Mana keh mera tu bhi tarafdar nahin hai
Per teri mohabbat se to inkar nahin hai
Kyun log uthate hain meri laash yahan se
Ye teri havaili ki to dewar nahin hai
Daikha hai keh taishe se bhi kut jate hain kohsar
Ho ishq to manzal koi dushwar nahin hai
Hai baat koi aur keh marta hon main is per
Majnoo'n hon main laila se mujhe payar nahin hai
Us hath se chin jati hai sari hi kamai
Is waqt k jis hath mein talwar nahin hai
Chewnti ko liey phirta hai behta howa tinka
Duniya mein koi cheez bhi baikar nahin hai
Kaya chand ka pani mein hasee'n uks utara
Ay raat koi tujh sa bhi funkar nahin hai
Kis naz se behthi hai kari dhoop mein
Ye phool to titli ka talabgar nahin hai.
No comments:
Post a Comment