Wednesday, January 5, 2011

Koi nukta aham din ki wasiyat sey nikaley ga


Koi nukta aham din ki wasiyat sey nikaley ga
Mira mehr-e-yaqeeN shab ko aziyat sey nikaley ga

Tiri janib safar karta koi tafheem ka lamha
mirey wijdan ko be-ma'nwiyat sey nikaley ga

Tasali rakh sar-e-mizgaN chamakta be-hunar tara
Tirey gham ko ghamoN ki aksariyat sey nikaley ga

Kisi ehsaas meiN dooba howa uss lams ka jhoNka
Mujhey choo kar badan ki ajnabiyat sey nikaley ga

Tiri dehleez sey uthta howa ik abr ka tukRa
Mirey sab mausamooN ko barbariyat sey nikaley ga

Mein kab sey munatzir hoon aik aisey raNg ka
Jo merey phool ko khushboo ki niyat sey nikaley ga

No comments:

Popular Posts