Wednesday, January 5, 2011

Apnay khaNjar ko jaisay chahay aazmaa lay


Apnay khaNjar ko jaisay chahay aazmaa lay
Ki teri hasrat bhi na rehay baaki
Jab talak chaahay latka lay mujhay
TanhaaioN ki saleeb
Jab talak chaahay aasraa na day
Meray thakay muqaddar ko
Tujhsay nighaiN milaanay ka jurm kiya
Jaantaa hooN
Magar us jurm pay fakhar hai mujhko
Naaz hai mujh ko
Zabt kar tu apni yeh badghumaan haNsi
Ki main ab bhi tujh say reham ka talabgaar nahi
Aayaa hooN jo laykar apna lahuluhaan wajood
To sirf itna bataanay
“K tu bara lay tareeqiaN kitni bhi magar
Ahad meray kay kadam na dagmagaiNagay
Jab talak raushan haiN meray khwaaboN kay chiraagh
Tu kuch bhi nahiN
Kuch bhi nahiN”

No comments:

Popular Posts