Ab is se ziyadah aur sitam, ye dard ke maaray kia sehtay
Khud zakhm silay ristay ristay, khud ashk thamay behtay behtay
Dunya ke musaafir khanay maiN, kia haal kisi ko batlatay
Jab jaan bhi baygaani Thehri, aye jaan! kisay apna kehtay
Is dil ke dar-o-deewaar pe ab, ek rang naya karwa Daalo!
Wo tang na ajaayeN warna, is ghar maiN kaheeN rehtay rehtay
Go rah-e-wafa to khatm hui, lamhoN ki musafat maiN yaaro!
Ek umr guzaari hay laikin, anjaam-e-wafa sehtay sehtay
Ham apnay dil-e-mayoos ki ek, tehreer-e-mujassam ban baiThay
Khud lauh-e-jahaaN par kanda haiN, ab shaire bhala ham kia kehtay
No comments:
Post a Comment