negehbaaN hain
dar o dewaar si aankhain

nameeda sabnami gulpoosh
gul o gulzar si aankhain

dehekti dhoop main thandak
ghany ashjar si aankhain

khazina hian wo yadoon ka
haseen pandar si aankhain

hikayat hain khmoshi ki
wohi iqrar si aankhain

ghata palkoon pe rakhti hain
abad imtar si aankhain

kamal e husn o raanai
sukhan, ashaar si aankhain

kitab e drd k oraq
haziN afgar si aankhain

khamooshi khush kalami si
saba izhar si aankhin

hain Aashi hast ka sehra
meri sansar si aankhain

Chalo ik bar phr dar.o.bam sajaya jaye


Chalo ik bar phr dar.o.bam sajaya jaye
geet ulfat ka koi sar.e.sham bajaya jaye

Toot'ti jati hai umeed ki har kali
apne hathon se beej nya ugaya jaye

Humko malum hai milain gay dhoke bht
apni ankhun ko is bar zara sulaya jaye

Hathun ki lakerain hui jati hain madhum
dil ko kisi khush.fehmi se behlaya jaye

Ab k maujain ajab sar-kashi pe utri hain
iski zidd ko pyar se sehlaya jaye

Jo hai chahta wohi nikle zuban se
munsif ko barwaqt ye sandesa kahlaya jaye

Utar rhe hain nit nye azab hasti pe
rahn rakh kar khuwab,nendon ko jalaya jaye

Qaafile waqt k hathun hain lut'te jate
naam rahzan k nighebani ko lagaya jaye ..

Ab is se ziyadah aur sitam, ye dard ke maaray kia sehtay


Ab is se ziyadah aur sitam, ye dard ke maaray kia sehtay
Khud zakhm silay ristay ristay, khud ashk thamay behtay behtay

Dunya ke musaafir khanay maiN, kia haal kisi ko batlatay
Jab jaan bhi baygaani Thehri, aye jaan! kisay apna kehtay

Is dil ke dar-o-deewaar pe ab, ek rang naya karwa Daalo!
Wo tang na ajaayeN warna, is ghar maiN kaheeN rehtay rehtay

Go rah-e-wafa to khatm hui, lamhoN ki musafat maiN yaaro!
Ek umr guzaari hay laikin, anjaam-e-wafa sehtay sehtay

Ham apnay dil-e-mayoos ki ek, tehreer-e-mujassam ban baiThay
Khud lauh-e-jahaaN par kanda haiN, ab shaire bhala ham kia kehtay

khayaal o khawaab ki duniya thi tum thay


khayaal o khawaab ki duniya thi tum thay
kissi maahtaab ki duniyaa thi tum thay

talaash-e-yaar main niklay thay hum to
magar ahbaab ki duniya thi tum thay

Nashay main jhoomta qaatil saraapa
kissi shur aab ki duniya thi tum thay

sitaron say sajji duniya hamari
zarr-e-nayaab ki duniya thi tum thay

agar dushman laggata gham na hota
magar azraab ki duniya thi tum thay

kaheen zar to jawaher hain kaheen per
kissi nawaab ki duniyaa thi tum thay

zammana to badal jata hai
magar adaab ki duniya thi tum thay

Apnay khaNjar ko jaisay chahay aazmaa lay


Apnay khaNjar ko jaisay chahay aazmaa lay
Ki teri hasrat bhi na rehay baaki
Jab talak chaahay latka lay mujhay
TanhaaioN ki saleeb
Jab talak chaahay aasraa na day
Meray thakay muqaddar ko
Tujhsay nighaiN milaanay ka jurm kiya
Jaantaa hooN
Magar us jurm pay fakhar hai mujhko
Naaz hai mujh ko
Zabt kar tu apni yeh badghumaan haNsi
Ki main ab bhi tujh say reham ka talabgaar nahi
Aayaa hooN jo laykar apna lahuluhaan wajood
To sirf itna bataanay
“K tu bara lay tareeqiaN kitni bhi magar
Ahad meray kay kadam na dagmagaiNagay
Jab talak raushan haiN meray khwaaboN kay chiraagh
Tu kuch bhi nahiN
Kuch bhi nahiN”

Koi nukta aham din ki wasiyat sey nikaley ga


Koi nukta aham din ki wasiyat sey nikaley ga
Mira mehr-e-yaqeeN shab ko aziyat sey nikaley ga

Tiri janib safar karta koi tafheem ka lamha
mirey wijdan ko be-ma'nwiyat sey nikaley ga

Tasali rakh sar-e-mizgaN chamakta be-hunar tara
Tirey gham ko ghamoN ki aksariyat sey nikaley ga

Kisi ehsaas meiN dooba howa uss lams ka jhoNka
Mujhey choo kar badan ki ajnabiyat sey nikaley ga

Tiri dehleez sey uthta howa ik abr ka tukRa
Mirey sab mausamooN ko barbariyat sey nikaley ga

Mein kab sey munatzir hoon aik aisey raNg ka
Jo merey phool ko khushboo ki niyat sey nikaley ga

Main Apne Aap Ko Teri Zaat Ke Hawale Ker Doon


Main Apne Aap Ko Teri Zaat Ke Hawale Ker Doon
Tere Her Rang Mein Her Ung Mein Khushian Bhar Doon

Mujhe Khabar Hai Tera Qarz Abhi Chukana Hai
Jo Mere Bus Mein Hai Us Se To Ziyada Ker Doon

Tu Agar Mera Humsafar Mera Humnasheen Bun Jaye
Pyar WohTujh Ko Main Doon Tujhe Pagal Ker Doon

Apni Aghosh Mein Tujh Ko Main Chhupa Loon Aise
Ke Teri Zaat Ko Duniya Se Main Ojhal Ker Doon

Faramosh Kar Hein Baithay Gayee Azmatoon kay Qissay


Faramosh Kar Hein Baithay Gayee Azmatoon kay Qissay
Kiyon Likhay Na Waqat In Ko Aab Zilatoon Kay Qissay

Hay Haal In Ka Aysay Jaysay Khizaan Ki Rutt Hai


Hay Haal In Ka Aysay Jaysay Khizaan Ki Rutt Hai
Sanam Tarash Aysay, Har Shair In Kaa Butt Hai

Yeah Shayeroon Ki Mehfil, Mere Qoum Kay Likhari


Yeah Shayeroon Ki Mehfil, Mere Qoum Kay Likhari
Janaan Janaan Likh Keh Azmat Jinhoon Nay Haari

Faqat Apna Haal Likha Ya Hasab e Haal Likha


Faqat Apna Haal Likha Ya Hasab e Haal Likha
Bas Hijar o Visaal Likha Tu Kaya Kamaal Likha

Shayer Tu Ban Gai Hoo, Yeah Shayeri Hoo Kartay


Shayer Tu Ban Gai Hoo, Yeah Shayeri Hoo Kartay
Lafzoon Say Khayel Kar Bas, Saahari Hoo Kartay

ghar ghar charcha aam karo ho


ghar ghar charcha aam karo ho
muft humain badnaam karo ho

chahat ka kab ye hai matlub?
chahat ko bad'naam karo ho

baghal main khanjar ko daabe ho
munh dekhey pe "raam" karo ho

nazroo.n ki shokhi se apni
paani ko bhi jaam karo ho

us k naam ki mala jhapte
subha se mushkil shaam karo ho

mulk ki izzat ko zar'daroo
ruswa har har gaam karo ho

nafs ki lazat ki khatir tum
kiya kiya ultey kaam karo ho

khamushi jurm hai bolna jurm hai



khamushi jurm hai, bolna jurm hai
aajkal shehr meiN har adaa jurm hai.

bas bhatkate raho is gali us gali
ab kisii se pataa poochhna jurm hai.

bewafaa kaun hai, kaun hai bawafaa
is zamiN pe ye sab sochnaa jurm hai.

chal rahe haiN sabhi mujrimoN kii tarah
kya pataa kya khataa aur kya jurm hai.

kis qadar bemazaa ho gaye raat din
aarzoo se udhar dekhna jurm hai.

dil diya shauk se jurm pehla hua
wo na haasil hua doosraa jurm hai.


laut kar aayega wo kabhi na kabhi
dil meiN is qism ka hauslaa jurm hai.

haat lagne lagii hai ye duniya mujhe
muflisi in dinoN ik baRaa jurm hai.

soorateN sab chhipii hoN jahaaN sharm se
us jagah aaiine bechnaa jurm hai.

kis zamaane ke ho kuchh pataa hai tumheN
ye sadaaqat, ye neki, wafaa jurm hai.

Na fasaanon mein mili hai na kisi tafseer mein


Na fasaanon mein mili hai na kisi tafseer mein
Wo jo ik dilchasp rangat thi teri tasveer meiN.

Mere chehre par hawaayeN likh gayiN maazi mera
Laakh chehre paaoge tum ik adad tehreer meiN.

Ho gayaa haasil magar din-raat ka hai faaslaa
Khwaab meiN kuchh aur tha, kuchh aur hai taabeer meiN.

Is qadar seedha lagaa ki dil ka aangan hil gayaa
Kiske haathoN ke nishaaN haiN dekhna is teer meiN.

Jab sunahri dhoop ka aanchal kafas tak aa gayaa
Ik ghazal-si baj uthi hai paaNv kii zanjeer meiN.

Is zamiN is aasmaaN ke rang hote aur hii
Likhne wala gar tujhe likhta meri taqdeer meiN.

ik faqt gunah_e_muhubat kia main ney


ik faqt gunah_e_muhubat kia main ney
budley us key zindagi sey kia paya main ney


wo is terha rehta tha sath sath
jeet ker bhi haar key siwa kia paya main ney


us ko dur tha zamaney ki ruswayun ka
zindagi ko apni ujaar key kia paaya main ney


dusht_e_tunhai main chor dia mujh ko
ulfaat ka sila judai key siwa kia paaya main ney


zukhum_e_judai day gaya mujhey wo
zindagi us key naam ker key kia paaya main ney


ashkon ki bursat ub thumti naheen
buzm_e_dil saja ker us sey,kia paaya main ney

raah chaltay mila tha, judda sa lagga



raah chaltay mila tha, judda sa lagga
shaks woh ajnabi tha, bhalla sa lagga

main to shaidaa naheen tha kabhi husn ka
usko dekha to woh, khush adda sa lagga

woh mera kuch naheen tha, to tum hi kaho
kiss liay mujh ko apna bana sa lagga

main to naraz tha sirf ehbaab say
sari duniya hi say woh khaffa sa lagga

main to apnay dukhon say pareshaan tha
mujhko woh bhi magar dil jalaa sa lagga

jissko dekho paristaar azhar jabhee
usko jaana to jaisay piyaa sa lagga

yaad-e-mehboob-e-maazi jagaanay chalay


yaad-e-mehboob-e-maazi jagaanay chalay
Khud ko phir aaj hum aazmaanay chalay

kar gayii ham ko diiwaana fan ki lagan
uqta kay dost bhii sabh puraanae chalay

dard pii kar chale ham to kuu-e-ghazal
phir se ham rasm-e-ulfat nibhaane chalay


bin tere baaqii ummeed kii lau nahiiN
zindagi "saagar" ab kis bahaane chalay

Mishalein derd ki seenon meiN jalaaey Rakhna


Mishalein derd ki seenon meiN jalaaey Rakhna
Apney KaandhoN pe saleeboN ko uthaaey rakhna

Khak jalwoN sey na ho jaaey kaheeN toor-e Khayal
Bazm-e jaanaN meiN nazar apni Jhukaaey rakhna

Jaaney phir saqi-o mey khana mileN ya na MileN
Apni saansoN mein mehek mey ki basaaey rakhna

Rehzan-e waqt kaheeN ye bhi mataa'a loot na ley
Apney seeney meiN mera derd chupaaey rakhna

Jaaney kab lot ke aa jaaey wo bhatka raahi
Raat bher shama dareechey meiN jalaaey rakhna

Jab talak ho na tulu seena-e zulmat sey Qamar
apni palkowN pe sitaarowN ko sajaaey rakhna

Chahat Unki Hum Dil Main Chupaye Phirtey Hain


Chahat Unki Hum Dil Main Chupaye Phirtey Hain
Aik Khushboo Si Sanson Main Basaye Phirtey Hain

Dil main Paida ho Deed Ki Khawshish Kionkar
Aks unn ka jo Ankhon Main Sajaye Phirtey Hain

Kisi ke qadmon ki chaap sunayee deti hey
rastey peh iss liye kaan lagaye Phirtey Hain

Kal tak jo martey tey pattar Mujh ko
Wahee Haat janaza mera Uthaye Phirtey Hain

Adawaton ke iss sheher main har soo andhera hai
Chalo yaro ulfaton k diye jalaye Phirtey hain

Unn ko be shayaid tum peh ait-e-bar nahin
Tum unn ko, Wo tum ko aazmaye Phirtey Hain

kia zaroori hai mohabbat ko ayaan bhi kar doon



kia zaroori hai mohabbat ko ayaan bhi kar doon
kuch to asraar bhi rakhoon, kay nehaan bhi kar doon

us nay inkaar kia , main nay bhi subki jaani
kyun na ab apnay khayalon ko zubaan bhi kar doon

jee yeh karta hai kay sailaab, bahaa doon ro kar
main to barbaad hua saara jahaan bhi kar doon

sochtaa hun kay rag-e-jaan main basaa loon shoalay
aag nus nus main jalay aisaa samaan bhi kar doon

jo nehaan khanay main dil kay hai chuppai hum nay
hai koi qissa , kahaani, kay bayaan bhi kar doon

kitna acha ho sulagtaa rahoon har dam
shamm-e-mehfil sa jaloon, khud ko dhunwan bhi kar doon

Dil Ki Dunia Ko Uski Yaadon Say Sajayein`Gay Hum


Dil Ki Dunia Ko Uski Yaadon Say Sajayein`Gay Hum
Har Haseen Yaad Dil Me Uski Basayein`Gay Hum

Bewafai Ka Gilah Tak Nahi Karein`Gay Kabhi
Raah Me Mil Bhi Gaya To Anjaan Ban Jayein`Gay Hum

Jab Kabhi Jo Dil Taraph Ke Pukarey Ga Usay
Aik Naya Zakham Dil Par Apney Lagayein`Gay Hum

Uski Khuwaish Hai Bhool Jao Vaad-e-Qasmein Sabhi
Koshish Karein`Gay Huqum Uska Ye Nibhayein`Gay Hum

Dil Ki Jagha Wo Dharakta Hai Seenay Me Mere Aayan
Dharkan Ko Rok Kar Usay Bhool Dikhayein`Gay Hum

Phir Na Hoga Zamaney Me Ruswa Kabhi Pyar
Jism Ki Khaak Ko Ab Khaak Me Hi Milayen`Gay Hum

Bhaija hey uss ney salam-e-muhabbat



Bhaija hey uss ney salam-e-muhabbat
Karein gey ab ham kalam-e-muhabbat

Mubarak ho ishq ki manzil uaey
Aankhon se daiengey pyam-e-muhabbat

Gham-e-rozzgar agar na ho saqi
Hey zindagi ki zaroorat jam-e- muhabbat

Aahoon mein jinkee asar hota hey
Paa lety hein wo sham-e- muhabbat

Qaiss ko kehtey hein deewana sabb
Dewano ko milta hey dawam-e-muhabbat

Boo-e-gul per fida ho gaee bullbull
Chaman ko dey gaee pegham-e-muhabbat

Bahar aaney pey sajey ga chhaman
Khushbo se mehkey gee sham-e-muhabat

Muhabbat ko roog matt kahoo
Liya karoo izzat se naam-e-muhabbat

sub balain taal saktee hain duain , kar duaa


sub balain taal saktee hain duain , kar duaa
haath phailaa dastaras main hain fizain kar duaa

hud say apni barh gaya aur ki sitam ki intehaa
dekh ab us ki karamat aur atain kar duaa

dil dukhaya kis qader ho ga khalaq ka yaad kar
bud duaa ki bhi palat-tee hain sadain kar duaa

waqt ab bhi pas hai , taib hi ho lay kuj adaa
rub jo chahay khatm kar day sub sazain kar duaa

ghair kay agay sadaa kartaa raha ab rub say kar
girgirra to bakhsh day ga sub khatain kar duaa

dekh azhar teree janib chal parain gi khud bakhud
rab karam kar day mukhalif sub hawain kar duaa

Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai


Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai
Teray meray ishq ki baat ab faqt kahani lagti hai

Ban ke lahu takhleeq mirii kii ragh ragh men woh behti hai
Larki jo naadaan kabhii ,kabhii bahut siyaanii lagti hai

Ek ahad par maiN ne guzaarii tanha apnii umr tamaam
Aaj koyii soche to shaayad bahut hairaanii lagti hai

Kehnay ko gar kuchh na ho to bas pachheedah kar daalo
Baat samajh aaye na yahaan woh hii ruuhaanii lagti hai

Aur haseeN hoNgay dunyaa men us se bhii baR kar lekin
Achi itni phir kyuN mujhko woh mar-jaani lagti hai

yeh silsaly azaab kay, yeh fasilay, yeh qurbaten


yeh silsaly azaab kay, yeh fasilay, yeh qurbaten
Ajeeb see yeh rahten, yeh chahten, mohabten
Ik lagan ki aag see, yeh tarap kasak hay kaya
Moal lain azaab aur muft baanten nafraten
Kisi kay haath main qalam, kisi kay haath main alam
Kisi ka haath taighzan, kisi ka tann hay aag main
Kisi kay sar pay taaj hay, kisi ka sar hay daar pay
Ajeeb sa hay khauf sa, yeh wehshten, yeh dehshten
Bhagtay hain mard-o-zann, yeh bachay boorhay kis taraf
Na koi inka rehnuma, na rastay, na manzalen
Aye waqt tuo zara thehar, zara tau thamm ke saans lain
Yeh khasta haal aadmi, yeh neem jaan aurten

Mera chahnaa haqeeqat par mubeen hota gayaa ho ga


Mera chahnaa haqeeqat par mubeen hota gayaa ho ga
Yeqeen ko khud mohabbat per yaqeen hota gayaa ho ga

Mere nazron ki garmi say pighal kar chandni main yun
Haseen kuch aur meraa dilnasheen hota gayaa ho ga

Amaanet jaan kar chahet teri hum nay chuppai thi
Issay jis jis nay jaana hai amen hota gaya ho ga

Pata sub ko laga kaisay , zammana kis qadder guzraa
Zammanay ko na janain hum, kaheen hotta gaya ho ga

Baray hi sidq say dil kay wafaa hum nay nibhai thi
Bharosa phir sadaqat ko waheen hota gaya ho ga

Tujhay Azhar nay chaha hai janoon ki akhri hud tuk
Teray dil kay gharonday ka makeen hota gaya ho ga

Yahan kal talak thay jo raastay, woh lahuu ki naddiyon mein dhal gaye


Yahan kal talak thay jo raastay, woh lahuu ki naddiyon mein dhal gaye
Meray shehr aaj yeh kia hoaa, teray khadd-o-khaal badal gaye

Humein roshni ki talab tu thi, na thi besh-o-kam ki hawas magar
Humein aaftaab na mil saka tu chiraagh-e-shab se behal gaye

Yeh andher nagri hai dosto, kahan jaaye apna yeh kaarwaN
Jinhein hum ne maana tha raahbar, kisi aur raah nikal gaye

Yeh hawas yeh bhook ajeeb hai, jo mitaaye mitaTi nahi kabhi
Jinhein ghar ke hone se sab mila, wohi aaj ghar ko nigal gaye


Gham-e-zindgaani ke silsilay thay bohat ajeeb-o-ghareeb se
Jinhein saayebaaN ki talash thi, woh samay ki dhoop mein jal gaye

Koi Duniya Aur Basata Hai


Koi Duniya Aur Basata Hai
Koi duniya Choar'h ke Jaata Hai
Yeh Duniya Bhi Kiya Duniya Hai
Ik Pal Mai'n Sab Kho Jata Hai

Koi Yaad Karay Koi yaad Aaey
Par Kab Tak Dil Ko Behla'aey
Jo Saath Na Apnay Chal Paa'ey
Dil Kiyoo'n Unn Ko Pachta'ta Hai
Ik Pal Mai'n Sab Kho Jata Hai

Hum Kiyoo'n Kar Phir Say Piyaar Karai'n
Hum Tanha Hai'n Baikaar Nahi'n
Ik Umr Ganwai Hay Hum Nay
Ab Or Waqt Darkaar Nahi'n
Yeh Doar Humai'n Sikhlaata Hai
Ik Pal Mai'n Sab Kho Jata Hai

sitara raah_e_gardish main jab bhi hota hai mera



sitara raah_e_gardish main jab bhi hota hai mera
tu main aksar apni maa ke paoun choom leta hoon

suno aye dost muhabbat tum ne karni hai?




suno aye dost

muhabbat tum ne karni hai?

tu phir be aas ho jana

dil ko sakht kar lena

mathe pe shikan na ho

honton pe hasi na ho

chehray pe sukoon na ho

haan muhabbat aisa karti hai

bahut be dard hoti hai

dil ko dard deti hai

chehray ko zard karti hai

aankhoon ko sard karti hai

bahut hi dard deti hai

muhabbat tum ne karni hai?

to phir be ass ho jana

ye udaasi to dekho ye chehray to dekho


ye udaasi to dekho ye chehray to dekho
mujhe keh rahe hain muhabbat na karna

milain ge tumhain log her mor per
magar tum kisi se bhi chahat na karna

ye main keh raha hun samajh lo to behtar
kisi se bhi aisi adawat na karna

yahan log daste hain sanpoon ke jaise
kabhi aastinoo ki hajat na karna

kitabain hain parhni to aik baat sun lo
gulaboon ki in main hifazat na karna


pyar hai qudrat ki bakhshi amanat
bhool kar bhi is main khianat na karna

muhabbat main tum se hi karta hoon
tum is main kabhi bhi tijarat na karna

Faasla donoN mein yun tu kam se kam ho jaaye ga


Faasla donoN mein yun tu kam se kam ho jaaye ga
Aaag, paani ka guzaara kia ba'ham ho jaaye ga!

Jab meri koshish se koi farq hi parta nahi
Jo bhi hona hai, mujhay kion ker ho ghum, ho jaaye ga

Aik jaanib raah-e-haq hai, aur tanha hai safar
Doosri janib Zamana hum qadam ho jaaye ga!

AasmaaN se ik mashihaa aaye ga imdaad ko
Had se barh kar jab ghareeboN pe sitam ho jaaye ga

Ashk barsaao, ghatta barsay na barsay, kia khabar
Dosto aaN'gan nahi, daaman tu num ho jaaye ga!

Jab nazar aata hai na-mumkin unhein koi bhi kaam
Kha ke kehtay hain Mere sar ki qasam, ho jaaye ga!

Main tu daanis'taa bhatak'taa hi raha yeh soch kar
Manzil'ein pa'a kar safar ka Shauq kam ho jaaye ga

Go, karam meray tu aye iss qaabil nahein
Hai yaqeeN, mujh pe meray Rab ka karam ho jaaye ga!

jab yaad ata hai naam tera toh ankhain num si ho jain


jab yaad ata hai naam tera
toh ankhain num si ho jain
mere reste sare bhattke se
or rahain gum si ho jain
meri ratain andheri banjer si
per jab thamo tum hath mera
toh bagh-e-iram si ho jain
kabhi ak janam mai serab na hon
kabhi saat janam si ho jain
ruh bhi ghayal ghayal si
or dil bhi toota toota sa
phir saaz bana ye tootna sa
or ankhain rim jhim si ho jain
inn yadon ko dafnana hai
jin yadon se mai khoon ro-oon
per mujh se kaise hoga ye
jab ye tum he tum si ho jain...

Mana keh mera tu bhi tarafdar nahin hai


Mana keh mera tu bhi tarafdar nahin hai
Per teri mohabbat se to inkar nahin hai

Kyun log uthate hain meri laash yahan se
Ye teri havaili ki to dewar nahin hai

Daikha hai keh taishe se bhi kut jate hain kohsar
Ho ishq to manzal koi dushwar nahin hai

Hai baat koi aur keh marta hon main is per
Majnoo'n hon main laila se mujhe payar nahin hai

Us hath se chin jati hai sari hi kamai
Is waqt k jis hath mein talwar nahin hai

Chewnti ko liey phirta hai behta howa tinka
Duniya mein koi cheez bhi baikar nahin hai

Kaya chand ka pani mein hasee'n uks utara
Ay raat koi tujh sa bhi funkar nahin hai

Kis naz se behthi hai kari dhoop mein
Ye phool to titli ka talabgar nahin hai.

Woh kesy log hoty hain


Woh kesy log hoty hain
keh
jin ki aankh nam na ho
jin ko koi gham na ho,
naan hee rog hoty hain,
wah kesy log hoty hain
woh kesy log hoty hain,

teri yaad ka mousam gaaya nahi abhi


teri yaad ka mousam gaaya nahi abhi
yeh dil puri terha roya naheen abhi


tasawur main tujhey dekhtey hain apney kareeb
suhaney supnon ka mosum gaya naheen abhi


meri matai_e_ zindagi ik wo hi to hain
apni jaan sumujhney ka mosum gaya naheen abhi


gull to sirf mehektey hain chaman main
kanton sey ulujhney ka mosum gaya naheen abbhi


husrut hey pyaar key do boul kahain wo
pugdundun pey chulney mosum gaya naheen abhi

kisi soorat bhi mairi khoo-e-armaani nahi jaati


kisi soorat bhi mairi khoo-e-armaani nahi jaati
maiN har khwahish pe marti hooN ye naadaani nahiN jaati


muqadar ki lakiroN maiN sajaaya jab tujhe maiN ne
to jewen say mere pher keyoon yeh veeraani nahiN jaati

jisey socha usey poja jisey chaha usey paya
takhayul se sukhanwar phir bhi hairaani nahiN jaati


talatum khaiz mojaiN narm lehja le kay aayi haiN
ajab sa khauf hay dil main, preshaani nahiN jaati


guzartey waqet ney dhulaa deye ketney haseen chehray
"bohat jaani huwi soorat bhi pechaani nahiN jaati

amarat zarf ho jin ka sakhawat jin ki fitrat ho
tahi daman bhi ho jaayeN tau sultaani nahiN jaati



darkhtoon ney hare patoon ki chader ourh li jab sey..
chaman ki our tab se eek dewani nei jati


patang apni muhabat ki bulandi per kati lekin
mere hathoon sey raana peyar ki tani nehi jati

kyun na ajj un ko pukara jaye


kyun na ajj un ko pukara jaye
phir se dil_veeran ko staya jaye

ajj phir un ka kaha maan kar
zakhm_e_jigar ko nikhara jaye

shayad is tarah wo maan jaye
uski zulfoon main phool sajaya jaye

muhabat ho to aisi ho
phir kisi tour na dil ko sanbhala jaye

peyar aankhoon se ayaan hota hai
phir keyun her shakhs ko batya jaye

muhabat ahsas hai koi baat nahi
phir tumhain kaise yaqeen dilaya jaye

muhabat maine bhi ki thi kisi ko dil se chaha tha



muhabat maine bhi ki thi

kisi ko dil se chaha tha

nahi ab pas wo mere

magar ye log kehte hain

wo dekho zard chehra hai

nighain sard hain iski

honton se hasi gayab

mathe pe shikan zahir

muhabat is ne ki ho gi

han..........

muhabat maine bhi ki thi

nahi ab pass wo mere......!

ye muhabat hai koi qaid nahi jab wo chahe reha ho jaye


ye muhabat hai koi qaid nahi
jab wo chahe reha ho jaye

baat karte bhi dar lagta hai
wo mujhe se khafa na ho jaye

yade_e_mazi ko khurido na
zakhm phir se hara na ho jaye

ab ke wo mila to sochain ge
keyun na phir ishq jawan ho jaye

wo na mile to youn lagta hai
jiase koi farz qaza ho jaye....!

Popular Posts