Wednesday, January 5, 2011

Yahan kal talak thay jo raastay, woh lahuu ki naddiyon mein dhal gaye


Yahan kal talak thay jo raastay, woh lahuu ki naddiyon mein dhal gaye
Meray shehr aaj yeh kia hoaa, teray khadd-o-khaal badal gaye

Humein roshni ki talab tu thi, na thi besh-o-kam ki hawas magar
Humein aaftaab na mil saka tu chiraagh-e-shab se behal gaye

Yeh andher nagri hai dosto, kahan jaaye apna yeh kaarwaN
Jinhein hum ne maana tha raahbar, kisi aur raah nikal gaye

Yeh hawas yeh bhook ajeeb hai, jo mitaaye mitaTi nahi kabhi
Jinhein ghar ke hone se sab mila, wohi aaj ghar ko nigal gaye


Gham-e-zindgaani ke silsilay thay bohat ajeeb-o-ghareeb se
Jinhein saayebaaN ki talash thi, woh samay ki dhoop mein jal gaye

No comments:

Popular Posts