Tuesday, February 9, 2010

mili hawaon mein udne ki woh saza yaaro

mili hawaon mein udne ki woh saza yaaro
ke main zameen ke rishton se kat gaya yaaro



woh bekhayal musafir main rasta yaaro
kahan tha bas mein mere usko rokna yaaro



mere kalam pe zamane ki gard aisi thi
ke apne baare mein kuch bhi na likh saka yaaro



tamaam sheher hi jiski talaash mein ghum tha faysal
main uske ghar ka pata kisse poochta yaaro

Yeh karen aur woh karen,

Yeh karen aur woh karen, aisa karen vaisa karen,
Zindagi do din ki hai, do din mein hum kya kya karen !



Jee mein aaata hai ki dein parday say pardey ka jawaab,
Hum say woh parda karen, duniya say hum parda karen !



Sun raha hoon kuch lutayray aa gayey hain shehar mein,
Aaap jaldi bandh apnay ghar ka darwaza karen !



Is puraani be-wafa duniya ka rona kab talak,
Aaiyey mil-jul kay ik duniya nayee paida karen !



Yeh karen aur woh karen, aisa karen vaisa karen,
Zindagi do din ki hai, do din mein hum kya kya karen !

Socha nahin achha bura,

Socha nahin achha bura, dekha suna kuch bhi nahin,
Maanga khuda say raat din, teray siva kuch bhi nahin !



Dekha tujhay, socha tujhay, chaha tujhay, pooja tujhay,
Meri khata meri wafa, teri khata kuch bhi nahin !
Maanga khuda say raat din....................



Jis par hamari aankh nay moti bichayey raat bhar,
Bheja wahi kagaz usay, hamnay likha kuch bhi nahin !
Maanga khuda say raat din....................



Ik shaam ki dahleez par, baithay rahey woh dher tak,
Aankhon say kee batain bahut, munh say kaha kuch bhi nahin !
Maanga khuda say raat din....................



Socha nahin achha bura, dekha suna kuch bhi nahin,
Maanga khuda say raat din, teray siva kuch bhi nahin !

Kahin aaisa ho na daaman jala lo,

Kahin aaisa ho na daaman jala lo,
Hamaray aansuon par khaak daalo !



Manana bhi zaroori hai to phir tum,
Hamay sabsay khafa ho kar mana lo !



Bahut royee hui lagti hain aankhay,
Meri khatir zara kaajal laga lo !



Akelay-pan say khauf aata hai mujko,
Kahan ho ay meray khawab-o-khayalo !



Bahut mayoos baitha hun main tumsay,
Kabhi aakar mujhay hairat mein daalo !



Kahin aaisa ho na daaman jala lo,
Hamaray aansuon par khak daalo !

Jab kabhi tera naam letay hain,

Jab kabhi tera naam letay hain,
Dil say hum inteqaam letay hain,



Meri barbadiyon kay afsaanay,
Meray yaaron kay naam letay hain !



Bas yahi ek jurm hai apna,
Hum mohabbat say kaam letay hain !



Har kadam par giray magar seekha
Kaisay girton ko tham letay hain !



Hum batak kar junoo ki rahon mein,
Akl say inteqaam letay hain !

tujhse milne ki saza denge tere shaher ke log

tujhse milne ki saza denge tere shaher ke log
yeh wafaaon ka sila denge tere shaher ke log



kya khabar thi tere milne pe qayamat hogi
mujhko deewana bana denge tere shaher ke log



tujhse milne na diya shaher mein rahne na diya
aur kya jaan-e-wafa denge tere shaher ke log



tere nazron se girane ke liye jaan-e-hayaat
mujhko mujrim bhi bana denge tere shaher ke log

jo bhi bura bhala hai allah janta hai

jo bhi bura bhala hai allah janta hai
bande ke dil mein kya hai allah janta hai



yeh farsh-o-arsh kya hai allah janta hai
pardon mein kya chhupa hai allah janta hai



jaakar jahaan se koi wapas nahin hai aata
woh kaunsi jagah hai allah janta hai


neki-badi ko apni kitna hi tu chupaye
allah ko sab pata hai allah janta hai


yeh dhoop chaon dekho yeh subah-o-shaam dekho
sab kyon yeh ho raha hai allah janta hai


kismat ke naam ko to sab jante hain lekin faysal
kismat mein kya likha hai allah janta hai

Apni Aankh Ke Sabhee Ashq Baha Kar Sona

Apni Aankh Ke Sabhee Ashq Baha Kar Sona
Tum Meri Yaad Ka Har Deep Bujha Kar Sona

Ek Sitara Bhi Mere Khayaal Ka Baqi Na Rahe
Chaandni Shab Ke Nishanaat Mita Kar Sona

Dar Laga Rehta Hai Neendein Kaheen Chheen Na Le
Tera Har Roz Mere Khuwaab Mein Aakar Sona

Baad Mein Log Gira Dein To Koi Baat Naheen
Har Taraf Piyaar Ki Deewaar Utha Kar Sona

Subha Hote He Tere Shehar Se Jana Hai Mujhe
Aaj Ki Raat Zara Mujh Ko Mana Kar Sona

Hua hai haal yeh barish ki meherbaani se

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*

Hua hai haal yeh barish ki meherbaani se
Zamee'n k zakham hare ho gaye hain paani se

Dhale hain ashk shab e ghum barhi rawani se
Abhi charagh jalaye hain humne paani se

Na kaam aayi meri jurrat e lab-e-izhaar
Woh badgumaa'n hi hua aur khushbayani se

Main chahta hu'n tumhara bharam rahe qayam
Nikaal do mere kirdaar ko kahani se

Mujhe bhi chehra shinasi ka agaya hai hunar
Mila kamaal ye dushman ki meherbani se

Kisi se kuch na kaha aur keh diya sab kuch
Zuba'n ka kaam liya maine be zubaani se

Abhi zamee'n se nahi rabta mera faysal
Guzar raha hoo'n abhi daur-e-asmaani se

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*

Bari Khush Rang' Khubsoorat Hai Woh

Bari Khush Rang' Khubsoorat Hai Woh
Bass Itna He Keh Meri Mohabbat Hai Woh

Yeh Shokh Rang' Baharien Hain Usi Ki
Mere Dil Ka Khamosh Samandar Hai Woh

Meri Har Baat Takhaiyul Hai Usi Ka
Meri Lakeeron Mein Basa Muqaddar Hai Woh

Main Ne Har Chund Usse Dekha, Apnaya
Khizaan Se Baharon Tak Ka Mera Safar Hai Woh

Bari Der Yeh Chehra Khayalo Mein Chupa Raha
Jis Taraf Bhi Hai Aankh Uthi Nazar Aaya Hai Sirf Woh

Meri Tamannaon Ka Urooj Kabhi Dekha Nahin Us Ne faysal
Main Ne Sans Ki Tasbeeh Main Piroya Hai Sirf Woh

Or Sab Bhool Gaye Harf-E-Saqadqat Likhna

Or Sab Bhool Gaye Harf-E-Saqadqat Likhna
Reh Gaya Kaam Humara Hi Baghawat Likhna

Laakh Kehtay Rahai'n, Zulmat Ko Na Zulmat Likhna
Hum Ne Seekha Nahi'n Piyare, Ba-Ijaazat Likhna

Na Sillay Ki Na Sata'ish Ki Tamanna Humko
Haq Mai'n Logoo'n Kay, Humari To Hay Aadat Likhna

Hum Ne Jo Bhool Kay Bhi, SHAIH Ka Qaseeda Na Likha
Shayad Aaya Issi Khoobi Ki Badolat Likhna

Iss Say Bar'h Kar Mairi Tehseen Bhala Kya Hogi
Par'h Kay NaKhush Hai'n Maira, Sahib-E-Sarwat Likhna

Dehar Kay Gham Say Huwa Rabt To Hum Bhool Gaye
Suru-Qamat Ko, Jawani Ko Qyamat Likhna

Kuch Bhi Kehtay Hai'n Kahai'n SHAIH Kay Massahib faysal 
Rang Rakhna Yehi Apna Issi Soorat Likhna.






Jadaa-e-fan main baDay saKht muqaam aatay hain

Jadaa-e-fan main baDay saKht muqaam aatay hain
Mar kay rah jaataa hai fanakaar amar honay tak

Kitnay Gaalib thay jo paidaa huya aur mar bhii gay
Qadrdaann ko taKhallus ki kHabar honay tak

Kitnay iqbaal rah-e-fikr main uThay lekin
Raastaa bhuul gay Khatm-e-safar honay tak

KitnAy shabbiir hasan khaaN na banay josh kabhii
Mar gay kitnay sikander bhii jigar honay tak

Faiz rang bhii ashaar main aa sakataa thaa
UngliyaaN saath to dain Khuun main tar honay tak

Chand zarron hi ko miltii hai ziyaa-e-Khurshiid
Chand taare hii chamaktay hain sahar honay tak

Dil-e-shaayar pay kuchh aisii hii guzaratii hai ''
Jo kisii qatray pay guzray hai guhar honay tak
__________________

LOG BUS MUHABBAT KO PANAY KI BAAT KARTE HAIN

LOG BUS MUHABBAT KO PANAY KI BAAT KARTE HAIN
HUM TU USSEY NIBHANE KI BAAT KARTE HAIN

LOG CHAHTE HI NAHI CHAHAT KO CHAHAT SAMJH KAR
HUM CHAHAT KO CHAHAT SE CHAHNEY KI BAAT KARTE HAIN

LOG MUHABBAT K SAMANDER CHAHTE HAIN PAAR KARNA
HUM TU USS MAIN DOOB JANEY KI BAAT KARTE HAIN.....
__________________

KHABHI JO DIL P GUZRI QAYAMAT YAAD ATI HAI

KHABHI JO DIL P GUZRI QAYAMAT YAAD ATI HAI
KISI KI AAJ PHIR MUJHKO MUHABBAT YAAD ATI HAI

BANAYE THI KHABHI KHUWABO K CHOTEY SE JAZERE MAI
MUJHE AKSARWO KHUSHBOO KI EMARAT YAAD ATI HAI

CHALA KARTE THEY NANGEY PAON KANTO PAR KHABHI HUM B
JO ULFAT NA DEKHAII THI KARAMAT YAAD ATI HAI.....!

Dil Jalun Sey Dil Jalun Ka Rabta Achah Laga

Dil Jalun Sey Dil Jalun Ka Rabta Achah Laga
Do Ghari Ke Beyetney Ka Silsila Achah Laga

Koi Khobi Tou Na Thih Mujhe Mein Ke Chaha Jaa'un Main
Phir najaney Kyun Usey chehra Mera Achah Laga

Raat Sari Jagney Ke Baad Mujh Ko suba Dam
Neem Baz Aankhun Sey Uska Dekhna Achah Laga

Sar Mera Sinay Par Rakh Kar Usney Sharmatey Hue
Saath Jeeney Marney Ka wada Kiya,Achah Laga

Apney chehre pe Jo Dekhey UnKey Huntun Ke Naqoosh
Mudattun Ke Baad Mujhe Aaina Achah Laga

Umar Bhar Jagay Mager  Uss shab Ki Qasam
Saath UnKo Bhi Jaga Kar,Jagna Achah Laga

"""TUMARE ROOP SE BARH KER KAHIN JAMAL NAHI""

"""TUMARE ROOP SE BARH KER KAHIN JAMAL NAHI""
tumare roop se barh ker kahin jamal nahi
kisi k lafz hain , meri to kuch majal nahi
kisi ki baton mai a ker ose ginwana mat
hai dil to gohar e hayab , ye sifal nahi
falak hai in ka thikana wahan chamakte hain
theher gae hain jo palkon pe to kch kamal nahi..???
kahan tumari nazar mai mera muqam bhala
mager yun dil se to muje apne nikal nahi
kaha , ye tham li diwar to yunhi warna
nahi , bicharne ka muj ko zara malal nahi
zameen zameen se kirchiyan kioo chuk rahi hai aj "faysal"
nahi kaha tha tuje dil ko tu sambhal nahi...????

aah ko chaahiye ik 'umr asar hone tak

aah  ko chaahiye  ik 'umr  asar hone  tak
        kaun jeeta hai teree zulf ke sar hone tak ?

      daam har mauj meiN hai halqa-e-sad_kaam-e-nahaNg
        dekhaiN  kya  guzre hai qatre  pe guhar hone tak

       

      aashiqee  sabr  talab   aur  tamanna   betaab
        dil ka kya rang karooN KHoon-e-jigar hone tak ?

       

      ham ne  maana  ke taGHaful na karoge, lekin
        KHaak ho jaayeNge ham tumko KHabar hone tak

       

      partav-e-khur se hai shabnam ko fana'a ki taaleem
        maiN  bhee  hooN ik  inaayat  ki  nazar  hone tak

       

      yak_nazar besh naheeN fursat-e-hastee GHaafil
        garmi-e-bazm  hai  ik raqs-e-sharar  hone tak

       

      GHam-e-hastee ka '' kis'se ho juz marg ilaaz
        shamma'a har rang meiN jaltee hai sahar hone tak




~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*

be-'eitadaaliyoN se, subuk sab meiN ham huve

be-'eitadaaliyoN se, subuk sab meiN ham huve
        jitne  ziyaada  ho gaye,  utne hee  kam huve

      

      pinhaaN thaa daam-e-saKHt qareeb aashiyaaN ke
        uDne na  paaye  the; ki  giraftaar  hum  huve

       

      hastee hamaaree apnee fana'a par daleel hai
        yaaN tak  mite ki aap  ham apnee qasam huve

       

      saKHtee_kashaan-e-ishq kee poochche hai kya KHabar ?
        woh  lagaa   rafta-rafta   sar_aa_pa   alam   huve

       

      teree wafa se kya ho talaafee, ki dahar meiN
        tere siwa  bhee ham  pe bahut se  sitam huve

       

      likhte rahe junooN kee hikaayat-e-KHooNchakaaN
        harchand  usmaiN   haath  hamaare  qalam  huve

       

      alla re teree tundee-e-KHooN, jiske beem se
        azzaa-e-naala  dil meiN mere rizke-ham huve

       

      ahle hawas kee fatah hai, tark-e-nabard-e-ishq
        jo  paaNv uTha  gaye  wahee  unke  'alam  huve

       

      naal-e-'adam   meiN  chand  hamaare   supurd  the;
        jo waaN na kheeNch sake so woh yaaN aake dam huve

       

     choree ' na hamne gadaaee meiN dil_lagee
        saail  huve  to   aashiq-e-ahl-e-karam   huve





~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*

dard minnat_kash-e-dawa na huaa

dard  minnat_kash-e-dawa  na  huaa
        maiN na achchaa huaa, bura na huaa

       

      jama'a karate ho kyoN raqeeboN ka ?
        ik  tamaasha  huaa  gila na  huaa

       

      ham kahaaN qismat aazmaane jaayaiN ?
        too hee jab KHanjar aazma  na huaa

      kitne sheereeN haiN tere lab ! ki raqeeb
        gaaliyaaN   khaake   be_maza   na   huaa

       

      hai  KHabar garm  unke  aane kee
        aaj hee ghar meiN boriya na huaa !

       

      kya woh namrood kee KHudaaee thee
        bandagee meiN tera bhala  na huaa

       

      jaan dee, dee  huee usee  ki thee
        haq to ye hai ke haq adaa na huaa

      zaKHm gar dab gaya, lahoo na thama
        kaam  gar  ruk  gaya  rawa na huaa

       

      rahzanee hai  ki dil_sitaanee  hai ?
        leke dil, dil_sitaaN  rawa na huaa

       

     kuchch to paDhiye ki log kehte haiN
        "aaj  'GHalib'  GHazalsara na  huaa"





~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*

dekhna qismat ki aap apne pe rashk aajaaye hai

 dekhna  qismat  ki aap  apne  pe  rashk  aajaaye hai
        maiN use; dekhooN, bhalaa kab mujhse dekha jaaye hai

       

      haath dho dil se yahee garmee gar andeshe meiN hai
        aabgeena  tundee-e-sahbaa   se  pighla  jaaye  hai

       
      GHair ko yaarab ! woh kyoNkar mana'a-e-gustaaKHee kare ?
       gar haya  bhee  usko  aatee  hai  to sharma  jaaye hai


      shauq ko ye lat ke hardam  naala KheeNche jaayiye
        dil ki woh haalat ki dam lene se ghabra jaaye hai


      door chashm-e-bad ! teree bazm-e-tarab se waah-waah
        naGHma ho  jaata hai waaN  gar naala mera jaaye hai

      

      GHarche hai tarz-e-taGHaaful, pardaadaar-e-raaz-e-ishq
        par ham  'eise  khoye jaate  haiN ki woh paa jaaye hai

       

      uskee bazm_aaraaiyaaN sunkar dil-e-raNjoor yaaN
        misl-e-naqsh-e-muddaa-e-GHair baiTHa jaaye  hai

       

      hoke aashiq woh  paree_ruKH aur naazuk ban gaya
        rang khulta jaaye hai, jitna ki uData jaaye hai

       

      naqsh  ko uske  musawwir  par bhee  kya-kya  naaz hai
        kheeNchta hai jis qadar, utana hee khiNchta jaaye hai

       

     saaya meraa mujhse  misl-e-dood bhaage hai 'faysal'
        paas mujh aatish_bazaaN ke kisse Thahra jaaye hai



dil hee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN ?

dil hee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN ?
        royeNge  ham   hazaar  baar,  koee  hameiN  sataaye  kyoN ?

      

      dair naheeN, haram naheeN,  dar naheeN, aastaaN naheeN
        baiTHe haiN rehguzar pe ham, GHair hameiN uTHaaye kyoN ?

       

      jab woh  jamaal-e-dil_faroz, soorat-e-meher-e-neem_roz
        aap hee ho nazzaara_soz, parde meiN muNh chupaaye kyoN ?

       

      dashna-e-GHamza jaaN_sitaaN, naawak-e-naaz be_panaah
        tera hee  aks-e-ruKH  sahee, saamne  tere aaye  kyoN ?

       

      qaid-e-hayaat-o-band-e-GHam  asl meiN dono  ek haiN
        maut se  pehle  aadmee  GHam  se  nijaat paaye kyoN ?

       

      husn aur uspe  husn_zan rah gayee bulhawas ki sharm
        apne  pe  'eitmaad  hai,  GHair  ko  aazmaaye  kyoN ?

       

      waaN wo GHuroor-e-iz'z-o-naaz yaaN yeh hijaab-e-paas-e-waz'a
        raah  meiN  ham  mile  kahaaN,  bazm  meiN  wo  bulaaye kyoN ?

       

      haaN  wo  naheeN  KHuda_parast,  jaao  wo be_wafa sahee
        jisko ho deen-o-dil 'azeez, uskee galee meiN jaaye kyoN ?

       

      'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN ?
        roiye   zaar-zaar  kya,   keejiye   haay-haay  kyoN ?





~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*

diyaa hai dil agar usko, bashar hai kya kahiye ?

diyaa hai dil agar usko, bashar hai kya kahiye ?
        huwa  raqeeb to ho,  naamaabar hai, kya kahiye ?

       

      yeh zid, ki aaj  na aave aur aaye bin  na rahe
        qaza se shikwa hamaiN kis qadar hai kya kahiye ?

       

      rahe haiN  yoN  gah-o-be_gah  ki koo-e-dost ko ab
        agar na kahiye ki dushman ka ghar hai, kya kahiye ?

       
      zah-e-karishma ki yoN  de rakhaa hai  hamko fareb
        ki bin kahe hee unhaiN sab KHabar hai, kya kahiye ?

       

      samajh ke karte haiN baazaar meiN woh pursish-e-haal
        ki  yeh  kahe  ki  sar-e-rehguzar  hai,  kya  kahiye ?

       

      tumhaiN naheeN  hai sar-e-rishtaa-e-wafa  ka KHayaal
        hamaare haath meiN kuchch hai, magar hai kya, kahiye ?

      unhaiN sawaal pe zoam-e-junooN hai, kyoN laDiye ?
        hame jawaab  se  qata'a-e-nazar hai, kya kahiye ?

       

      hasad  sazaa-e-kamaal-e-suKHan hai, kya keeje
        sitam, bahaa-e-mata'a-e-hunar hai, kya kahiye ?

       

      kaha hai kisne ki 'GHalib' buraa naheeN lekin
        siwaay iske  ki aashuftaa_sar  hai kya kahiye ?




~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*


hai bas ki har ik unke ishaare meiN nishaaN aur

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*




       hai  bas ki har ik unke ishaare meiN nishaaN aur
        karte haiN  muhobbat to guzarata hai  gumaaN aur

      

      yaarab ! wo na samjhe haiN na samjheNge meree baat
        de  aur  dil  unko, jo  na de  mujhko  zubaaN  aur


      abroo se hai  kya us nigah-e-naaz ko paiwand
        hai teer muqarrar magar uskee hai kamaaN aur

       

      tum shahar meiN ho to hameiN kya GHam ? jab uTHeNge
        le  aayenge   baazaar  se  jaakar  dil-o-jaaN   aur


      harchand   subak_dast    hue   but_shikanee   meiN
        ham haiN, to abhee raah meiN hai sang-e-giraaN aur

       

      hai KHoon-e-jigar josh meiN dil khol ke rota
        hote  kaee jo deeda-e-KHooNnaaba_fishaaN aur

       

      marta hooN is aawaaz pe  harchand sar uD jaay
        jallaad ko lekin wo kahe jaayaiN ki 'haaN aur'

       

      logoN  ko hai KHursheed-e-jahaaN  taab  ka dhoka
        har roz dikhaata hooN maiN ik daaGH-e-nihaaN aur

       

      leta, na agar dil tumhe deta,  koee dam cheiNn
        karta, jo na marta koee din, aah-o-fuGHaaN aur

       

     paate naheeN jab raah, to chaD jaate haiN naale
        ruktee hai meree tab'a  to hotee hai ravaaN aur

      

     haiN aur bhee duniya  meiN suKHanwar bohot achche
        kehte haiN ki 'GHalib' ka hai andaaz-e-bayaaN aur



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*


Is Tarah Saath Nibhaana Hai Dushwaa Sa

Is Tarah Saath Nibhaana Hai Dushwaa Sa
Tu Bhi Talwaar Sa, Main Bhi Talwaar Sa

Apna Rang Ghazal, Is Ke Rukhsaar Sa
Dil Chamakne Laga Hai Rakh-e-Yaar Sa

Ab Hai Tona Sa Dil Khus Se BEzaar Sa
Is Haveli Mein Lagta Tha Darbaar Sa

Khoobsurat Si Paon Mein Zanjeer Ho
Ghar Mein Betha Rahoon Main Giraftaar Sa

Main Farishton Ki Sohbat Ke Layaq Nahi
Humsafar Koi Hota Gunehgaar Sa

Guriya, Gudde Ko Becha, Khareeda Gaya
Ghar Sajaya Gaya Raat Bazaar Sa

Shaam Tak Kitne Haathon Se Guzroon Ga Main
Chaye Khaanon Mein Urdu Akhbaar Sa

Baat Kya Hai Ke Mashhoor Logon Ke Ghar
Maut Ka Sog Hota Hai Teyuhaar Sa

Zeena Zeena Utarta Hua Ayina
Is Ka Lehja Anokha Khanakdaar Sa



_________________

Tuje sochte hain gulaboon ko le kar

Tuje sochte hain gulaboon ko le kar
khayaloon main kitne saraboon ko le kar
tairi aankh main doob jane se pehle
bahoot sochte hain sharaboon ko le kar
muje chahte ho kahan se kahan tak
yahee sochte hain jawaboon ko le kar
hamain apni chahat ki aaghoosh de do faysal
kahan jaein ge apne khwaboon ko le kar.
 

Din guzarte hain kahan raat kahan hoti hai

Din guzarte hain kahan raat kahan hoti hai
dard k maaron se yeh baat kahan hoti hai

ek se chehre tow hote hein is duniya main
ek si sorat-e-haalaat kahan hoti hai

zindagi k kissi mor pe woh mille gaye
mil tow jaate hain mulakaat kahan hoti hai

aasmano se koi boond nahi barse gi
jalte sehraao main barsaat kahan hoti hai

yoon tow auron ki bohat baatein sunaai unn ko
apni jo baat hai woh baat kahan hoti hai

jaisi agaaz-e-mohabbat main hua karti thi
waisi phir shidat-e-jazbaat kahan hoti hai

pyar ki aag bana deti hai kundan jin ko faysal
un k zehno main bhala zaat kahan hoti hai



_________________

jaate jaate,

jaate jaate,
us ne mujh se ,
kitni bar kaha,
khush rehna,
suraj bujhte he,
kamre ki her khirki mein,
deep jalana,
phool chambeli k,
takye k neeche rakhna,
mann he mann mein binti kerna,
or so jana,
neend na aye to yun kerna,
adhi raat ka chanda,
jab angan mein utre,
ankhen moond k so jaane ka natak kerna,
tum ko sota jan ker chanda,
madhur milan ki meethi yaadein,
pyar k phool,bahar k sapne,
takye k neeche rakh dega,
phir tum dheere dheere,
ankhen khol ker dekho gi,
tum mujh ko apne paas he pao gi,
palkon pe atke moti se,
jhaank k,
halke se muskana,
aur-so jana.........



_________________

Aas Barhaney Lagti Hai ...

Aas Barhaney Lagti Hai ...

khiza'n ki udaas subha mein
sardion ki shaamon mein...
Aas barhnay lagti hai
un-kahay say jazbon ki
piyaas barhanay lagti hai
baykali udaasi si
baychain kiyey rakhti hai
kissi kay sath ki, Dil ko
tamanna honay lagti hai
yoonhi qadam say qadam mila kar...
kissi kay sath chalnay ko
kissi ka hath thamay...
dheeray say,
Dil ki baat karnay ko,
apna yaqeen dilanay ko
kissi ka yaqeen karnay ko
kissi kay garam hathon ka...
haseen sa lamas panay ko
kissi ki mohabbat bhari ankhoon mein
khud ko khoj laynay ko
kissi ki narm muskurahat mein
khud ko bhool janay koo...
kissi ki mehekti khushboo mein
yoon masroor honay ko
kisi kay Dil mein khud ko
dhondnay ko... jhaank laynay ko
kisi ki ankhoon ki gehri jheel mein,
Dil kay samander mein...
yaqeen ki lahar pay
aahista say... dheeray, dheeray say
tamaam gahraaiyo'n ko...
jaan laynay ko
Mohabbat ki seep mein Apna...
Ghar banaanay ko
Wafa kay noor say roshan aik
sacha mooti paanay ko
kissi kay naam pay sadiyaa'n bitaanay ko
kissi ki aas ka bin-baas lainay koo
kissi kay saarey jazbay jaan laynay ko
kissi ko saray jazbay soonp daynay ko
kissi kay gird apna
hisaar baandh daynay ko
kissi kay saath ka paband honay ko...
khawaahish honay lagti hai
Tamanna barhnay lagti hai
Sardiyo'n ki shaamon mein
narm garm jazbon ki
talab barhnay lagti hai
aas barhnay lagti hai
un-kahay jazbon ki
piyaas barhanay lagtti hai





AIk Udaas Larki hay...!

AIk Udaas Larki hay...!




dOOR ik jazeeray par ik udaas Larki hay
AankhaiN Uss ki bojhal sii
Un meiN khawaab An-dekhay
khawaab dekh bhii lay gar, ta‘beer say wuh darti hay
duuR ik jazeeray par ik udaas Larki hay
Ruuh Uss kii rotii hay
man kaa meet paanay ko
hont Uss kay be- kal haiN
Dil kii baat Sunanay ko
Roz sochtii hay wuh
Chohr duuN jazeera hay
haath thamuN dilbar kaa
aur ja basuuN Uss Aangan meiN
jis meiN saath Suraj kay khushiaaN bhi utarti haiN
duuR ik jazeeray par ik udaas Larki hay
par, apnaa yeh jazeera wuh
chohr bhii nahiN saktii
ghum kay iss jazeeray nay
Uss kay phailay daaman meiN
jitnay dukh bhii daalay haiN
jitnay ghum bhii bakhshay haiN
Saaray duusroN kay haiN
Uss kii kaalii qismat meiN
phaelii hax jo tareekii
chahyaa hay jo san'nataa
saraa duusroN ka hay
Uss nay apnay rishtoN say paii haiN jo zanjeeraiN
Uss kay paoN kay neechay, jo Aseer khanaa hay
Uss aseer khanay ko, chohrna bhi chahay tou,
chohrnay say dartii hay
apnay rishtoN kay bandhan, torna bhii chahay tou,
tornay say darti hay
ghum kay qaid khanay meiN
jaanay kab say tanha hay
jaanay kab say wuh apnii khushiyoN ko tarastii hay
duuR ik jazeeray par ik udaas Larki hay
Aik Udaas Larkii hay..!



_________________

Wo din bhi anay wala hai

Wo din bhi anay wala hai
Jab teri in kali ankhon main
Har jazba mit jaega
Tere baal jinhe dekhain tou
Savan ki ghanghor ghataen
Ankhon main lehrati hain

Hont raseelay
Dhyan main lakhon phulon ki
Mehkaar jagaen
Wo din dur nahi jab in par
Pattjhar ki rut cha jaegi


Aur us pattjhar k mausam ki
Kisi akeli shaam ki chup main
Gae dinu ki yaad aaegi
Jaise koi kisi jungal main
Geet suhanay gata hai


"Tujh ko paas bulata hai"

*****Meray Humsafar Tujhay Keya khabber*****

*****Meray Humsafar Tujhay Keya khabber*****


Meray Humsafar Tujhay Keya khabber.......
Yeh Rastoon kee muzelain .......
Yeh munziloon kay Fasly............
Yeh Fasloon kay Rasty......
Meray Humsafar Tujhay Keya khabber.......

Joh chalain toh yeh faslay
ik khawaab sa khyaal hoon.....
Joh rukain toh aey hum qadam!
Yehee rastay yehee qafly.........
zeest ka malaal hoon ..........
Meray Humsafar Tujhay Keya khabber.......

Joh chalain toh aey hum nafas!...
yehee muzelain yehee qaflay.....
ik roshnee ka shabaab hoon.....
Joh rukain toh aey hum nawa!!!
ik raat sa azaab hoon ......
tery wasty mery wasty ........yehee qafly...yehee Rasty....
Meray Humsafar Tujhay Keya khabber.......

Joh tery koucha-o-darr say nikal gaye ....
wohee munziloon say bhataak gaye....
inhee rastoon say parray huway ....
inhee fasloon say woh der gaye....
Meray Humsafar Tujhay Keya khabber.......

Joh guzzer gaye, toh chamakk uthay ......
tairee munzelian tery rasty ......
joh Bichar gaey, toh madhamm huway .....
teray rastay teray qaflay......
Meray Humsafar Tujhay Keya khabber.......

yehee muzelain joh ammer huween .......
wohee qafloon ka fakher huween ....
yeheee rastay yehee qaflay ......
teree deed ka sammer huween .....
Meray Humsafar Tujhay Keya khabber.....!



_________________

Itny chup kyoon ho

Itny chup kyoon ho rafeeqan-e-safar kuch to kaho
Dard se choor howye ho keh qaraar aaya hai
Bhar geya hijr ka zahm ke ji haar chaly
Bhuj geya shouq keh pegham-e-nigaar aaya hai
Namuradi ki thakkan hai ke khumaar-e-shab-e-wasl
JaaN sulgati he ke chehrooN pe nikhaar aaya hai
Kitni ujrhi howyi rut he keh sakooN hai nah junooN
Itni befaiz howyi bad-e-bahari kaisy
Nah kaheen nuha-e-jaaN hai nah kaheen naghma-e-dil
Kuch to bolo ke shab-e-dard guzari kaisy
Sar bezanoo ho to kyooN chaak-e-gerebaaN waloo
Bazi-e-rah-e-talab jeet ke haari kaisy



_________________

ye zard mausam kay Khushk pattay

ye zard mausam kay Khushk pattay
havaa jinhain lay gai uraakar
agar kabhii in ko dekh paao
to soch lenaa
kay in main har barg ke namuu main
ziyaan gayaa arq shaaKh-e-gul kaa
kabhii ye sar_sabz konpalain thein
kabhii ye shaadaab bhii rahe hain
khule huye hoonth ki tarah narm aur shaguftaa
bahut dinoon tak
ye sabz patte
havaa ke relo.n main bebasii se tarap chuke hain
magar ab ye Khushk ho rahe hain
magar ye ab Khushk ho chuke hain
agar kabhii is taraf se guzaro
to dekh lenaa
barahanaa shaaKhain havaa ke dil me.n garii hui hain
ye ab tumharay liye nahin hain



_________________

Shayaad

Shayaad


Main shayaad tum ko Yaksar bhoolnay wala hoon
Shayaad Jaan-e-Jaan, Shayaad
Ke ab tum mujh ko pehlay se ziyaada Yaad aati ho
Hai dil Ghamgeen, bohot Ghamgeen
Ke ab tum Yaad dil Daarana aati ho
Shamim-e-Dooor maanda ho
BOhot Ranjeeda ho mujh se
Magar Phir bhi
Mishaam-e-Jaan main meri Aashti Mandaana aati ho
Judaii main Bala ka Iltifaat-e-Mehrmana hai
Qayamat ki Khabar geeri hai
Be-hud Naaz bardari ka ALam hai
Tumharay Rang mujh main aur gehray hotay jatay hain
Main Darta hoon
Meray Ehsaas ke is Khuwaab ka Anjaam kya hoga
Yeh meray Andaroon-e-Zaat ke Taraaj gar
Jazboon ke Bairi waqt ki sazish na ho koi
Tumharay is tarhaa Har lamha yaad aanay se
Dil Sehma hua sa hai
To phir Tum kum hi yaad aaoo
Mata-e-DIl, Mata-e-Jaan phir Tum kum hi Yaad aaoo
BOhot kuch Beh gaya hai Sail-e-Mah-o-Saal main ab tuk
Subhi kuch to na Beh jayee
Ke meray Paas Reh bhi kya gaya hai
Kuch to Reh jayee



_________________


khwaab dekha tha humne

khwaab dekha tha humne, chand par hoga aashiyana
na poora hua woh khwaab to kya
chandni mehsoos karne ke liye teri muskurahat kaafi hai,
socha tha har lamha mehkega rajnigandha sa.
na mili har pal woh khushboo to kya,
usko mehsoos karne ke liye tera ehsaas kaafi hai,
lagta tha jab chahenge badal denge waqt ka rukh,
na mil payee woh himmat to kya
waqt ke saath chalne ke liye tera saath kaafi hai
maanga tha humne saare jahaan ka pyaar us khuda se
nahi kadar is jahan ko apni to kya
saare jahan ko chod ek tera pyaar kaafi hai.....
 

hawwa ki beti

sadyoN say dasht-e-zulmat maiN chalti hoi
hawwa ki beti
har aadam zaaday say keh rahi hai
kay maiN to ik dharti hooN
jo phooloN say khooshboouN say,
rangoN say, titliyoN say
saja deti hai gulshan saaray
aasmaaN hooN jis ki aaghosh maiN paltay haiN
sooraj, chaand, sitaray
maiN to misl-e-shamma deti hooN roshni lekin
khood kiuN tarasti hooN roshni kay liyay
na jaanay kitnay wajood ko deti hooN zindagi lekin
khood kiyoN tarasti hooN zindagi kay liyay
meri mata-e-zeest hai
muhabbatoN ka aangan,etmaad ki dehleez,
tahaffoz ki fiza
jo mil jaay to hooN muhabbat ka aab-e-rawaN
jo na mil paay to ban jati hooN ik koh-e-garaaN
apnay zakhmoN maiN soolagti hoi ik aatish fishaaN
maiN koN hooN
kehtay haiN is zamiN pay faqat
maiN hooN aadam ki oomang
"kehtay haiN wajood-e-zan say hai tasveer-e-kainaat maiN raang"
phir kiyoN lamha lamha bikhar rahi hooN
phir kiyoN apnay aangan maiN
aadam zadoN kay haathooN mar rahi hooN
dasht-e-zulmat maiN chalti hoi hawwa ki beti
har aadam zaaday say ye
saadyoN say keh rahi hai...

Yeh kaisi pagal ladki hai.......


Mun kaliyon jaisa chanchal hai,
Dil phoolon jaisa komal hai,
Yeh kaisi pagal ladki hai,
Yeh kaisi pagal ladki hai.

Dekh kay badal jhoom uthtee hai,
Dekh kay vair yeh ro partii hai,
Yeh kaisi pagal ladki hai....

Dekh kay phool yeh hus partii hai,
Bachon kay dilon mein yeh khud bastee hai,
Yeh kaisi pagal ladki hai....

Andherey say kuch kuch dartee hai yeh,
Haath pay deep jalaye chalti hai yeh,
Yeh kaisi pagal ladki hai.......

Dekh kay nadiyaa yeh thumm jaati hai,
Bura sapna dekh kay darr jaati hai,
Yeh kaisi pagal ladki hai......

Baarish kii boondon ko peekar iski,
Har pyas mitt jaati hai,
Yeh kaisi pagal ladki hai.......

Dekh kay panchiyon kii daar,
Khull kay karti hai yeh unkaa deedaar,
Yeh kaisi pagal ladki hai....

Kaantay hai jeevan rehiit,
Lekin yeh unhein bhi jeevit karti hai,
Yeh kaisi pagal ladki hai.......

Dhaltay suraj ko dekh kar yeh,
Kuch soch kay hustee hai,
Chudtay suraj ko haath jod kay,
Yeh pranaam kartii hai,
Yeh kaisi pagal ladki hai.....

Khyaali jeevan jeetey hue jo,
Sach dekh kar marr jati hai,
Yeh ladki kon hai.........?

Aao ray aao tumhein phool bulata hai,

Aao ray aao tumhein phool bulata hai,
Kaisay kutt rahi hai zindagi,
Yeh batanaa chahtaa hai.

Bhanwaraa aaya thaa kal is kay paas,
Kehta ras mein ab naa rahi mithaas,
Kahaan gayee iskii mithaas,
Yeh batanaa chahtaa hai,
Aao ray aao tumhein phool bulata hai.


Haq jatayaa insaan nay,
Anmol thaa yeh prakriti kay liyeh,
Mol lagaya insaan nay,
Kitna mol lagaya is kaa,
Yeh batanaa chahtaa hai,
AAo ray aao tumhein phool bulata hai.

Kagazz ko galey laga kar,
Pairon taley dabaa yaa isko,
Bayjaan ko apna samjh kar,
Katall karaaya isko,
Kitno kay sarr uper yeh ilzaam dena chahtaa hai,
Aao ray aao tumhein phool bulata hai.

Jeevan kii rah par isnay,
Sab ko khush hai rakhna sikhaa,
Insaano say door jaa kar bhi,  
kay paaon mein padnaa sikhaa,
Kis kay dil mein jageh hai is ki,
Yeh batanaa chahtaa hai,
Aao ray aao tumko phool bulata hai.




Wafa'oN Ki Talash MeiN

Wafa'oN Ki Talash MeiN

Wafa'oN Ki Talash MeiN
Sadaa'oN Ki Talash MeiN
Samandar Dekhay Dariya Dekhay
Jungle Dekhay Sehra Dekhay
NaheeN Koi Mil Saka
Jo Taskeen-e-Dil-o-JaaN Hota
Mehakta Hua ArmaaN Hota
Meri DhaRhkanoN Mein Woh Basta
Meray Jeenay Ka SaamaaN Hota
Meri Rooh Ka Woh Chain Hota
Meri Zindagi Ka UnwaaN Hota
Wafa'on Ki Talash MeiN
Zindagi Dar Ba Dar Bhatki
Sukoon Ke Ek EK Pal Ko Tarsi
Kabhi Door Khala'on MeiN Khoyi
Kabhi Samandar Ki Gehraiyon MeiN Uljhi
Aur Phir
Wafa'on Ki Talash MeiN
Bus Ek Samar Hi Haath Aya
Is Bhari Dunya MeiN
Wafa Ka Koi Wajood NaheeN
PaththroN Ke HaiN Jism Saaray
In MeiN Ehsaas Maujood NaheeN
Wafa Faqat Jis Ka Kaam Hai
MAUT Us Ka Naam Hai.....

Bhula do to hi acha hai

Suna hai
Chand taroon main
jinhien dhondo
Wo ik din mill bhi jatay hain
Suna hai
Bheegti barish ki raatoon main
Jinhien socho
Wo ik din pass aatay hain
Suna hai
Samander per kharay ho ker
Jinhien tasawar main dekho
Wo ik din unkahi baatoon ko
Khud hi sun bhi laitay hain
Mager jana
Sunnay aur sunannay ki
Sabhi baatien poori nahien hotien
Muqader to nahien hota
Naseeba to nahi hota
To tum bhi
Bhula do to hi acha hai

Mujhe kuch dair sonay de

Sunoo!
Main thuk gaya hoon
Mairy Palkoon pe ab tuk kuch adhooray khawab jaltay hain
mairy neendon main tairay wasal ka reshum ulajhta hai
mairay ansoo mairay chehray pe teray ghum ko likhtay hain
Mairay ander kai sadiyooun ke sanatoon ka daira hai
Mairay alfaaz bahain waa kiye mujh ko bhulatay hain
Mager main thuk gaya hoon
Aur main nein khamoshi ki goad main sir rukh dia hai

Main baloon main
Tumharay hijer ki narum ungliyan mehsoos kerta hoon
Mairy palkoon pe jaltay khawab hain ab rakh ki surat
Tumharay wasal ka resham bhi ab neendain nahien bunta
Mairy ankhoon main jaisay “THAR” ke mosam ka basera hai
Mujhe ander ke sanatoon main gehri neend aai hai
Sunoo!
Is yaad se keh do
Mujhe kuch dair sonay de

Mairy Khushi Ki Khatir Khud Ko Sambhal Rukhna

Mairy Khushi Ki Khatir Khud Ko Sambhal Rukhna
Us Nein Kaha Tha Mujh Se
Apna Khayal Rukhna
Yeah Bhi Kaha Tha Us Nein
Her Khawab Aarzi Hai
Tum Bhi Zehan Main Apnay Hurf-E-Zawall Rukhna
Wo Keh Raha Tha Shayad
Kuch Na Bata Sakon Main
Mairay Saamnay Na Tum Bhi Koi Sawal Rukhna
Wo huns Ke Keh Raha Tha
Ghum Bhi Tumhain Milien Gay
Lekin Na Hosla Tum Apna Nidhall Rukhna
Her Baat Ka Taqaza Mujh Se Jo Ker Raha Tha
Kiya Us ka Huq Nahien Tha
“Maira Khayal Rukhna”

kaun aata hai magar aas laga'ay rukhna

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*


kaun aata hai magar aas laga'ay rukhna
umr bhar dard ki shuma'on ko jala'ay rukhna

dost pursish peh mosr aur hamara shaiwa
apne ahwaal ko khudh se bhi chupa'ay rukhna

oos ki chuka chaund mein aankhein bhi gunwaa baidho gay
oos ke hoote huay pulkoon ko jhuka'ay rukhna

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*

ho'yee hai shaam tau aankhoon mein bus gaya phir tu

ho'yee hai shaam tau aankhoon mein bus gaya phir tu
kahan gaya hai meray shehr ke musafir tu

mein jaan ta hoon keh dunya tujhe badl de gi
mein maan ta hoon keh aisa naheen bazahir tu

bicharna hai tau hansi khushi se bichar ja
yeh kya sochta hai hur muqaam peh aakhir tu

Faraz tu ne oose mushkiloon mein daal dya
zamana sahib-e zar aur sirf shair tu

lufzooN mein fusaanay dhoondtay hein hum log



lufzooN mein fusaanay dhoondtay hein hum log
lumhooN mein zamaanay dhoondtay hein hum log
tau zeher hi de sharaab keh ker saqi
jeenay ke bahaanay dhoondtay hein hum log




yeh daur meh-o jaam chale ya na chale
nashay se bhi phir kaam chale ya na chale
hum aihl-e kharaabat se yoon bair na rukh
saqi tera kal naam chale ya na chale




hur zaghum ko seenay peh saja laite hein
her dard ko hum dil mein basa laite hein
tum pholoon peh soutay ho tu dukhta hai badan
hum kantoon ko aankhooN se laga laite hein


 ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*

Popular Posts