Na fasaanon mein mili hai na kisi tafseer mein
Wo jo ik dilchasp rangat thi teri tasveer meiN.
Mere chehre par hawaayeN likh gayiN maazi mera
Laakh chehre paaoge tum ik adad tehreer meiN.
Ho gayaa haasil magar din-raat ka hai faaslaa
Khwaab meiN kuchh aur tha, kuchh aur hai taabeer meiN.
Is qadar seedha lagaa ki dil ka aangan hil gayaa
Kiske haathoN ke nishaaN haiN dekhna is teer meiN.
Jab sunahri dhoop ka aanchal kafas tak aa gayaa
Ik ghazal-si baj uthi hai paaNv kii zanjeer meiN.
Is zamiN is aasmaaN ke rang hote aur hii
Likhne wala gar tujhe likhta meri taqdeer meiN.
No comments:
Post a Comment