Wednesday, January 5, 2011

sub balain taal saktee hain duain , kar duaa


sub balain taal saktee hain duain , kar duaa
haath phailaa dastaras main hain fizain kar duaa

hud say apni barh gaya aur ki sitam ki intehaa
dekh ab us ki karamat aur atain kar duaa

dil dukhaya kis qader ho ga khalaq ka yaad kar
bud duaa ki bhi palat-tee hain sadain kar duaa

waqt ab bhi pas hai , taib hi ho lay kuj adaa
rub jo chahay khatm kar day sub sazain kar duaa

ghair kay agay sadaa kartaa raha ab rub say kar
girgirra to bakhsh day ga sub khatain kar duaa

dekh azhar teree janib chal parain gi khud bakhud
rab karam kar day mukhalif sub hawain kar duaa

No comments:

Popular Posts