Wednesday, January 5, 2011

Faasla donoN mein yun tu kam se kam ho jaaye ga


Faasla donoN mein yun tu kam se kam ho jaaye ga
Aaag, paani ka guzaara kia ba'ham ho jaaye ga!

Jab meri koshish se koi farq hi parta nahi
Jo bhi hona hai, mujhay kion ker ho ghum, ho jaaye ga

Aik jaanib raah-e-haq hai, aur tanha hai safar
Doosri janib Zamana hum qadam ho jaaye ga!

AasmaaN se ik mashihaa aaye ga imdaad ko
Had se barh kar jab ghareeboN pe sitam ho jaaye ga

Ashk barsaao, ghatta barsay na barsay, kia khabar
Dosto aaN'gan nahi, daaman tu num ho jaaye ga!

Jab nazar aata hai na-mumkin unhein koi bhi kaam
Kha ke kehtay hain Mere sar ki qasam, ho jaaye ga!

Main tu daanis'taa bhatak'taa hi raha yeh soch kar
Manzil'ein pa'a kar safar ka Shauq kam ho jaaye ga

Go, karam meray tu aye iss qaabil nahein
Hai yaqeeN, mujh pe meray Rab ka karam ho jaaye ga!

No comments:

Popular Posts